20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets

Hindi Ghazal Collection

Gulshan Mein Jise Dhunda Sehra Mein Pukar Aaye,
Aye Kash Ki Aise Mein Wo Jane-Bahar Aaye,

Jo Mere Khayalo Mein Rehta Hai, Ghazal Ban Ke,
Ummid Ki Lehro Mein Khilta Hai Kaval Ban Ke,

Aankho Mein Liye Apni We Jaane-Bahar Aaye,
Gulshan Mein Jise Dhunda Sehra Mein Pukar Aaye,

Ijhare-Mohabbat Mein Reh Jaye Wo Ghabra Ke,
Seene Se Lipat Jaye To Dil Ko Karar Aaye,

Aanchal Kare Jab Daanto Mein Bal Deke Wo Sharmaye,
Uss Shok Ke Gaalo Par Jab Range-Heena Aaye,

Khamosh Tamnnao Ki Kaliyo Pe Nikhar Aaye,
Gulshan Mein Jise Dhunda Sehra Mein Pukar Aaye.

Balswroop Rahi Ghazal Lyrics

Aur Kis Chij Ki Mujhko Hai Jarurat Chodo,
Saans Lene Ke Liye Koi To Surat Chodo,

Kam Se Kam Ristehe-Nafrat To Nibhao Yaaro,
Ho Chuki Khtam Takullaf Ki Mohabbat Chodo,

Aap Aayeneg Mera Chak Gareba Seene,
Jaane Kab Iska Bhi Nikelga Muhrat Chodo,

Ye Wo Saajish Hai Sabhi Log Hai Shamil Jisme,
Ab Kaha, Kisse Kare, Kiski Shiqayat Chodo,

Khat To Aaya Hai Bulaya Bhi Hai Usne Lekin,
En Din Thik Nahi Meri Tabiyat Chodo,

Kal Giraftar Karaya Tha Mujhe Jisne Khud,
Aaj Aaya Hai Wahi Dene Jamanat Chodo,

Maine Mana Ki Sabhi Log Bikau Hai Magar,
Aajkal Kya Hai Kisi Shaqs Ki Keemat Chodo,

Aisa Hota To Nahi Roj Naya Dard Mile,
Maine Ye Maan Liya Ye Bhi Thi Kismat Chodo,

Mej Mukko Se Agar Tod Bhi Thi To Kya Hua,
Kiska Insaad Karegi Ye Bagawat Chodo,

Baat Ye Aur Hai Main Waqt Se Pehle Tuta,
Aapse Kam To N Thi Mujhme Bhi Himmat Chodo,

Isko Odhu Ki Bichau Ki Bnau Takiya,
Khak Aayegi Mere Kaam Nasiyat Chodo,

Dekh Li Tumne Zamane Ki Nighae ‘Raahi’
Ab To Din-Raat Tadapne Ki Ye Aadat Chodo.

Balswroop Rahi

Shyam Ghazal Lyrics Collection

Zakham Hai Aur Dard Ka Ehsaas Hai,
Gum Ka Har Muhara Humare Paas Hai,

Wo Humara Dost Hai Kuch Bhi Kahe,
Humko Uski Baat Par Vishwas Hai,

Usko Apni Jeet Par Bhi Ranj Hai,
Ye Humari Haar Ka Uphash Hai,

Umar Bhar Bhujati Nahi Hai Dosto,
Ye N Jane Kis Tarah Ki Pyas Hai,

Radhika Madhuban Mai Jakar Kya Kare,
“Shyam” Hai To Har Jagah Madhumas Hai.

Shyam

Rajgopal Singh Hindi Ghazal

Maun Odhe Hai Sabhi, Tayariya Hongi Jarur,
Rakh Ke Niche Dabi Chingariyo Hongi Jarur,

Aaj Bhi Aadam Ki Beti Hantaro Ki Jad Mein Hai,
Har Gilhariyo Ke Badan Pe Dhariya Hongi Jarur,

Naam Tha Hontho Pe Sagar Ka, Marusthal Ki Hui,
Uss Nadi Ki Kuch N Kuch Lachairya Hongi Jarur,

Tej Maanjhe-Si Hawa Kitni Patand Le Udhi,
Waqt Ke Hatho Mein Paine Aariya Hongi Jarur,

Ek Mausam Aaye Hai To Ek Mausam Jaye Hai,
Aaj Hai Matam To Kal Kilkariya Hongi Jarur.

