Moral Stories in Hindi for Students

Moral Stories in Hindi

Sacha Utraadhikari

Raghuveer naam ka ek raja tha. Uske do bete the ajay ve vijay dono judwa paida hue the, esliye raja samjh nahi pa raha tha. Ki kise apna utraadhikaro chune. Raja ne mantra se salah ki. Mantra ne kaha maharaj dono kumar ek dusre se badhkar h. Phir bhi hume kisi ek ko to raja bnana hi h. Raghuveer ne kaha.

Mantra kuch dair soctha raha phir gambir hokar bola “rajan rajkumaro ke guno ke gehan addhyan ke liye mujhe kuch samay dijiye. Iss dauran mein inko har drishti se jach parkh kar apni rai dunga.”

“thik h” raja ne swikarti prdhan ki. Avem mantra ne din mein rajkumaro ko apne pass bulaya. Aur kaha maharaj ki iccha h ki aap mein se kisi ek ko apna utraadhikari chunne ka aaj badha achha din h. Mein chahta hu ki raja banne se purv aap sarvotam daan kare.

Mantra ki baat sunkar ajay sochne laga sarvotam kya ho sakta h. Tabhi use kuch dhyan aaya. Usne dher sare sone ke sikke bag mein bhar liye aur ghode pe baith nagar mein chal diya. Weh nagar mein ghumkar dekhta raha. Jo use jarurtmand najar aaya. Weh use hi sone ke sikke deta gaya. Ajay ka pura din aise hi nikal gaya.

Vijaysingh bhi sarvotam daan ke liye beshbadal, mehal se paidal ni nagar mein chala gaya. Uske pass asharfiya bhi nahi thi. Weh abhi kuch kadam hi chala tha. Ki ek budha sir par lakdiya ka gattar uthaye najar aata h. Weh kamjor to the hi bhoj ke karan dhire dhire bhi chal raha tha. Use dekh vijay singh ko daya aa gayi. Kehne laga “baba lao gattar ko mein ghar pahucha du” aur vijay ne baba ki lakadiyo ka gattar uske ghar pahuchwa diya. Baba ne use aashirwad dekar vida kiya.

Children’s Short Stories with Good Moral Value

Aur vijay singh ne aise hi din dukhiyo ki madad ki.

Sham ko ajay aur vijay dono mehal mein pahuche. Dono ne apni-apni kaam ko mantra ko btaya. Mantra ne chupchap unki baate suni phir bina kuch kahe hi weh apne kamre mein chale gaye. Aglr din prat: dono rajkumaro ko phir se apne pass bulaya. “kal aap logo ne daan kiya mein chahta hu, aaj aap dono kuch kama kar laye”

ajay singh ne apne sath dus sipahi ko liya we ghode par sawar hokar bahar ke pratapgarh ki basti mein pahuche. Waha jakar ajay singh ne vyapariyo se kaha. Aaj mujhe bahut saare dhan ki aaveshkata h. Aap log milkar mujhe ek lakh sone ke sikke de do. Lekin rajkumar hum ek sath itni mudraye kaha se de sakte h. Ek sahukar ne hath jodkar vinti ki.

“mein kuch nahi sunna chahta yadi dhan nahi doge mein tumhe dund dunga. Sabhi vehpari darr gaye or jiske pass jo dhan tha sabne lakar unke charno mein rakh diya.” dusri taraf vijay ne apne sath vaid-hakimo ka ek dal liya. Nagar ke har gali mein jakar usne bimar aadmiyo ka haal pucha. Unhe mufat dawa di.

Jab logo ko patachala maharaj raghuveer ka putar ghar-ghar jakar bimaro ki seva kar raha h. To ve uski jai-jaikar karne lage.

