50+ [New] Sad Ghazals in Hindi

Zindagi Sad Ghazals Lyrics

Zindagi Sad Ghazals Lyrics

प्यार के दर्द से चल रही है ज़िन्दगी,
बूंद बूंद बर्फ जैसे पिघल रही है ज़िन्दगी.

एक वादा था जो अंजाम तक ना पहुँच सका,
मौत के सांचे में अब ढल रही है ज़िन्दगी.

मेरे सनम काश तू मुझको समझ लेता ,
अब रेत की तरह हाथ से फिसल रही है ज़िन्दगी.

किस हक से अब तुझको पुकारूं ये बता,
शर्म के बोझ तले अब दब रही है ज़िन्दगी.

कुछ गलतियाँ तेरी हैं कुछ खता मेरी भी है,
टुकड़ो-टुकड़ो में अब मेरी बंट रही है ज़िन्दगी.

जहा भी रहना तू रहना सलामत, (Sad Ghazals)
तेरी बढ़ रही है मेरी घट रही है ज़िन्दगी.

तू अपनी ज़िन्दगी संवार मेरे कुसूर न गिन,
जैसे तैसे चल रही है, मेरी चल रही है ज़िन्दगी.

क्यूँ फर्क पड़ता है तुझे मेरे बर्बाद होने से,
जो तेरी थी अब वो मेरी हो रही है ज़िन्दगी,

है तुझसे इश्क़ मुझे अब भी मेरे सनम,
पर तेरे लिए अब बोझ, मेरी हो रही है ज़िन्दगी.

तुम ना रोना एक दिन मर जायेगा ‘प्रवेश’,
मौत है सस्ती, यहाँ महंगी बहूत हो रही है ज़िन्दगी.

प्रवेश कुमार ।पीके

===—@@—===

Hindi Love Ghazal On Yaad

Teri Yaad Mujhe Aati Rahi,
Mujhe Yuhi Tadapati Rahi,

Sochna Tha Hum Yuhi Bichad Jayenge,
Woh Din Wo Lamhe Yuhi Guzar Jayenge,

Bin Bole Yuhi Hum Bicchad Jayenge,
Tere Bina Hum Kaise Reh Payenge,

Hum Toh Jee Te Jee Yuhi Marr jayenge,
Wo Jo Waade Humne Kiye The, (Sad Ghazals)

Jo Pal Saath Humne Jeeye The,
Yaad Toh Woh Tumhe Bhi Bahut Aayenge,

Sochna Tha Hum Yuhi Bichad Jayenge,
Woh Din Wo Lamhe Yuhi Guzar Jayenge.

Jordan

Sad Whatsapp Status in Hindi

===—@@—===

Dard Bhari Sad Ghazals In Hindi

इस तबस्सुम को ग़मों में लुटा मत देना
कोई आंसू का मोती आँखों से गिरा मत देना.

ख़ाब में आये हैं दोस्त थोडा वक़्त निकालकर
गुफ्तगुं ज़ारी है नींद से जगा मत देना..

शहजादा कोई आएगा है उम्मीद उसको भी
ज़माने की हकीक़त उसे बता मत देना..

घोंसले गिर चुके इनके तरक्की की आंधी में
जो बेठे हों पंछी मुंडेर पर उड़ा मत देना..

इस बज़्म में ‘शाकिर’ तमाशाबीन बहुत हैं
हाल -ए-दिल अपना खुद को भी सुना मत देना..

शाकिर खांन

===—@@—===

Sad Ghazal Sms Collection

Tum akele door tak aage nikal gaye,
kuch log raste min hi piche fisal gaye,

Ham pahuch hi jayenge suraj ke gaao tak,
roshni ko ham agar aadhar bana le,

Apne hi ghar se koi n humko nikal de,
apne watan pe apna adikhar bana le,

Aadmi ko aadmi se jod sake wo,
ek pul nadi ke aar-paar bana le,

Aao kisano aur majdooro se kahe, (Sad Ghazals)
we bhi apna thik se ghar dawar bana le,

Parwato ko chirkar aage nikal sake,
zindagi ko itni dhardhar bana le,

Pyar se manuhar se jod le sabko,
kuch aur badha apna parivar bana le.