Rajgopal Singh

Basant Deshmukh Ghazal Poet

Kasbe Sadhi Ab Shar Ho Gaye Hai,
Aadhmi Yhan Sab Magar Ho Gaye Hai,

Hanshi Bandni Ho Gayi Hai Kahi Par,
Nayan Aansuo Ke Nagar Ho Gaye Hai,

Kho Roshni Se Ki Matam Manaye,
Andhere Yahan Ke Sadar Ho Gaye ,

Geeto Ki Basti Khan Par Bsaye ,
Kai Geet Yahan Dar-Badar Ho Gaye,

Peeda Tumhari Parstho Pe Likhkar,
Khud Hum Kitabo Ke Kamar Ho Gaye Hai,
Pidhi Se Kaha Do Vispayiao Ki,
Sukraat Mar Kar Amar Ho Gaye Hai.

Basant Deshmukh

Gyanender Saaj Ki Ghazal

Gali-Gali Mein Alakh Jagata Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,
Idhar-Udhar Khud Ko Bhatakta Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,

Jinki Nas-Nas Mei Makkari, Deshdroh Hei Bhara Hua,
Unko Aaina Dikhlata Mei Bhi Kitna Pagal Hu,

Bhrast Vyasta Ke Jo Sangi-Sathi Chamche Bane Hua,
Unko Natik Baat Batana, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,

Hai Mujhko Jawani Aaj Npunshak Ho Baithe,
Vyarth Ushi Mei Josh Jagata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,

Gunge Bharo Ki Mehfil Mei , Kranti Bhari En Gajlo Ko,
Bar-Bar Gata Dhurata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,

Dundh Raha Hu, Un Logo Ko Jinke Sine Zakhmi Ho,
Ghar-Ghar Pe Aawaz Lagata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,

Sachai Kahata Firta Hu, Kavita Ke En Mancho Se,
“Saaj” Kranti Ke Bigul Bajata, Mei Bhi Kitna Pagal Hu.

Gyanender Saaj

Gopal Das Neeraj Ghazal Lyrics

Sabd Juthe Hai Sabhi Satya-Kathao Ki Tarah,
Waqt Besharm Hai Wehsya Ki Adao Ki Tarah,

Jane Wp Kiska Tha Saya Ki Jise Chune Ko,
Ham Bhatkate Rahe Awara Ki Hawao Ki Tarah,

Pyar Ke Waste Pyasa Hai Ye Dil Sadiyo Se,
Ab To Barso Koi Sawan Ki Ghatao Ki Tarah,

Har Andhere Se Subh Ban Ke Gujar Jaunga,
Tera Aanchal Jo Rahe Sar Pe Duaho Ki Tarah,

Aaj Palko Mein Mujhe Khwab Banakar Rakh Lo,
Kal Mein Kho Jaunga, Gumnam Gufao Ki Tarah,

Mujhko Suljhane Mein Tum Khud Hi Uljh Jaoge,
Zindagi Hai Meri Sadhu Ki Jatao Ki Tarah,

Ja Ha “Neeraj” Mein Bahut Dosh Hai Lekin Fir Bhi,
Maaf Kar Do Use, Bacho Ki Kthao Ki Tarah.

Gopal Das “Neeraj”

Gulshan Madaan New Ghazal

Teri Mehfil Bhi Khubsurat Hai,
Uska Haasil Bhi Khubsurat Hai,

Kitna Assan Ho Gaya Jeena,
Teri Musqil Bhi Khubsurat Hai,

Qatal Ki Khubiya Btatai Hai,
Mera Qaatil Bhi Khubsurat Hai,

Khubsurat Hai Aapki Surat,
Honth Pe Til Bhi Khubusrat Hai,

Aapse Mil Key U Laga Mujhko,
Aapka Dil Bhi Khubsurat Hai,

Iss Samander Ki Har Lehar Jaisa,
Dekh Haasil Bhi Kubsurat Hai,

Tera Rasta Bhi Khood Hai “Gulshan”,
Teri Manjil Bhi Khoobsurat Hai.

