20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals

Hindi Ghazal Lyrics Collection

Wasal Ka Maza Kya Gar Har Baat Pe Inkaar Ho,
Do Chaar Bose Adaa Karo Taaki Shuru Pyar Karo.

Hai Mujh Par Yakeen To Aa Jaaogi Meri Baahon Me,
Hadein Nahi Hoti Wahan Jahan Par Bhi Pyaar Ho.

Chal Chukka Hoon Main Kuchh Kadam Ishq Me Agar,
Maza Tab Hai Jab Tumhara Har Baat Pe Ikraar Ho.

Bichhadkar Thik Rahein Dono Is Me Kya Baat,
Baat To Tab Hai Jab Dono Ishq Me Beemar Ho.

Parvesh Kumar PK

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Badi Wafa Se Chaha Tha Jisko
Aaj Us Mohabbat Ne Humko Thukra Diya.

Kya Anjam Hoga Meri Chahat Ka,
Jispar Kiya Bharosa Usi Ne Gumrah Kiya.

Uske Tassuwar Me Rehte The Har Waqt Hum,
Bas Itna Sa Humne Gunah Kiya.

Dua Karte The Jiske Aabad Hone Ki,
Usi Ne Aaj Humko Barbad Kiya.

Parvesh Kumar PK

Heart Touching Ghazal Lyrics

Maazi Ke Gam Dariya Me Phenk Ke Aaya Hoon
Main Aaj Naya Sawera Dekh Ke Aaya Hoon.

Meri Aankh Kuch Aur Dekhna Hi Nahi Chahti
Aisa Mehakta Hua Gulshan Dekh Ke Aaya Hoon.

Khoya Rahoon Uske Khwabon Me Ye Tamanna Hai
Ek Hi Nazar Me Puri Duniya Dekh Ke Aaya Hoon.

Tareef Kya Karoon Ki Lafz Hi Nahi Mere Pass
Main Aaj Shabdkosh Se Pare Alfaaz Dekh Ke Aaya Hoon.

Maile Ho Gaye Honge Uske Pair Zameen Pe Rakhne Ke Baad
Sawarg Ki Apsaraon Se Sunder Apsara Dekh Kea Ay Hoon.

Wo Dur Hua Nazron Se Tab Jaan Par Bani Thi
Sharir To Aa Gaya Magar Aatma Chhod Ke Aaya Hoon.

Wo Nazakak Wo Adaa Wo Saadgi Wo Khoobsurti
Ek Hi Shakhs Me Sab Kuchh Dekh Ke Aaya Hoon.

Ae Khuda Usko Banana Me Laga Waqt Kitna Ye Bata
Ki Jis Aalokit Sundarta Ki Murat Ko Dekh Ke Aaya Hoon.

Koi Puja Koi Upasana Koi Rishwat Koi Upay Hai To Bata
Ki Ae Khuda Wo Mera Ho Jaye Jise Main Dekh Ke Aaya Hoon.

Parvesh Kumar PK

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Kagaz Par Bhi Us Ka Likha Naam Mitaay Na Jayega,
Mujhse To Wo Shakhs Kisi Haal Me Bhi Bhulaya Na Jayega.

Log Kahein Use Bewafa Mujhe To Koi Majburi Lagti Hai,
Agar Bewafa Bhi Hai To Mujhse Ye Daag Lagaya Na Jayega.

Mat Puchho Mujh Se Kissa-E-Mohabat Tum Is Haal Me,
Aansu Chhalak Jayega Mujhse Kuchh Sunaya Na Jayega.

Mujhe Jo Kehna Hai Kaho Magar Use Na Bura Kaho Logo,
Wo Hua Agar Ruswa To Mujh Se Jiya Na Jayega.