Brijkishor patel

Sad Heart Touching Poetry in Urdu

===—@@—===

Love Ghazal In Hindi

Mehki-mehki hai fiza raat hai tanhai hai,
yu n khamosh rahe aap koi baat kare,

Har kal aapke jalwo ki tamnnai hai,
chandni aapke kadmi mein simat aayi hai

Ab n sharmaye jara husn ki khairat kare,
surkh honto pe ye halka-sa tabssum tauba,

khamosi mein bhi ek andaj takllum tauba,
aur betab n ab shoke jajbaat kare, (Sad Ghazals)

Ye mere khawab ki jannat meri rangeen ghazal,
raat dhalne lagi bhujne lage taro ke kanval,

Kab talak yu hi chup chap mulaqat kare,
yu n khamosh rahe aap koi baat kare.

===—@@—===

Latest Tanha Sad Ghazals

Apni dhoon mein rehta hu,
mein bhi tere jaisa hu,

oh pichli rut ke saathi,
abke baras mein tanha hu,

teri gali mein sara din,
dukh ke kankar chunta hu,

apne dhoon mein rehta hu,
mera diya jalaye kaun,

mein tera khali karma hu,
apni dhoon mein rehta hu,

apni lehar h apna rog,
dariya hu aur pyasa hu,

aati rut mujhe royeghi,
jati rut ja jhoka hu.

naasir kaajarm

Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover

===—@@—===

Latest Sad Ghazals Shayari

Ab jabki wo ajij mere paas nahi hai
kaise kahu ki dil mera udash nahi hai,

Hasta hu magar tees-si uthi hai kai baar,
ab bhi ye vartman hai, itihash nahi hai,

Sabdo ki bhi seema hai, dil ka haal kya kahe
par mon ki bhasha bhi kya paryash nahi hai

Hum ake bhi karib doo-door hi rahe (Sad Ghazals)
lagta hai aasman me madhumas nahi hai

Vyakul hu ya virakt hu, mujhko pata nahi
par aapko pata hai ye sanyash nahi hai

Khawahish ke phool dil mai khilaye hui rakhana
hum jis jagah khade hai wo aakash nahi hai,

Kishamat hume milayegi ragin mod par
aasha to hai halaki ye vishwash nahi hai.

Rameshwar Vaishnav

===—@@—===

Heart Touching Sad Ghazals

Sabke paav ke chale log,
khote sikke wale log,

Baat kare hai sadiyo ki,
pal mein mitne wale log,

Kadam kadam pe bhesh badal ke,
har dam badle pale log,

Bahar kaise roop salone,
andar kitne kale log,

Kaise-kaise naag vishele,
aasteen mein pale log.

Jani faster

Sad Life Status in Hindi

===—@@—===

Meer Dard Bhari Sad Ghazals

Kasad gar imtihan hai pyare,
ab talaj aadha jinda hai pyare,

matak tekne mein sar kate hai jaha,
soo tera chokhat hai pyare, (Sad Ghazals)

batchit urdu mein humse n kar,
yeh humari jaban hai pyare,

chod jate hai dil ko tere paas,
yeh hamara nishan hai pyare,

‘meer’ jaan-bujh kar bhi koi mart hai,
jaan hai to jahan hai pyare.

===—@@—===

Urdu Ghazal In Hindi

Ghar tha seeshe ka to har samt se pathar aaya,
dil hi nada tha jo aaya bhi to kis par aaya,

Pursishe-haal ka ek tu hi n aaya warna,
khalkate-sehar ka sailab mere ghar aaya,

Sehne-tanhai mein awaara hawa ka jhoka,
jab bhi aaya teri yaado se muhtar aaya,

Tujhko malum hai ek shaqs teri mehfil se,
kitne andesha ki janjeer hilakar aaya,

Fir wo tajdeede-mulaqat pe aamda hai,
subh ka bhula hua sham dhale ghar aaya.

