Funny Short Stories with Moral

Kanjus ka Dershe

Delhi sehar mein ek badha hi kanjus makhi chus rehta tha katin parisharm karne par bhi jo kuch use milta tha uske thode mein apna pet bharta aur baaki jama karta tha, iss tarah uske pass kahi jawarat ho gaye the, uska rehan-sehan aisa tha ki logo ke sehsa vishwas hi nahi ho sakta tha ki iske pass jawarat honge, uska ghar ek mamuli fhus ki jhoadi thi jisme ek tuta–futa ek chota sa ek sanduk mumkin h baba aadam ke zamane ki thi, usi mein apne jawahari ki kathri gudaro mein chipye rakhe tha, devyog se ek din uss fuss ki jhopadi mein aag lag gayi. Kanjus yeh dekhkar dahad markar rone laga.

Uska shor sunkar uske ados–pados ke log aa gaye, aur aag bhujane mein madad dene lage kintu weh bhujne ke bjaye adhik badh gayi. Aag ki lapto ko badta dekhkar kanjus aur bhi joro se chila chila kar rone lage. Uska rona sunkar uske pass hi ek sunar usko daat kar bola ki ek kaanse ki kadhai ke liye kyu jaan de raha h.

Kanus yeh sunkar bola–bhai tum to kadhai ko jalte dekh rahe ho kintu mein to apne jwharat ko dekh raha hu yeh sunkar sunar bola ki weh dhan kaha chipa hua h? Kanjus ne ungli kar ke sthan koi share se batla diya. Jaha sanduk thi, sunar ke jee mein lalch sama gaya weh bola ki yadi mein jawahrat ko bahar nikal laya to apne manmani chij tumhe dekar baaki rakam le lunga. Adh tejsingh budh serves jata yeh khyal kar kanjus ne sunar ko ijjajat de di. Karta bhi kya kuch bhi n to thoda pana accha h.

Sunar bhi apni jaan jhokim mein daal lalch wash dhadkati hui agni mein khud pada aur sandook liye bahar aaya. Jab aag shant hui to sunar ne kanjus ko kewal sandook dekar baaki jawarat khud le liye yeh dekhkar kanjus ne aankani ki to sawarnkar bola ki tumne pehle hi maan liya tha jo mein chahu weh tumhe de du. Kanjus ne namar hokar kaha ki bhai sahib aapne jaan par khel kar aisa kiya h to aap aadha dhan le lo. Aadha mujhe swikar h, sunar rapatkar bola ki mere tere bich pehle hi shart ho chuki thi ki mein jo chahu use tumhe dedu, ab chalaki se kaam nahi chalega.

Baat dono mein badh gayi kanjus ne bahutera pryas aadha jawaraat pane ko kiya aant mein lachar ho badshah ke yaha naalis ki,

Moral Stories for Children About Life

badshah ne pechida mamla samjh birbal ko bulaya aur sara haal dono se bayan karwaya thodi der ke liye birbal vichar magan ho gaye baad mein birbal ne sunar se pucha ki tum dono ke bich kya sharat hui thi? Sunar bola garib parvar! Hum dono ke bich yeh shart the hui thi ki uss dadkati aag mein parvesh kar jo jawarat wali sandook ko nikal layega weh jo pasand kare dusro ko deve baaki aap leve. Yeh sunkar birbal ne kanjus se pucha ki jo baat sunar kehta h kya yahi h? Kanjus ne sawikar kar liya to birbal bola ki phir kyu tum niptara nahi kar lete. Jab sharat ho hi chuki h ab jo wo deta h le lo.

Kanjus ne dukhi hokar kaha aalijaha! Weh to keval sandook mujhe dekar sab jewraat khud le raha h. Birbal ne sunar ko bulaka kaha ki tumhe kaun si chij pasand h. Sunar bola hujur jawarat birbal yeh sunkar bole to phir itni baat kyu badhai. Jawaraat ise dedo. Sandook tum lelo.

