15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Ghazal Poem Collection In Hindi

Ho Rahi Takleef Kyu Jane, Zamane Ke Liye,
Dhundta Hai Dil Koi, Dil Aashiyane Ke Liye,

Dhundte Ho Kyu Bala Khanjar Jigar Ke Waste,
Teer Kaafi Hai Najar Ke Iss Nishan Ke Liye,

Mein Zamane Ki Najar Mein Aaj Bhi Hu Bewafa,
Jabki Mein Unke Liye The, Wo Zamane Ke Liye,

Roo Liye Turbat Pe Jakar Darde Dil Jab Bhi Badha,
Aur Jate Bhi Kaha Aansu Bahane Ke Liye,

Keh Diya Jiski Wajah Se Zindagi Ko Alvida,
Aa Gaye Wo Meri Mayyat Par Stane Ke Liye,

Mangta Hai Koi ‘Chetan’ Tumse Duniya Ki Kushi,
Gham Tumhare Chaiye Dil Mein Sajane Ke Liye.

Chetanye Chetan

17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals

Teri Mehfil Se Ye Deewana Chala Jayega,
Shama Jalti Rahe Parwana Chala Jayega,

Kissa-E-Dard Sunane Ki Ijajat N Mili,
Kya Mila Mujhko Agar Teri Mohabbat N Mili,

Dard Ka Leke Wo Afsana Chala Jayega,
Shama Jalti Rahe Parwana Chala Jayega,

Pyar Ke Phool Yaha Aur Bhi Khil Jayenge,
Chahne Wale Abhi Aur Bhi Mil Jayeneg,

Apne Reh Jayenge Begane Chale Jayenge,
Shama Jalti Rahe Parwana Chala Jayega.

Sehjad Ahmad Ghazal Lyrics

Khile Jo Phool To Mooh Chip Gaya Sitaro Ka,
Missal-E Abar Chala Karwa Baharo Ka,

Nayi Bahar Liye Ek Naya Chaman Khil Jaye,
Samjh Sake Koi Matlab Agar Isharo Ka,

Hua N Raah Mein Ghayal Agar Isharo Ka,
Rawa-Rava Hi Raha Kafila Baharo Ka,

Aaj Raato Par Tanhai Ki Dhool Udthi H,
Jot Ere Nakse- Kafe Oa Se Saja Karte The,

Mujhe Bhi Ahela Jaha Bhul Jayenge ‘Sehjad’,
Kise Khyal H Dube Hue Sitaro Ka,

Nayi Bahar Liye Ek Naya Chaman Khil Jaye,
Samjh Sake Koi Matlab Agar Isharo Ka
Rawa-Rava Hi Raha Kafila Baharo Ka,
Missal-E Abar Chala…….

Sehjad Ahmad

Ghazals of Imtiyaaj Sagar

Hai Ghar Ki ‘Muhafij’ Meri Dehki Hui Aankhe,
Main Taak Mein Rakh Aaya Hu Jalti Hui Aankhe,

Ek Pal Bhi Kisi Mod Pe Rukne Nahi Deti,
Kaanto Ki Tarah Jism Mein Chubti Hui Aankhe,

Raste Mein Kadam Foonk Ke Rakhna Mere Pyaro,
Hai Charo Taraf Sehar Mein Bhikri Hui Aankhe,

Yu Uske Bichad Jaane Pe Aanshu N Bahao,
Manjar Ko Taras Jayengi Bhigi Hui Aankhe,

Kaatil Ke Siwa Koi Samjh Hi Nahi Sakta,
Kya Dekti Hai Tast Mein Rakhi Hui Aankhe,

Kya Jaaniye Kis Khawab Ki Taabir Mein Gum Hai,
Julfo Ki Ghani Chav Mein Uljhi Hui Aankhe,

‘Sagar’ Shabe-Teera Mein Ujhalo Ki Ami Hai,
Nafrat Ke Samundar Mein Ye Behti Hui Aankhe.

Imtiyaaj Sagar

Basant Deshmukh Ghazal Shayari

Shob Hua Hai Apno Ke Vayvhar Se,
Ji Karta Hai Uth Jaye Sansar Se,

Ghar-Aangan Bat Jate Hai Batvare Se,
Dil Kyo Batthe Pathar Ki Deewar Se,

Ek Sahar Mashur Tha Jiske Naam Se,
Kandha Usko Milla Nahi Parivar Se,

Unchi Kimatr Mangte Hai Ehsano Ki,
Baaz Aiyenge Aise Madadgar Se,

Besharmi Ki Seema Tak Jo Ja Phuche,
Unshe Door Rakhe Vinti Kartar Se,

Kal Ubhare Ve Shurkhi Ban Mukhparastho Ki,
Aaj Hashiye Me Gayab Akhbar Se,

Aazadi Ki Sawarn Jayanti Ke Jhalse,
Lage Garibo Ke Ghar Ke Tyohar Se.

