Urdu Ghazal Poetry Collection
Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
Meree Wehshat, Teree Shohrat Hee Sahee
Ham Bhee Dushman To Naheen Hain Apne
Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hee Sahee
Ham Koee Tarq-E-Wafa Karte Hain
Na Sahee Ishq, Museebat Hee Sahee
20 Best Ghazals All Time in Hindi
Gar N Ye Kisse Sambhale Jayenge,
Pustako Tak Mein Hawale Jayenge,
Ho Gaye Hai Sab Andhere Ki Taraf,
Ab Kaha Bachkar Ujhal Jayenge,
Budhijivi Phir Ikatthe Ho Gaye,
Phir Jariri Parsan Taale Jayennge,
Kaam Ka Jinse N Koi Wasta,
Naam Unke Hi Uchale Jayenge,
Aakade Uno Padenge Baithkar,
Log Computer Mein Dale Jayenge,
Yanat Manav Mein Badal De Jo Hame,
Sab Unhi Saancho Mein Dhale Jayenge,
Bejubani Ka Zamana Aa Gaya,
Ab Yaha Khargosh Pale Jayenge,
Ye Sehar Dojakh Sahi Par Dekhna,
Ham Yaha Se Bhi Nikale Jayenge,
Mil Gaya ‘Rahi’ Sachayi Ka Sila,
Pet Mein Sukhe Niwale Jayenege.
Balswroop Rahi
Urdu Ghazal and Poetry SmS
Wo Leharo Se Sada Chot Khati Rahi,
Naav Dubi Nahi Dagmagati Rahi,
Is Kinare Gayi Us Kinare Gayi,
Is Tarah Umar Bhar Aati-Jati,
Waqat Ke Sath Toofan Aaye Gaye,
Naav Dariya Se Rishta Nibhati Rahi,
Darmiya Do Kinaro Ke Khud Wo Rahi,
Bhoj Duniya Ka Phir Bhi Uthati Rahi,
Kon Karta Hai Itna Kisi Ke Liye,
Dubte Shaksh Ko Wo Bachati Rahi,
Aage-Aage Thi Wo Piche-Piche Bhawar,
Is Tarah Wo Bhawar Ko Lubhawani Rahi.
Shyam Sundar Davivedi
15+ Best of Munawwar Rana Ghazals
Jo Kisi Ka Bura Nahi Hota,
Sakhsh Aisa Bhala Nahi Hota,
Dosto Se Sikayte Hongi,
Dushmano Se Gilla Nahi Hota,
Har Parinda Savayam Banta Hai,
Arsh Pe Rasta Nahi Hota,
Ishq Ke Kayde Nahi Hote,
Dard Ka Falsafa Nahi Hota,
Fitartan Galtiya Karega Wo ,
Aadmi Devta Nahi Hota ,
Khat Likahoge Hame Khan Aakhir,
Jogiyo Ka Pata Nahi Hota.
Shiv Om Amber
Best Urdu Ghazals and Poems
Bacihan Bahut Firna,
Ghabraye Hue Rehna,
Ik Aag Si Jajbo Ki,
Dehkaye Hue Rehna,
Chalkaye Hue Chalna,
Kushbu Labe Lali Ki,
Ik Bagh Sath Apne,
Mehkaye Hue Rehna,
Iss Husan Ka Showa H.
Jab Ishq Najar Aaye,
Pardo Se Chale Jana,
Sharmaye Hue Rehna,
Ik Sham Si Kar Rakhna,
Kagaz Ke Karishme Se,
Ik Chand Sa Aankho Mein,
Chamkaye Hue Rehna,
Aadat Hi Bana Li H,
Tumne To ‘Munir’ Apni,
Jis Sehar Mein Bhi Rehna,
Uktaye Hue Rehna,
Baichain Bahut Firna.
Munir
15 Best of Dushyant Kumar Ghazals
Faasle Aise Bhi Honge Socha N Tha,
Samne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera N Tha,
Wo Ki Kushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Charu Su,
Mein Use Mehsus Kar Sakta Tha Chu Sakta N Tha,
Faasle Aise Bhi Honge Socha N Tha,
Samne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera N Tha,
Raat Bhar Pichli Hi Aahat, Kaan Mein Aati Rahi,
Jhankkar Dekha Gali Mein, Koi Bhi Aaya N Tha,
Yaad Karke Aur Bhi Taqleef Hoti H ‘Adib’,
Bhul Jane Ke Siwa Aur Koi Chara Na Tha,
Faasle Aise Bhi Honge Socha N Tha,
Samne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera N Tha.
