Sharabi Shayari in Hindi and Sharabi Ghazal

Two Line Sharabi Shayari For Masjid

Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahi hai.

===============

जाहिद शराब पीने दे मस्जिद में बैठ कर,
या वो जगह बता जहाँ खुदा नहीं है.

Hindi 2 Line Sharab Shayari

Koi aisi bhi hai surat tere sadke saaki,
Rakh lu mein dil mein uthkar tere mehkane ko

Two Line Best Sharab Shayari

Kahi sagar labalab h, kahi khali piyale h,
Ye kaisa daur h saaki, ye kya takseem h saaki

Sad Sharabi Shayari

Shoke-mey ne kar diya iss darja mujhko badhwas,
Muhtasib se rah puchi kanaye-khumar ki.

Two Line Shayari On Sharabi

Baade tauba bhi wahi yaad hai maikhane ki,
gardish aankho mein fira karti hai paimano ki.

2 Line Sharabi Shayari In Hindi And Urdu

N garaj kufr (naastik) se rakthe hai, n islam se kaam,
mudua saaqi se hame apne, aue jaam se kaam.

Sharabi Shayari Collection

Saaki ne bharke jam diye, sabko bhjam me,
Sagar jo humne manga to seehsa hila diya.

Attitude Status in Hindi 2 Line

Hath se kisne sagar patka mausam ki befaki par,
itna barsa toot ke badal doob chala mehkana bhi.

Two Line Sharabi Poetry

Kabhi khus bhi kiya h dil kisi rinde-sharabi ka,
Bhida de mooh se mooh saaki humara aur gulabi ka,

2 Line Sharabi Shayari

Bhala sa naam hai uska use kehte hai kya jaahid,
surahi mein jo dhalti hai jo paimane mein hoti hai.

Sharabi Shayari in Hindi

Aaye the haste haste haste mehkhane mein ‘firak’,
Jab pee chuke sharab to sanjida ho gaye.

2 Line Sharabi Poetry

Rehta hu maikhane mein to sharabi na samajh,
Har wo shaqs jo masjid se nikle namazi nahi hota.

Two Line Sharabi Shayari

Yeh chalkata hua kya jam-e-sharab aata hai,
aye mein kurban mera ahead-e-shabab aata hai.

2 Line Sharabi Shayari

Zahid sharab peene de masjid mein baith kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin.

Mirza Ghalib

Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Waha khuda nahin.

Allama Iqbal

Kaafir ke dil se aaya hoon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par use pata nahin.

Ahmad Faraz

2 Line Sharabi Shayari

Door se aaye the saaki sunke mehkhane ko hum,
Par taraste hi rahe ek paimane ko hum.

Jagjeet Singh Sharabi Ghazal

kal jo pee thi aji ye to usi ka nasha hai
tumhari kasam aaj pee hi nahi

aaj kuch nasha to aapki baat ka hai
aur thoda nasha dheemi barsaat ka hai

hume aap yun hi sharabi na kahiye
ye dil par asar to mulakaat ka hai

hichkiyaan aa rahi hain ye kya ho gaya hai
log kehte hain piye betha hu

khud ko madhosh kiye betha hu
jaan baki hai to wo bhi le lijiye

dil to pehle hi diye betha hu
hum to madhosh hain aap jab se mile

aaj pee hi nahi to jaalim jawani jale
yun hi ghabra gaye dagmagane to dijiye

dekhiye ye to hai pyar ke silsile
tham lijiye hume bas yahin ilteja hai

Singer : Jagjeet Singh

Hindi Ghazal On Sharab

Sabko maalum h me sharabi nahi
fir b koi pilaaye to me kya kru

sirf ek bar nazro se nazre mile
aur kasam tut jaye to me kya kru

mujko meykash samajte h sab badakash
kyunki unki tarah ladkhadata hu me

meri rag rag me nasha mohobbat ka hai
jo samajh me na aaye to me kya kru
sirf ek baar…

kaisi lat, kesi chahat, kahan ki khataa
bekhudi me hai “anwar’ nazar ka nasha

zindagi is nashe ke siwa kuch nahi
tumko pina na aaye to me kya kru
sirf ek baar…