Basant Deshmukh

Ghazals By Balswroop Rahi

Hame Jara Wanwas Katna Pada Agar Kuch Din To Kya,
Uski Socho Jo Jungal Ko Hi Apna Ghar Baar Kahe,

Sidhe-Sacche Logo Ke Dam Par Hi Duniya Chalti Hai,
Ham Kaise Iss Baat Ko Mane Kehne Ko Sansaar Kahe,

Apna-Apna Maal Sajaye Sab Baazar Mein Aa Baithe,
Koi Ise Kahe Majburi, Koi Karobar Kahe,

Lutmar Mein Sabka Yaaro Ek Barabar Hissa Hai,
Koi Kisko Chor Kahe To Kisko Chokidar Kahe,

Ab Kiske Aage Ham Apna Dukhada Roye Chodo Yaar,
Ek Baat Ko Aakhir Koi Bolo Kitni Baar Kahe,

Dhund Rahe Ho Gaon-Gaon Mein Jakar Kis Sachayi Ko,
Sach To Sirf Wahi Hoti Hai Jo Delhi Darbar Kahe,

Dhol Pittha Firta Tha Jo Gali-Gali Mein Waado Ka,
Itna Hahakar Macha Hai Kuch To Aaakhirkar Kahe,

Laila Ki Ulfat Ka Sauda Namumkin Hai Dost Magar,
Ek Baar Phir To Dohrana Kitne The Deenar Kahe,

Jinki Aankho Mein Gairat Thi We Ab Kab Ke Benoor Hue,
Uski Khudari Kya Dekhe Jo Khud Ko Khudar Kahe,

Sher Wahi Hai Sher Jo ‘Rahi’ Likhe Khoon Ya Aansu Se,
Baaki To Sab Allam-Gallam Kahe Magar Bekar Kahe.

Balswroop Rahi

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Jab Bahare Chaman Mein Khilti H,
Teri Julfo Ki Baat Hoti H,

