Kaise Keh Doon Ki Mulakaat Nahi Hoti Hai,
Roz Milte H Magar Baat Nahi Hoti Hai,
Aap Lillah Na Dekha Kare Aayina Kabhi,
Dil Ka Aa Jana Badi Baat Nahi Hoti Hai,
Roz Milte Hain ………
Haal E Dil Puchne Waale Teri Dunia Me Kabhi,
Din To Hota Hai Magar Raat Nahi Hoti Hai,
Roz Milte Hain ……
Jb Bhi Milte Hain To Kehte Hain Ki Kaise Ho “Shakil”,
Iss Se Aage To Koi Baat Nahi Hoti Hai,
Roz Milte Hain ………
Shakil
Krishan Nand Chobe Ghazals
Kya Pata Tha Waqt Ye Din Bhi Dikhayega Mujhe,
Aasma Jaise Bulandi Se Girayega Mujhe,
Baraha Awaaj Di Thi Maine Iss Ummid Se,
Mein Bulaunga Use To Wo Bulayega Mujhe,
Mein Rihayi Ki Kushi Mein Esliye Khamosh Tha,
Aashiyane Mein Kafas Bhi Yaad Aayega Mujhe,
Maine Uss Din Keh Diya Tha Nakhuda Se Saf-Saf,
Tu Dubokar Dekh Le, Tufa Bachayega Mujhe,
Iss Yaki Ke Sath Mein Ladta Rahunga Waqt Se,
Koi Lamha Ek Sadi Jaisa Bnayaega Mujhe,
Esliye Kehta Nahi Hu Usse Apni Dasta,
Wo Sunega Kuch Nahi, Kuch Keh Sunayega Mujhe.
Krishan Nand Chobe
Rashid Ghazal Lyrics Collection
Dard Ki Barish Sahi Maddham,
Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam,
Zara Aahista Chal,
Tere Milne Aur Fir,
Tere Bichad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswaayi Ka Hai Kam,
Zara Aahista Chal,
Dard Ki Bearish ………..
Apne Dil Me Hi Nahi Hai,
Uski Mehrronmi Ki Yaad,
Uski Aankho Me Bhi Hai Shabnam,
Zara Aahista Chal,
Dard Ki Barish …….
Koi Bhi Ho Humsafar “Rashid”
Na Ho Khush Is Kadar,
Abke Logon Me Wafaa Hai Kam,
Zara Aahista Chal,
Dard Ki Barish ……….
Rashid
Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi
Khud Ki Khaatir Na Jamaane K Liye Zinda Hu,
Karz Mitti Ka Chukaane K Liye Zinda Hu,
Kisko Fursat Jo Mere Jakham Gine Baat Sune,
Khaak Hu Khaak Udaane Ke Liye Zinda Hu,
Karz Mitti Ka ………
Ruh Awara Na Bhatke Ye Kisi Ki Khaatir,
Saare Rishto Ko Bhulaane Ke Liye Zinda Hu,
Karz Mitti Ka ……..
Log Jine Ke Garazmand Bahut H Lekin,
Me Masiha Ko Bachane K Liye Zinda Hu,
Karz Mitti Ka ……..
Kais Faribi Ki Ghazal
Hum Yu Tumhare Paav Pe Aye Jaane-Ja Gire,
Jaise Kisi Gareeb Ka Khasta Maka Gire,
Mana Ki Aye Hawa Tu Nahi Gin Saki, Magar,
Dekha To Hoga Paat Kaha Se Kaha Gire,
Pehle Hi Jhakm-Jhakm Hai Dharti Ka Ang-Ang,
Fir Kyu Jarur Hai Ki Yaha Aasma Gire,
Yu Sehne-Tirgi Mein Padhi Chand Ki Kiran,
Jaise Khamosh Jheel Mein Sange-Gara Gire,
Ham ‘Kais’ Apni Bhook Mitane Ke Waste,
Sayyad Ka Tha Jaal Jaha Par Waha Gire.
