Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Tum Aaye Ho N Shabe-Intezaar Gujri Hai,
Talash Mein Sehar Bar-Bar Gujri Hai,
Junu Mein Jitni Bhi Gujri Bekar Gujri Hai,
Agarche Dil De Kharabi Gujri Hai,
Wo Baat Saare Fasane Mein Jiska Jikar N Tha,
Wo Baat Unke Bahut Nagawar Gujri Hai,
N Gul Khilte Hai N Unse Mil N Meh Pee Hai,
Ajib Rang Mein Ab Ke Bahar Gujri Hai.
Faiz Ahmad Faiz
30+ Best of Jagjit Singh Ghazals
Hum Ki H There Ajnabi Tni Madarato Ke Baad,
Phir Banenge Asana Kitni Mulaqato Ke Baad,
Kab Najar Mein Aayegi Be-Daag Sabje Ki Bahar,
Khoon Ked Abbe Dhulenge Kitni Barsato Ke Baad,
H Bahut Be Dard Lamhe, Ktham-E Dard Ishq Ke,
Thi Bahut Besabr Subh Mehraba Raato Ke Baad,
Dil Ko Chaha Par Sikaste-Dil Ne Mohalat Hi N Di,
Kuch Gile-Shikwe Bhi Kar Lete Mulaqato Ke Baad,
Inse Jo Kehne Gaye The ‘Faiz’ Ja Sadke Kiye,
Ankahi Hi Reh Gayi Wo Baat Sab Baato Ke Baad.
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Ghazals Lyrics
Wo Log Bahut Kush-Kismat The,
Jo Ishq Ko Kaam Samjhate The,
Ya Kaam Se Aashiqi Karte The,
Hum Jite-Jee Mushroof Rahe,
Kuch Ishq Kiya, Kuch Kaam Kiya,
Kaam Ishq Ke Aade Aata Raha,
Aur Ishq Se Kaam Uljhata Raha,
Fir Aakhir Tang Aakar Humne,
Dono Ko Adhura Chod Diya.
Faiz Ahmad Faiz
~~~~~
Na ganvao navak-e-nim-kash, dil-e-rza rza ganva diya,
Jo bache hai sang samet lo, tan-e-daag daag luta diya.
Mere chaaragar ko naved ho, saaf-e-dushman ko Khabar karo,
Wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chuka diya.
Karo kaj jabin pe sar-e-kafan, mere qaatilo ko guman na ho
Ki ghurur-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hamne bhula diya.
Udhar ek harf ek kushtani, yahan laakh uzr tha guftani,
Jo kaha to sun ke uda diya, jo likha to padh ke mita diya.
Jo ruke to koh-e-gara the ham, jo chale to jaan se guzar gaye,
Rah-e-yaar hamne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya.
Faiz Ahmad Faiz
17 Best Jagjit Singh Ghazal Collection
ab kaha rasm ghar lutane ki,
barkaten thi sharabkhane ki.
kon hai jisse guftgu kije,
jaan dene ke dil lagane ki.
baat chedi to uth gayi mehfil,
unse jo baat thi btane ki.
saaj uthaya to tham gaya gham-e-dil,
reh gayi aarzoo sunane ki,
chand fir aaj bhi nahi nikla,
kitni hasrat thi unke aane ki.
Faiz Ahmad Faiz
~~~~~
Teri ummid, tera intezaar jab se hai,
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai.
Kisi ka dard ho karte hai tere naam raqam,
Gila hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai.
Hua hai jab se dil e na–saboor be–qaboo,
Kalam tujh se nazar ko bare adab se hai.
Agar sharar hai to bharke, jo phool hai to khile,
Tarah-tarah ki talab, tere rang-e-lab se hai.
Kaha gaye shab-E-furqat ke jaagne wale,
Sitara-e-sehari hum-kalaam kab se hai.
