24 Best Heart Touching Ghazal SmS in Urdu

Collection of Ghazal Sms in Urdu

Phir Teri Yaad Jo Kahi Aayi,
Neend Aane Ko Thi Nahi Aayi,

Maine Dekha Vipathi Ka Anuraag,
Me Jaha Tha Chali Wahi Aayi,

Bhumi Ne Kya Kabhi Bulaya Tha,
Martyu Kyu Swarg Se Yahi Aayi,

Wart Liya Kasht Sahe We Bhi The,
Sidhi Unke Yaha Nahi Aayi,

Sadhna Ke Bina Trilochan Kab,
Sidhi Hi Rij Kar Kahi Aayi.

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Kon Kehta H Mohbbat Ki Juba Hoti H,
Ye Haqiqat To Nigaho Se Bayan Hoti H,

Wo N Aaye To Stati H Khalish-Si Dil Ko,
Wo To Aaye To Khalish Aur Jawa Hoti H,

Rahu Ru Rah-E-Mohbbat Ko Bhala Kya Jane,
Din Gujarta H Kaha, Raat Kaha Hoti H,

Gulshan-E-Jist Mein Aati H Ek Aisi Bhi Bahar,
Pankhudi Phool Ki Jab Nauk Sana Hoti H,

Ruh Ko Shad Kare, Dil Ko Purnur Kare,
Har Njare Mein Ye Tanvir Kaha Hoti H,

Meri Duniya Ko Nahi, Gardishe-Daura Se Khatra,
Din Jo Dhalta H Yaha Raat Jawa Hoti H,

Jindagi Ek Sulagti-Si Chita H “Saahir”
Shola Banti H N Ye Bujh Ke Dhuan Hoti H.

Sudarshan Faakir

Ghazal Sms Urdu Best

Wo Kab Ke Aaye Bhi Aur Gaye Bhi, Najar Mein Ab Tak Sama Rahe H,
Ye Chal Rahe H, Wo Phir Rahe H, Ye Aa Rahe H We Jaa Rahe H,

Wahi Kayamat H Kade-Wala Wahi H Surat Wahi Srapa,
Labo Ki Jumbis, Nigah Ki Larjish, Khade H Aur Muskura Rahe H,

Wahi Latafat, Wahi Najakat, Wahi Tabusam, Wahi Tarnnum,
Me Nakse-Hirma Bana Hua H, Wo Nakse-Harait Bana Rahe H,

Khiram Rangi, Jmal Rangi, Kalam Rangi, Pyam Rangi,
Kadam-Kadam Pe, Ravish-Ravish Par, Naye Naye Gul,

Sabab Rangi, Jmal Rangi, Wo Sar S Pa Tak Tamam Rangi,
Tamam Rangi Bane Hue H Tamam Rangi Bane Hue H,

Tamam Ranayio Ke Majhar, Tamam Ranginiyo Ke Manjar,
Sambhal-Sambhalkar, Simat Simatkar, Sab Ek Markaj Pe Aa Rahe H,

Bahare-Rangi Shabab Hi Kya, Sitara-Ao-Aahtab Hi Kya,
Tamam Hasti Jhuki Hui H, Jidhar Wo Najre Jhuka Rahje H,

Sharab Aankho Se Dhal Rahi H, Najar Se Masti Ubal Rahi H,
Chalak Rahi H Uchal Rahi H Piye Hue H Pila Rahe H.

Khud Apne Nasshe Mein Jhumte H, Wo Apna Mooh Aap Chumte H,
Kharbe-Masti Bane Hue H, Halake-Masti Bana Rahe H.

Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi

Dil Ki Baat Labo Par Lakar,
Ab Tak Hum Dukh Sehte H,

Humne Suna Tha Iss Dharti Pe,
Dil Wale Bhi Rehte H,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina,
Mausam Na Najre Badly,

Lekin Inn Pyasi Aankho Mein,
Ab Tak Aansu Behte H,

Ek Hume Awara Kehna,
Koi Badha Ilzam Nahi,

Duniya Wale Dilo Ko,
Or Bahut Kuch Kehte H

Jiski Khatir Sehar Bhi Choda,
Jiske Liye Badnaam Hue,

Aaj Wahi Humse Begane,
Begane Se Rehte H,

Wo Jo Abhi Rehgujar Se,
Chake-Gireba Gujra Tha,

Uss Awara Deewane Ko
Jaalib-Jaalib Kehte H.