-anwar farrukhabadi

Sharab Ghazal In Hindi

Kyu sharabi sharab peeta h,
aur phir behisab peeta h,

janta h ki chij h ye buri,
phir bhi khana khrabh peeta h,

iss kadar gam mile h duniya se,
hum n peete to marr gaye hote,

agar sahara n jaam ka hota,
jane kab ke bikhar gaye hote,

jisne aansu piye h chup-chupke,
aaj wo be-hisab peeta h,

aankho mein kushk ho gaye aansu,
ek qatra luhu ka dil mein nahi,

kon-sa jurm h ki mere liye,
kis kadar tang ho gayi h jami,

kuch to dukh h jise chupane ko,
chij itni khrabh peeta h,

kyu sharabi sharab peeta h,
aur phir behisab peeta h,

Aagyat

Urdu Ghazal On Sharabi

Me najar se jo pee raha hu, ye sama badal n jaye,
n jhukao tum nighaen, kahi raat dhal n jaye,
mera ashq bhi h isme ye sharab ubal n jaye,
mera jam chune wale, tera hath jal n jaye,
abhi raat kuch h baaki, n utha nakaye saaki,
tere rind girte girte kahi phir sambhal n jaye,
meri jindagi ke maalik, mere dil pe hath rakhna,
tere aane ki khusi me mera dum nikal n jaye,
mujhe fhukne se pehle mera dil nikal lena,
ye kisi ki amanat kahi sath chali n jaye.

Hindi Urdu Ghazal Shayari On Sharabi

Kuch tumko khbar h aye saaki, ab rang h kya meikhano ka,
menosh khade kis hasrat se muuh takte h paimano ka,

anjaam ka apne khofe nahi, jab ajam h ye deewano ka,
agwa-e-bala se takrakar, mooh ferna h tufano ka,

mehfil mein shama ke aate hi, soje-gam-furkat kya kahiye,
khud aage bhadkar jal jana, ek khel h ye parwano ka,

ye waqt bahut hi najuk h, ab hosh mein aa ye deewane,
har gam mein mehsar bharpa h ye waqt nahi afsano ka,

har mood pe khanjar aksa h, har simat tabhai hasti h,
khud apne lahu mein hath range, ye kaam h ab insaano ka.

Sharabi Ghazal SmS

Pee ke jab shukar ka sajda kiya mehkane mein,
betalab aa gayi meh mere mehkane mein,

ye logo mein talatum, ye tadapkar girna,
wok aha shama mein, jo aag h parwane mein,

Pee ke jab shukar ka sajda kiya mehkane mein,
betalab aa gayi meh mere mehkane mein,

ek dhadkata hu dil ek chalkata hua jaam,
yahi le aate h mehnosh ko mehkane mein,

dil-e besabr ko bewaqt kafas ki  sujhi,
koi char hi din honge bahar aane mein,

Pee ke jab shukar ka sajda kiya mehkane mein,
betalab aa gayi meh mere mehkane mein,

Sharabi Chutkale In Hindi

Ek jagah ek aadmi chori ki sharab becha karta tha,
Usne naukar se kaha-jara dekho to aaj sadak par koi police wala to nahi h,
laghbag 1.5 hours baad jab weh aadmi sharab bech raha tha to,
tab wo naukar daroga ke sath pahucha aur bola
malik mein dhundte dhunte thak gaya, jab kahi police wala nahi mila,
tab bahut keh sunkar daroga sahab ko le aaya.

Sharabi Ghazal Shayari In Urdu

Saaki pe iljaam n aaye,
chahe tujh tak jaam na yaa,

katra-katra n pila saki,
aos se pyas bujhi h kabhi,

saakiya tasnagi ki tab nahi,
jar de de agar sharab nahi,

tere siwa jo ki ho mohabbat,
meri jawani kaam n aaye,

jinke liye bhi marr gaye hum,
wo chalkar do kadam n aaye,

ishq ka sauda kitna gira h,
inhe humse kaam n aaye,

maikhane mein sab hi to aaye,
lekin ‘jigar’ ka naam n aaye.

Jigar muradabadi

Sharabi Ghazal Shayari

Shano pe geshuo ke ye jhumti ghataye,
iss kafiyat mein aye dil ladkhad n jaye,

wo khusbue basi h uske hasi badan mein,
mehsus ho raha h, hum aa gaye chama mein,

kaliyo ke honth chuke, bhawro ki neend udhaye,
wo rang aarzuo ka kuch narm kuch gulabi,

mahol ban gaya h mehka hua sharabi,
madhosh h zamana makhmur h fhizaye,
(Sharabi Shayari)

dekha unhe jo chayi masti hum pe aisi,
hum khyal ki rubayi padh rahe ho jaise,

wo guftgu kare to sagar se khankhnaye,
palko ki chilmano se wo inka humko takna,

besaba muskurana aur be-sabab jijkana,
pagal banaye tumko inki yahi aadaye.

Aagyat