Asfaak hussain

===—@@—===

Hindi Heart Touching Sad Ghazals

Jagmagati jagti raato ke paikar le gaya,
wo gaya to sath apne saare manjar le gaya,

Ab yaha rakha hi kya hai tujko dene ke liye,
jo bhi sarmaya tha ghar mein wo utha kar le gaya,

Tham gaya hai kaorbare-jist sara inn dino,
kon jaalim sehar walo ka muqaddar le gaya,

Ret ki tehreer tha shayad tera ahde-wafa,
muddate gujri jise behta samundar le gaya,

Ban gaya hai kyu meri har raah ki deewar wo,
jo mere raste ka har pathar uthar kar le gaya,

Din chade aaya tha jo dene tasalli aye ‘raish’,
sham aayi to charago ko bujha kar le gaya.

Ahmed raish

Mohabbat Shayari in Hindi

===—@@—===

Hindi Sad Ghazal

Maaf karna mein nahi aata hu khawabo mein,
khoj pao to mujhe khojo kitabo mein,

Parshan saare bedhakal ho jaye khud-b-khud,
baat kuch paida karo aise jawabo mein,

Zindagi ka wasta dekar hasta hu,
hai magar fitrat meri rehna ajabo mein,

Aisi padchinho pe ham chalte gaye chalte,
paav jinke the hamesha se jurabi mein,

Ek saajish ke tehat chalte rahe khanjar,
aur ham chupte rahe apni naqabo mein.

Dinesh Raghuwansi

===—@@—===

Pakistani Sad Ghazals In Urdu

Fir se gulshan ki jami ko tarotaaza karna,
phool mar jaye to kusbhu ka n picha karna,

Lajjate-nohagari mein n hame yaad raha,
dil pe khaye hue jhakmo ka mudawa karna,

Kya wo girte hue suraj ko sambhala dega,
jise aata n ho jarred ko sitara karna,

Khoon-sadiya ko diya jaaye to fir haath aaye,
chand lamhat ko taarikh-shanasa karna,

Fikro-ijhare ki shmeh to jalaye rakhe, (Sad Ghazals)
ye badhi baat hai ehsaas ka dar wo karna,

Hamne har gaam pe ibrat ke nisha chode hai,
aane walo! Inhe tum gaur se deka karna,

Karya-e-ja mein bhatkate hue muddat gujri,
khud ka paani bhi hua dast ka dairya karna,

Uski aankho mein bhi lehraye talab ke jugnu,
aise andaaj se ijhare-tamnna karna,

‘kaajmi’ ahle-najar bhul n payenge kabhi,
raksh pathraav mein rehkar tune-tanha karna.

Akbar kaajmi

===—@@—===

Best Heart Touching Ghazal

Tirgi mein jal uthana chandni mein kho jana,
kis tarah hua mumkin paaniyo pe soo jana,

Umar-bhar ki chahat ka ek hi sila paya,
dard ne hame smjha, hamne dard ko jana,

Ek rang apna hai ek rang duniya ka, (Sad Ghazals)
dekhna kahi khud se munharif n ho jana,

Mausami fazao mein raat rut ki chao mein,
chandni bhi aayegi tum bhi aa ke roo jana.

Baadlo ke saaye mein ye to unki aadat hai,
jiske sar pe suraj ho uske sath ho jana.

Inaam-ul-haq-jaaved

Famous Urdu Ghazal Collection

===—@@—===

Broken Heart Sad Ghazals

Dil ki choto ne kabhi chain se rehne n diya,
jab chali sard hawa, maine tujhe yaad kiya,

aise mein me tere taj-takullaf ke nisar,
phir to farmaye wafa aaone irshad kiya,

Dil ki choto ne kabhi chain se rehne n diya,
iska rona nahi ki tumne dil kiya barbaad,

iska gam h ki bahut der se barbaad kiya,
Dil ki choto ne kabhi chain se rehne n diya,

itna masum hu fitrat se, kali ja chatki,
jhuk ke maine kaha, mujse kuch irshad kiya,

meri har saans h iss baat ki saahide-maut,
maine har lutf ke mauke pe tujhe yaad kiya,

mujhko to hosh nahi, tumko khabar ho shayad,
log kehte h ki tumne mujhe barbaad kiya,

kuch nahi iske siwa ‘josh’ harifo ka kalam,
wasal ne shad kiya, hijar ne nashad kiya.