Habib Jaalib

Beautiful Ghazal Sms in Urdu

Hum Tere Sehar Mein Aaye H Musafir Ki Tarah-2
Sirf Ek Baar Mulakat Ka Mauka De De.
Hum Tere Sehar Mein,

Meri Manjil H Kaha Mera Thikana H Kaha-2
Subah Tak Tujse Bichadkar Mujhko Jana H Kaha,
Sochne Ke Liye Ek Raat Ka Mauka De De,
Hum Tere Sehar Mein.

Apni Aankho Mein Chupa Rakhe H Jugnu Maine-2
Apni Palko Pe Saja Rakhe H Aansu Maine,
Meri Aankho Ko Bhi Barsaat Ka Mauka De De.
Hum Tere Sehar Mein.

Aaj Ke Raat Mere Dard-E-Mohabbat Sun Le-2
Kapkpate Hue Hontho Ki Shikyat Sun Le
Aaj Ijhayare-Khayalat Ka Muaka De De,
Hum Tere Sehar Mein.

Bhulna Tha To Ye Ikrar Kiya Hi Kyu Tha-2
Bewafa Tune Mujhe Pyar Kiya Hi Kyu Tha,
Sirf Do-Char Sawalat Ka Mauka De De
Hum Tere Sehar Mein.

Sirf Ek Baar Mulaqat Ka Mauka To De.

Kaisar-Ull Jafar

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Ek Baccha Sonata Hai Fasane Kahi-Kahi,
Dekhe Hai Jaise Usne Zamane Kahi-Kahi,

Tu Soch Samjhkar Hi Kadam Aage Badhana,
Aayenge Tujhe Raah Dikhane Kahi-Kahi,

Mera Zameer Phir Bhi Data Hai Aye Dosto,
Hai Lakshy Ek, Aur Nishane Kahi-Kahi,

Bhari Thi Jeb Meri Chale Aaye Madari,
Go Khel Mujhe Apne Dikhane Kahi-Kahi

Khursi Ki Daud Mein Sabhi Pagal Se Hue Hai,
Ek Najani Hai Aur Deewane Kahi-Kahi,

Ek Wo Hi Nahi Hai Jo Satata Raha Sada,
Aaye Yu Mujhko Log Mnane Kahi Kahi,

Kuch Kho Gaya To Uske Gham Meim Kyu Hai Paresha,
Rakh Hosla, Milenge Khazane Kahi-Kahi,

Jinse Wafa Ki Aas Thi, Nikle Wo Bewafa,
Ek Pal Mein Tute Khawab Suhane Kahi Kahi.

Ashok Anjum

Best Love Ghazal Sms in Urdu

Bewafa Kon Hai Kon Harjayi Hai,
Faisla Aaj Mehfil Mein Ho Jayega,

Mooh Chipane Se Ab Fayda Kuch Nahi,
Aaj Chehre Se Parda Utar Jayega,

Inse Miliye Ye Hai Mere Apne Magar,
Apna Kehte Hue Unko Lagta Hai Dar,

Jane Kab Chod De, Jan E Kab Tod De,
Riste-Nato Ko Ye Jane Kab Tod De,

Be-Murabata Yahi Sangdil Bhi Yahi,
Mere Apni Yahi Mere Kaatil Yahi,

Apna Daman Jara Jhad Kar Dekhiye,
Aastino Se Khanjar Nikal Jayega,

Jinka Ehasas Hi Mar Chuka Dosto,
Aaina Ba Dikau To Kya Dosto,

Kitne Anjaan Hai Aaina Dekh Ke,
Sharm Aati Nahi Hai Unko Magar,

Bewafa N Kahu To Kahu Unko Kya,
Jisne Ghar Lutkar Mere Dil Ko Dasa,

Jo Shama Thi Jail Roshni Ke Liye,
Kya Khabar Thi Ki Ghar Usse Jal Jayega.

15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Kasthiyo Ko Nakhuda Bhi Chaiye,
Aur Khuda Ko Aasra Bhi Chaiye,

Inn Hawao Ne Bujhaye Hai Charag,
Aur Charago Ko Hawa Bhi Chaiye,

Rakhni Ho Kayam Jo Ye Najdikiya,
Rakhna Thoda Fasla Bhi Chaiye,

Kuch Purane Dard Bhi Darker Hai,
Jkham Lekin Ek Naya Bhi Chaiye,

Manjilo Ki Waste “Gulshan” Hame,
Rasta Bhi, Hausla Bhi Chaiye.

