Birbal Stories with Moral for Kids

Birbal Stories with Moral

Swepan (Sapna)

Ek din kisi garib brahman ne sapna dekha ki use 100 rupee udhar apne mitar se mile h. Sawere jab neend khuli to uska accha ya bura fal janne ki iccha hui. Usne apne mitaro mein baithkar iss baat ki charcha ki dhire dhire khbar bijli ki tarah fhail gayi yaha tak ki uss mitar ne bhi iss baat ko suna jisse ki brahman ne sapne mein 100 rupee liye the.

Uska jee lalch mein ho gaya usne chaha ki kisi tarah brahman se 100 rupee lene chaiyeaur uske pass rupee lene pahucha aur kehne laga ki jo 100 rupee udhar liye the wo wapas do. Mujhe jarurat h esliye aaj tum mere 100 rupee de do garib brahman ne pehle to socha mitar hasi majak kar raha h, parntu jab weh hatha pai karne ko tayar hua aur bahut beh aadi dhikaya to brahman ke bhi pran sukhne lage.

Bechara din bhar mehnat karta tab usko khane ko milta tha, ghar mein futi kodi bhi n thi.
100 rupee kaha se deta vivas himmat band wo bhi mitar ka samna karne ko khade ho gaye ab to mitar ke kaan khade hue unhe aagya thi ki darker bramhan devta ruppe de dega. Lekin jab usko iss asha par pani firta dhikayi diya to usne brahman ko dhamki de apne ghar ka rasta liya.

Jate jate keh gaye ki mein tujhse ruppe jarur wasul kar lunga aur gwahi mein sab mitaro thata padosiyo ko bula lunga jiske samne tumne ruppe pana swikar kiya h. Garib brahmna karta bhi kya ishwar par bharosa tha. Usi ka naam japne laga.

Dusre din mitar mahaseh ne brahman par udhar ruppe lene ka abhiyog lag aka dawa kar diya. Nayyadisho ne dono taraf ki baat dhyan dekar suni.

Lekin koi faisla na kar sake, kyunki ghwao ne sapne mein ruppe lena brahman ke dwara swikar karna batlaya.
Soch vichar ka nayaydish ne yeh mamla badshah ke pass bhej diya.

Badshah ne mamle par acchi tarah gaur kiya, weh jante hue ki mitar sarasar dagabaji kar raha h
badshah ko nibatne ki koi tarkib n suji lachar ho badshah ne birbal ko bulaya. Sab mamla samjha diya ki bechare brahman ko dagabaaz mitar thagna chahta h.

Iska aise tarike se faisla hona chaiye ki dudh ka dudh aur pani ka pani alag ho jaye.
Birbal ne aagya mangkar ek badha sa darpan mangwaya uske baad 100 ruppe unhone aisi hoshiyari se rakh diye ki darpann mein rupee ki chaya dikh pade.

Akbar Birbal Ke Kisse Aur Kahaniya

Jab ruppe darpan mein dhikne lage tab birbal dagabaaz mitar se bole ki jis ruppe ki chaya dhikati h use tum le lo.
Mitar mahasheh ne achamba zahir karte hue kaha ki yeh kaise le sakta hu yeh to keval ruppe ki parchayi h
mauka pakar birbal bole ki brahman ne bhi to sapne mein tumse rupee paye the. Wo bhi parchayi thi phir tum asli ruppe kyu chahte ho mahodeh ki garden jhuk gayi kuch jwab n bana lachar hokar khali hath chalne ko tayar hue to birbal bole brahman ko aaj pareshan kiya h. Uske kaamo mein rukawat dali ath: bina saja paye yaha se n ja sakoge.

Birbal ne samjha kar use dagabaaz ko jhurmane ki saja di jo rakam jurmane ki mili weh unhone uss garib brahman ko harjane mein de di iss tarah garib brahman hasi khusi ghar wapas aaya.
Jinhone iss faisle ki kabhar suni unhone birbal ki parshansa ki badshah to birbal ke iss faisle se ekdum dang reh gaye.

Badshah Jhak Marte Hai

Ek din ki baat h ki badshah akbar thata birbal ghumte hue jhamuna kinare jaa pahuche.

Waha par kuch kewat machliya maar rahe the. Unko machliya marte dekhkar badshah ko shok hua. Sanyogwash kuch paigam lekar birbal ko begam ke pass jana pada. Waha pahuchne par raaji khusi ke alawa begam ne pucha badshah kaha h? Birbal ne jhat utar diya ki jhak marte h.

Begam iss utar se badhi naraj hui. Jab badshah mehal mein aaaye to birbal ki gustaqi ka sara kissa keh sunaya aur birbal ko saja dene ki prathna ki. Birbal dwara aise upsabd apne parti sunkar badhshah bilkul krodh se laal ho gaye. Iss par begam ka tana ki birbal ko bahut sir par chada liya h iska yahi natija h.