Kais Faribi
Ghazals of Karam Haidri
Sambhal Rahe Hai Jaha Mein Bhimar Kaise-Kaise,
Hamari Kismat Magar Hai Aajhar Kaise-Kaise,
Khabar Kaha Nagmgi Mein Dubi Smaato Ko,
Ki Jkham Khate Hai Saaz Ke Taar Kaise-Kaise,
Yahi Dariche Ki Jinme Tanhaiya Basi Hai,
Inhi Mein The Log Shola-Rukshar Kaise-Kaise,
Khayal Mein Jhulti Thi Kya Phool-Phool Shakhe,
Nazar Uthayi To Chub Gaye Khar Kaise-Kaise,
Jhadi Mein Ashqo Ki Beh Gaye Dhool Ke Rang Saare,
Bane The Dil Mein Nukshe-Dildar Kaise-Kaise,
Jo Auke Baithe Hai Ab ‘Karam’ Kya Khabar Hai Unko,
Uthe Hai Iss Mehkade Se Maikhwar Kaise-Kaise.
Karam Haidri
Iftikhar Aarif Ghazal Lyrics
Khawab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Aisi Tanhayi Ki Mar Jaane Ko Jee Chahat Hai,
Ghar Ki Wehsat Se Larjat Hum Agar Jaane Kyu,
Sham Hoti Hai To Ghar Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Doob Jaau To Koi Mauj Nisha Tak N Btaye,
Aisi Naddi Mein Utar Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Kabhi Mil Jaye To Raste Ki Thakan Jag Padhe,
Aisi Manjil Se Guzar Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Wahi Paima Jo Kabhi Jee Ko Kush Aaya Tha Bohat,
Usi Paima Se Mukar Jaane Ko Jee Chahta Hai.
Iftikhar Aarif
~~~~~
Chahat Ka Ek Meetha Dard Jagaane Sham Dhale,
Teri Yaade Aa Jaati Hain Mujko Rulaane Sham Dhale,
Teri Zulfe In Kaandho Par Tera Chehra Hatho Me,
Mene Bhi Dekhe Hain Khaab Suhaane Sham Dhale,
Har Din Humse Wada Karke Yun Hi Agar Tadpaaoge,
Ik Din Yun Hi Ho Jaayenge Hum Hum Bhi Deewane Sham Dhale,
Din Ke Ujaalo Me To Manaa Lu Lakh Jatan Se Behlaa Lu,
Lekin Dil Ka Pagal Panchi Ek Na Mane Sham Dhale.
20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets
Kabhi Saya H Kabhi Dhup Mukaddar Mera,
Hota Rehta H Yu Hi Karz Barabar Mera.
Toot Jaate H Kabhi Mere Kinare Mujme,
Doob Jata H Kabhi Mujme Samundar Mera.
Hanste-Hanste Hue Mausam Abhi Aate Lekin,
Ek Hi Dhoop Ne Kumhla Dia Manzar Mera.
Bawafa Tha To Mujhe Puchne Waale Bhi Na The,
Bewafa Hu To Hua Naam Bhi Ghar Ghar Mera.
35 Famous Ghazals in Urdu for Your Beloved
Dekha To Mera Saya Bhi Mujhse Juda Mila,
Socha To Har Kisi Se Mera Silsila Mila,
Sehre Wafa Mein Ab Kise Ahle Wafa Kahe,
Humse Gale Mila Wahi Bewafa Mila,
Fursat Kise Jo Mere Halaat Puchta,
Har Shaqs Apne Bare Mein Kuch Sochta Mila,
Usne To Khair Apno Se Moda Tha Mooh Ayaaz,
Maine Kya Kiya Wo Saza Mila,
Dekha To Mera Saya Bhi Mujhse Juda Mila,
Socha To Har Kisi Se Mera Silsila Mila.
20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals
Uss Mod Se Shuru Kare,
Fir Ye Jindagi,
Har Seh Jaha Haseen Thi,
Hum-Tum The Ajnabi,
Lekar Chale The Hum Jinhe,
Jannat Ke Khawab The,
Fhulo Ke Khawab The,
Mohabbat Ke Khawab The,
Lekin Kaha Hai Inme Wo,
Pehle Si Dilkashi,
Rehte The Hum Haseen,
Khayalo Ki Bhid Mein,
Uljhe Hue Hai Aaj,
Sawalo Ki Bhid Mein,
Aane Lagi Hai Yaad Wo,
Fursat Ki Zindagi,
Har Seh Jaha Haseen Thi,
Shayad Ye Waqt Humse Koi,
Chaal Chal Gaya,
Ristha Wafa Ka Aur Bhi,
Rango Mein Dhal Gaya,
Ashqo Ki Chandni Se Bhi,
Behtar Wo Dhoop Hi,
Uss Mod Se Shuru Kare,
Fir Ye Jindagi,
Har Seh Jaha Haseen Thi,
Hum-Tum The Ajnabi,
Uss Mod Se Shuru Kare,
Fir Ye Jindagi.