Gulshan Madaan

Best Sad Ghazal Sms in Urdu

Humne Dukh Ko Bhi Gaa Ke Kata Hai,
Dard Ko Gunguna Ke Kata Hai,

Hamne Has-Has Ke Kaat Di Umre,
Tumne Jinko Rula Ke Kata Hai,

Ek Badnaam Naam Tha Apna,
Hamne Khud Ko Mita Ke Kata Hai,

Hamne Anubhav Bhi Fasal Ko Aye Dost,
Jab Bhi Kata, Paka Ke Kata Hai.

Krishan Mitar

25+ Sad Ghazal About Life and Death

Gair Banke N Mile Hum Tumhe Apna Kar Le,
Ho Jazbaat To Ye Choti-Si-Tamnna Kar Le,

Teri Saanso Mein Rachi Pyar Ki Sehnai Ho,
Phool-Sa Chehra Ho Mehki Hui Tanhai Ho,

Niche Najre Jo Tumhe Dekh Ke Parda Kar Le,
Humne Allah Se Yu Dadewafa Mangi Hai,

Jald Mil Jao Hume Tum, Ye Dua Maangi Hai,
Ha Jo Keh Do To Abhi Sukar Ka Sajda Kar Le,

Hai Mukaddar Pe, Nahi Naje-Mohabbat Pe Yaki,
Jeete Ji Tumse Judai Kabhi Mumkin Hi Nahi,

Mar Ke Bhi Honge Juda Humse Ye Wada Kar Le.

Ghazal SmS In Urdu

Ab Ke Sawan Mein Shararat Ye Mere Sath Hui,
Mera Ghar Chodke Kul Sehar Mein Barsat Hui,

Aap Mat Puchiye, Kya Hamper, Safar Mein Gujri,
Tha Lutero Ka Jaha Gaon Wahi Raat Hui,

Zindagi Bhar To Hui Guftgu Gairo Se Magar,
Aaj Tak Hamse Hamari N Mulaqat Hui,

Har Galat Mod Pe Toka Hai Kisi Ne Mujhko,
Ek Awaaz Teri Jab Se Mere Sath Hui,

Maine Socha Ki Mere Desh Ki Haalat Kya Hai,
Ek Qaatel Se Tabhi Meri Mulawat Hui.

Gopal Das “Neeraj”

20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics

Ban Gayi Sagar, Kabhi Badal Nahi,
Roop Dharti Hai Naye Pal-Pal Nadi,

Ek Marushtal Umar Bhar Pyasa Raha,
Pass Hi Behti Rahi Nirmal Nadi,

Raam Jane Badlo Ne Kya Kiya,
Deh Gadrayi, Hui Pagal Nadi,

Raat Ganga-Teer Fir Goli Chali,
Vyarth Hi Badnaam Ha Chambal Nadi,

Janm Bhar Gaya Tumhe Sab Hai Gawah,
Chand, Parwat, Ghatiya, Jangal, Nadi.

Kisan Saroj

Dukhi Ghazal Sms in Urdu

Kuch Yaadgar-E Sehar Sitamgar Hi Le Chale,
Aaye H To Phir Gali Se Pathar Hi Le Chale,

Ranj-E Safar Ki Koi Nishani To Pass Ho,
Thodi Si Khale-Kucha-E Dilbar Hi Le Chale,

Aaye H To Phir Gali Se Pathar Hi Le Chale,
Yu Kis Tarah Karega Kadi Dhoop Ka Safar,

Sar Par Khayl-E Yaar Ki Chadar Hi Le Chale,
Aaye H To Phir Gali Se Pathar Hi Le Chale,

Iss Sehar-E-B-Chirag Mein Jaye To Kaha Jaye,
Aa Ay Sab-E Firak Tujhe Ghar Hi Le Chale,

Aaye H To Phir Gali Se Pathar Hi Le Chale,
Kuch Yaadgar-E Sehar Sitamgar Hi Le Chale,

20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her

Jinko Jeene Ke Dang Aate H,
Waade Aksar Wo Bhul Jate H,

Kate-Kathi Nahi Shab-E Hijar,
Kaise Kaise Sitam Wo Dhate H,

Aashiqo Ki Ajib Manjil H,
Dil Ko Khokar Hi Chain Pate H,

Aankh Uthakar Duaye Mat Dijiye,
Dil Mein Lakho Khyal Aate H,

Bhid Mein Rehkar Ho Gaye “Gumnam”,
Ye Judai Se Dil Lagate H,

Gumnam

Emotional Ghazals Sms in Urdu

Masti Bhari Najar Ka Nasha H Mujhe Abhi,
Ye Jaam Door Rakh Do Pee Lunga Phir Kabhi,