Josh Malihabadi

===—@@—===

Sad Ghazals Lyrics

Ranj ki jab guftagu hone lagi,
aapse tu, tumse tu hone lagi,

chaiye pagambar dono taraf,
lutf ki jab duhai hone lagi,

meri ruswayi ki naubat aa gayi,
unki shorat hu-b-hu hone lagi,

aapse tum, tumse tu hone lagi,
naummidi badh gayi h iss kadar,

aarzo hi aarzo hone lagi,
ab ke milakar dekhiye kya rang ho,

phir humari justaju hone lagi,
‘daag’ itraye hue firte h aaj,

shayad unki aabru hone lagi,
aapse tum, tumse tu hone lagi,

Daagh Dehlvi

===—@@—===

Urdu Ghazal In Hindi

Kaisi aashufatgi-e-sar hai yaha,
raas sehra yaha, n ghar hai yaha,

Ek gam hai ki bemudawa hai,
ek rona ki umr bhar hai yaha,

Jo bhi kavish hai vesila, besud, (Sad Ghazals)
jo shajar hai wo besamar hai yaha,

Ek musafat ki teh nahi hoti,
manjilo-manjil safar hai yaha,

Yu rawayat se keh gaye lekin,
tajriba jo hai talkthar hai yaha.

Aaasif jamal

===—@@—===

Hindi Urdu Sad Ghazals SmS

Sadiyo purane karz padenge utarne,
dhutkar to diya hai mujhe seharyar ne,

Muddat hui hai ek sarapa visal ko,
pathar bana diya hai tere intezaar ne,

Iss ghar ko aitmaad nahi hai bahar par,
iss ghar ko rejgaar kiya hai bahar ne,

Ginne lagu to umar ka kissa tamam ho,
itni duaye di hai mujhe rehgujar ne,

Apni tama kimti raate gujar di, (Sad Ghazals)
teri gali mein ek ibadat-guzar ne,

Takreebe-runumayi se pehle hi aye ‘khalis’
fankar ko kharid liya saahkar ne.

Khalis Mujffar

Hindi Kavita on Life

===—@@—===

My Favourite Ghazal SmS In Hindi

Has ke milte hai, bhale dil mein chuban rakthe hai,
hamse kuch log mohabbat ka chalan rakthe hai,

Paav thakne ka to mumkin hai mudawa lekin,
log pairo mein nahi mann mein thakan rakthe hai,

Thik ho jaoge kehte hue mooh pher liya, (Sad Ghazals)
haye! Kya khoob wo bhimar ka mann rakthe hai.

Daure-pasti hai saba warna tujhe batlate hai,
apni parwaaz mein ham kitne gagan rakthe hai.

Ham to halat ke pathraav ko seh lenge, ‘naseem’,
baat unki hai jo seeshe ka badan rakthe hai.

mangal ‘naseem’

===—@@—===

Sad Ghazals Poetry In Urdu

Likh diya hai naam mere naam ki tarah,
Kar gaya ye kaam bhi har kaam ki tarah,

Main bhi kaatib tha ek zamaane ka adeeb,
Tohfe me de gaya kalam aan baan ki tarah,

Usne chhed di mujhe ghazlon ki waar se,
Takraata raha har waar daro deewar se,

Likh deta shahro saaj ek shaam ki tarah,
Tha dil me pukhtagi mere imaan ki tarah,

Nafrat nahi tha mujhko kabhi us daur me,
Ye sila mila hai chahat me jaam ki tarah,

Keemti waqt dekar kharide the kuchh khawab,
Bik gaya har khawab saajo samaan ki tarah.

Azhar Sabri

===—@@—===

Latest Hindi Urdu Ghazal Poetry

Bahana dhundte firte hai aasnayi ka,
ajeeb shok hai, logo ko jaghasai ka,

Bohat-se naam hai kenchi hui lakeero mein,
magar sawal hai takreebe-runumayi ka,

Paraye desh mein umar bitane waalo ko,
khayalo hai teri phulo bhari kalayi ka,

Diyare –sham ke kaidi tujhe Mubarak ho,
main khawab dekh raha hu teri rihayi ka,

Gharo se le ke chale hai bhare hu kashkol,
gadagaro ko saleeka nahi gadayi ka,

Sitare maang raha hu siyah mithi se,
ajabe-hash hai arsa meri kamayi ka,

Mera hareef mujhe chahne laga hai ‘khalish’,
tilism toot n jaaye meri ikayi ka.