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Poetry Archive
mujh ko shikwa hai mere bhai keh tum jaate hue,
le gaye sath meri umar-e ghuzishta ki kitaab,
is mein tau meri bohut kimati tusweerien thi,
is mein bachpan tha mera, aur mera aihd-e shabab.
is ke badle mujhe tum de gaye jaate-jaate,
apne ghum ka yeh damakta hua khoon rung gulaab,
kya karun bhai, yeh aizaz mein kyu kar pehnoo,
mujh se le lo meri sub chaak qamizoon ka hisaab.
aakhiri baar hai, lo maan lo ek yeh bhi sawaal,
aaj tak tum se mein lota nahi mayoos-e jawaab,
aa ke le jao tum apna yeh damakta hua phool,
mujh ko lota do meri umar-e ghazishta ki kitaab.
Faiz Ahmad Faiz
Mukesh Songs Lyrics Collection
maine samjha tha ki tu hai to darkashi hai hayaat,
tera gham hai to ghame-dehar ka jhagda kya hai.
teri surat se hai aalam mein baharo ko sabat,
teri aankho ke siwa duniya me rakha kya hai.
tu jo mil jaaye to takdeer nigu ho jaaye,
yu n tha, maine faqat chaha tha yu ho jaaye,
aur bhi dukh hai zamane me mohabbat ke siwa,
rahate aur bhi hai wastal ki rahat ke siwa
anginit sadiyo ke taarik bahimana tilism,
resham-oh-atlas-oh-kambakat me bunwaye hue.
ja-b-ja bikte hue kucha-oh-bajar me jism,
kham ke lithade hue, khoon me nehlaaye hue.
jism nikle hue amraaj ke tannuro se,
peep behti hui galte hue nassoro se.
laut jaati hai udhar ko bhi najar kya kije,
ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije,
aur bhi dukh hai zamane me mohabbato ke siwa,
raahtein aur bhi hai wasal ki rahat ke siwa.
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Famous Ghazal
Teri surat jo dilnashi ki hai
Aashna shakl har hasi ki hai
Husn se dil laga ke hasti ki
Har ghari hum ne aatishi ki hai
Subh-E-gul ho Ke sham E maikhana
Madh us rooy E naazni ki hai
Shekh se be-haraas milte hain
Hum ne touba abhi nahi ki hai
Zikr-e-dozakh, byan-e-hur-o-qasur
Baat goya yahin kahi ki hai
Ashq to kuch bhi rang la na sake
Khoon se tar aaj aasti ki hai
Kaise manein heram ke sahl-pasand
Rasm jo aashiqo ke deen ki hai
“Faiz” auj e khyaal se hum ne
Aasmaan Sindh ki zameen ki hai.
Faiz Ahmad Faiz
aye kuch abr kuch sharab aaye
is ke baad aaye jo azaab aaye
bam-e-mina se mahtab utre,
dast-e-saqi mein aftaab aaye
har raag-e-ḳhoon mein phir charaghan ho,
samne phir wo be-naqab aaye.
umar ke har varaq pe dil ki nazar,
teri mehr-o-wafa ke baab aaye
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aaye
na gayi tere gham ki sardari
dil mein yoon roz inqalab aaye
jal uthe bazm-e-ghair ke dar-o-bam
jab bhi ham ḳhanuman-ḳharab aaye.
iss tarah apni ḳhamoshi goonji,
goya har samt se jawab aaye
‘faiz’ thi raah sar-ba-sar manzil,
ham jahan pahunche kamyab aaye
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Gulo mein rang bhare baad-e-naubahar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobar chale
Qafas udaas hai yaaro saba se kuch to kaho
Kahi to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale
Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kakul se mushakbaar chale
Bada hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaeynge ghamgusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashq teri aaqbat sanwaar chale
Maqaam ‘Faiz’ koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Mohammad Rafi Songs Lyrics Collection
Raushan kahi bahaar ke imkan hue to hai
Gulshan mein chaak chand gareban hue to hai,
Ab bhi khizan ka raaj hai lekin kahi-kahi,
Gosh-E-rah-E-chaman mein ghazal-kha hue to hai.
