15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Dushyant Kumar Ghazals Collection

Baadh Ki Sambhaawnaayein Samne Hain,
Aur Nadio Ke Kinaare Ghar Bane Hain,

Cheed Wan Ke Kinaare Ghar Bane Hain,
In Darakhton Ke Bahut Naajuk Tane Hain,

Is Tarah Toote Huye Chehre Nahi Hain,
Jis Tarah Toote Huye Ye Aayine Hain,

Aapke Kaaleen Dekhenge Kisi Din,
Is Samay To Paanw Kichad Me Sane Hain,

Jis Tarah Chaho Bajaao Is Sabha Mein,
Ghum Nahi Hain Aadmi Hum Jhunjhune Hain.

Dushyant Kumar

10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals

Ho Gayi Hai Peer Parwat-Si Pighalni Chaiye,
Iss Himalya Se Koi Ganga Nikalni Chaiye,

Aaj Yeh Deewar, Pardo Ki Taraf Hilne Lagi,
Shart Thi Lekin Ki Ye Buniyaad Hilni Chaiye,

Har Sadar Par, Har Gali Mein, Har Nagar, Har Gaav Mein,
Hath Lehraate Hue Laash Chalni Chaiye,

Sirf Hungama Khada Karna Mera Maksad Nahi,
Meri Kosish Hai Ki Ye Surat Badalni Chaiye,

Mere Seene Mein Nahi To Tere Seene Mein Sahi,
Ho Kahi Bhi Aag, Lekin Aag Jalni Chaiye,

Dushyant Kumar

Dushyant Kumar Best Ghazal

Aaj Sadko Par Likhe Hai Saikado Naare N Dekh,
Par Andhera Dekh Tu Aakash Ke Taare N Dekh,

Ek Dariya Hai Yaha Par Door Tak Phaila Hua,
Aaj Apne Baajuo Ko Dekh Patware N Dekh,

Ab Yakinan Tosh Hai Dharti Haqiqar Ki Tarah,
Yeh Haqiqar Dekh Lekin Khauf Ke Maare Ne Dekh,

Wo Sahare Bhi Nahi Ab Jung Ladni Hai Tujhe,
Kat Chuke Jo Hath Unn Haatho Mein Talwaare N Dekh,

Ye Dundlka Hai Najar Ka Tu Mehaj Mayus Hai,
Rojno Ko Dekh Deewaro Mein Deeware N Dekh,

Rakh Kitni Raakh Hai, Charo Taraf Bikhri Hui,
Raakh Mein Chingariya Hi Dekh Angare Ne Dekh.

Dushyant Kumar

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Iss Nadi Ki Dhar Mein Thandi Hawa Aati To Hai,
Naav Jarjar Hi Sahi, Lehro Se Takrati To Hai,

Ek Chingari Kahi Se Dhund Laao Dosto,
Iss Diye Mein Tel Se Bhigi Hi Baati Hai,

Ek Khandar Ke Hardey-Si, Ek Jungli Phool-Si,
Aadmi Ki Peer Gungi Hi Sahi, Gaati To Hai,

Ek Chadar Saanjh Ne Saare Nagar Par Daal Di,
Yeh Andhere Ki Sadak Uss Bhor Tak Jaati To Hai,

Nirvechan Maidan Mein Leti Hui Hai Jo Nadi,
Patharo Se, Aaut Mein Ja-Jaake Batiyati To Hai,

Dukh Nahi Koi Ki Ab Uplabdiyo Ke Naam Par,
Aur Kuch Ho Ya N Ho, Aakash-Si Chaati To Hai.

Dushyant Kumar

Dushyant Kumar Famous Ghazals

Ek Gudiya Ki Kai Kathaputliyon Mein Jaan Hai,
Aaj Shayar Ye Tamasha Dekh Kar Hairaan Hai,

Khas Sadak’e Band Hai Tab Se Maramat Ke Liye,
Ye Hamare Waqt Ki Sabse Badi Pehchaan Hai,

Ek Budha Adami Hai Mulq Mein Ya Yoon Kahu,
Iss Andheri Kothari Mein Ek Roshan-Daan Hai,

Maslahat Aameez Hote Hai Siyaasat Ke Kadam,
Tu Na Samajhega Siyaasat Tu Abhi Insaan Hai,

Is Kadar Pabandi-E-Mazahab Ki Sadak’e Aapki,
Jab Se Aazadi Mili Mulq Mein Ramzaan Hai,

Kal Numaaish Mein Mila Wo Cheethardhe Pehne Hue,
Maine Poocha Naam To Bola Hindustaan Hai,

Mujh Mein Rehte Hai Karod’o Log Chup Kaise Rahu,
Har Ghazal Ab Saltanat Ke Naam Ek Bayaan Hai.