Adib Haasimi
Best Urdu Ghazal Poetry SmS
Wo Gulab, Tu Sehra, Tujho Usse Nisabt Kya,
Khawab Dekhnewale, Khawab Ki Haqiqat Kya,
Tehniya Pe Baithe Hai Aas Ke Parinde Kyu,
Aane Wala Hai Koi Mausame-Inayat Kya,
Hijar-Mausam Ki Root Pucthi Rahi Hamse,
Par Laga Ke Udtha Hai Arsa-E-Mohabbat Kya,
Usne Apne Chehre Ke Deep Sab Bujha Dale,
Roshni Use Dega Shola-E-Nadamat Kya,
Jindagi Musalsal Ek Karb Ki Alamat Hai,
Wo Bhi Ahde-Haajir Mein Zindagi Ki Keemat Kya.
Asfaak Hussain
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Kushbu Is Aa Rahi Hai Idhar Jafran Ki,
Khidki Khuli Hai Phir Unke Makan Ki,
Hare Hue Parinde Jara Udke Dekh To,
Aa Jayegi Jameen Pe Chat Aasman Ki,
Bujh Jayse Sareaam Hi Jaise Koi Charag,
Kuch Yu Hai Shurwat Mere Dastan Ki,
Jyu Loot Le Kahar Hi Dulhan Ki Palki,
Halat Yahi Hai Aajkal Hindosthan Ki,
Auro Ke Ghar Kid Hoop Use Kyu Pasand Ho,
Bechi Ho Jisne Roshni Apne Makan Ki,
Julfo Ke Pecho-Kham Mein Usse Mat Talashiye,
Ye Shayari Juba Hai Kisi Bejuban Ki,
‘Neeraj’ Se Badke Aur Dhani Kon Hai Yaha,
Uske Hardeh Mein Peer Hai Saare Jahan Ki.
Gopal Das ‘Neeraj’
Urdu Poetry Bewafa Ghazal
Ye Duniya Rahe N Rahe Mere Hardum,
Kahani Mohabbat Ki Jinda Rahegi,
Kabhi Geet Ban Ke Labo Pe Sajegi,
Kabhi Phool Ban Karke Mehka Karegi,
Mohabbat To Hai Do Dilo Ka Tarana,
Mohabbat To Hai Paak Ruho Ka Sangam,
Agar Roohe Aapas Mein Mil Jaye Saathi,
To Duniya Mohaabat Ko Sajda Karegi,
Ye Duniya Rahe H Rahe.
Samjhata Hau Sara Jaha Ye Haqiqat,
Mohabbat Khuda Hai Juda Hai Mohabbat,
Mohabbat Ko De Jayenge Itni Ajmayat,
Ye Duniya Mohabbat Ka Sajda Karegi,
Ye Duniya Rahe N Rahe.
20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals
Dhunda Teri Julf Ka Saya Bhool Hui Sharminda Hu,
Pyasa Mann Tha Dhoka Khaya Bhool Hui Sharminda Hu,
Sehar Ki Roshan Raaho Mein Bhi Teri Baahe Yaad Aayi,
Khud Ko Tanha-Tanha Paya, Bhool Hui Sharminda Hu,
Sehre-Wafa Ke Sare Raaste Teri Janib Hi Nikle,
Ya Fir Maine Hosh Gawaya Bhool Hui Sharminda Hu,
Kaise-Kaise Maknatisi Roop Saje The Raste Mein,
Laut Ke Tere Paas Aaya Bhul Hui Sharminda Hu,
Jaise Koi Jiddi Bacha Roka Jaye, Magar Aaye,
Tere Dar Ko Desh Banaya Bhool Hui Sharminda Hu,
Iss Duniya Mein Aur Bhi Gham The Mithe-Mithe Dard Bhare,
Gham Tera Hi Chaha, Paya, Bhool Hui Sharminda Hu,
Begano Ne Pyar Diya To Hamne Daman Kich Liya,
Apno Se Rabt Bhdaya Bhool Hui Sharminda Hu,
Jis Mahol Ke Tapte Mausam Dukh Hi Dete The ‘Inhaam’,
Uss Par Bhi Sawan Barsaya, Bhool Hui Sharminda Hu.
