Rahat Indori Ghazals Collection
Ab Na Mai Wo Hun, Naa Baaki Hai Zamaane Mere,
Phir Bhi Mashhoor Hai, Shahron Mai Fasaane Mere,
Zindagi Hai To Naye Zakhm Bhi Lag Jaayenge,
Ab Bhi Baaki Hai Kai Dost Puraane Mere,
Aap Se Roz Mulaakat Ki Ummeed Nahi,
Ab Kaha Shehar Mai Rahte Hai Thikaane Mere,
Umra Ke Raam Ne, Saanson Ka Dhanush, Tod Diya,
Mujhpe Ehsaan Kiya Aaj Khuda Ne Mere,
Aaj Jab So Ke Uttha Hu To Ye Mehsus Hua,
Siskiyaa Bharta Raha Koi Sirhaane Mere.
Rahat Indori
30+ Best of Jagjit Singh Ghazals
Ghar se soch ke nikla hoon ki mar jaana hai,
ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai.
Jism se sath nibhaane ki mat ummeed rakho,
is musafir ko to raaste mein thehar jaana hai.
Maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukaar,
main yahi soch ke zinda hoon ki mar jaana hai.
Nasha aisa tha ki maikhane ko duniya samjha,
hosh aaya to khayal aaya ki ghar jaana hai.
Mere jazbe ki badi qadar hai logo mein magar,
mere jazbe ko mere sath hi mar jaana hai.
Rahat Indori
Rahat Indori Sher O Shayari
Chamakte Lafz Sitaaron Se Cheen Laaye Hai,
Hum Aasmaan Se Ghazal Ki Zameen Laaye Hai.
Wo Aur Honge Jo Khanjar Chupa Ke Laate Hai,
Hum Apne Sath Phati Aasteen Laaye Hai.
Humari Baat Ki Gehraayi Khaak Samjhenge,
Jo Parbaton Ke Liye Khurdbeen Laaye Hai.
Hanso Na Hum Pe Ki Hum Badnaseeb Banjaare,
Saron Pe Rakh Ke Watan Ki Zameen Laaye Hai.
Mere Qabeele Ke Bachcho Ke Khel Bhi Hai Ajeeb,
Kisi Sipaahi Ki Talwaar Cheen Laaye Hai.
Rahat Indori
17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Charaghon ko uchala jaa raha hai,
hawa par rob dala jaa raha hai.
Na haar apni na apni jeet hogi,
magar sikka uchala jaa raha hai.
Woh dekho mehkade ke raste mein,
koi allaah wala jaa raha hai.
The pehle hi kayi saanp aastin mein,
ab ek bichu bhi pala jaa raha hai.
Mere jhoote gilaason ki chakaa kar,
behakton ko sambhala ja raha hai.
Humein buniyaad ka patthar hai lekin,
humein ghar se nikala jaa raha hai.
Janaaze par mere likh dena yaaro,
mohabbat karne wala jaa raha hai.
Rahat Indori
Rahat Indori Ghazals in Hindi
Log Har Mod Pe Ruk-Ruk Ke Sambhalate Kyu Hai,
Itna Darte Hai To Phir Ghar Se Nikalate Kyu Hai,
Main Na Juganu Hu Diya Hu Na Koi Taaraa Hu,
Roshani Waale Mere Naam Se Jalate Kyu Hai,
Neend Se Mera Taalluq Hi Nahi Barason Se,
Khawab Aa Aa Ke Meri Chat Pe Tehalate Kyu Hai,
Mod Hota Hai Jawaani Ka Sambhalane Ke Liye,
Aur Sab Log Yahi Aake Phisalate Kyu Hai.
Rahat Indori
17 Best Jagjit Singh Ghazal Collection
Andar ka zehar choom liya dhool ke aa gaye,
kitne shareef log the sab khool ke aa gaye.
Suraj se jung jeetne nikle the bewqoof,
saare sipaahi mom ke the ghul ke aa gaye.
Maszid mein door-door koi dusra na tha,
hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gaye.
Neendon se jung hoti rahegi tamaam umar,
aankhon mein band khwaab agar khul ke aa gaye.
Suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pehli baar,
aaine ko maze bhi taqabul ke aa gaye.
Anjaane saaye phirne lage hai idhar-udhar,
mausam humare shehar mein kabul ke aa gaye.
Rahat Indori
Rahat Indori Ghazals
Hai Falak teri tarafdar nmaaji ho ja,
aye jameeno ke talabgaar nmaaji ho ja.
subh se sham talak sham se fir subh talak,
cheekate rehte hai meenar nmaaji ho ja.
aaj nhi jung ke maidan gaawahi denge,
isse badhkar nahi talwar nmaaji ho ja.
kiski himmat hai jo dekhe teri masjid ki taraf,
shart itni hai mere yaar nmaaji ho ja.