Dushyant Kumar

15+ Best of Bashir Badr Ghazals

Chandani Chat Pe Chal Rahi Hogi,
Ab Wo Akeli Tahal Rahi Hogi,

Phir Mera Zikar Aa Gaya Hoga,
Wo Baraf-Si Pighal Rahi Hogi,

Kal Ka Sapna Bahut Suhana Tha,
Ye Udhasi Na Kal Rahi Hogi,

Sochata Hoon Ki Band Kamare Main,
Ek Shama-Si Jal Rahi Hogi,

Tere Gahanon Si Khankhanati Thi,
Bajare Ke Fasal Rahi Hogi,

Jin Hawao’n Ne Tujh Ko Dularaya,
Unn Mein Meri Gazal Rahi Hogi.

Dushyant Kumar

Dushyant Kumar Ki Ghazal in Hindi

Ye Sara Jism Jhuk Kar Bojh Se Duhara Hua Hoga,
Main Sajde Mein Nahi Tha Aap Ko Dhoka Hua Hoga,

Yaha Tak Aate-Aate Sukh Jati Hai Sabhi Nadiyan,
Mujhe Malum Hai Pani Kaha Thehra Hua Hoga,

Gazab Ye Hai Ki Apni Maut Ke Aahat Nahi Sunate,
Wo Sab Ke Sab Pareshan Hai Waha Par Kya Hua Hoga,

Tumhare Shehar Mein Ye Shor Sun-Sun Kar To Lagata Hai,
Ki Insano Ke Jungal Mein Koi Hana-Ka Hua Hoga,

Kai Fake Bitakar Mar Gaya Jo Uss Ke Bare Mein,
Wo Sab Kehate Hai Ab Aisa Nahi Aisa Hua Hoga,

Yaha Par Sirf Gunge Aur Behare Log Baste Hai,
Khuda Jaane Yaaha Par Kis Tarah Jalsa Hua Hoga,

Chalo Ab Yadgaron Ke Andheri Kothari Khole,
Kamazkam Ek Wo Chehara To Pehchana Hua Hoga.

Dushyant Kumar

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Ik Hariyar Hafta Hain Daal Par
Ab Nahi Pani Kisi Bhi Taal Par

Dubne Se Kya Bachayenge Tumhe
Jo Tikayenge Pav Khud Sewal Par

Vivash Ho, Vishwash Machali Kar Rahi
Zindagi Ke Vaste Ghadiyal Par

Vo Sunege Kya Kisi Ki Yachana
Dant Jinke Ghad Chuke Ho Khal Par

Dard Tera Aur Mera Ik Hai
Milake Sochange Savyat Ke Haal Par

Dushyant Kumar

Dushyant Kumar Ghazals

Siskiyo Ko Daba Rahi Hogi
Wo Gajal Gunguna Rahi Hogi

Ood Karke Suhag Ik Ladki
Khat Purane Jala Rahi Hogi

Log Yu Khafa Nahi Hote
Aapki Bhi Khata Rahi Hogi

Hadso Se Mujhe Bacha Layi
Wo Kisi Ki Dua Rahi Hogi

Kheriyate Se Kate Safar Mera
Aaj Maa Nirjala Rahi Hogi

Dushyant Kumar

15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals

Mere Swepan tumhare pass sahara paane aayenge,
iss budhe peepal ki chaya me sustaane aayenge.

haule-haule paav hilaao jal soya hai chedo mat,
hum sab apne-apne deepak yahi sirhane aayenge,

thodi aanch bachi rehne do thoda dhuan nikalne do,
tum dekhogi isi bahane kahi musafir aayenge,

unko kya maalum nirupit iss sikta par kya beeti,
we aaye to yaha shank shipiya uthane aayenge,

phir athit ke chakarwat mein dristhi n uljha lena tum,
anginit jhonke unn ghatnao ko doharane aayenge.

reh-reh aankho me chubti hai path ki nirjan dopehari
aage aur badhe to shayad darseh suhane aayenge.

mele me bhatke hote to koi ghar pahucha jata,
hum ghar me bhatke hai kaise thor-thikane aayenge.

hum kyu bole iss aandhi me kahi gharonde toot gaye,
inn asafal nirmitiyo ke seh kal pehchane jayenge.

hum itihaas nahi rach paaye iss pida me dehte hai,
ab jo dharaye pakadenge isi muhane aayenge.