Gulshan Madaan

Ghazal of Kamlesh Bhatt ‘Kamal’

Naseebo Par Nahi Chalte, Najiro Par Nahi Chalte,
Jo Sachmuch Badhe Hai Wo Lakiro Par Nahi Chalte,

Niyam-Kanoon Jitney Hai, Garibo Ke Liye Hi Hai,
Niyam-Kanoon Bhi Aksar, Amiro Par Nahi Chalte,

Challenge Hinduo Par Bhi, Challenge Muslimo Par Bhi,
Jo Mehjab Ke Shikanje Hai, Kabiro Par Nahi Chalte,

Koi Jaadu Ho Daulat Ka, Koi Tona Ho Sohrat Ka,
Ye Jaadu Aur Tone Bhi, Fakiro Par Nahi Chalte.

Kamlesh Bhatt ‘Kamal’

Dr. Kunwar Baichan Ki Ghazalein

Tu Bhale Maszid Bana, Mandir Bana,
Dil Ko Lekin Inse Bhi Behtar Bana,

Dil Bhi To Chidiya Ki Ek Tasveer Hai,
Uske Baaju Khol Uske Par Bana,

Paav Ki Tasveer Khichi Hai To Phir,
Paav Ke Hi Paas Ek Thokar Bana,

Pakhuri Mein Kaid Rehkar Bhi Kahi,
Saare Jag Ki Kushbuo Ka Ghar Bana,

Tujh Pe Jo Phenke Gaye Pathar ‘Kunwar’,
Jodkar Unko Kisi Ka Ghar Bana.

Dr. Kunwar Baichan

Ghazals of Rajgopal Singh

Ajeeb Daur Hai, Jeene Ki Aas Gayab Hai,
Chamak-Dhamak To Hai Lekin Ujhas Gayab Hai.

Gane Darkt To Sehtut Aur Jaamun Ke,
Abhi Bhi Gaon Mein Hai , Par Mithas Gayab Hai.

N Jaane Kon-Si Rut Jee Raha Hai Man Mera,
Nadi Nikat H Mere Or Pyas Gayab Hai.

Shajar Ye Rajpatho Ke Hai Inse Kya Ummid,
Tane Hare Hai Sabhi Ke Libas Gayab Hai.

Rajgopal Singh

Dr. Ravindar Bharmar Ghazal Lyrics

Asli Chehra Dikhla Dete, Ek Paheli Hal Ho Jaati,
Apni Dharti Par Tum Hote Har Pehcan Saral Ho Jati.

Dhool Bhari Aandhi Banker Jis Basti Se Sadiya Gujri Hai,
Uss Basti Mein Phhol Khilate, Meri Peer Ghazal Ho Jaati Hai.

Bujdil Haathi Ne Galiyo Mein Nafrat Ke Kaante Boye Hai,
Tum Thoda-Sa Pyaar Luatthe, Meri Raah Kamal Ho Jaati.

Jhulse Rahe Hai Khet, Aag Ke Fan Khalihano Tak Phaile Hai,
Ham-Tum Ek Nadi Le Jaate, Firyeh Bhumi Sajal Ho Jati.

Laskar Hai Tayar Kuch Ka Danka Bhi Bajne Wala Hai,
Tum Rath Ka Pahiya Ban Jaate, Yeh Jankranti Safa Ho Jati.

Andhiyare Mein Puji Jaati, Nanhe Se Deepak Ki Baati,
Tum Mashal Banker Jal Uthte, Janmkatha Ujjwal Ho Jati.

Dr. Ravindar Bharmar

Yogendar Modgileh Latest Ghazal

Deh Bhi Duniya Mein Vigyapan Hui,
Naganta Bhi Aajkal Fashion Hui,

Ek Kutiya Deh Gayi Barsaat Mein,
Rote-Rote Aankh Bhi Sawan Hui.