Aur sham ko vijaysingh ghar laut gaya. Ajaysingh pehle hi mehal mein pahuch chukka tha. Mantri ne dono ki aap biti suni,

phir mantra unhe raja raghuveer ke pass lekar gaya. Aur kaha maharaj aap khud hi faisla karo maine jo inhe kaha tha inhone wo done ne kiya h or mantra ne dono ki kahani sunai. Raja raghuveer singh ne kaha faisla ho gaya. Raja wahi hona chaiye jo din-dukhiyo ki madad kare. Parja ki bhalayi ke bare mein soche. Esliye mein apne bete vijaysingh ko apna utraadhikari ghoshit karta hu. Sabhi darbari naye raja ki jai-jaikar karne lage,

Sabak (Moral Stories for Children)

Kaafi samay pehle ki baat h kisi gaone mein do bhai rehte the, badhe bhai ka naam jai tha tatha dusre bhai ka naam vijay tha. Vijay ko sona-chandi prapt karne ki badhi iccha thi. Weh chahta tha ki weh bhi pass ke ghanghor jungal mein rehkar apne bhagya ko aajmaye. Kyunki uss jungal mein phalo ka ek bhi pedh nahi tha. Vijay aone badhe bhai jai ko bahut manta tha. Weh use bhi apne sath jungal mein le jana chahta tha. Jai badha samjhdar aur santoshi tha. Vijay ki baat sunkar jai ne use waha jane se roka. Par weh na mana. To badhe bhai ne raste mein aane wale khatro ki baat bata di, magar vijay phir bhi nahi mana.

Badha bhai soch mein doob gaya ki weh kya kare.? Weh bhi chote bhai ko bahut chahta tha, esliye anat mein uske sath chalne ko tayar ho gaya. Lekin ek shart raki ki hum apne sath do char naukar, bail, hal we bhij le challenge.

Shart sunkar vijay haste hue bola- jab hume sona chandi mil jayega, tab kheti to karenge nahi. Phir kheti ka saman lekar chalne ki kya jarurat h.? Badhe bhai ne kaha kuch bhi ho meri yahi shart h.

Vijay ne kuch sochkar weh shart mann li. Kuch din chalne ke baad weh jungal ke bich mein pahuche waha nadi beh rahi thi.

Badha bhai wahi rook gaya. Chora bhai khane-pine ka saman lekar sona-chandi ki khano ki taraf chal padha. Kai din- bhit gaye. Weh lautkar nahi aaya. Iss bich jai ne wahi upjau jamin mein aalu aur anaj bo diye. Badhi acchi fasal hui. Choti si jhopadi banwake wahi rehne laga. Do char dudh wale janwar bhi usne paal rakhe the. Iss parkar kheti karte hue weh apne chote bhai ke lautne ka intjaar karne laga.

Kids Story in Hindi with Pictures

Dhed mahine ke baad vijay lauta. Weh sona-chandi lade tha, lekin bahut thak aur bhuk se vyakul hone ke karan adhik sona-chandi nahi laad saka. Jo lekar chala tha, usme bahut sa sona-chandi usne raste mein hi phek diya tha. Chote bhai ke lautne par jai badha khus hua. Usne pucha itne udas kyu lag rahe ho? Kitna sona-chandi le aaye? Vijay ne dukh bhari kahani sunai. Usne kaha, mein sona-chandi to le aaya hu, parantu khane-pine ka saman khtam ho gaya. Raste bhar bhuk se vyakul raha. Ab bahut joro ki bhool lagi h. Mujhe kuch khane-pine ko do.

Uski baat sun jai ke tewar badal gaye. Weh gaur se chote bhai ka sona-chandi dekhne laga. Phir bola- khana mein tabhi dunga jab tum mujhe badle mein sara sona doge.

Badhe bhai ki baat sunkar vijay ko badha dukh hua. Weh usko badha nek samjhata tha. Achanak hue iss parivartan ka rehseh use samjh hi na aaya. Use laga bhook ne uski budhi pher di h. Vijay ka bhook se bura haal tha. Jeene ke liye kahna bahur jaruri tha. Koi aur upaye n dekh usne muthibhar anaj ke liye sara sona-chandhi apne bhai ko de diya. Aur bhook mitakar apni jaan bachai.

