25+ Love Ghazal in Urdu and Hindi

25+ Love Ghazal in Urdu and Hindi for Special - Urdu Ghazal

Collection of Love Ghazal In Urdu

Bikhri-Bikhri Julfe Teri, Paseena Mathe Par Hai,
Sach To Ye Hai Ki Tum Gusse Mein Aur Bhi Pyare Lagte Ho,

Raahe Takna Tare Ginna ‘Saadik’ Ka Hawala Hai,
Aaj Kya Baat Hai, Tum Bhi Jage Jage Lagte Ho,

Oh Dil Tod Ke Hasti Ho Mera, Wafaye Meri Yaad Karogi,
Kar Yaad Wo Zamana Mere Pyar Ka, Chain Loot N Tu Dil Ke Karar Ka,

Oh Jab Duniya Mein Me Na Rahunga To Kise Barbaad Karogi,
Oh Dil Tod Ke Hasti Ho Mera, Wafaye Meri Yaad Karogi,

Tera Dil Jab Bhi Koi Dukayega, Yaad Mujhko Ye Mera Pyar Aayega,
Oh Dil Lene Wale Mujhe Kabhi Yaad Kabhi Roo-Roo Ke Fariyad Karogi.

Shukriya Aapki Nawajisho Ka, Gam Ki Daulat Mujeh Di Thi,
Maine Ro Ro Ke Inteha Kar Li, Mehandi Pyar Wali Hatho Mein Lagaogi,

Pehle Hi Yakeen Tha Ye Kaam Mere Baad Barogi,
Dil Tod Ke Hasti Ho Mera, Wafaye Meri Yaad Karogi.

Jab ‘Taahir’ Ki Yaad Tujhe Aayegi, Neend Aankho Se Ruth Jayegi,
Oh Moti Ashqo Ke Gir Jayenge To Mujhe Yaad Karogi.

25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend

Kush Kush Rakhe Dil Mein, Dard Banker Aane Wale Ko,
Zamane Bhar Ki Rahat De Mujhe Tadapane Wale Ko,

Kabhi Mujhe Unn Par Aitbaar Bhi Tha, Mujeh Karar Bhi Tha,
Aye Zamana Walo Mera Gawah Rehna, Ki Kab Mein Bhi Unka Intezaar Tha,

Bedard Hai Zamana Fariyad Kya Kare,
Toda Hai Jisne Dil Ko Use Yaad Kya Kare,

Hatho Se Jisne Apna Jala Dala Ho Chaman,
Veerana Uss Chaman Ko Aabad Kya Kare,

Bijle Giraye Aehle Chaman Aashiya Pe Ab,
Jalkar Ho Rakh Dil Ke Fir Yaad Kya Kare,

Wo Muskura Ke Bole Jo Pucha Kisi Ne Haal,
Barbaad To Hai Khud Se Barbaad Kya Kare.

Love Ghazal in Roman Urdu

Karo Tawkkul (Sabar) Ki Aashiqui Mein Yu Karoge To Kya Karoge,
Kasht Jo Ye Hai To Dardmando Kaha Talak Tum Dawa Karoge,

Akire-Ulfat Yahi Nahi Hai Ki Jal Ke Aakhir Hue Patange,
Hawa Joy A Ki Ye Hai To Yaaro Dhool Banke Udha Karoge,

Sehar Ko Mehrabe-Tege 1 Qaatil Kabu Jo Yaaro Idhar Ho Mayal 2,
To Ek Sajda Basane-Bismil (Jakhmi) Meri Taraf Se Ada Karoge.

1. Talwar Ka Jhukaw
2. Aakrshit

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

Humse Badal Gaya Wo Nigahe To Kya Hua,
Jinda Hai Kitne Log Mohabbat Kiye Baigar,

Gujre Dino Pe Jo Kabhi Gunje The Kehkahe,
Ab Apne Akthyar Mein Wo Bhi Nahi Hare,

Kismat Mein Reh Gayi Jo Aahe To Kya Hua,
Sadma E Jhelna Hai Shikayat Kiye Baigar,