Rahat Indori
Mukesh Songs Lyrics Collection
roj taaro ko numaish mein khalal padta hai,
chand pagal hai andhere mein nikal padta hai.
ek deewana musafir hai meri aankhon mein,
waqt bewaqt thehar jaata hai chal padta hai.
apni taabir ke chakkar mein mera jaagta khwaab,
roj suraj ke tarah ghar se nikal padta hai.
roj patthar ki himayat mein ghazal likhte hai,
roj sheesho se koi kaam nikal padta hai.
uski yaad aayi hai saanso zara aahista chalo,
dhadkano se bhi ibaadat mein khalal padta hai.
Rahat Indori
Rahat Indori Ghazals in Urdu
ungliya yu n sab par uthaya karo,
kharch karne se pehle kamaya karo.
jindagi kya hai khud hi samjh jaoge,
baarisho mein patange udhaya karo.
dosto se mulakat ke naam par,
neem ki patiyon ko chabaya karo.
sham ke baad jab tum sehar dekh lo,
kuch fakeero ko khana khilaya kro.
apne seene me do gaj jamee bandhkar,
aasmano ka jarf aazmaya karo.
chand suraj kaha, apni manjil kaha,
aise waiso ko mooh mat lagaya karo.
Rahat Indori
apne hone ka hum iss tarah pata dete the,
khak muthi me uthate the, uda dete the.
besamar jaan ke hum kaat chuke hai jinko,
yaad aate hai ke bechare hawa dete the.
uski mehfil mein wahi sach tha wo jo kuch bhi kahe,
hum bhi gungo ki tarah hath utha dete the.
ab mere haal pe sharminda hue hai wo bujurg,
jo mujhe fhulne-fhalne ki dua dete the.
ab se pehle ke jo qatil the bahut acche the,
qatal se pehle wo paani pila dete the.
wo hame kosta rehta tha jamane bhar me,
aur hum apna koi sher suna dete the.
ghar ki tameer mein hum barso rahe hai pagal,
roz deewar uthate the, gira dete the.
hum bhi ab juth ki peshani ko bosa denge,
tum bhi sach bolne walo ke saja dete the.
Rahat Indori
Rahat Indori Famous Ghazal
bimar ko marz ki dawa deni chahiye,
main peena chahta hoon peela deni chahiye,
allah barkato se nawazega ishq mein,
hai jitni punji paas laga deni chahiye.
dil bhi kisi faqir ke hujre se kam nahi,
duniya yahi pe la ke chupa deni chahiye.
main khud bhi karna chahta hoon apna samna,
tujh ko bhi ab naqab utha deni chahiye.
main phool hoon to phool ko guldan ho naseeb,
main aag hoon to aag bujha deni chahiye.
main taaj hoon to taaj ko sar par sajaen log,
main khaak hoon to khaak udha deni chahiye.
main jabr hoon to jabr ki taid band ho,
main sabr hoon to mujh ko dua deni chahiye.
main khwab hoon to khwab se chaunkaiye mujhe,
main neend hoon to neend udha deni chahiye,
sach baat kaun hai jo sar-e-am keh sake,
main keh raha hoon mujh ko saza deni chahiye.
Rahat Indori
Andhere charo taraf saaye-saaye karne lage,
chirag hath uthakar duwaye karne lage.
tarakki kar gaye bhimariyo ke saudagar,
ye sab mareej hai jo ab dawaye karne lage.
lahulohan pada tha jami pe ek suraj,
parinde apne paro se hawaye karne lage.
jami pe aa gaye aankho se toot kar aansu,
buri khabar hai fariste khatye karne lage.
jhulas rahe hai yaha chavn baatne wale,
wo dhoop hai ki shajar iltijaye karne lage.
ajeeb rang tha majlis ka, khoob mehfil thi,
safed posh uthe kaaye-kaaye karne lage.
Rahat Indori
Rahat Indori Ghazals Lyrics
Ab na mai wo hoon, Na baaki hai zamane mere,
Phir bhi mashoor hai, shahro mein fasaane mere.
Zindagi hai to naye zakhm bhi lag jayenge,
Ab bhi baaki hai kai dost puraane mere.
Aap se roz mulaqat ki ummeed nahi,
Ab kaha shehar mai rehte hai thikaane mere.
Umra ke raam ne, saanson ka dhanush, tod diya,
Mujh pe ehsaan kiya aaj khuda ne mere.
Aaj jab so ke utha hoon to ye mehsus hua,
Siskiyan bharta raha koi sirhaane mere.
Rahat Indori