Jai bukhe bhai ke gusse ko samjh gaya tha. Bhai ki bhook shant hone ke baad weh bola- mujhe tumhara sona chandi nahi chaiye. Mein tumhe sirf sabak shikana chahta tha. Tune dhan pane ke lalch mein budhi kho di. Sone-chandi ke mukable anaj ko tucch samjha. Mera bhi majak udhaya tha. Aaj tumhe malum padha ki sone chandi ka lalch kitna khrabh h. Isse manushe ki samjhdari khtam ho jati h. Tum yeh choti si baat na samjh sake. Sona-chandi tumhari bhook nahi mita sakte. Yeh kehte hue jai ne apne chote bhai ko parishram karne aur santosh se rehne ki sikh di.

Chalak Siyar (Short Stories in Hindi)

Ek jungal mein ek siyar aur siyarni apne do-do bacho ke sath rehte the. Siyar bahut ghamandi tha. Use apni budhi par ghamand tha. Weh humesha siyarni ke samne apni budhi ki dinge hakta tha.

Ek din siyar aur siyarni jungal mein bhojan ki khoj mein bhatak rahe the. Achanak samne se ek sher aata dhikayi diya. Sher ko dekhkar dono bahut ghabra gaye. Dono ne socha chale the bhojan ki khoj mein ab khud hi kisi ka bhojan bnne ja rahe h.

Siyarni ne dekha sher pal-pal samip aa raha h. Usne siyar ke kaan mein kaha-ab apni budhimani dhikao aur iss sankat ki ghadi mein jaan bachao. Meri budhi gayi bhad mein bhago aur jaan bachao. Siyar yeh kehta hu bhagne laga. Lekin siyarni ne use roka aur kaha sankat ki ghadi mein bhagte ho sher kou billi ka bacha nahi h . We ab itna paas h ki ek hi chalang mein hum dono ko daboch lega.

“accha baba!” ab tumhi kuch karo, warna aaj to gaye jaan se siyar gidgidya.
Sher ab samip aa chukka tha. Ab weh dono par chalang lagane wala tha. Ki siyarni ne hath jodte hue aage badhi “maharaja ki jai ho maharaj hum log aap hi ke pass aa rahe the. Siyarni dandwat karte hue boli”

“kis lie?” sher aankhe lal karte hue garja “maharaj hum dono pati-patni h humare teen bache h” hum logo ke bich humesha jhagda hota h. Esliye hum log chahte h ki alag alag rahe, jabki musibat yeh h ki ye dono bache lena chahte h aur mein bhi bache lena chahti hu. Maharaj jara aap humare ghar chalkar bache, humare bich baat de to badi kripa hogi.” siyarni usi mudra mein gidgidayi.

Sher siyarni ki baato ko sunkar sochne laga. Do aur teen pancho mil gaye to accha bhojan hoga chalo hum tumhare ghar chalte h. Usne garjate hue kaha.

3 Ghost Stories in Hindi Language

Dono ke sath sher unke bill ke samip pahucha. Aadesh deta hua bola-“jao apne bache lao” siyarni ne jhat siyar ke kaan mein kuch kaha aur use andar jane ko kaha.

Siyar bill ke andar gaya aur apne dono bacho ke sath khelne laga. Iss khelkhud se bahar tarah-tarah ki awwaje aane lagi. Jab kuch pal bhit gaye aur siyar bill se bahar nahi aaya to sher ne kadakte hue siyanrni se kaha “siyar abhi tak bache nahi laya jaldi karo mujhe aur bhi kaam h.”

“maharaj siyar akela h aur bache teen h weh akela bache ko lane mein asmarth ho raha h agar aapki aagya ho to mein bhi bache ko lane mein unki madad kar du. Siyarni hath jodte hue bole. Sher ne socha yeh thik h. Usne siyarni ko andar jane ki anumati dedi. Siyarni jhat se bill mein ghus gayi aur andar ja kar chup baith gayi. Bahar baitha sher kaafi dair tak intjaar karta raha aakhir garjate hue sher ne kaha”,”jaldi bache lao mujhe dair ho rahi h”

iss par andar siyarni ne kaha maharaj ki jai ho. Hum logo ne aapas mein bache baat liye h aapko yaha tak aane ka kasht hua uske liye shama chahti hu.