Inhaam Duraani
Beautiful Urdu Ghazal Poetry
Aadmi Ke Aadmi Se Chal Nahi Honge,
Jo Andhere Aaj Sach Hai, Kal Nahi Honge,
Sikhna Hoga Hame Hi Thik Se Chalna,
Zindagi Ke Raste Samtal Nahi Honge,
Samjh Ka Vistar Hi Suljhayega Inko,
Apne Sawal Dusro Se Hal Nahi Honge,
Aksharudho Ho To Nishche Dhoop Niklegi,
Gyan Ke Aakash Mein Badal Nahi Honge,
Aksharo Se Shabd Se Jud Jayenge Jis Din,
Honge Bhale Gareeb Par Nirbal Nahi Honge,
Jaldhar Paranwan Ho Jaldhar Ki Tarah,
Pani Rahe Behta To Ye Daldal Nahi Honge,
Ye Dhara Apni Rahegi Ye Gagan Apna,
Aas Ke Pnchi Kabhi Oghal Nahi Honge.
Brijkishor Patel
30+ Best of Bewafa Ghazal In Hindi
Ek Raat Dekha Maine Khawab Mein,
Tune Mujhe Apni Yaad Mein Barbaad Kiya,
Dil Mein Kisi Aur Ka Pyar Basa Ke,
Gairo Ka Tumne Ghar Aabad Kar Diya,
Jab Yaad Tumhari Aati Hai,
Dil Khoon Ke Aansu Rota Hai,
Bedard Zamana Kya Jane Iss Pyar Mein Kya-Kya Hota Hai,
Iss Dil Ka Itna Tha Ye Kasoor, Maine Tukho Kiya Tha Pyar Hujur,
Ashqo Ke Daman Se Ye Dil Kismat Ka Haal Sonata Hai,
Jab Yaad Tumhari Aati Hai Ye Dil Khoon Ke Aansu Rota Hai,
Jab Se Tu Sanam Bewafa Ban Gayi, Tab Se Zindagi Ye Saja Ban Gayi,
Kya Paya Hai Kya Khoya Hai, Phir Pyar Mein Dil Ye Soctha Hai,
Dil Toot Ke Chakna Choor Hua, Jisko Chaha Wo Door Hua,
Phir Bhi Teri Iss Chahat Mein Dil Has Ke Dard Uthata Hai,
Gam Ki Sarhad Se Door Nikal Kaanto Se Bhara Hai Yeh Jangal,
Har Phool Bhi Ab Kaanta Banke Jhkamo Pe “Kureshi” Chubata Hai.
Urdu Ghazals Poetry Collection
Nisha Bhi Koi N Choda Ki Dil Ko Samjhaye,
Teri Talaash Mein Hum Jaye To Kaha Jaye,
Oh Jane Wale Ye Dil Tujhpe Badghuman Nahi,
Lagi Hai Aag Nasheman Par Dhua Hai Nahi,
Yahi Naseeb Meinlikha Tha Ghut Ke Mar Jaye,
Teri Talaash Mein Hum Jaye To Kaha Jaye,
Sunaye Hal Kise Razda N Koi Mila,
Kushi Mili To Baharo Ka Sama N Mila,
Yahi Thi Ek Tamnna Ki Tujko Apnaye,
Teri Talaash Mein Hum Jaye To Kaha Jaye,
Ujad Gayi Hai Tamnnaye Tere Jane Se,
Gila Khuda Se Kare Yak Are Zamane Se,
Game-Judai Bata Ab Hum Kisse Takrate,
Teri Talaash Mein Hum Jaye To Kaha Jaye,
20+ Sad Ghazals Heart Touching Lyrics
Humko Sach Kehne Ki Himmat Mil Gayi,
Kuch N Kehne Ki Nasihat Mil Gayi,
Muddato Ke Baad Aaya Khat Tera,
Yu Laga Jaise Riyasat Mil Gayi,
Mil Gaya Imaandari Ka Hunar,
Bas Bujurgo Ki Virasat Mil Gayi,
Wo Sikandar Bhi To Khali Hi Gaya,
Kya Hua Jo Tumko Daulat Mil Gayi,
Kal Tasuwar Mein Teri Tasveer Thi,
Jaise Tanhai Ko Sohbat Mil Gayi,
Aap Mujhse Raah Mein Kya Mil Gaye,
Sehar Bhar Ko Ek Shararat Mil Gayi,
Aur Kya Jeene Ko ‘Gulshan’ Chaiye,
Thoda Gham, Thodi Mohabbat Mil Gayi.
Gulshan Madaan
Urdu Ghazal Poetry
Kaano Mein Sadaye Gunjti Hai,
Haatho Ki Lakeer Bolti Hai,
Chehre Sajida Ho Gaye Hai,
Ab To Aankhe Bhi Sochti Hai,
Raaho Ke Andhere Chat Gaye Hai,
Aur Raahroho Ko Puchti Hai,
Lamho Ki Judahiyo Mein Sadiyo,
Apne Mehwar Pe Ghumti Hai,
Udti Hui Titliya Chaman Mein,
Mud-Mud Ke Gulo Ko Dekthi Hai,
Jaati Hui Dil-Girifta Ghadiya,
Apne Jhakmo Ko Chathti Hai,
Aur Aaabe-Rawa Ki Tund Mauje,
Kya Jaane Kise Pukarati Hai,
Aankhe Teri Muntajir Hai Shayad,
Sote Mein Bhi Shab Ko Jagti Gai,
Shake Pedho Se Kat Ke ‘Akthar’,
Pedho Hi Ka Lams Chahti Hai.