Iss baat ne badsha ko aur badka diya. Badshah ne usi waqt sipahi ko aagya di ki birbal ko bula lao. Aagya pate hi sipahi birbal ko bula laya. Birbal ke aate hi badshah ne krodhpurn sawar mei kaha. Aaj tumne begam se kya kaha tha.? Tumhara dimmag bahut chad gaya ?

Birbal ne namartapurn kaha–maine to yahi kaha tha ki badshah jhak marte h iski wajah yahi thi ki humari bhasa sanskarat mein machali ko jhak kehte h. Esliye aisa kaha the yadi koi apradh ho to shama kare. Birbal ke iss utar se badshah ko krodh bilkul shant ho gaya. Aur begam bhi khus ho gayi.

Char aalsi (lazy)

Ek din raja ko kahbar mili ki do aalsi bekar rehne ki karan bhuke marr gaye. Dusre din ghosna kar di ki rajya mein kitne bhi aalsi ho, sabko rajkosh se bhojan aur wastar milega. Phir kya tha dhire dhire aalsiyo ki ginto badhne lagi. Aur todhe hi din mein lakho aalsi paida ho gaye. Badshah ko badhi chinta hui.

Unhone birbal se apni chinta parkat ki. Birbal ne sare rajye mein ghosna karwa di ki amuk din aalsiyo ko rajya bhandar se kashmiri dushale bate jayenge. Iss khuskabri ko sub niyat sthan par waqt se pehle hi lakho aalsiyo ki bhid ikhati ho gayi h. Birbal ne pehle se hi ek bada banwa rakha tha. Aur inn sab banawati aalsiyo ko bade mein bhar diya gaya aur 100 paltu saanp bade mein chod diye gaye. Sanp ko dekhna tha ki logo ka aalseh kafur ho gaya. Aur apni jaan bachane ko sar par paon rakhkar bhage.

Ek minute mein sara bhada khali ho gaya. Kewal char insaan ek kone mein pade undh rahe the. Birbal ne charo ko rajya ki aur se khana, kapda aadhi saari suvidhaye pardan ki, sache aalsi weh char nikle.

Akbar Birbal Magic Story

Ek bar kuch darbariyo ne maharaja akbar se kha maharaj, aajkal birbal ko jyotishi ka shok chada h. Kehta firta h mein magic se kuch bhi kar sakta hu. Tabhi dusre darbari ne kaan bhare– ha maharaj weh bahut sekhi bgharta firta h. Hum to pareshan ho gaye usse. Darbar ke kaam mein jara bhi ruche nahi leta.

Raja bole–accha, parakhkar dekhte h birbal ke magic mein kya dum–kham h ye kehte hue raja ne ek darbari se kaha tum anghuti chupa lo, aaj isi ke bare mein puchenge. Tabhi birbal darbaar mein aaya , raja ko prnam kiya aur apni jagah ja baitha.

Akbar bole birbal abhi abhi meri anghuti kahi gayab ho gayi h. Jara pata lagao, suna h tum magic se bahut kuch kar sakte ho.

ज्ञानवर्धक और मजेदार Moral Stories In Hindi

Birbal ne kankhiyo se darbariyo ki aur dekha, weh samjh gaya tha ki uske virudh raja ke kaan bhare gaye h, soch sach kar usne kagaz par aadhi tirchi rekhaye khichi, phir bola maharaj aap iss par hath rakhiye, anghuti jaha bhi hogi apne aap ungli mein aa jayeghi,

raja ne uss tantar par hath rakh diya, tabhi birbal chawal hath mein lekar darbariyo ki aur fekhne laga, jiske pass anghuti thi wo sochne laga – kahi sach much anghuti nikal kar raja ke pass na pahuch jaye, usne kaskar jeb par hath rakh liya.

Birbal ye dekh raha tha, bola–maharaj, anghuti to mil gayi h lekin uss darbari ne usse kaskar pakad rakha h. Akbar birbal ka sanket samjh kar hass padhe. Unhone anghuti purskar mein birbal ko de di, chugli karne walo ke sharam se sir jhuk gaye.

Tinke ka Sahara (Akbar Birbal Stories)

Garmiyo ke din the, badshah akbar apne darbariyo ke sath noka vihar ke liye gaye, noka nadi ke bich mein pahuci, to raja ko vinod sujha, ek tinka dhika kar bole jo iss tinke ke sahare nadi paar karega, use mein ek din ke liye vijay nagar ka badshah bana dunga, darbari ek dusre ka mooh dekhne lage, birbal bola ye kaam mein kar sakta hu, magar badshah banne ke baad,

Badshah bole thik h aaj ke liye mein tumhe baadshah bnata hu, raaj–paat aur angrakshak ko tumhe soupta hu. Iss tinke ko tum raajdand samjhi, ab isi ke sahare nadi paar karke dhikao, warna martu dand milega.