Sher sunkar dahad utha, kitnu weh bebas tha. Weh siyar aur siyarni ki chote bill mein ghus nahi sakta tha. Weh mooh latkaye khisyata hua wapas chala gaya.

Iss kahani se hume yeh shiksha milti h ki hume musibat mein ghabrana nahi chaiye aur budhi se kaam lena chaiye.

Sacchi Jeet (Story for Kids in Hindi)

Ek gaon mein ek kisan rehta tha.uska naam tha shersingh. Sher jaisa bhayankar aur abhimani tha. Weh thodi si baat par bigadkar ladayi kar leta tha. Gaon ke logo se sidhe mooh baat nahi karta tha. N to weh kisi ke ghar jata tha aur n raste mein milne par kisi ko parnam karta tha. Gaon ke kisan bhi use ahenkari samajhkar usse nahi bolte the.

Usi gaon mein ek naaku naam ka kisan aakar bas gaya. Weh bahut siddha aur bhala aadmi tha. Sabse namarta se bolta tha. Sabki kuch n kuch shayata kiya karta tha. Sabhi kisan uska addar karte the aur apne kaamo mein usse shalah liya karte the.

Gaon ke kisano ne naku se kaha- bhai naku. Tum kabhi sher singh ke ghar mat jana. Usse door hi rehna weh bahut jhagdalu h.

Naku ne haskar kaha- sher singh ne mujhse jhagda kiya to mein use maar hi dalunga.

Iss par kisan bhi has padhe. We jante the ki naaku bahut dyalu h. Weh kisi ko marna to door kisi ko gaali tak nahi de sakta. Lekin yeh baat kisi sher sinh se keh di. Shersinh krodh se lal ho gaya. Weh kisi din naku ke naku ke khet mein apne bail chod diye. Bail bahut sa khet char gaye, kintu naku ne unhe chupchap khet se hank diya.

Shersingh ne naku ke khet mein jane wali ek nail tod di. Pani behne laga naku ne aakar chuchap nail bandh di. Isi parkar shersingh barabar naku ki hani karta raha, kintu naku ne use ek baar bhi jhagadne ka awesar nahi diya.

Ek din naku ke yaha unke sambandhi ne jaipur ke mithe kharbuje bheje. Naku ne sabhi kisano ke ghar ek-ek kharbuja bhej diya, lekin shersingh ne uska kharbhuja ye kehkar lauta diya ki mein bhikmanga nahi hu. Mein dusro ka daan nahi leta.

9+ Short Stories with Moral Values

Barsaat aayi. Shersingh ek gaadi anaj bharkar dusre gaon mein aa raha tha. Raste mein ek nale ki kichad mein uski gaadi fas gayi. Shersingh ke bail duble the. Jab gaon mein iss baat ki khbar pahuchi to sab log hanse. Shersingh badha dusht h. Use raat bhar naale mein padhe rehne do.

Lekin naaku ne apne balwan bail pakde aur nale ki taraf chal pada. Logo ne use roka aur kaha- naaku! Shersingh ne tumhari bahut haani ki. Tum to kehte to mujhse ladega to use maar hi dalunga. Phir tum aaj kyu shayata karne kyu jate ho?

Naku bola- mein aaj sachmuch use maar hi dalunga. Tum log savere dekhna.

Jab shersingh ne naku ko bail lekar apni taraf aate dekha to garw se bola- tum apne bail lekar laut jao. Mujhe kisi ki madad nahi chaiye.

Naku ne kaha- tumhare mann mein aave to gaali do. Mann mein aave to mujhe maro, iss samay tum sankat mein ho. Tumhari gaadi fasi h aur raat hone wali h mein tumhari baat iss samay nahi maan sakta.

Naku ne shersingh ke bail kholkar apne bailgadi mein jot diye aur uske balwan bailo ne gaadhi ko khichkar bahar nikal diya. Shersingh gaadi lekar ghar aa gaya. Uska dusht swehbaw usi din se badal gaya. Weh kehta tha naku ne apne upkar ke dwara use maar hi diya. Ab mein ahenkari shersingh nahi raha. Burayi ka bhalayi se jitna hi sacchi jeet h. Nalu ne sacchi jeet payi.