15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Munawwar Rana Ghazal Collection

Aaye Ho To Ek Mohar-E-Gadagar Bhi Laga Do,
Iss Chaaand Se Maathe Pe Ye Jhumar Bhi Laga Do,

Ajdaad Ki Khushbu Mujhe Jeene Nahi Degi,
Iss Ped Ke Neeche Mera Bistar Bhi Laga Do.

Mumkin Hai Mere Baad Ki Naslen Mujhe Dhundhen,
Buniyaad Mein Ek Naam Ka Patthar Bhi Laga Do.

Iss Jung Mein Haare Hue Kehlaoge Tum Hi,
Chaho To Numaaish Mein Mera Sar Bhi Laga Do.

Ab Sirf Jahazo Mein Safar Karti Hai Pagli,
Bachpan Mein Jo Kehti Thi Mere Par Bhi Laga Do.

Ye Baazi To Main Haath Se Jaane Nahi Dunga,
Tum Daaon Pe Iss Baar Muqaddar Bhi Laga Do.

Munawwar Rana

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Bikhra Hua Kisi Ka Jigar Dikhayenge,
Kabhi Aana Humari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge,

Honth Kaap Jaate Hai Thar-Tharaati Hai Zubaan,
Toote Dil Se Nikli Hui Duaon Ka Asar Dikhayenge,

Ek Pahuch Paata Nahi Aur Ek Chhalak Jaata Hai,
Palkon Se Daaman Tak Ka Ashqon Ka Safar Dikhayenge,

Kabhi Aana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge,
Kahin Tasveer Hai Teri Kahi Likhaa Hai Tera Naam,

Mandir-Masjid Jitna Paak Ek Deewar-O-Dar Dikhayenge,
Aksar Takti Rehti Hai Sunsaan Raahon Ko Sanam,
Darwaaze Par Baithi Huii Budhi Ho Chuki Nazar Dikhayenge.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Ghazals in Hindi

Main Dahsatgard Tha, Marne Pe Beta Bol Sakta Hai,
Hukumat Ke Ishare Pe To Murda Bol Sakta Hai,

Yahan Par Nafraton Ne Kaise-Kaise Gul Khilaye Hai,
Luti Asmat Bata Degi, Dupatta Bol Sakta Hai,

Hukumat Ki Tavajjo Chahti Hai, Ye Jali Basti,
Adalat Puchna Chaahe To Malba Bol Sakta Hai,

Kai Chehre Abhi Tak Munh-Zabani Yaad Hai Isko,
Kahi Tum Pooch Mat Lena Ye Gunga Bol Sakta Hai,

Adaalat Mein Gawahi Ke Liye Laashen Nahi Aatii,
Wo Aankhen Bujh Chuki Hai Phir Bhi Chashma Bol Sakta Hai,

Bahut Si Kursiyan Is Mulk Mein Laashon Pe Rakhi Hai,
Ye Wo Sach Hai Jise Jhoote Se Jhoota Bol Sakta Hai,

Siyaasat Ki Kasauti Par Parakhiye Mat Wafadari,
Kisi Din Inteqaaman Mera Gussa Bol Sakta Hai

Munawwar Rana

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Aage Ka Safar Sirf Meri Rooh Karegi,
Ab Jism Bhi Saman-E-Safar Karne Laga Hai,

Lagta Hai Ke Dehlij Pe Aa Pahuchi Kayamat,
Ek Bhai Ko Ek Bhai Se Dar Lagne Laga Hai,

Waise To Koi Chij Nahi Badli Hai Lekin,
Tum Jab Se Gaye Ho Mujhse Dar Lagne Laga Hai.