Ye Jo Sulje To Din Nikalta H,
Ye Jo Uljhe To Raat Hoti H,

Inki Kushbu Se Phool Khilte H,
Inko Chu Ke Saba Gujarti H,

Jab Bahare Chaman Mein Khilti H,
Saare Aalam Ko Neend Aati H,

Julfe Shano Pe Jab Bhikarti H,
Inke Saye Chirag Jalte H,

Roshni Inke Sath Hoti H,
Mausame-Gul Ki Jaan H Julfe,

Ye N Hoti To Kuch Nahi Hota,
Rooh Fitrat Ki Shan H Julfe,

Ye Jo Bikhre To Saare Aalam Mein,
Kusbhuo Ki Barat Hoti H,

Jab Bahare Chaman Mein Khilti H.

~~~~~

Mera Dil Deta H Sada Aa Ja,
Phail Rahe H Gam Ke Saye,

Ek Pal Mujh Ko Chain N Aaye,
Aa Jao Bedardi Kyu Tarsaye Kyu Tudpaye,

Bairi N Itna Mujhko Sata,
Mera Dil Deta H Sada Aa Ja,

Sune-Sune Khwab H Mere,
Tadap Raha H Sham-Savere,

Dard Diya H Tune, Loot Liya H Tune,
Kya Meri Khata,

Padh Gaye Fiche Rog Kushi Ke,
Jal Gaya Seena Aansu Pee Ke,

Gam Ko Ghumaya, Dil Ko Jalaya Maine,
Phir Bhi Tu Khafa,

Mera Dil Deta, Sada Aa,
Pass Bhi Rehkar Door H Kitne,

Gam H Itne Saas H Jitney,
Mera Dil Deta H Sada Aa Ja.

Qateel Shifai Ki Ghazal

Kiya H Pyar Humne Jindagi Ki Tarah,
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,

Kiya H Pyar Humne Jindagi Ki Tarah,
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,

Badha Ke Pyas Meri Usne Hath Chod Diya,
Wo Kar Raha Tha Murabbat Bhi Dillagi Ki Tarah,

Kise Kabhar Thi Badegi Kuch Aur Taariki,

Chipega Weh Kisi Badly Ki Tarah,
Jiske Pehlu Mein Ho Tum Uska Nasib Accha H,

Meri Dasta Mein Tumse Rakib Accha H,
Kiya H Pyar Jise Humne Jindagi Ki Tarah,

Wo Ashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,
Kabhi N Socha Tha Humne ‘Qaatil’ Uske Liye,

Karega Hum Pe Sitam Weh Bhi Har Kisi Ki Tarah.

Qateel Shifai

Manjar Sidiqui Sad Ghazal

Hum Sambhalkar Bhi Chale To Thokro Mein Aa Gaye,
Aap Ku Pathar Uthakar Rasto Mein Aa Gaye,

Yu Sitare Tutte H, Nacthi H Roshni,
Jaise Tere Aehdo-Paima Tajriba Mein Aa Gaye,

Jo Kisi Ko Kuch Nahi Lagte Unse Puch Lo,
Kiski Aahat Par Tadak Kar Khidkiyo Mein Aa Gaye,

Log Bhai Bech Dete H Jarurat Ke Liye,
Kya Hua, Kuch Dost Apne Taajiro Mein Aa Gaye,

Chandni Rate, Sulagte Pedh, Apni Wehsate,
Kaise-Kaise Rang Apne Ratjago Mein Aa Gaye,

Subh Ki Pehli Kiran H Hum Chirage-Sab Nahi,
Kya Hua ‘Manjar’ Bikhar Kar Aandiyo Mein Aa Gaye.

Manjar Sidiqui

Aagyat Hindi Ghazal Collection

Mein Chupa Sakunga Kaise Tere Pyar Ko,
Tera Naam Bekhudi Mein Jo Nikal Gaya Juban Se,

Badha Mukhatsar H Kissa, Badha Mukstar H Fasana,
Mujhe Jab Bhi Yaad Aaya Tera Pyar Ka Fasana,

Mein Lipat Lipat Kar Roya Tere Sang-Aasta Se,
Mein Samjh Raha Hu Jaalim Teri Aankh Ka Ishara,

Mein Dhikau Daag Dil Ke Tujhe Ye Nahi Gawara,
Tera Behd Khul N Jaye Mere Gam Ki Dasta Se,

Meri Bekhudi Se Tub Hi Koi Faida Utha Le,
N H Koi Tumse Shikwa N Gila H Aasma Se,

Bagh Jal Ke Reh Gaya Aur Aashiyan Lut Gaya,
Jinme Haste The Sitar Aur Muskurate The Kawal,

Jindagi Ke Mod Par Wo Shadma Luta Gaya,
Tere Hote Hi Gayi Duniya Viraan Kyu,

Aasma Wale Me Jere-Aasma Luta Gaya.

Aagyat

Ghazal Poem About Love

Fir Sawan Root Ki Pawan Chali, Tum Yaad Aaye,
Fir Sapno Ki Pajeb Bahi, Tum Yaad Aaya,

Root Aayi Pile Phulo Ki Tum Yaad Aaye,