Parvesh Kumar PK

~~~~~

Gazab Rasm Riwaaz Hain Is Pyaar Ki,
Khud Hi Bigaadi Humne Aadat Sarkar Ki.

Nazar Milakar Ishaare Bhi Usne Kiye,
Hamari Nazar Pe Fir Kyun Takraar Ki.

Bewafayi Jo Puchhi To Ye Keh Ke Chal Diye,
Aap Ki Galti Hai Ye, Kyun Humse Aankhe Char Ki.

Khud Mitkar Bhi Uski Khushi Chahta Hai “Parvesh”
Ki Har Khta Maaf Karta Raha Main Us Aiyaar Ki.

Ab Mohabbat Khuda Bhi Ho Jaaye To Tauba Hai,
Nahi Dohraaunga Wo Galti Jo Ek Baar Ki.

Parvesh Kumar PK

Famous Ghazal in Hindi Language

Kitni Dafe Dhokhe Dega Kitni Baar Chhalega,
Tera Jaadu Ab Mujhpar Aur Nahi Chalega.

Janwaron Me Bhi Hoti Hai Wafa Tu To Insan Hai,
Nahi Pata Tha Tu Itna Dagabaz Nikalega.

Kabhi Idhar Kabhi Udhar Kitni Palti Marega,
Tujhko Bhi Milenge Dhokhe Tu Kab Tak Bach Lega.

Meri Chhod Main To Fir Bhi Sambhal Gaya Magar,
Tera Kya Hoga Jab Tu Itni Upar Se Fislega.

Beej Mitti Me Daal Diye Magar Pani Dena Bhul Gaya,
Dekhna Hai Bin Pani Ke Kab Aur Kaise Phool Khilega.

Parvesh Kumar PK

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

Ye Khubsurat Aankhein Fareb Hain Aur Kuchh Nahi,
Hum Ko Isi Ka Aib Hai Iske Siwa Kuchh Nahi.

Ye Kaatil Nigaahein Hume Jeene Hi Nahin Deti,
Ye Zehar Hain Ye Hi Jaam Is Ke Siwaa Kuchh Nahi.

Inki Halki Si Aahat Se Bhi Main Machal Jata Hoon,
Yahi Dard Hai Yahi Rahat Iske Siwa Kuchh Nahi.

Sadiyon Tadap Kar Inka Intjaar Karta Raha Hu Main,
Ye Aai To Do Pal Thehri Bhi Do Pal Iske Siwa Kuchh Nahi.

Logo Ne To Isko Khuda Tak Keh Daala Magar,
Is Mohabbat Me Maja Do Pal Saja Umarbhar Iske Siwa Kuchh Nahi.

Parvesh Kumar PK

Hindi Love Ghazal Lyrics

Kabhi Nazar Aata Hai Wo Chehra Kabhi Parde Me Rehta Hai,
Bahut Kaatil Hota Hai Husn Jo Dhaka Rehta Hai.

Kaale Libas Me Kabhi Jab Aa Jati Hai Saamne,
Nazar Me Rahe Tab Tak Dil Mera Khatre Me Rehta Hai.

Sharm Haya Pardadari Ye Sab Hum Deewane Hi Samjhe Hain,
Ishq Me Ye Aashiq Dil Hardam Sajde Me Rehta Hai.

Rehne Ko To Duniya Me Hain Thor Thikane Bahut Magar,
Main Us Ki Nazar Me Rehta Hu Wo Meri Nazar Me Rehta Hai.

Parvesh Kumar PK

Parvesh Kumar Pk Ghazals

Mere Mehboob Ki Doli Uthne Lagi Hai
Mohabbat Ki Duniya Lutne Lagi Hai.

Sath Li Thi Jo Kabhi Humne Sanse
Ek-Ek Karke Wo Sab Ghutne Lagi Hai.

Dekhi Hai Maine Muskan Uske Rukh Par
Meri Ab Dhadkan Rukne Lagi Hai.

Basayegi Ghar Wo Jakar Kisi Gair Ka
Meri To Duniya Hi Ujadne Lagi Hai.

Le Chalo Ab Mujhko Dur Yaha Se
Kaano Me Shehnai Chubhne Lagi Hai.

Meykhana Kahan Hai Koi To Bata Do
Dil Me Mere Aag Jalne Lagi Hai

Kar Lo Taiyari Mere Marne Ki Logon
Jism Se Mere Jaan Nikalne Lagi Hai.

Surkh Jode Me Wo Suhagin Bani Hai
Idhar Meri Arthi Jalne Lagi Hai.

Usko Tum Khushiya Lene Do Yaaron,
“Parvesh” Ki Hasti Mitne Lagi Hai.

Parvesh Kumar PK

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Mujhe Mere Dard Ke Sath Jee Lene Do
Mujhe Jaam Pe Jaam Pee Lene Do.

Shama Na Jalao Mere Nasheman Me
Mujhe Ghanghor Andhero Me Reh Lene Do.

Chup Rehkar Main Jee Na Sakunga.
Mujhe Jee Bharkar Tum Ro Lene Do.

Usne Diya Dokha Jo Jaan Se Pyara Tha
Usko Mat Koso Mujhko Tanha Rehne Do.

Jhoothi Dilasa Se Na Behalao Mujhe
Mere Tute Dil Ko Tuta Hi Rehne Do

Mera Samna Ho Gaya Hai Sach Se
Ab Is Sach Ko Seene Me Utar Jane Do.

Parvesh Kumar PK

Hindi True Love Ghazal

Pyar Ke Dard Se Chal Rahi Hai Zindagi,
Boond-Boond Barf Jaise Pighal Rahi Hai Zindagi.

Ek Wada Tha Jo Anjaam Tak Na Pahunch Saka
Maut Ke Sanche Me Ab Dhal Rahi Hai Zindagi.

Mere Sanam Kash Tu Mujhko Samajh Leta
Ab Ret Ki Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi.

Kis Hak Se Ab Tujhko Pukaroo Ye Bata
Sharm Ke Bojh Tale Ab Dab Rahi Hai Zindagi.

Kuchh Galtiyan Teri Hain Kuchh Khata Meri Bhi Hai
Tukdo-Tukdo Me Ab Meri Bant Rahi Hai Zindagi.

Jahan Bhi Rehna Tu Rehna Salamat
Teri Badh Rahi Hai Meri Ghat Rahi Zindagi.

Tu Apni Zindagi Sanwar Mere Kasur Na Gin
Jaise Taise Chal Rahi Hai Meri Chal Rahi Hai Zindagi.

Kyun Fark Padta Hai Tujhe Mere Barbad Hone Se
Jo Teri Thi Ab Wo Meri Ho Rahi Hai Zindagi.

Hai Tujhse Ishq Mujhe Ab Bhi Mere Sanam
Par Tere Liye Ab Bojh Meri Ho Rahi Hai Zindagi.

Tu Na Rona Ek Din Mar Jayega “Parvesh”
Maut Hai Sasti Yahan Mehangi Bahut Ho Rahi Hai Zindagi.

Parvesh Kumar PK

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Bewafa Ko Kaise Main Bhula Paunga
Dard Badhega To Ab Kahan Main Jaunga.

Jala Diya Hai Apna Ghar Apne Hi Hathon
Din Dhalte Hi Meykhane Ko Ab Jaunga.

Aashna The Jo Kabhi Ajnabee Se Rehte Hain
Kaise Main Ab Yahan Naye Rishte Banaunga.

Na Aana Tu Bhi Ab Meri Ayadat Ko
Piunga Sharab Aur Ab Gazal Main Gaunga.

Ashkon Ka Samander Sukha Lene Do Mujhko
Baad Uske Jaam Ko Main Hath Na Lagaunga.

Meri Lash Ko Bewafa Se Dur Hi Rakhna Yaro
Jannat Me Main Meykhana Kahan Se Launga.

“Parvesh” To Chala Dur Is Duniya Se
Ab Khuda Ko Apni Mohabbat Ke Kisse Sunaunga.

Parvesh Kumar PK

Ghazal in Hindi Language

Jiska Naam Ho Gaya Wo Sare Aam Ho Gaya,
Kissa Meri Mohabbat Ka Ab Yahan Aam Ho Gaya.

Dekhta Hai Har Koi Mujhe Ab Shak Ki Nigaho Se,
Kisiko Mujhse Bair Ho Gaya Kisiko Pyar Ho Gaya.

Khoya Hoon Main Ab Talak Khyalon Me Uske,
Zamane Ki Nazron Me Ab Jo Bekar Ho Gaya.

Usne Kiya Hai Pyar Itni Si Khata Hai Uski,
Jaha Gujara Mushkil Tha Ab Jina Dushwar Ho Gaya.

Pyar Ki Kahaniyan Amar Hai Jahan Par,
Ab Pyar Tijarat Ho Gaya Ye Kaisa Sansar Ho Gaya.

Parvesh Kumar PK