15 Best of Dushyant Kumar Ghazals
Koi Ye Kaise Btaye Ki Weh Tanha Kyu Hai,
Wo Jo Apna Tha Wo Kisi Aur Ka Kyu Hai,
Ye Duniya Hai To Fir Aise Ye Duniya Kaisi Hai,
Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyu Hai,
Ek Jara Hath Badha De To Pakad Le Daman,
Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan,
Itni Kurbat Hai To Fir Fasla Itna Kyu Hai,
Dile Barbaad Se Nikla Nahi Ab Tak Koi,
Ek Lute Ghar Par Diya Karta Hai Dastak Koi,
Aas Jo Toot Gayi Fir Se Bandta Kyu Hai,
Tum Musarat Ka Kaho Ya Iss Ghar Ka Ristha,
Kehte Hai Pyaar Ka Ristha Hai Janam Ka Ristha,
Hai Janam Ka Ye Ristha To Badalta Kyu Hai,
Koi Ye Kaise Btaye Ki Weh Tanha Kyu Hai,
Wo Jo Apna Tha Wo Kisi Aur Ka Kyu Hai,
Ye Duniya Hai To Fir Aise Ye Duniya Kaisi Hai.
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Har Shab Ek Khaab Se Uljha Rehta Hu,
Me Dariya Hu Fir Bhi Pyasa Rehta Hu,
Din Ki Fasal Kate To Sham Dhale Aksar,
Khaabo Ki Deewar Se Chipka Rehta Hu,
Hawa Ki Jad Pe Main Ik Aisa Suraj Hu,
Sham Se Hi Raste Pe Rakha Rehta Hu,
Chalte Chalte Dariya Jab Thak Jaate Hai,
Yaad Ke Gehre Sagar Me Duba Rehta Hu,
Soch Ki Galio Me Awara Firta Hua,
Ghar Ke Darwaze Par Tanha Rehta Hu,
Shayad Koi To Jagaane Aa Jaye,
Iss Khahish Me Pehron Soya Rehta Hu,
Roshnio Ka Ghar Bhi Nahi Milta “Makhdoom”
Suraj Ka Saya Hu Bhaga Rehta Hu.
Best Ghazals
Galatfehmio Ki Saza Chahta Hu,
Me Apne Liye Aaina Chahta Hu.
Bahut Der Tak Nind Aayi Thi Mujko,
Bahut Der Tak Jaagna Chahta Hu.
Kabhi Sochta Hu Ye Kya Chahta Hu,
Abhi To Safar Ka Iraada Kia Hai.
Abhi To Fakat Rasta Chahta Hu,
Falak Par Falak Ki Kabaaye Milengi.
Jameen Par Jameen Ki Kabaa Chahta Hu,
Nigaaho Ki Faili Hui Chahato Ka.
Main Koi Naya Silsila Chahta Hu,
Duaaon Ka Taalib Khalish Aur Hoga,
Me Apne Liye Baddua Chahta Hu.
Khalish Mujaffar
15+ Best of Munawwar Rana Ghazals
Wo Dil Hi Kya Tere Milan Ki Jo Dua Na Kre,
Me Tujko Bhul Ke Zinda Rahu Khuda Na Kre,
Rahega Sath Tera Pyar Zindagi Bankar,
Ye Aur Baat Meri Zindagi Wafa Na Kre,
Suna H Usko Mohobbat Duaae Deti Hai,
Jo Dil Pe Chot To Khaaye Magar Gilaa Na Kre,
Ye Thik Hai Nahi Marta Koi Judaayi Mein,
Khuda Kisi Ko Kisi Se Magar Judaa Na Kre.