Fir Sawan Root Ki Pawan Chali Tum Yaad Aaye,

Fir Kaga Bole Ghar Ke Sune Aangan Mein,
Fir Amart Ras Ki Boond Padhi, Tum Yaad Aaye,

Pehle To Mein Chikh Ke Roya Fir Hasne Laga,
Badal Garza, Bijli Chamki, Tum Yaad Aaye,

Fir Sawant Root Ki Pawan Chali, Tum Yaad Aaye,
Dil Bhar To Mein Duniya Ke Dhanso Mein Khoya Raha,

Jab Deewaro Kid Hoop Dhali, Tum Yaad Aaye,
Fir Sawan Root Ki Pawan Chali, Tum Yaad Aaye,

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Khoon Rang Hina Jhkam Ko Guljar Kaha,
Dil Se Bebas Hai Ki Qaatel Ko Bhi Dildar Kaha,

Ab Usi Aankh Mein Aasu Hai Humari Khatir,
Jisne Hum Ahele Mohabbat Ko Khatawar Kaha,

Saaf Dil Aap Hai Lekin Ye Zamana To Nahi,
Sabse Haskar M Mila Kijiye Soo Baar Kaha.

Parsa (Charitar Heen) Wo Hai Jo Insaan Ka Lahu Peete Hai,
Humne Pee Aaj To Sabe Hum Sharabi Kaha,

Mat Pucho Kya Haal Hua Ishq Mein Hum Deewano Ka,
Gam Ke Andhere Mein Doob Gaya Hai Chand Hasi Armao Ka,

Aate-Jate Nain Mile Hai Jane Kis Karan Se,
Jane Kis Chanchal Ne Luta Manwa Hu Mastano Ka,

Pehle Hi Har Sehar Mein Apni Ruswayi Ke Charche Hai,
Nagar-Nagar Ab Jikar N Chedo, Bhule Hue Afsano Ka,

Ab To Har Su Dhoom Si Machi Dil Walo Ke Peene Ki,
Kya Hoga Aye Saaqi Mehfil Shano Ke Paimane Ka,

Basti-Basti Jalti Rahegi Mehro Wafa Ki Kandil (Roshni),
Ishq Ki Aag Mei Jalna Marna Shoa Hai Parwano Ka,

Soctha Rehta Hai Ye ‘Daanish’ Raato Ke Sannate Mein,
Iss Nagri Mein Kon Hai Pursa 1 Hum Dukhiya Insano Ka,

Daanish

Naasir Ghazals in Hindi

Bas Ek Manjil H Kuch Hawas Ki,
Hazar Raste H Ahael-E Dil Ke,

Yahi To Farq H Mujhme-Usme,
Gujar Gaya Mein Tehar Gaya Weh,

Shikwa Pa Raah Mein Khada Hu,
Gaye Dino Ko Bhul Raha Hu,

Jo Kaafila Mera Humsafar Tha,
Missal-E-Garde-Safar Gaya Weh,

Mera To Khoon Ho Gaya H Pani,
Sitamgar Ki Palak N Bhigi,

Jo Nala Utha Tha Raat Dil Se,
N Jane Kyu Beasar Gaya Wo,

Wo Maikade Ko Jagane Wala,
Weh Raat Ko Neend Udhane Wala,

Yeh Aaj Kya Uske Jee Mein Aayi,
Ki Sham Hote Hi Ghar Gaya Wo,

Yeh Hijar Ki Raat Ka Sitara,
Weh Hum-Naksh Hum-Sukhan Humara,

Sada Rahe Uska Naam Pyara,
Suna H Kal Raat Ghar Gaya Weh,

Weh Jiske Shane Par Hath Rakhkar,
Safar Kiya Tune Manjil Ka,

Teri Gali Se N Jane,
Sar Jhukaye Gujar Gaya Wo,

Weh Raat Ka H Naya Musafir,
Weh Tera Shayar Weh Tera ‘Naasir’,

Teri Gali Tak To Humne Dekha,
Phir N Jane Kidhar Gaya Weh.

Naasir

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Mohabbat To Anmol Heera Hai Jana,
Mohabbat Ki Koi Bhi Keemat Nahi Hai,

Tolo N Daulat Ki Taswi Mein Isko,
Mohabbat Hai Ye Koi Tijarat Nahi Hai.

Meri Mohabbat Ka Aitbaar Kar Lo,
Bhula Do Zamana Mujhe Pyar Kar Lo,

Utahta Firu Mein Judai Ke Sadme,
Mere Dil Mein Ab Itni Taqat Nahi Hai,

N Apni Khabar Hai N Dil Ko Pata Hai,
N Jane Mujeh Tune Kya Kar Diya Hai.

Mein Kya Karu Kab Jaha Ke Gamo Ka,
Mujhe Tere Gam Se Hi Fursat Nahi Hai,

Meri Jaan Chodo Ye Baate Purani,
Mohabbat Se Hote Hai Pathar Bhi Pani,

Mohabbat To Mere Khuda Ne Bhi Ki Hai,
Mohabbat Se Badhkar Ibadat Nahi Hai,

Jo Tune Rakibo Ka Picha N Choda,
Agar Tune Dil Apne ‘Saadik’ Ka Toda,

Teri Kasam Hai Mein Keh Dunga Tujhko,
Ki Ab Mujhko Teri Jarurat Nahi Hai.