Khalis Mujffar

Best Ghazal Collection

===—@@—===

Long Hindi Ghazal Collection

Ye Bandhan ye Bediya ye Riste ye Naate,
Rokte hai tujhko rokte hai mujhko,
Todke ye Bandhan chhodkar ye Naate,
Bankar Parinda uddh ja Gagan main,
Ab honge Azad to Bahar layenge Chman main,
Milenge ham-tum uss nile Gagan main,  (Sad Ghazals)
Ye Ruswaeyo ka Mosam ye Tanhaeyo ka Aalam,
Hum ek Jaan ban kar sab ko Bhula de,
Tu mujhme samaa ja main tujhme sama jaun,
Ye Riste ye Naate ye baate ye waade,
Rokte hai tujhko rokte hai Mujhko,

– Sanjay Bhatt

===—@@—===

Urdu Sad Ghazals Collection

Hath phailaye hue hai raat ke saayil kaha,
raas aayegi sitaro ko meri manjil kaha,

Mere shane par bhi hai bare-gawahi inn dino,
dekhna ye hai ki milta hai mujhe kateel kaha,

Kab meri taarikh dohrayegi apne-apko,
meri aankho ko najar aayega mustkabil kaha,

Iski mithi mein praye desh ki mehkar hai,
iss khilone se behal sakta hai mera dil kaha,

Ek rasta, ek saya, ek aahar, ek soch, (Sad Ghazals)
pesh aati hai safar mein sabko ye musqil kaha,

Ham fakeero ko khabar hai ham fakeero se n puch,
mutkil ho jayegi ye bajme-aabo-gil kaha,

Main to manjil bhi hu kasthi bhi hu aur patwar bhi,
chin sakta hai koi mujhse mera saahil kaha,

Aane waalo ki nigaahe baksati hai roshni,
jagmagati hai charago se koi mehfil kaha,

Khud se milkar khud se milta hu kayi din se ‘khalis’,
khawab ho sakte hai meri neend mein haihl kaha.

Khalis Mujffar

===—@@—===

Super Hit Hindi Ghazal

Parindo se rafakat ho gayi hai,
safar ki mujhko aadat ho gayi hai,

Nikalkar ghar se bahar aa gaya hu,
ki pasmanjar se nafrat ho gayi hai,

Wahi mithi jo thi pehchan meri,
samunder ki alamat ho gayi hai,

Musafir patharo mein dhal gaye hai,
safar ki ye rawayat ho gayi hai,

Ghane pedho ke saaye to bohat hai,
magar chalne mein dikkat ho gayi hai,

Jise dekho wahi gumsum khada hai,
kahi jaise ki mayyat ho gayi hai,

Bichadte mausmo ka noha kehkar,
hawa bhi hamse rukshat ho gayi hai,

Bohat ji ka jiya hai isme fir bhi,
mohabbat ek jarurat ho gayi hai,

Barsane ko ghata barsi hai sab par,
magar ashqe-nadamat ho gayi hai,

Looh ke daag dhote-dhote ‘akthar’,
mujhe rango se ragbat ho gayi hai.

Akthar hoshiyarpuri

Love Ghazal in Urdu and Hindi

===—@@—===

Sad Ghazals In Hindi

Kaise jiyenge dard ke maare tere baigar,
ab kon dega dil ko sahare tere baigar,

Tanhaiyo ki aag mere aas-paas nhai,
koi nahi jo puche najar kyu udas hai,
lagte hai phool mujhko sharir tere baigar,
Kaise jiyenge dard ke mare tere baigar,

Tere hi mad se ghar ki gija kushgawar thi,
deewaro-dar pe noor tha har si bahar thi,
be-noor hai ye saare nazare tere baigar,
Kaise jiyenge dard ke mare tere baigar,

Har din hi sogawar hai raat gam ki raat,
tadpenge raat-din teri yaado ke sath-sath,
aansu bane hai gam ke sitare tere baigar,
Kaise jiyenge dard ke mare tere baigar,

===—@@—===

Ruthna Manana Sad Ghazals In Hindi

Ek baar chale aao phir aake chale jana,
tumko to mere geeto ka sangeet bulata hai,
Kuch geet mere sun lo kuch apne suna jao,
jo tumko bulaye to fir shok se mat aana,