Wo Samne Bhi Ho To N Kholenge Hum Juba,
Likhi Hai Uske Chehre Pe Apni Hi Dasta,

Isko Taras Gayi Hai Nigahe To Kya Hua,
Wo Laut Jaye Hum Pe Inayat Kiya Baigar,

Pehle Kareeb Tha Koi Ab Duriya Bhi Hai,
Insaan Ke Naseeb Mein Majburiya Bhi Hai,

Apni Badal Chukka Hai Wo Raahe To Kya Hua,
Hum Chup Rahenge Umko Malamat Kiye Baigar,

Love Ghazal in Urdu for Girlfriend

Dil Mein Ek Lehar Si Uthi H Abhi,
Koi Taaza Hawa Chali H Abhi,

Shor-Bharpa H Khana-E-Dil Mein,
Koi Deewar Si Giri H Abhi,

Kuch To Najuk-Mijaj H Hum Bhi,
Aur Ye Chot Bhi Nahi H Abhi,

Yaad Ke We Nishan Janjiro,
Teri Awwaj Aa Rahi H Abhi,

Sehar Ki Be-Chirag Galiyo Mein,
Jindagi Mujhko Dhundti H Abhi,

Waqt Accha Bhi Aayeha ‘Naasir’
Gam N Kar Jindagi Padhi H Abhi.

Nasir

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Iss Daur Mein Khuda Mohabbat Ko Kya Hua,
Chod Wafa Ko Usne Murabbat Ko Kya Hua,

Ummidware Wada-E-Deedar Mar Chale,
Aate Hi Aate Yaaro Qayamat Ko Kya Hua,

Baksish Ne Mujhko Abre-Karam 1 Ki Kiya Sharminda,
Aye Chasam 2 Josho-Ashqe-Karam 3 Ko Kya Hua,

Jata Hai Aar Teg-Bafak 4 Gair Ki Taraf,
Aye Kusthe-Sitam 5 Teri Gairat Ko Kya Hua.

1. Karpa Ke Badal
2. Aankh
3. Pacthawe Ke Ashuo Ka Umadna
4. Talwar Hath Mein Liye
5. Julm Ka Pita Hua

Love Ghazals in Urdu Images

Talwar Kitni Khayi Hai Sijde Mein Iss Tarah,
Fariyadi Honge Malke-Lahu Ko Jabi (Mastak) Se Hum,

Hota Hai Shok Milan Ka Inkaar Se Zyada,
Kab Tujhse Dil Uthate Hai Teri Nahi Se Hum,

Udthi Hai Khak Sehar Ki Galiya Mein Ab Jaha,
Sona Liya Hai Gaud Mein Bharkar Wahi Se Hum.

Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi

Ijane-Khiram Lete Hue Aasma Se Hum,
Hatkar Chale H Rehgujar-E-Karwa Se Hum,

Kyu Kar Hua H Fash Jmane Pe Kya Kahe,
Wo Raze-Dil Jo Keh N Sake Razda Se Hum,

Humdum Yahi H Rehguzar-E-Yaar-Khushkarim,
Gujre H Lakh Baar Issi Kehkasa Se Hum,

Kya Kya Hua H Humse Junu Mein N Puchiye,
Uljhe Kabhi Jami Se Kabhi Aasma Se Hum,

Thukra Diye H Aklo-Khirad Ke Sanmakde,
Ghabra Chuke H Kashmkashe-Imtihan Se Hum,

Bakshi H Humko Ishq Ne Jo Jurrte-‘Mazaz’,
Darte Nahi Siyasate-Ahele-Jaha Se Hum.

Love Poets in Urdu

Hume To Ab Bhi Wo Gujra Hua Zamana Yaad Aata H,
Tumhe Bhi Kya Kabhi Koi Deewana Yaad Aata H,

Hawaye Tej Thi Bearish Bhi Thi Tufan Bhi Tha Lekin,
Tera Aise Mein Bhi Wada Nibhana Yaad Aata H.

Gujar Chuki Thi Bahut Raat Baato-Baato Mein,
Phir Utke Wo Tera Shamma Bujana Yaad Aata H,

Ghataye Kitni Hi Dekhi H Par Mujhe ‘Asraar’,
Kisi Ka Rukh Pew O Julfe Girana Yaad Aata H

Tumhe Bhi Kya Kabhi Koi Deewaba Yaad Aata H,
Hume To Ab Bhi Wo Gujra Jamana Yaad Aata H

Israar Ansari

20 Best Ghazals All Time in Hindi

Ye Koun Aa Gayi Dilruba Mehki-Mehki,
Fiza Mehki-Mehki Hawa Mehki-Mehki,

Wo Aankho Mein Kajal Wo Baalon Mein Gajra,
Hatheli Pe Uski Hina Mehki-Mehki,

Khuda Jane Kis-Kiski Ye Jaan Legi,
Wo Qaatil Ada Wo Saba Mehki-Mehki

Savere-Savere Mere Ghar Pe Aayi,
Aye ‘Hasrat’ Wo Baade-Saba Mehki Mehki

Fiza Mehki Mehki Hawa Mehki Mehki,
Ye Kaun Aa Gayi Dilruba Mehki Mehki.