Sunar awak sa reh gaya birbal bola ki tumhi ne to apni sharat mein batlaya ki jo pasand karunga weh inhe de dunga. So tumhe jewraat pasand kiye h inhe dedo baki sandook tum le lo. Sunar kuch n bol saka weh janta . Weh janta tha ki birbal kef aisle ka aswikar karunga to jail ki hawa khani padegi jyada lalch ki yahi natija hota h yeh soctha hua khali sandook lekar sunar ghar ko lauta. Kanjus ko jawaraat mil gaye, use lekar birbal ki chaturai se badha parsann hua kyunki unhone dudh aur pani ka bilkul alag-alag kar diya tha.

Kitni Chudiya Kitne Baal

Ek din darbar mein baithe badshah akbar ne birbal se ekaek yeh swal kar diya.
Kyu birbal- tum to apni biwi ke hath din mein ek do baar aweshe hi sparsh karte hoge,
jee badshah salamat! Birbal ne haule se jwab diya.
Badshah akbar ne aage pucha – kya ye bata sakte ho ki tumhari biwi ki hath mein kitni chudiya h?

Birbal ye sunkar chinta mein aa gaya. Na badshah ne pehle kabhi aisa sawal kiya tha aur na hi aaj tak birbal ne biwi ke hath ki chudiya ki kabhi ginti ki thi.
Sach to yeh tha ki ve jhuth bhi n bolna chahte the.
Kuch der baad soch-vichar ke baad unhone jawab diya- jahapanha!
Asliyat to yeh h ki mera hath to biwi ke hath se din mein sirf ek ya do baar sparsh hota h lekin aap to aapki daddi mein din mein bisiyo baar hath lagate ho bhala aap hi btayie ki aapki dadi mein kitne baal h ?

Badshah akbar birbal ki baat sunkar bahut sharminda hue.

Mom ka Sher (Good Moral Stories)

Purane waqt mein badshah ek dusre ki budhi ki pariksha liya karte the. Ek baar faras ke badshah ne akbar ko niche dhikane ke liye ek sher banwaya aur use ek pinjre mein band karwa diya, iss pinjkre ko usne ek dut ke hatho badshah akbar ke pass bheja aur kehlwa diya yadi unke darbar mein koi bhi budhiman ho to iss sher ko bina pinjra khole hi nikal de sath hi yeh sharat bhi thi ki agar iss prshan ka hal na hua to faras ke badshah ka sare rajya par adhikar ho jayega.

Ab to badshah badhe chintit hue unhone sare darbar mein yeh parshan rakha. Iss waqt birbal bhi waha n the, koi bhi darbari iss parshan ko hal na kar saka.

Badshah ko badi chinta hui ki shan bhi mithi mein mil jayeghi aur rajya bhi hath se chala jayega.
Usi waqt birbal bhi aa pahucha. Badshah ne inke samne bhi yeh parshan rakha to birbal ne acchi tarah sher ko dekha phir ek garm lohe ki rod se unhone thodi der mein sare sher ko pinjre se gayab kar diya. Karan yeh tha ki sher mom ka tha jo dhatu ka malum hota tha. Iss baat ko birbal ne pehchan liya. Faras ka rajdoot iski budhimata ko dekhkar dang reh gaya aur badshah bhi badhe parshan hue.

Funny Short Stories with Moral

Murgi ka Aanda

Akbar badshah ko ek din birbal ki hasi chudane ki iccha hui, to unhone unke aane se pehle bazar se murgi ke ande mangwakar apne darbariyo ko eke k anda baat diya. Sirf birbal reh gaye. Wo thodi der baad jaise hi darbar mein hazir hue. Badshah ne kaha deewan ji humne raat me ek badha ajib sapna dekha h. Uska tatprey yeh nikla h, jo aadmi iss hoj mein dubki lagakar ek murge ka anda n nikal payega, use do bapo ka mana jayega. Mera vichar h sabki bari bari se pariksha li jaye, sapne ki asaliyat ka bhi pata chal jayega. Phir badshah ki anumati se sab dardbariyo ne hoj meij dubki markar hatho mein murgi ka anda lekar bahar nikle, jab birbal ki baari aayi to weh hoj mein dubki lagakar weh khali hath nikal aaye, kintu unke much se kukdu ki awaaj nikal rahi thi.