Munawwar Rana

~~~~~

Wo Ghazal Padhne Me Lagta Bhi Ghazal Jaisa Tha,
Sirf Ghazle Nahi Lehja Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Waqt Ne Chehre Ko Bakhshi Hai Kharaashe Warna,
Kuch Dino Pehle Ye Chehra Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Tum Se Bichchda Tou Pasand Aa Gayi BeTarteebi,
Issey Pehle Mera Kamra Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Koi Mausam Bhi Bichchad Kar Hume Achcha Na Laga,
Waisey Paani Ka Barasna Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Neem Ka Paid Tha, Barsaat Thi Aur Jhoola Tha,
Gaanv Me Guzra Zamaana Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Wo Bhi Kya Din They Tere Paanv Ki Aahat Sun Kar,
Dil Ka Seeney Me Dhadakna Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Ek Ghazal Dekhti Rehti Thi Dareechey Se Mujhe,
Sochta Hu Wo Zamana Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Kuch Tabiyat Bhi Ghazal Kehne Pe Aamada Thi,
Kuch Tera Phoot Ke Rona Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Mera Bachpan Tha, Mera Ghar Tha, Khiloney The Mere,
Sar Pr Maa-Baap Ka Saaya Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Narm-O-Naazuk Sa, Bahut Shokh Sa, Sharmeela Sa,
Kuch Dino Pehle Tou “Rana” Bhi Ghazal Jaisa Tha

Munawwar Rana

Munawwar Rana Shayari and Ghazals

Ainda Jindagi Ke Ye Khawabo Ka Jashan Hai,
Deepawli Nahi Hai Charago Ka Jashan Hai,

Kali Yahi Hai Durga Bhi Devi Bhi Yahi Hai,
Hota Hai Agar Julm To Barchi Bhi Yaha Hai,

Bachpan Se Sath Hai So Mohabbat Mujhe Bhi Hai,
Puja Kabhi Nahi Hai Akidat Mujhe Bhi Hai,

Aa Jaye Agar Waqt To Talwaar Hai Hum Log,
Har Julm Ke Dushman Ke Tarafdar Hai Hum Log,

Har Ek Kabile Ke Hai Sardar Hume,
Ye Mulk Hamara Sabhi Tyohar Hamare,

Soyi Hui Taqdeer Jagati Hai Diwali,
Har Ghar Mein Diya Ek Jalati Hai Diwali,

Har Shaqs Jalata Hai Diye Ghar Mein Naye Se,
Fir Maaye Bana Leti Hai Kajal Bhi Diye Se.

Munawwar Rana

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Aaye ho to ek mohar-e-gadagar bhi laga do,
iss chand se mathe pe ye jhumar bhi laga do.

Ajdad ki khushbu mujhe jeene nahi degi,
iss ped ke neeche mera bistar bhi laga do.

Mumkin hai mere baad ki naslein mujhe dhundhein,
buniyaad mein ek naam ka patthar bhi laga do.

Iss jung mein haare hue kehlaaoge tum hi,
chaho to numaaish mein mera sar bhi laga do.

Ab sirf jahaazo mein safar karti hai pagli,
bachpan mein jo kehti thi mere par bhi laga do.

Ye baazi to main haath se jaane nahi dunga,
tum daon pe iss baar muqaddar bhi laga do.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Ghazals

Miyaan Mein Sher Hoon,
Sheron Ki Gurrahat Nahi Jaati,
Main Lehja Narm Bhi Kar Loon,
To Jhinjhlahat Nahi Jaati,

Mein Ek Din Be Khyali Mein,
Sach Bol Behta Tha,
Mein Koshish Kar Chukaa Hoon,
Munh Ki Karwahat Nahi Jaati,

Jaha Mein Hoon Waha,
Aawaz Dena Jurm Tehra Hai,
Jaha Wo Hai Waha Tak,
Paun Ki Aahat Nahi Jati,

Mohabbat Ka Yeh Jazba Jab,
Khuda Ki Den Hai Bhai,