Hamne Dukho Ko Nimantaran De Diya,
Ghar Ki Dehri Aaj Se Paawan Hui,

Ek Virhin Aur Karwachoth Ki,
Aaine Ke Saamne Anban Hui,

Jibh Jaise Dropadi-Si Ho Gayi,
Baaju To Anjaan Dushasan Hui,

Mere Swetar Ke Design Ke Liye,
Uski Aankh Dair Tak Jogan Hui,

Aur Aangan Mein Uthi Kilkariya,
Preet Apne Waqt Par Madhuwan Hui.

Yogendar Modgileh

Madan Mohan Sharma Ki Ghazals

Iss Dhara Ko Hamara Naman Chaiye,
Ye Mehak Se Bahra Maa Chaman Chaiye.

Kuch Andheri Gufao Mein Bhatke Hai Log,
Unn Bhatkate Hue Ko Kiran Chaiye,

Gandhi Ke Desh Mein Kyu Hai Hinsa Ka Daur,
Sirfiro Ka Maa Pawan-Sa Mann Chaiye,

Bichud Se Gaye Gairo Ki Sikh Se,
Unn Bichudte Hue Ka Milan Chaiye,

Nojawa Baitho Chupke N Ek Kone Mein,
Iss Dhara Ko Hamara Maran Chaiye,

Begunao Ki Zindagi Mitati Hai Nit,
Zindagi Ab Abhey Ye ‘Madan’ Chaiye.

Madan Mohan Sharma

Ghazals By Dr. Ramdarsh Mishar

Aayega Koi N Koi Pukaro To Sahi,
Koi Dikhega Andhere Mein Niharo To Sahi,

Mat Karo Sikhwa Ki Sadiyo Se Hai Jal Soya Hua,
Bich Mein Pathar Koi Chupchap Maaro To Sahi,

Badal Jaayega Ye Mausam, Toot Jaayegi Umas,
Bojh Maathe Ka Kisi Ke Tum Utaro To Sahi,

Dar Rahe Ho Dekhkar Hai Band Darwaje Sabhi,
Ye Sabhi Khul Jayenge Ghar Hai Padharo To Sahi,

Jeet Ka Ainthe Hue Hai Surma Kitne Yaha,
Yeh Nagar Hai Prem Ka Ek Baar Haaro To Sahi.

Dr. Ramdarsh Mishar

Madan Mohan Sharma Poetry

Bhala Kyu Aadmi Sudhre, Fijhao Ka Chalan Bigda,
Kinaro Ka Dharm Bigda, Fuharo Ka Chalan Bigda,

Yeh Unki Aag Daman Ki, Chaman Ko Bhi Jalayegi,
Gufao Ki Khata Kya Hai, Ki Mehalo Ka Chalan Bigda,

Kali Ne Apne Maalik Ko, Bhare Darbar Mein Kosa,
Faqt Maali Ka Tha Kehna Ki Kaliyo Ka Chalan Bigda,

Ye Apne Daag Daman Ke, Chupaye Dolti Kaya,
Kinaro Par Lagi Tohmat Ki Lehro Pa Chalan Bigda,

Bhatkati Rooh Maali Ki, Jeete Ji Hi Kabro Par,
Kali Sohrat Pe N Itra, Sitaro Ka Chalan Bigda,

Ganimat Unke Hontho Se Looh Ki Boond To Tapki,
Samay Ki Yaaro Fir Bandho, Baharo Ka Chalan Bigda.

Madan Mohan Sharma

Rajender Tiwari Ghazals In Hindi

Manjil N Koi Raahgujar Ghum Rahe Hai,
Banjare Liye Kandhe Pe Ghar Ghum Rahe Hai,

Ab Ghar Se Nikaliye To Bhut Soch-Samajhkar,
Sadko Pe Kai Kisam Ke Dar Ghum Rahe Hai,

Ik Rail Me Baithe Hui Bache Ko Pata Kya,
Hum Bhag Rahe Hai Ya Sajar Ghum Rahe Hai,

Ye Chand, Ye Dharti, Ye Gujarte Hui Mausam,
Hai Kiski Muhabat Ka Asar Ghum Rahe Hai,

Is Pyar Ke Dariya Me Kinare N Milenge,
Bas Dubte Hi Jao Bhavar Ghum Rahe Hai.