Badshah ne kaha deewan ji tumhara anda kaha gaya jaldi se dhiklao?
Birbal ne utar diya: hujur badshah salamat?
Tamam ande dene wali murgiyo ke bich mein me hi ek murga hu.
Unke assah ko samjhkar sab darbari seham gaye.
Jab ki badshah ki honto par muskurahat khilne lagi.

Rani ki Baat (Akbar Birbal Stories)

Ek baar maharaja akbar rani ke aage birbal ki chaturai ke kisse suna rahe the, rani boli maharaj birbal kitna bhi chatur sahi mujhse haar jayega. Maharaja akbar ne kaha thik h pariksha kar lete h dusre din darbar uthne ke baad akbar ne birbal ko mehal mein bhulwa liya.

Rani ne birbal ke liye sugandhit sharbat aur fal mithayi khane ka aadesh diya. Dasi ke jate hi rani ginti ginne lagi, ek se 10 tak ginkar boli ab sharbat glass mein that mithayi aur fal tastari mein rakh liye h. Sachmuch dasi sab saman liye majud thi, rani boli birbal dekho humara kitna napa–tula andaaj h.

Kal hum tumhare yaha daawat khane aayenge. Birbal ne socha: rani saveh dawat par aane ki keh rahi h jarur dal mein kuch kala h phir wo sari baat samjh gaya. Akbar ne rani se kaha aap to birbal ki pariksha lene ke liye keh rahi thi li kyu nahi ?

Rani boli kal btaungi. Agle din badshah aur unki patni birbal ke ghar pahuche, thodi der baad usne sewako ko khana lgane ka aadesh diya. Rani boli: birbal, kya tum humari tarah ginkar bata sakte ho khana kitni der mein aayega? Wo bola rani ji, aapke samne mein bolna accha nahi samjhta. Aap giniye, jab aap rukengi khana hazir ho jayega, rani ke ginti khtam karte hi khana aa gaya, akbar bole: rani ji, birbal aapki baat banp gaya. Aap shart haar gayi, tabhi birbal bola jeet rani ji ki hui h. Khana to inhi ke ginne se aaya . Yeh dun, rani ne kaha: birbal, tum sachmuch darbar ke rattan ho, hume haraya bhi to jitakar.

Sir ke Baal Mundwa Dunga

Delhi nagar mein badhe supartishatit aur vidhwan, pandit rehte the unke sherstacharan se darbar mein unka badha maan tha. Pandit jee ka swehbhaw tha ki weh bina samjhe bujhe kisi kaam mein hath nahi dalte the aur jis baat ko much se ek baar keh dete uski pranpan se palan karte. Iss ghatna mitar samudhaye sada khus rehta. Ek din aisi ghatna ghati ki jab pandit ji chauke mein baithkar bhojan karte waqt paros kar rakhe gaye khane mein baal nikla to apni satri se bole dekho aaj to mein tumhari pehli bhul ke karan tumhe shama karta hu, par phir aisi asahwdhani karoghi khad padhart mein ek bal nikalega to tumhari sir ke bal mundwa dunga. Hari iccha balwan. Ydahpi bechari satri apne swami ka jiddi swabhaw samjhkar behbit raha karti thi aur bhojan bnane ya parosane ke waqt apne balo ko khoob hi sambhaw kar bande rehti thi.