Ye kehkar unhone wo tinka birbal ko de diya, birbal tinka lekar nadi mein kudne ko hua. Kudne se pehle usne angrakshako se kaha iss waqt mein raja hu, tum apne kartweh ka palan karo. Sunte hi angrakshako ne use pakad liya. Bole aap raja h ? Esliye hum aapko jaan jhokim ka kaam nahi karne denge, birbal ne samhjaya magar we nahi mane. Itne mein noka dusre kinare par ja lagi. Badshah akbar bole birbal tum haar gaye.

Haar kaha gaya jahapanha ? Birbal bola iss tinke ke sahare hi to maine nadi paar ki h? Yeh mere pass n hota to angrakshak kudne se kyu rokte? Tab mein nadi mein doob jata. Sunte hi badshah akbar has kar bole: birbal tumse jitna sachmuch musqil h.

Birbal ki Budhimani

Akbar badshah birbal ki budhimani ko loha mante the. Aur iss bat ko puri sabha mein parkat bhi kar dete the. Sabhasad yeh jante the, ki birbal ka jaddu akbar ke dilo–dimag par chata hi ja raha h.

Birbal hindu the, baaki unke utraadhikari sabhasad musalman thw, we log iss baat ko bhi pasand nahi karte the. Ki akbar musalman hote hue ek hindu ko itna aadar kyu de jabki badshah dharm mein koi farak nahi karte the. Wo ro puri parja ko apne bacho ki tarah mante the. Sabko saman roop se pyar karte the.

Akbar ke sabhasad biral ke bare mein unke kaan bharte the. Akbar iss baat ko accchi tarah samjhate the ki yeh sab log birbal se uski budhi ke maare jalte h. Ek din budhimani ki pariksha ka waqt aa gaya, bahar se kuch vephari log aaye the. Unhone apna salam akbar ko bhijwaya tha.

Apni kushal shem puchwana akbar ka naitik kartweh tha. Unhone apni sabha se 3 naukaro ko ek–ek sawal kehkar unki kushal shem puchkar aane ko kaha. Unn tino se jo parshan btaye gaye the we usi ka utar lekar aaye.
Ek ne btaya– we vehpari door desh se aaye h.

Moral Stories for Children About Life

Dusre ne btaya– we apne desh se unn ka saman laye h use yaha bechna chahte h,
teesre ne btaya– ye log yaha vehpar karna chahte h.
Sath hi badshah ne birbal ko bhi issi kaam ke liye bheja. Birbal ne aakar btaya– badshah salamat, we vehpari iran se aaye h. We sabhi pani ke raste apne jahajo se aaye h. Apne sath wo apne desh ka kuch saman laye h. Wo yaha use bechna chahte h. Or uske badle mein yaha se masala aadi le jana chahte h. Raste mein unko kisi tarah ki pareshani nahi hui. Yaha jo wo log vehpar karenge uske badle mein badshah salamat ko kar denge.

Birbal iss tarah vehpariyo ki puri report laya tha na ki aur sabhasado ki tarah ek ek sawal ka jawab.
Akbar ne apne sabasado se jo unse birbal ke bare mein shikayat karte the unse kaha. Tum mein aur birbal mein bas yahi farak h. Birbal tum logo se kahi adhik budhiman aur akalmand h.
Akbar ki ye baat sun sabasad aur bhi jal uthe. Lekin isse birbal ko kya asar padne wala tha.

Delhi Mein Kaweh ki Ginti

Ek din badshah sabse pehle darbar mein aaye aur baad mein jitney darbar aate gaye sabse barabar yahi puchne lage– delhi mein kaweh ki sankha kitni h ? Sabhi darbari chup reh gaye. Kisi ne juth–sach kuch bhi utar nahi diya. Tab tak birbal bhi aa pahuche. Badshah ne wahi parsan usse pucha– birbal dhadke se bola–garib parwar! Par saal maine unki ginti karayi thi kewal delji mein 15 soo pichasi kaweh nike the.

Jahapanah birbal se kaweh ki saaf ginti sunkar aascherychakit hue bole–birbal ! Tumne ginti kab karayi thi. Uska parman do, mujhe number shumari mein shak h . Birbal ne keh diya– nahi maharaj. Yeh ginti bilkul thik h ye kaam maine khud kiya h. Badshah ne kaha yadi isme ek bhi number ki kami veshi hogi to tumse 730 rupee jurmana liya jayega. Aaj sham tak mauka h bhali–bhanti soch vichar kar utar do.

Birbal ne kaha–meri ginti bilkul thik h. Phir ye ginne par bhi itne hi niklenge. Kami–veshi tab hogi jab yaha se kuch bahar gaye honge ya bahar se mehmani ke liye yaha aa gaye honge.