~~~~~

Ehsaan Daanish Ghazal Lyrics

Jeene Ke Liye Jo Mar Rahe Hai,
Aagaje-Hayat Kar Rahe Hai,

Hai Husn Ka Naam Muft Badnaam,
Log Apni Talab Mein Mar Rahe Hai,

Guncho Ki Tarah Khile The Kuch Log,
Kirano Ki Tarah Bikhar Rahe Hai,

Hai Nakshe-Kadam Pe Nakshe-Janjeer,
Deewane Jidahr Gujar Rahe Hai,

Sunta Hu Ki Aapke Wafadar,
Anjaame-Wafa Se Dar Rahe Hai,

Ab Dast Mein Narm-Ro Hawa Se,
Kuch Nakhse-Kadam Nikhar Rahe Hai.

Ruho Mein Nayi Sehar Ke Baaiys,
Jehno Ke Nashe Utar Rahe Hai,

Ham Jaise Tamam Naamleva,
Dhabba Tere Naam Par Rahe Hai,

Kushbu Se Ladi Bahar Mein Bhi,
Har Dard Se Behrawar Rahe Hai,

Har Daur Ke Fan-Shanas ‘Daanish’,
Nakame-Husule-Jar Rahe Hai.

Ehsaan Daanish

~~~~~

New Asraar Jaidi Ghazal

Anjaane Logo Ko Har Su Chalta-Firta Dekh Raha Hu,
Kaisi Bhid Hai, Fir Bhi Khud Ko Kab Se Tanha Dekh Raha Hu,

Deewaro Se Raijan-Raijan Kya-Kya Manjar Ubhare Hai,
Suraj Ko Bhi Door Ufuk Par Jalta-Bujhta Dekh Raha Hu,

Jisko Apna Roop Diya Aur Jiske Hardam Khawab Bune,
Kab Se Main Uss Aane Wali Kal Ka Rasta Dekh Rahe Hu,

Subho Ki Peshani Par Ye Kaisi Siyahi Phaili Hai,
Apni Ana Ko Har Lamhe Suli Par Chadta Dekh Raha Hu,

Aaine Nein Kya Dekhu, Jab Har Chehra Aaina Hai,
Uska Chehra Dekh Raha Hu, Apna Chehra Dekh Raha Hu.

Asraar Jaidi

Ajim Kureshi ग़ज़ल इन हिंदी

Wo Sekh Dilo-Ja Ki Tamnna To N Nikla,
Shola To N Nikla, Wo Sharara To N Nikla,

Mehsus Kiya Dard Ke Har Roop Mein Uska,
Awaaj Ka Afsu Kabhi Jutha To N Nikla,

Mehrumi-E-Javed Ne Dono Hi Ko Mara,
Ye Raze-Mohabbat Koi Gehra To N Nikla,

Ye Dil Ka Kharab Hi Teri Rehgujar Thi,
Kaba To N Nikla Wo Kalisa To N Nikla,

Wo Mere Muqaddar Ki Siyahi Tha Sarapa,
Nure-Shabe-Mehtaab Sunhera To N Nikla,

Ham Bhi Kisi Shiri Ki Liye Khana-Badar The,
Farhad Rahe-Ishq Mei Tanha To N Nikla.

Isme Teri Kalwat Ka Har Ek Rang Hai Paya,
Ye Chand Sare-Chark, Akela To N Nikla,

Pehle Se Badhi Aur Game-Ishq Ki Talkhi,
Tub Hi Mere Damsaaj, Masiha To N Nikla,

Andaaje-Baya Tera ‘Ajim’ Aur Hi Kuch Hai,
Dekhe Sabhi Fankaar, P Tujh-Sa To N Nikla.

Ajim Kureshi

20 Best Ghazals All Time in Hindi

Sulagte Lams Ki Kusbhu Dagar Mein Chod Gaya,
Wo Ek Shaqs Jo Aadhe Safar Mein Chod Gaya,

Wo Apni Aahte, Tasveer, Andhule Kapde,
Kai Nishaniya Veeran Ghar Mein Chod Gaya,

Agarche Paaniyo Ke Sath Weh Gaya Koi,
Kisi Ki Aankh Ko Lekin Bhawar Mein Chod Gaya,

Yaha Ki Gard Se Ukta Ke Ho Gaya Rukshat,
Magar Wo Apni Shabahat Khandar Mein Chod Gaya,

Go Tundo-Tej Hawao Mein Bujh Gaya Shola,
Bala Ki Hiddate Lekin Sharer Mein Chod Gaya,

Agarche Teer Ne Chini Hai Kuwwate-Parwaaz,
Hazar Larjiche Lekin Wo Par Mwin Chod Gaya,

Talashe-Rijk Mein Beta Gaya Samundar Paar,
Magar Wo Karj Ki Saugat Ghar Mein Chod Gaya,

Mere Liye Koi ‘Aakash’ Kitni Aawaje,
Gali Mein, Sehan Mein, Deewaro-Dar Mein Chod Gaya.

Imdad Aakash