Kis baat pe ruthe ho itna to bata jao,
ab jaan pe ban aayi hai lillah chale aao,
kya dil ke tadapne ka ehsaas nahi tumko,
Ek baar chale aao phir aake chale jana,

===—@@—===

Friendship Ghazal In Hindi

Ishq saccha hai to phir wada nibhana hoga,
tumko aana hoga tumko aana hoga,

Duniya walo se jo dar jaye ye wo pyar nahi,
Aan chaho to hayal koi deewar nahi,

Pyar ke dar pe zamane ko jhukana hoga,
tumko aana hoga tumko aana hoga,

Phool jismo ke nahi rooh ke khil sakte hai,
jee ke hum mil n sake mar ke to mil sakte hai,

Faadil sadiyo ka ek pal mein mitana hoga,
tumko aana hoga tumko aana hoga, (Sad Ghazals)

Mein hu majboor mera pyar to majboor nahi,
todna aehde-wafa pyar ka dastoor nahi,

tu n gar aaya badnaam fasana hoga,
tumko aana hoga tumko aana hoga.

===—@@—===

Hindi Sad Ghazals About Life

सीधे रास्तों पर जब जब ठोकर खायी है,
ऐ ज़िन्दगी तब तब हमे तू लगी परायी है.

इश्क़ को समझा खुशियों का सागर मैंने,
इश्क़ किया तो जाना ये तो गहरी खायी है.

बाहर निकल कर मयखाने से देखा तो ,
ये मेरे संग चल रही किसकी परछाई है.

मुझको ठुकराओ या अपनाओ तेरी मर्जी है,
मुझमे बहूत बुराई सही पर कुछ अच्छाई है.

सुना था दवा से बढ़कर दुआ में है असर बहूत,
दुआ भी बेकार हुई अब मेरी क्या दवाई है.

हैरत की बात है कि यहाँ इंसान नहीं कोई,
कोई हिन्दू कोई मुस्लिम कोई सिख कोई ईसाई है,

साड़ी बस्ती छोड़ मेरे घर में सिर्फ आग लगी,
किसको दूं दोष पड़ोस में सब ही मेरे भाई हैं.

छोड़ चला ये बस्ती ये देश “प्रवेश”,
इन सबसे दूर जाने में ही भलाई है.

प्रवेश कुमार ।पीके

Urdu Sad Shayari on Life

===—@@—===

Motivational Ghazal Shayari

कोई गिला नहीं तुझसे तेरे दीवाने को आज,
करेगी मझे याद दुनिया से चले जाने के बाद.

तपते रेगिस्तान में तड़पा बहूत एक मुसाफिर,
मगर पानी की कद्र ही न थी प्यास बुझ जाने के बाद.

आई मुझे तेरी बहूत याद मगर दो ही वक़्त,
वस्ल से पहले दूसरी जुदाई के बाद .

है दस्तूर ज़माने का, मोहब्बत सच्ची लगती है,
शमा को, परवाने के जल जाने के बाद .

ख्वाहिशें पूरी हो जाएँ सारी तो शौक से मरना “प्रवेश”,
वरना आत्मा को भटकना पड़ता है मर जाने के बाद.

प्रवेश कुमार ।पीके

===—@@—===

Sad Ghazals Shayari In Hindi Font

क्यूँ दिल के मामलों में तकाज़ा करता है,
ये वक़्त जो है सब के घाव भरता है.

कौन है जो रौशनी में तेरा साथ देगा,
क्यूँ अंधेरों के मिटने की दुआ करता है.

खो गया है बस्ती में आशियाना मेरा ,मगर
इस कलयुग में कौन अपने घर मेहमान रखता है.

मैं मौत के मुँह से निकल आया सलामत ,
मेरी तरह कौन हथेली पे जान रखता है.

बड़े दिनों बाद आया था अपनी बस्ती में,
मेरा घर तो उजड़ा हुआ शमशान लगता है.

मैकदे की ओर चल पड़ा “प्रवेश”,
अब तो बस यही रास्ता आसान लगता है.

प्रवेश कुमार ।पीके