~~~~~

Geele Baalon Ko Usne Jhatka Yun Saleeke Se,
Sulgate Armaano Pe Pad Gaye Thande Chhinte Se.

Sangmarmari Badan Pe Dale Jo Usne Malmali Kapde,
Dekha Hai Usko Aaj Har Shakhs Ne Alag Tarike Se.

Gujra Hai Wo Yahan Se Har Cheez Gawahi Deti Hai,
Veeran Sadke, Ujde Gulshan Ye Gul Feeke Se.

Sadabahaar Kise Kehte Hain Humne Jana, Jabse Dekhe,
Uncha Kad, Patli Gardan, Chadhta Yauvan, Nain Naksh Teekhe Se.

Parvesh Kumar PK

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Main Manmauji Hoon Mauj Karta Hoon.
Din Ho Koi Har Roj Karta Hoon.

Bhul Gaya Hoon Main Apna Dil Dekar
Ab Din Raat Uski Khauj Karta Hoon.

Khushk Lamho Ka Jab Mausam Aata Hai
Garam Aansu Se Main Paida Aag Karta Hoon.

Khushiyon Me Bhi Kabhi Khush Na Hua
Ab Barbadiyon Par Apni Naaj Karta Hoon.

Ishq Ke Mahalo Me Aaaram Na Mila
Ab Tanhaiyon Ke Khandar Par Raz Karta Hoon.

Tute Hue Ko Aur Kya Todega Koi
Aao Karo Barbad Main Aagaz Karta Hoon.

Tuta Dil Ho Ya Sheesha Fir Nahi Judta
Main Dil Ke Tukdo Ka Hisab Karta Hoon.

Thokar Khakar Girna Jari Hai Ab Tak
Par Uthne Ki Koshish Har Bar Karta Hoon.