Ghazals in Urdu About Love

Shayad Me Jindagi Ko Sehar Leke Aa Gaya,
Kaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Leke Aa Gaya,

Ta Umar Dhundta Raha Manjil Me Ishq Ki,
Anjam Ye Ki Gard-E-Safar Leke Aa Gaya,

Nastar H Mere Hath Mein, Kandho Pe Mehkada,
Lo Me Ilaaj-E-Dard-Jigar Leke Aa Gaya,

“Faakir” Sanamkade Mein N Aata Mein Lautkar,
Ek Jhkam Bhar Gaya Tha Idhar Leke Aa Gaya.

Sudarshan Faakir

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Mann Ramayan Jeevan Gita,
Ye Ghat Rita Wo Ghat Rita,

Kaise Gujri Raat N Pucho,
Mat Pucho Din Kaise Bita,

Ram Bharose Agni-Pariksha,
Bhog Rahi Wanwasin Sita,

Sil Sakti H Fati Kathriya,
Fati Biwayi Kaise Sita,

Do Pechane H Iss Yug Ki,
Kali Patti, Raktim Phita,

Har Hui Kharbhujo Ki Hi,
Gira Jidhar Bhi Chaku Jeeta,

Bhola Tha Pee Gaya Halahal,
Karta Bhi Kya, Agar N Peeta.