Thehri hui hai shab ki siyahi wahi magar,
Kuch-kuch sahar ke rang purafshaan hue to hai
In mein lahu jala ho hamara Ki jaan O dil,
Mehfil mein kuch chiragh farozan hue to hai
Haan kaj karo kulah Ke sab kuch luta ke hum
Ab be-niyaaz E gardish E dauran hue to hai
Ahl E qafas ki subah E chaman mein khulegi aankh
Baad E saba se wada O paiman hue to hai.
Hai dasht ab bhi dasht magar, khoon E pa se ‘Faiz’
Sairaab chand khaar E mugelan hue to hai.
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Famous Ghazal
aaj ke din n pucho mere dosto,
door kitne hai kushio manane ke din
khul ke hasne ke din, geet gaane ke din,
pyar krne ke din, dil lagane ke din,
aaj ke din n pucho mere dosto,
jakham kitne abhi bakte-bismil mein hai,
dast kitne abhi raahe-manjil mein hai,
teer kitne abhi daste-qatil mein hai,
aaj ka din jabu hai mere dosto,
aaj ka din to yu hai mere dosto,
jaise dard-oh-alam ke purane nisha,
sab chale sue-dil karwa-karwa,
hath seene pe rakho to har ustkhwa,
se uthe nala-e-alama alama,
aaj ke din n pucho mere dosto,
kab tumhare lahu ke darid alam,
farq-e-khursid-mehsar pe honge rakam,
aaj kara to kara kab tumhare kadam
leke uthega wo behre-khu yam-b-yam,
jisme dhool jayega aaj ke din ka gham,
saare dard-oh-alam saare jor-oh-sitam,
door kitni hai khurside-mehsar ki loh,
aaj ke din n pucho mere dosto.
Faiz Ahmad Faiz
Top Hindi Poems on Life and Zindagi
Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hai,
Kisi bahane tumhein yaad karne lagte hai.
Hadis-e-yaar ke unva nikharne lagte hai,
To har harim mein gesu sanwarne lagte hai.
Har ajnabi hamein mehram dikhayi deta hai,
Jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hai.
Saba se karte hain gurbat-naseeb zikr-e-watan,
To chashm-e-subha mein ansoo ubharne lagte hai.
wo jab bhi karte hainis nutq-o-lab ki bakhiyagari,
Faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hai.
Dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai,
To ‘Faiz’ dil mein sitaare utarne lagte hai.
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Poetry
aaye hath uthein hum bhi
hum jinhei rusm-e dua yaad nahi
hum jinhein soz-e mohabbat ke siwa
koi buth, koi khuda yaad nahi
aaye urz guzarein keh nigar-e huste
zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de
jin ki aankho ko roz-e subh ka yaara bhi nahi
un ki raato mein koi shuma munawar ker de
jin ke kadmo ko kisi reh ka sahara bhi nahi,
un nazroon peh koi raah ujagar ker de.
jin ka deen pariw-e kizb-o riya hai un ko
himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile
ishq ka sir-e niha jaan tapa hai jis se
aaj iqrar karein aur tapish mit jaae
hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turha,
aaj izhaar karein aur khalish mit jaae.
Faiz Ahmad Faiz
Hum parvarish E lauh O Qalam karte rahenge
Jo dil pe guzarti hai rakam karte rahenge
Asbaab E Gham E ishq baham karte rahenge
Veerani E dauraan pe karam karte rahenge
Haan talkhi E aiyyaam abhi aur badhegi
Haan ahl e sitam mashq e sitam karte rahenge
Manzoor ye talkhi ye sitam hum ko gawara
Dam hai to madava E alam karte rahenge
Maikhana salamat hai to hum surkhi e mai se
Tazeen E dar O baam E haram karte rahenge
Baaqi hai lahu dil mein to har ashq se paida
Rang E lab O rukhsaar E sanam karte rahenge
Ek tarz E taghaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte rahege
Faiz Ahmad Faiz
Faiz Ahmad Faiz Hit Poetry
Dono jaha teri mohabbat mein haar ke
Wo jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Veeran hai maikada khum-o-saaghar udaas hai
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hai hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hai gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Faiz Ahmad Faiz