Koi Khele Mujhse Khula Darbar Hai
Main Kisi Ko Nahi Inkar Karta Hoon.

Bewafao Se Ab Mujhe Dar Nahi Lagta,
Bewafao Aao Main Tumse Pyar Karta Hoon.

Parvesh Kumar PK

Love Ghazal in Hindi for Girlfriend

Ishq Karne Ko Aankhon Ki Jarurat Nahi Hoti,
Pyar Ke Ehsas Ko Nazro Ki Jarurat Nahi Hoti.

Bin Aankho Ke Bhi Ho Jati Hai Mohabbat
Chahat Ke Liye Jaruri Shakal Surat Nahi Hoti.

Khuddari Bhi Koi Chij Hoti Hai,
Gareebi Sirf Paiso Ki Mohtaj Nahi Hoti.

Tut Jate Hai Aksar Ameero Ke Dil,
Ishq Ko Daulat Ki Jarurat Nahi Hoti.

Parvesh Kumar PK

~~~~~

Meri Chat Se Jab Jugnu Hokar Gujarte Hain
Mere Dil Me Tab Teri Yaad Ke Dard Ubharte Hain.

Shab-A-Wasal Ko Bhula Nahi Hu Main Ab Tak
Unhe Yaad Karke Ab Hijar Ke Din Gujarte Hain.

Har Mehfil Me Jinke Waadon Ke Charche The
Ab Wo Bazm Me Apne Waadon Se Mukarte Hain.

Wo Kehte Hain Nahi Koi Rishta Tumse Hamara
Main Dil Ko Behla Raha Hoon Ki Wo Majak Karte Hain.

Bahut Dekh Liya Tune Chaand Ko “Parvesh”
Raat Kat Jayegi Chal Taaron Ko Ginte Hain.

Parvesh Kumar PK

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Kat-Te Kat-Te Hi Kat-Ti Hai Tujhse Bichhad Ke Ratein,
Neend Aayegi Jis Din Karunga Tumse Khwab Me Baatein.

Zindagi Mujhe Meri Yu Bojh Nahi Lagti
Gar Tum Judayi Ki Jayaj Koi Wajah Batate.

Teri Bewafai Ke Kisse Ab Sunne Me Aate Hain
Pehle Pata Chal Jata To Hum Dil Na Lagate.

Meykhano Me Ab Hamari Raat Gujarti Hai
Dinbhar Behosh Rehte Hain Hum Hosh Me Nahi Aate.

Hushn-A-Ishq Neelam Karne Me Maja Kya Hai “Parvesh”
Puchhunga Unse Gar Naseeb Hui Kabhi Mulakatein.

Parvesh Kumar PK

Hindi Ghazal Collection

Gareebi Se Badh Kar Koi Majburi Nahi Hai
Ab Meri Maujudgi Yahan Jaruri Nahi Hai,

Halal Hua Hoon Main Bewafai Ke Khanzar Se,
Ab Maut Se Meri Jyada Duri Nahi Hai.

Naasur Ban Gaye Hai Zakhm Mere Ab,
Mujhe Marne Ki Koshish Uski Adhuri Nahi Hai,

Mera Bhi Kusur Hai Maine Pyar Kiya Use,
Mat Dena Saza Usko Wo Katil Puri Nahi Hai,

Maine Socha Tha Sanwar Jayegi Zindagi Pyar Se Meri,
Par Jeene Ke Liye Pyar Karna Jaruri Nahi Hai.

Parvesh Kumar PK

17 Best Jagjit Singh Ghazal Collection

Seedhe Raston Par Jab-Jab Thokar Khayi Hai
Ae Zindagi Tab-Tab Hume Lagi Tu Parayi Hai.

Ishq Ko Samjha Khushiyon Ka Sagar Maine
Ishq Kiya To Jana Ye To Gehri Khayi Hai.

Baahar Nikal Kar Meykhane Se Dekha To
Ye Mere Sang Chal Rahi Kiski Parchhayi Hai.

Mujhko Thukrao Ya Apnao Teri Marzi Hai
Mujhme Bahut Burayi Sahi Par Kuchh Achhayi Hai.

Suna Tha Dawa Se Badhkar Dua Me Hai Asar Bahut
Dua Bhi Bekar Hui Ab Meri Kya Dawayi Hai.

Hairat Ki Baat Hai Ki Yahan Insan Nahi Koi
Koi Hindu Koi Muslim Koi Sikh Koi Isayi Hai.

Sari Basti Chhod Mere Ghar Me Sirf Aag Lagi
Kisko Du Dosh Pados Me Sab Mere Hi Bhai Hai.

Chhod Chala Ye Basti Ye Desh “Parvesh”
In Sabse Dur Jane Me Hi Bhalayi Hai.

Parvesh Kumar PK