Akthar Hoshiyarpuri
20+ Best Romantic Ghazal in Urdu for Her
Dard Jab Teri Aata H, To Gila Kisse Kare,
Hijar Jab Tune Diya H, To Gila Kisse Kare,
Akas Bikhra H Tera Toot Ke Aayine Mein,
Ho Gayi Nam Najar Aksh Liya Kisse Kare,
Dard Jab Teri Ata H, To Gila Kisse Kare,
Hijar Jab Tune Diya H, To Gila Kisse Kare,
Mein Safar Hu, Mere Sath Judai Teri,
Humsafar Gam H To Phir Tera Pata Kisse Kare,
Dard Jab Teri Ata H, To Gila Kisse Kare,
Hijar Jab Tune Diya H, To Gila Kisse Kare,
Khil Uthe Gul Ya Khile Daste-Hinayi Tere,
Har Taraf Tu H, To Phir Tera Pata Kisse Kare,
Dard Jab Teri Ata H, To Gila Kisse Kare,
Hijar Jab Tune Diya H, To Gila Kisse Kare,
Tere Lab Teri Nigahe, Tere Aarij, Teri Julfe,
Itne Jinda H To Iss Dil Ko Riha Kisse Kare,
Dard Jab Teri Ata H, To Gila Kisse Kare,
Hijar Jab Tune Diya H, To Gila Kisse Kare.
Malik Jada Manjur Ahmad
Urdu Ghazals by Famous Poets
Khuda Kare Ki Mohabbat Mein Wo Mukam Aaye,
Kisi Ka Naam Lu, Lab Pe Tumhara Naam Aaye,
Tumhara Pyar Mein Gehsuo Ki Uljhan Ho,
Tumhare Waste Dil Ka Chirag Roshan Ho,
Sehar Najar Se Mile Julf Leke Jaam Aaye,
Kisi Ka Naam Lu Lab Pe Tumhara Naam Aaye,
Khuda Kare Ki Mohabbat Mein Wo Mukam Aaye,
Mere Khayalo Ki Tasveer Hu-B-Hu Tum Ho,
Mere Hujur Nigaho Ke Aarzo Tum Ho,
Isi Tarah Se Nigahw Uthe Salam Aaye,
Kisi Ka Naam Lu Aur Lab Pe Tumhara Naam Aaye,
Jaha Talak Ye Hau Gugunati Raat Chale,
Najar-Najar Se Mile, Dil Se Dil Ki Baat Chale,
Humare Dil Ku Tadao Kuch To Apne Kaam Aaye.
Khuda Kare Ki Mohabbat Mein Wo Mukam Aaye,
Kisi Ka Naam Lu, Lab Pe Tumhara Naam Aaye,
Agyaat
15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover
Ustade-Fun Haste Parte Ughar Ke,
Mushkil Se Unt Aaya Hai Niche Pahad Ke,
Shorat Ki Bhukh Ne Tujhe Andha Bana Diya,
Papad Samajh Kar Kha Gaya Palle Kivad Ke,
Aakhir Kabadhiyo Ne Kharidi Teri Kitab,
Hai Kuch To Kadardan Sahar Mei Kabad Ke,
Gumrah Pidiyo N Ho Padkar Tera Kalam,
Chule Mei Funk Betuk Gajalo Ko Faad Ke,
Bhaisa-Sa Pal Raha Hai Tu Jis Bhais Ke Yaha,
Muh Pher Lene Wo Tera Khuta Ukhad Ke,
Kuch Is Kadar Gira Hai Khud Apni Nazar Se Tu,
Aina Saramsar Hai Tujhko Latad Ke,
‘Alhad’ Hai Hum To Kar De Khatae Teri Mauf,
Aaye Jo Tu Zameen Ko Palko Se Jhad Ke.