Rajender Tiwari

Rameshwar Vaisnav Ghazals

Pyase Ko Jab Talak Yaha Sharab Milegi,
Halat Bhi Parja Tantar Ki Kharab Milegi,

Gam Ko Bhi Galat Karte Ho Madhusala Me Logo,
Ise Sahi Khushi Ki Kya Kitab Milegi,

Tum Aam Zindagi Bhi Yha Pa Nahi Sakte,
Mango Na Mango Maut Lajwab Milegi,

Aab Bhi Hai Gandhi Chowk Me Sharab Ki Dukan,
Nischit Hai Har Burai Benakab Milegi,

Pachim Ki Taraf Sirf Andkar Hai Pyare,
Purab Mei Gaon-Gaon Mai Mahatab Milegi,

Ashwasno Ke Devta, Pani Tu Sirf Bhej,
Gulshan Me Apne Aap Rango-Aab Milegi,
Gandi Ka Desh Hai Tu Gandhi Kli Traf Dekh,
Ish Raah Me Uplabdi Bhi Nayab Milegi.

Rameshwar Vaisnav

Best Ghazals of Vigan Vyardh

Wo Mera Ho Jaaye To,
Ik Din Aisa Aaye To,

Uska Jee Bhalane Mein,
Mera Jee Bhar Aye To,

Usse Nafrat Hai Lekin,
Wo Mera Khalaye To,

Ghar Ka Malik Apne Ghar,
Mehma Hokar Aye To,

Lamhe Bhar Ka Karz Koi,
Jevan Bhar Lotaye To.

Vigan Vyardh

Ranjan Adhir Famous Ghazals

Chandni Raat Hai, Tanhai Hai Mayekhane Mei,
Pyas Kis Waqat Mujhe Layi Hai Mayekhane Mein,

Log Ate Hai Yaha Aur Chale Jate Hai,
Maine Rehne Ki Kasam Khaye Hai Mayekhane Mein,

Meri Majburiya Samjhi Nahi Jamane Ne,
Koi Majburi Hi Le Aaye Hai Mayekhane Mai,

Jab Se Aaya Hai Mera Naam Labo Par Uske,
Aaj Tak Dosto Ruswai Hai Mayekhane Mai,

Log Chate Hai Magar Bhul Nahi Payenge,
Maine Asi Hi Gajal Gayi Hai Mayekhane Mai.

Ranjan Adhir

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Har Taraf Banduk Vahsat Ki Tani Hai
Yah Sahar Hai Ya Ki Koi Chvani Hai

Khuf Ki Baho Me Aksar Raat Rote
Devas Ke Hisse Me Aayi Sansani Hai

Hai Yahan Lapte, Dhuva, Chikho-Pukare
Ghum Agar Hai, To Yahan Bas Roshani Hai

Rahnuma Is Aag Ko Kyokar Bhujaye
Sabko Apni-Apni Roti Sekhani Hai

Hai Bhut Durghand Galiyo Main, Dilo Main
Pyar Ki Khushbu Yahan Par Bahtni Hain.

Hindi Ghazal Collection

Jivan Gupchup Durghatna Hai
Jisko Kahi Nahi Chapana Hai.

Ik Pyas Hai, Jiske Piche
Bhag Rahe Marag Ko Matna Hai

Rishto Ke Jungle Main Aadam
Khoro Se Bachte Rahana Hai

Mirza Galib Ki Gajlo Ko
Begam Akhtar Se Sunnna Hai

Prem-Nem Kuch Khash Nahi, Bas
Man Ka Nangapan Dakhna.

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Dard Jo Tera Tha, Mera Ho Gya Hai
Lag Raha Hai Ab Savera Ho Gaya Hai

Baat Herat Ki Hai Lekin Sach Bhut
Sahar Murdo Ka Bashera Ho Gaya Hai

Kuch Jo Zinda Hai Jalaye Ja Rahe
Us Dhua Se Hi Andhera Ho Gaya

Bhid Unki Lag Rahi Chorahe Par
Ghar Nahi Jinka Ki Dera Ho Gaya Hai

Ab N Thero, Ye Salkhe Tod Do
Sinkhcho Ka Tang Ghera Ho Gaya Hai