Sad Ghazal in Urdu About Love

Karwate Waqt Ki Bekar Hui Jati H,
Aaur Bhi Dar-Pe-E-Aajhar Hui Jati H,

Kiske Anfaas Mein Pinha H Bhaaro Ke Hujum,
Kople Fhut Ke Guljhar Hui Jati H,

Guthiya Valval-E-Shok Ki Suljhe Kyunkar,
Jitni Khulti H Purasrar Hui Jati H,

Nit Naya Daur, Nayi Aas, Naya Behlawa,
Gardishe Meri Kharidar Hui Jati H,

Har Tkaje Pe Naya Jabta Rehta H Swar,
Ruhe Lafjo Mein Giraftar Hui Jati H,

Shayad Ab Ishq H Nomidi-E-Jawed Ka Naam,
Aankhe Rone Ki Guneghar Hui Jati H,

Shyad Ab Ab Ke Chatne Ka Ghuma Batil H,
Subah Humrange-Sab-Tar Hui Jati H.

~~~~~

Aisi Aanshu Bhari Ye Zindagi Kisi Ko N De,
Kushi Ke Baad Gam-E-Bebasi Kisi Ko N De,

Udas Dilki Tamnna Hai Ashqbar Hu Mein,
Udasi Jis Pe Hase Wo Hasi Kisi Ko N De,

Udhalo Tum Bhi Hasi Meri Jindgani Par,
Tadapti Arzoo Dam Todti Jawani Par,

Saja Jo Di Hai Mujhe Wo Saja Kisi Ko N De.

Love Ghazal In Urdu

Baat Karni Bhi Mujhe Kabhi Musqil To N Thi,
Jaisi Ab Ho Gayi Teri Mehfil Kabhi Aisi To N Thi,

Je Gaya Chin Kar Kon Mera Sabro-Karar,
Be Karari-E-Dil Mujhe Kabhi Aisi To N Thi,

Uski Aankho Ne Khuda Jane Kya Jadu Kiya,
Ki Tabiyat Meri Mayil Kabhi Aisi To N Thi,

Chasme-Qateel Meri Dushman Thi Hamesha Lekin,
Jaisi Ab Ho Gayi Qateel Kabhi Aisi To N Thi.

15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Amir Ne Neev Julm Ki Rakh Ghar To Bnaya,
Par Aap Koi Raat Hi Mehmaan Rahega,

Chutu Kahi Ijha (Dukh) Se Laga Ek Hi Jallad,
Ta-Hashr Mere Sar Pe Ye Ehsaan Rahega,

Jaane Ka Nahi Shor Sukhan Ka Mere Hargiz,
Qayamat Ke Din Jagat Mein Mera Deewana Rahega.

Beautiful Love Ghazal in Urdu

Koi Unse Puche Jake, Kare Intezaar Kitna,
Unhe Kya Khabar Ki Dil Hai Bekarar Kitna,

Unki Gali Se Aage Badte Nahi Hai Paav,
Hai Husn Jaafija Se Har Su Nikhar Kitna,

Wo Samne To Aaye Jalwa Jara Dikhaye,
Meri Aankhe Khud Kahegi Hai Dil Mein Pyar Kitna,

Mein Janta Hu Gam Ki Shab Kis Tarah Gujari Hai,
Kare Aur Zindagi Hum Tera Aitbaar Kitna,

Wo Chahkar Jo Aaye Hum Jhakme Dil Dikhaye,
Bismil Hai Kab Se Mera Dil Bekarar Kitna,

Tanveer Uth Rahe Hai Dile Shokta Se Shole,
Won Ajar Se Agar Milaye To Mile Qarar Kitna.

20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics

Peele Hath Karti H Kone Ki Pathiya,
Pedho Ki Jharti H Sone Ki Pathiya,

Sunte H Bahuri- Bahuri Yeh Wasant Aaya H,
Jyada Bimar Nahi Hone Ki Pathiya,

Bulbul Ke Bolo Aur Koyal Ki Chedo Par,
Hargiz Har Baat Nahi Rone Ki Pathiya,

Sanso Ne Jhela H, Ghado Ka Mel H,
Jadu Ke Phool Aur Tone Ki Pathiya,

Baat Nahi Mani H Ab Ki Jid Tani H,
Mann Ke Sath Tan Ko Nahi Dhone Ki Pathiya,

Chaho To Shabnam Ke Aansu Pee Dalo Tum,
Hire Kaha Itne Pirone Ki Pathiya,

Nas-Nas Alsani H, Chehre Par Pani H,
Mooh Ka Gulal Nahi Dhone Ki Pathiya,

Chait Ka Mahina H Ris-Riskar Jina H,
Apni Muskan Nahi Khone Ko Pathiya.

Romantic Love Ghazal for Her

Ab Ke Bahut Hai Shore-Bahara Humko Mat Janjeer Karo,
Dil Ki Hawas Kuch Hum Bhi Nikale, Dhume Humko Mchane Do,

Arsa Kitna Sare Jaha Ka Wehsat Par Jo Aa Jave,
Paav To Hum Phaila Denge, Par Fursat Humko Pane Do,

Kya Jata Hai Isme Hamara Chupke Hum To Baithe Hai,
Dil Jo Samjhana Tha So Samjha Nashe 1 Ko Samjhane Do,

Baate Banana Musqil-Sa Hai Sher Sabhi Ya Kehte Hai,
Unche-Khayl Se Yaaro Ko Ek Aisi Ghazal Kehlane Do.

1. Updesh Dene Wala.

30+ Best of Bewafa Ghazal In Hindi