Shyam Nikunj
Urdu Poetry Ghazal in Urdu
Karte Hai Guftgu Subha Uthar Hawa Se Hum,
Ladne Lage Hai Judai Mein Uske Hawa Se Hum,
Hota N Dil Ka Ta (Tak) Ye Saranjam (Phal) Ishq Mein,
Lagte Hi Jee Ke Mar Gaye Hote Bala Se Hum,
Daago Se Hi Bhari Rahe Chati Tamam Umar,
Yeh Phool-Gul Chuna Kiye Baage-Wafa Se Hum,
Gaafil 1 Ne Apni Dida-Drayi (Besharmi) Se Humko Jana,
Sab Dekthe Hai Par Nahi Kehte Haya (Lajja) Se Hum.
25+ Sad Ghazal in Urdu for Boyfriend
Waqt-Piri, Shabab Ki Baate,
Phir Mujhe Le Chala Udha Dekho,
Phir Mujhe Le Chala Udha Dekho,
Dil-E-Khana Kharab Ki Baate,
Mehjabi Yaad H Ki Bhul Gaye,
Mehjabi Yaad H Ki Bhul Gaye,
Weh Sabe Mahtab Ki Baate,
Tumko Ruswa Karegi Khoon-E Dil,
Tumko Ruswa Karegi Khoon-E Dil,
Teri Ye Ijtarab Ki Baate,
Sunte H Usko Ched-Ched Ke Hum,
Unke Mooh Se Atab Ki Baate,
Jikar Kiya Josh-E-Ishq Mein Aye ‘Jhok’
Humse To Sabar-Oo Tab Ki Baate.
Ibrahim Jhok
Urdu Poetry Ghazal Lyrics
Hamne Kitne Pale Saap,
Jagah-Jagah Matwale Saap,
Kab Dash Le, Kab Chip Jaye,
Sachmuch Vishmay Wale Saap,
Hardam Rakhe Hlahal Paas,
Piye Dughd Ke Pyale Saap,
Kya Daftar, Kya Khuli Sivan,
Nirbhay Me Bhay Dale Saap,
Gaav, Gali, Shehar, Ke Bich,
Karte Rahe Bavle Saap,
Ghat Lagaye Charo Auro,
Baithe Gore- Kale Saap,
Pooja To Karni Honi,
Akhir Hai Rakhwale Saap.
Hiralal ‘Milan’
25+ Love Ghazal in Urdu and Hindi
Tod Ke Dil Pacthana Kaisa,
Ab Humse Katrana Kaisa,
Aah Bharke Rote Kyu Ho,
Ab Sharminda Hote Kyu Ho,
Cham Cham Neer(Aansu) Bahana Kaisa,
Tod Ke Dil Pacthana Kaisa,
Waqt Gaye Fir Mudte Kab Hai,
Dil Toote To Judte Kab Hai,
Tukde Chun Chun Lana Kaisa,
Tod Ke Dil Pacthana Kaisa,
Aas Ka Daman Chut Chukka Hai,
Saaj Wafa Ka Toot Chuka Hai,
Toota Saaj Bajana Kaisa,
To Ke Dil Pacthana Kaisa,
Fiki Rangat Bikhre Ghesu(Baal),
Lab Par Aahe Aankh Mein Aansu,
Ab Ye Dong Rachana Kaisa,
Tod Ke Dil Pacthana Kaisa,
‘Naaj’ N Ab Tum Neer Bahao,
Gujri Baate Bhul Bhi Jao,
Sar Ko Takrana Kaisa,
Tod Ke Dil Pacthana Kaisa.
Naaj
Ghazal Poetry In Urdu
Hadse Par Hadse Hote Rahe,
Neend Gaflat Ki Sabhi Sote Rahe,
Dash Rahe Jinko Andhere Me Umar Bhar,
Ek Tukda Dhoop Ka Dhote Rahe,
Kal Mile Is Aas Main Hi Log To,
Aaj Ki Uplabadhi Khote Rahe,
Unke Daman Main Nahi Hai Daag Jo,
Hath Behti Dhar Main Dhote Rahe,
Kya Virodhabhash Sote Phool Par,
Zindagi Bhar Khar Jo Bote Rahe.
Dr. Vedparkash Amitabh
27 Popular Sad Urdu Ghazals by Famous Poets
Bas Tumhara Khayal Tha, Aur Kuch Na Tha,
Yahi Humara Haal Tha, Aur Kuch N Tha,
Mein Karine Se Sajaya Tha Jise,
Zindagi Ka Jaal Tha, Aur Kuch N Tha,
Bas Yahi Ehsaas Apne Paas Hai,
Gandh Thi, Rumal Tha, Aur Kuch N Tha,
Dubne Walo Ko Itna Hi Dikha,
Ik Hilta Pal Tha, Aur Kuch N Tha,
Shokiya, Ranginiya Sab Kho Gayi,
Sirf Andha Taal Tha, Aur Kuch N Tha.
Ranjan Adheer