Dushyant Kumar

Ghazal by Dushyant Kumar

Dekh dehleej se koi nahi jaane wali,
ye khatarnaak sachayi nahi jaane wali,

kitna accha hai ki saanso ki hawa lagti hai,
aag ab unse bujhayi nahi jaane wali

ek talaab-si bhar jaati hai har baarish mein,
main samjhta hu ye khayi nahi jaane wali,

cheekh nikli to hontho se magar madham hai,
band kamro ko sunayi nahi jaane wali,

tu pareshan hai, tu pareshan n ho,
inn khudao ki khudayi nahi jaane wali,

aaj sadko pe chale aao to dil behlega,
chand ghazalon se tanhayi nahi jaane wali.

Dushyant Kumar

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

ek gudiya ki kahi kathputlio me jaan hai,
aaj shayar yeh tamasha dekhkar hairaan hai,

khaas sadke band hai tab se marammat ke liye,
ye hamare waqt ki sabse sahi pehchaan hai,

ek budha aadmi hai mulk me ya yu kaho,
iss andhere kothari mein ek roshandan hai,

masalhat-aamej hote hai, siyasat ke kadam,
tu n samjhega siyasat, tu abhi nadaan hai.

iss kadar paabandi-e-majhab ki sadke aapke,
jab se aajadi mili hai mulk me ramzaan hai,

kal numaish mein mila wo chitade pehne hue,
maine pucha naam to bola ki hindustan hai,

mujhme rehte hai croro log chup kaise rahu,
har ghazal ab saltanat ke naam ek bayaan hai.

Dushyant Kumar

Dushyant Kumar Ghazal Lyrics

ek andhkar barsaati raat mein,
barfile darro-si thandi sthitiyo mein,
anayas dudh ki maasum jhalak sa,
hansta, kilkariyo bharta,
ek geet janma,
aur deh me ushma
sthithi sandarbo me roshni bikherta,
sune aakhaso mein gunj utha,
bache ki tarah meri ungli pakar kar,
mujhe suraj kke samne la khada kiya

yeh geet jo aaj chechahta hai,
antwarsi ahem se bhi swagat pata hai,
nadi ke kinare ya lawarish sadko par,
ni-sawan maidano mein
ya ki band kamro mein,
jaha kahi bhi jata hai,
mare hue sapne sajata hai,
bahut dino tadpa tha apne janm ke liye.

Dushyant Kumar

10+ Best of Rahat Indori Ghazals

aphahij wyastha ko wehan kar raha hu,
tumhari kehan thi, kehan kar raha hu,

ye darwaja khole to khulta nahi hai,
ise todne ka jatan kar raha hu,

andhere me kuch jindagi hom kar di,
ujhale me ab ye hawan kar raha hu,

we sabandh ab tak behas me tange hai,
jinhe raat-din samran kar raha hu,

main ehsaas ko naman kar raha hu,
tere aasuno ko naman kar raha hu,

samalochko ki dua hai ki main fir,
sahi shaam se aachman kar raha hoon.

Dushyant Kumar

Ghazal of Dushyant Kumar

ghantiyo ki aawaaj kaano tak pahuchati hai,
ek nadi jaise dahano tak pahuchti hai,

ab ise kya naam de, ye bail dekho to,
kal ughi thi aaj shaano tak pahuchti hai.

khidkiya, nachij galio se mukhatib hai,
ab lapat shayad makano tak pahuchti hai,

aashiyane ko sajao to samjh lena,
barak kaise aashiyano tak pahucti hai,

tum hamesha badhawasi mein gujarte ho,
baat apno se bigano tak pahuchti hai,

sirf aankhe hi bachi hai chand chehro mein
bejuba surat, jubano tak pahuchti hai,

ab muhajan ki sadaye kon sunta hai,
chikh-chillahat ajaano tak pahuchti hai.

Dushyant Kumar