Aapse Kya Dosti Hone Lagi,
Apne Dil Se Dushmani Hone Lagi,

Phir Hasino Ki Taraf Mahil H Dil,
Maut Se Fir Dillagi Hone Lagi,
Muskurati Meri Tauba Par Bhaar,

Parsayi Ki Hasi Hone Lagi,
Tum N The To Dil Ko Ek Taskin Thi,

Tum Jo Aaye Bekali Hone Lagi,
Har Khusi Mein Gam Ka Ek Pehlu Mila,

Har Naye Gam Se Khusi Hone Lagi,
Sunke “Saahir” Ki Ghazal Usne Kaha,

Shayari Jadugiri Hone Lagi.

Saahir Hosyarpuri

Love Ghazal for Lover in Urdu

Rang Jab Aas-Pass Hote H,
Rooh Tak Canvas Hote H,

Ahele-Daanish Sabhi Kisi-N-Kisi,
Umar Tak Devdas Hote H,

Khoon De De Ke Bharna Padta H,
Dard Khali Gilas Hote H,

Jindadil Log Rooh Tak Apni,
Dar Haqiqat Udas Hote H,

Aao Gam Ka Libas Pehna De,
Lafj Gam Ka Libas Hote H,

Saikdo Mein Bas Ek-Do Shayir,
Gehri Nadiyo Ki Pyas Hote H,

Humne Yu Hi Mizaz Puche The,
Aap Yu Hi Udas Hote H.

20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her

Shabab Aaya Kisi But Par Fida Hone Ka Waqt Aaya,
Miri Duniya Mein Band Eke Khuda Hone Ka Waqt Aaya,

Use Dekho To Jahid Ne Kaha Iman Ki Yeh H,
Ki Ab Insaan Ka Sajda-Rawa Hone Ka Waqt Aaya,

Takullam Ki Khamosi Keh Rahi H Harfe-Matlab Se,
Ki Ashq Aamej Najro Se Aada Hone Ka Waqt Aaya,

Hume Bhi Aa Pada H Dosti Se Kaam Kuch Yani,
Humare Dosto Ka Bewafa Hone Waqt Aaya.

Ghazal in Urdu for Love

Justju Jiski Thi Usko To N Paya Humne,
Iss Bahane Se Magar Dekh Li Duniya Humne,

Kisiko Ruswa N Kiya, Khudbhi Peshma N Hue,
Ishq Ki Rasam Ko Kis Tarah Nibhya Humne,

Kab Mili Thi, Kaha Bichdi Thi, Hume Yaad Nahi,
Jindagi Tujko To Bas Ruwab Mein Dekha Humne.

15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover

Aadmi Ki Ajab-Si Halat H,
Bahisiyo Mein Gazab Ki Taqat H,

Chand Nango Ne Lut Li Mehfil,
Aur Sakte Mein Aaj Bahumat H,

Ab Kise Iss Chaman Ki Chinta H,
Ab Kise Sochne Ki Fursat H,

Jinke Pairo Tale Jamin Nahi,
Unke Sir Par Vasul Ki Chat H,

Reshmi Shabd-Jaal Ka Paryay,
Har Samay, Har Jangah Siyasat H,

Waqt Ke Daakiye Ke Hatho Mein,
Phir Naye Inqalab Ka Khat H.

Sherjang Garg

Urdu Love Ghazal in Hindi

Tadbir Se Bigdi Hui Taqdeer Bana Le,
Apne Pe Bharosa H To Ye Dao Laga Le,

Darta H Zamane Ki Nighao Se Bhala Kya,
Insaaf Tere Sath H Iljaam Utha Le,

Kya Khaak Wo Jeena H Jo Apne Hi Liye Ho,
Khud Mitke Kisi Aur Ko Mitne Se Bacha Le,

Tute Hue Patwar H Kisti Ke To Gam Kya,
Hari Hui Bahon Ko Hi Patwar Bana Le.

25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend

Dekha Palat Ke Usne Ke Hasrat Usey Bhi Thi,
Main Jis Pe Mit Gaya Tha Mohabbat Usey Bhi Thi,

Chup Ho Gaya Tha Dekh Kar Wo Bhi Idhar Udhar,
Duniya Se Meri Tarha Shikayat Usey Bhi Thi,

Ye Soch Kar Andhere Gale Se Laga Liye,
Raato Ko Jaagne Ki Aadat Usey Bhi Thi,

Wo Ro Diya Tha Mujh Ko Bahut Pareshan Dekh Kar,
Uss Din Khula Ye Raaj Ke Meri Zarurat Usey Bhi Thi,

Unn Patharo Ke Saath Nibhaana Pada Usey,
Jin Se Faqat Mujhe Nahi Nafrat Usey Bhi Thi.

Love Ghazal in Urdu Language

Lajjat Se Nahi Khali Jaano Ka Khapa Jana,
Kab Khijro-Mashia Ne Jeene Ka Maja Jana,

Kab Pooja Meri Se Banda Karega Koi,
Jane Hai Khuda Usko Main Tujhko Khuda Jana,

Tha Naaj Bahut Humko Akalmandi Par Apni Bhi,
Aakhir Wo Bura Nikla Hum Jisko Bhala Jana,

Aye Shore-Qayamat Hum Sote Hi N Reh Jaye,
Iss Rah Se Nikalo To Humko Bhi Jaga Jana,

Jati Hai Gujar Jee Par Uss Waqt Qayamat Si,
Yaad Aawe Hai Jab Tera Yak-Bargi Aa Jana.