Dil Ko Jala Ke Bajm Mein Roshan Na Kijiye,
Uss Mehjabi Ko Aane Mein Kuch Dair H Abhi,

Humne To Ashq Pee Ke Gujari H Saari Umar,
Humse Khafa H Kisliye Aakhir Ye Jindagi,

Jame-Subu Ko Door Hi Rehne De Saakiya,
Mujhko Utarna H Kal Ka Nasha Abhi,

Masti Bhari Najar Ka Nasha H Mujhe Abhi,
Ye Jaam Door Rakh Do Pee Lunga Phir Kabhi,

15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover

Wo Kabhi Mil Jaye To Kya Kijiye,
Raat-Din Surat Ko Dekha Kijiye,

Chandni Raato Mein Ek-Ek Phulo Ko,
Bekhudi Kehti H Sajda Kijiye,

Jo Tamnnabar N Aaye Umar Bhar,
Umar Bhar Unki Tamanna Kijiye,

Wo Kabhi Mil Jaye To Kya Kijiye,
Raat-Din Surat Ko Dekha Kijiye,

Ishq Ki Ranginiyo Mein Doobkar,
Chandni Raato Mein Roya Kijiye,

Hum Hi Ishq Ke Kaabil Na The,
Kyu Kisi Jaalim Ka Shikwa Kijiye,

Friendship Ghazal Sms in Urdu

Unke Ek Ja-Nisar Hum Bhi H,
H Jaha So Hazar Hum Bhi H,

Tum Bhi Baichain Hum Bhi H Baichan,
Tum Bhi Ho Be-Karar Hum Bhi H,

H Jaha Soo Hazar Hum Bhi H,
Ye Falak Dekh To Kya Irada H,

Aish Ke Khwastgaar Hum Bhi H,
Unke Ek Ja Nisar Hum Bhi H,

Sehar Khali Kiye Dukan Kaisi,
Ek Hi Wadda-Khwar Hum Bhi H,

Sharm Samjhe Tere Tagaful Ko,
Wah! Kya Hoshiyar Hum Bhi H,

H Jaha Soo Hazar Hum Bhi H,
Unke Ek Ja-Nisar Hum Bhi H,

Tum Apni-Apni Khu Ke Ho Mashuk,
Apne Matlab Ke Yaar Hum Bhi H

25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend

Gafur-E Kaif Mein Tohin-E Aadmi N Hui,
Bahut Gunah Kiye Ye Khata Kabhi N Hui,

N Jaiye Meri Aankho Ki Roshni Lekar,
Mein Kya Karunga Jo Aankho Mein Roshni N Hui,

N Jaiyo Meri Aankho Ki Roshni Lekar,
Mein Kya Karunga Jo Aankho Mein Roshni N Hui,

Bas Ek Baar Tere Aasta Pe Sar Rakh Du,
Phir Uske Baad Ye Duniya Hui-Hui N Hui,

Jahan-E Ishq Ne Mehsus Ki Kami Meri,
Magar Jaha Ki Kisi Baat Mein Kami N Hui,

Bas Itna Yaad H Tumko Khuda Bnaya Tha,
Phir Uske Baad Humse Bandage N Hui,

Chale Gaye Jo Wo Mehfil Se Uthkar Aye “Rana”,
Kisi Chargaah Se Mehfil Mein Roshni N Hui.

Rana

Broken Heart Ghazal Sms in Urdu

Tu Agar Hum Kalam Ho Jaye,
Ham Fakiro Ka Kaam Ho Jaye,

Mein Badha Kushnaseed Ho Jau,
Tu Agar Humkalam Ho Jaye,

Jo Tujhe Dekh Le Kisi Surat,
Woo Tumhara Gulam Ho Jaye,

Tu Nighae Jo Pher Le Mujhse,
Mera Kissa Tamam Ho Jaye,

Aye Parindo Gharo Ko Laut Aana,
Isse Pehle Ki Sham Ho Jaye,

Uske Dar Par Pade Hue “Majhar”
Umar Meri Tamam Ho Jaye.