Tu Mere Raste Se Kyu,
Yeh Duniyahat Nahi Jati,

Wo Mujh Se Be Takkaluf,
Ho Ke Miltaa Hai Magar Rana,
Na Jaane Kyu Mere Chehre Se,
Ghabraahat Nahi Jaati.

Munawwar Rana

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Hum Kuch Aise Tere Diidaar Mein Kho Jaate Hai,
Jaise Bachche Bhare Bazaar Mein Kho Jaate Hai,

Naye Kamro Mein Ab Chije Puraani Kaun Rakhta Hai,
Parindo Ke Liye Shehro Mein Paani Kaun Rakhta Hai,

Mohajiro Yahi Taareekh Hai Makaano Ki,
Banaane Wala Hamesha Baramdo Mein Raha,

Tujhse BichDa To Pasand Aa Gayi Be-Tartibi,
Isse Pehle Mera Kamra Bhi Ghazal Jaisa Tha,

Kisi Bhi Moad Par Tumse Wafadari Nahi Hogi,
Hame Maloom Hai Tumko Yeh Bimari Nahi Hogi,

Tujhe Akele Padhoon Koi Ham-Sabaq Na Rahe,
Main Chahta Hoon Ki Tujh Par Kisi Ka Haq Na Rahe,

Talwaar To Kya Meri Nazar Tak Nahi Uthi,
Uss Shaqs Ke Bacho’n Ki Taraf Dekh Liya Tha,

Farishte Aake Unke Jism Par Khushbu Lagate Hai,
Wo Bache Rail Ke Dibbe Mein Jo Jhadu Lagate Hai,

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Mein Ya Koi Dukaan Aayi,
Main Ghar Mein Sabse Chota Tha Mere Hisse Mein Maan Aayi,

Sirfire Log Hame Dushman-E-Jaan Kehte Hai,
Ham Jo Is Mulq Ki Mithi Ko Bhi Maan Kehte Hai.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Ghazals Lyrics

Dariya ko zom tha ki main dhare pe aa gaya,
lekin main bach bacha ke kinaare pe aa gaya.

Mujh ko bulaane waalo ne umrein nikaal di,
lekin main tere ek ishaare pe aa gaya.

Uss ka tamaam husn humari nazar mein hai,
kashmir saara ek shikare pe aa gaya.

Saanso ki dor toot bhi jaaye toh gham nahi,
shukr-e khuda main aakhiri paare pe aa gaya.

Munawwar Rana

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

Samaji bebasi har shehar ko maqtal banati hai,
kabhi naksal banati hai kabhi chambal banati hai.

Zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjhaye,
diye se meri maa mere liye kajal banati hai.

Khilono ki dukaanein kyu mujhe aawaaz deti hai,
bata aye muflisi tu kyu mujhe pagal banati hai.

Suna hai jab se teh hote hai rishte aasmano mein,
wo pagli ungliyon se roz-o-shab baadal banaati hai.

Hawas mehlon mein reh kar bhi bahut maayus rehti hai,
qana-at ghaas ko choo kar use makhmal banati hai.

Bahut dushwaar hai pyare ghazal mein naadirakari,
zara si bhool ache sher ko mohmal banati hai.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Ki Ghazal

Har Ek Chehra Yaha Par Gulaal Hota Hai,
Hamare Shehar Mein Patthar Bhi Laal Hota Hai,

Main Shohrato Ki Bulandi Par Ja Nahi Sakta,
Jaha Urooj(Zenith) Par Ponhcuo Zawaal(Nadir) Hota Hai,

Main Apne Bachon Ko Kuch Bhi To De Nahi Paya,
Kabhi-Kabhi Mujhe Khud Bhi Malaal Hota Hai,

Yahi Se Aman Ki Tabliig Roz Hoti Hai,
Yahi Pe Roz Kabootar Halaal Hota Hai,

Main Apne Aap Ko Shayad To Likh Nahi Sakta,
Azaan Dene Se Koi Bilaal Hota Hai,

Padosiyo Ki Dukaane Tak Nahi Khulti,
Kisi Ka Gaon Mein Jab Intikaal Hota Hai.

Munawwar Rana

 

Related Post
Leave a Comment