Parantu honi kon rok sakta h. Weh to hokar hi rehti h. Kuch din baad ek din jab waqt pandit ji phir bhojan karne baithe to unke khane ki samgri mein ek baal nikla. Pandit ji bahut naraj hue aur apni shatri ke baal mundwa dene ke liye nai(barbar) ko bulwaya. Apne swami ko nitant krodhit dekh kar shatri ne bhitar se khiwad band kar liye. Pandit ji ne hazard ant fatkar sunai parantu ji apni jidd par tule hi rahe. Satri ne socha ab iss prakar kaam chalna katin dhikh padta h. Koi upaye tatkal karna chaiye. Usne ek aadmi shigar bhejkar apne bhaiyo ko sahayata ke liye bulwaya.

Uske char bhai the apni behan ko iss parkar iss parkar apmanit hote sun unhe apni behnoi ki hatwaditha ka khed hua. Uske udhar ka upaye sochne lage. Itne mein unke badhe bhai ko birbal se purana parichaye hone ka samran ho aaya. Weh tatshan behan ke udhar ka upaye puchne ke liye birbal ke ghar pahucha. Uss waqt birbal charpayi par padhe padhe kitab bhi badh raha tha. Apne mitar ka sandesh sun use bula kar uska kushal samachar pucha. Weh apni bahen ki durdasha ka audhaprant karan batlakar bola: mein aapse apni bahin ke udhar ki tarkib puchne aaya hu. Meri madad chhaiye.

Birbal bola tum charo bhai nange sir hokar apne behanoi ke pass iss dang se jao mano koi mar gaya ho tab tak mein aa pahuchtha hu. Idhar pandit ji ne satri ke daur n kholne par krudh hokar naukaro se kaha: abhi badhai ko bulwa kar darwaje tod dalo. Iss bich we charo bhi nang dhadnag sir khole aa pahuche. Inke aane ke thodi der paschat birbal bhi dah sanskar ka saman liye hue aaya pandit ji kea in daur par tiktiki bandhne laga. Udhar se satriyo ke bhaiyo ne pandit ji ka jabardasti charo taraf se kapde dhak kar kafniyana parambh kiya. Jab pandit ji ne chik padh machaya. To we krodhit hokar bole–khabardar. Chupchap pade raho. Bina tumhe kafniyaye kiski majaal h. Jo meri behan ko hath lagaye. We pandit ji ka bandh kar birbal ke pass le gaye.

ज्ञानवर्धक और मजेदार Moral Stories In Hindi

Iss naveen kotuhal ko dekhne ke liye waha par aadmiyo ka jamghat sa lag raha tha. Apne padosiyo ke samne apni durdshaye dekh rahi thi pati ko bhaiyo se gidgidate dekh rahi thi. Pati ko bhaiyo se gidgidate dekh use daya aa gayi aur uska pavitar hardeh dharmsagar mein gote marne laga satri ne kaha chahe jo ho mein pati ki aisi durdasha apni aankho se nahi dekh sakti. Weh mera devta h unke krodh karne se mera sarvnash ho jaye. Pati ko hasi karakar kultaye bhale hi parsan ho sakti h. Parantu pati parayan nahi.

Khiwad kholkar bahar aayi apne bhaiyo se chod dene ka aagreh karne lagi. Bhaiyo ki behan ke kehne par asal n karte dekh birbal sawah unse shama prarthi gua aur uske pati ko chod dene ki aagya di. Pandit ji chod diya. Anat mein unhe apni hatdharmi ka badha parschtap hua.
Iss swas mein birbal ka abipraytha ki pati ki jeevatwasta ne satri ka mundane nahi ho sakta tha. Pehle pati marr le to aaurat ka mundane kiya jaye.

Birbal pandit ji ko chudwakar unki aaurat ka kasht nivaran ka laut gaya. Charo bhai apni bahen ke ghar mehmani karne ke liye tike rahe. Dhaneh h humari unn bharat lalnao ko jo ane par katin sankat uthakar patiwarta ki raksha karti aye deviya pati se kasht uthakar bhi pati sewa karna tumhara hi kaam h. Apne pati ko kasht mein dekh bhala tum kaise sehan karti ho. Pati ka ishwar tuleh mankar pujan karne wali sansar parsidh ek matar bharat hi h.