25+ Love Ghazal in Urdu and Hindi

Zindagi Ab Se Sharabi Ho Gayi,
Door Dil Se Har Kharabi Ho Gayi,

Mere Seene Mein Ju Hi Utri Sharab,
Dil Ki Har Dhadkan Gulabhi Go Gayi,

Shurwat Kit Hi Tumhari Aankho Ne,
Meri Khamosh Jawani Ho Gayi,

Mujko Bhi Peeni Padhi Phir Behisab,
Jab Gamo Mein Behisabi Ho Gayi,

Mein Najre Hi Mere Bas Mein N Thi,
Tumse Bhi Kuch Behijabi Ho Gayi,

Shekh Ko Nakam Dekha Hasrh Mein,
Sharabiyo Ko Kamyabi Ho Gaui,
Jaa Hi Lipatenge Khuda Se “Naaj” Hum,
Qayamat Mein Gar Baryabi(Darshan) Ho Gayi.

Heart Touching Ghazal Sms in Urdu

Loot Ke Mein Dil Ki Nagri, Gair Ka Ghar Aabad Kiya,
Saari Duniya Janti Hai Ki Tune Mujhe Barbaad Kiya,

Pyar Ki Kasme Tod Di Tune Pehan Ke Joda Shadi Ka,
Ab Tum Sunkar Kyu Roti Ho Jikar Mein Barbadi Ka,

Dil Ki Suni Nagri Mein Ab Teri Yaade Roti Hai,
Aake Dekh Le Haal Kabhi To Iss Sunsaan Aabadi Ka,

Humko Tumse Pyar Ke Badle Ashqo Ki Khairat Mili,
Bedardi Ne Maan Rakha Iss Apni Fariyadi Ka,

Jab Bhi Mujhko Aati Hai, Ab Yaade Apni Maaji (Past) Ki,
Mere Samne Aa Jata Hai Manjar Wahi Barbadi Ka,

Uski Aankh Ka Hare K Aansu Mil Jaye Meri Aankho Ko,
Mere Hisse Aaj Aisa Din Har Dukh Uss Sehjadi Ka.

27 Popular Sad Urdu Ghazals by Famous Poets

Raat Ke Sannate Mein Humne, Kya Kya Dhoke Khaye Hai,
Apna Hi Jab Dil Dhadka To Hum Samjhe Wo Aaye Hai,

Meri Palko Se Jab Tute Sitare Teri Yaado Ke,
Girenge Dil Ki Basti Par Sharer (Chingari) Teri Yaado Ke,

Teri Jab Yaad Aati Hai To Ye Bhi Sath Aate Hai,
Mere Aansu Meri Aankho Ka Daman Chod Dete Hai,

Mile Jab Bhi Mere Dil Ko Sahare Teri Yaad Ke,
Girenge Dil Ki Basti Par Sharare Teri Yaado Ke,

Teri Yaadi Ke Tadapte Hai Ye Rote Hai,
Sisakte Hai Ye Jalte Hai, Tadapte Hai Ye Rote Hai,

Na Pucho Kis Tarah Jeete Hai Maare Teri Yaado Ke,
Girenge Dil Ki Basti Par Share Teri Yaado Ke.

Ghazals Sms in Urdu 4 Lines

Diye Tune Mujhe Aansu Mohabbat Ki Saugato Mein,
Weh Kaafir Hai Jo Soya Ho Furkat (Judai) Ki Raato Mein,

Meri Furkat Mein Tum Tadpa Karoge, Akele Baith Ke Roya Karoge,
Jab Aayegi Humari Yaad Tumko, To Deewaro Se Tum Shikwa Karoge

Tum Apni Aaakh Ke Ashqo Se Aksar, Mere Ghar Ka Pata Pucha Karoge,
Tum Apne Kaanpte Hontho Se ‘Saadik’ Meri Tasveer Ko Chuma Karoge.

20+ Broken Heart Urdu Ghazal Poetry

Kehte H Mujhe Ishq Ka Afsana Chaiye,
Ruswayi Ho Gayi Tumhe Sharmana Chaiye,

Khudari Itni Fitrate-Rinda Mein Chaiye,
Saaki Ye Khud Kahe Tujhe Paimana Chaiye,

Kehte H Mujhe Ishq Ka Afsana Chaiye,
Aasiq Baigar Husan-Oh Jawani Fizul H,

Jab Shama Jal Rahi H, To Parwana Chaiye,
Kehte H Mujhe Ishq Ka Afsana Chaiye,

Aankho Mein Dum Ruka H Kisi Ke Liye Jarur,
Warna Marije-Hijar Ko Bhi Mar Jana Chaiye,

Kehte H Mujhe Ishq Ka Afsana Chaiye,
Wadda Tha Unka Raat Ko Aane Ka Aye “Kamar”

Ab Chand Chup Gaya Unhe Aa Jana Chaiye,
Kehte H Mujhse Ishq Ka Afsana Chaiye.

Kamar Jalalabadi