Ghazal By Kuldeep Singh
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Itne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Itne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Aisa Nahi Ki Humko Koi Bhi Kushi Nahi,
Aisa Nahi Ki Humko Koi Bhi Kushi Nahi,
Lekin Ye Jindagi To Koi Jindagi Nahi,
Aisa Nahi Ki Humko Koi Bhi Kushi Nahi,
Lekin Ye Jindagi To Koi Jindagi Nahi,
Kyu Iske Faisle Hume Manjoor Ho Gaye,
Itne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Paya Tumhe To Humko Laga Tumko Kho Diya,
Hum Dil Pe Roye Or Ye Dil Tumpe Roo Diya,
Paya Tumhe To Humko Laga Tumko Kho Diya,
Hum Dil Pe Roye Or Ye Dil Tumpe Roo Diya,
Palko Se Khawab Kyu Gire Kyu Chorr Ho Gaye,
Itne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye,
Itne Hue Kareeb Ki Hum Door Ho Gaye,
Kyu Jindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye.
Kuldeep Singh
Kuldeep Singh Best Ghazals
Pyaar Mujse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi,
Pyaar Mujse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi,
Mere Halaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaogi,
Pyaar Mujhse Jo Kiya …………
Ranj Aur Dard Ki Basti Ka Main Basinda Hu,
Ranj Aur Dard Ki Basti Ka Main Basinda Hu,
Ye To Bas Main Hu Jo Is Haal Mein Bhi Jinda Hu,
Khawab Kyu Dekhu Kal Jispe Main Sharminda Hu,
Main Jo Sharminda Hua Tum Bhi To Sharmaogi,
Pyaar Mujse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi,
Kyu Mere Sath Koi Aur Pareshan Rahe,
Meri Duniya Jo Hai Veeran To Veeran Rahe,
Jindagi Ka Ye Safar Tumse To Aasan Rahe,
Hum Safar Mujhko Banaogi To Pachthaogi,
Pyaar Mujse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi,
Ek Main Kya Abhi Aayenge Deewane Kitne,
Abhi Gunjenge Mohabbat Ke Tarane Kitne,
Jindagi Tumko Sunayegi Fasane Kitne,
Kyu Samjhati Ho Mujhe Bhool Nahi Paaogi,
Pyaar Mujhse Jo Kiya To Kya Paaogi,
Mere Halaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi,
Pyaar Mujse Jo Kiya Tumne To Kya Paaogi.
Kuldeep Singh
Collection of Mushir Ghazals
Raam Ne Chodah Saal Gujare Lekin Ghar Ki Aas Liye,
Hum Ko To Ek Umar Hui H Ghar Chode, Vanwas Liye,
Duniya Unko Dhund Rahi H Daman Mein Almas Liye,
Apne Ander Jo Baithe H Pathar Sa Vishwas Liye,
Humko Chaman Se Aaye Hue Kitni Hi Bahare Beet Gayi,
Ab Ye Hawaye Kyu Aata H Phoolo Ki Bu-Bas Liye,
Rangmahal Ke Darwajo Par Bhid Lagi H Mudat Se,
Mandir Masjid Soch Rahe H, Sadiyon Ka Ithihas Liye,
Tum Bhi Nahi Ho, Ye Bhi Nahi H, Wo Bhi Nahi H Uss Jaisa,
Nagri-Nagri Dhund Aaye Hum Aankho Mein Ek Pyas Liye,
Pathar Hi Jab Pujhne Tehere Mandir Ki Pabandi Kya,
Parbat-Parbat Ghum Rahe H Ab To Hum Sanyas Liye,
Ab Ke To Chomas Mein Sabja Bamodar Tak Ja Pahuche,
Chappar Jane Kyu Rota H Apne Sar Par Ghas Liye,
Kuch To ‘Mushir’ Ab Haal Sunao, Kuch To Btao Kya Gujri,
Tum To Gaye The Uss Mehfil Mein Jane Kya Ehaas Liye.
Mushir
‘Kamar’ Jalalabadi Ki Ghazalein
Kabhi Kaha N Kisi Se Tere Fasane Ko,
N Jane Kaise Kabhar Ho Gayi Zamane Ko,
Suna H Gair Ki Mehfil Mein Tum N Jaoge,
Kaho To Aaj Saja Lu Garibkhane Ko,
N Jane Kaise Kabhar Ho Gayi Zamane Ko,
Aba Age Tum Pe Mumkin H Koi Baat Aaye,
Jo Hokum Ho To Yuhi Chod Du Fsane Ko,
Dua Bhaar Ki Maangi To Itne Phool Khile,
Kahi Jagah N Mili Mere Aashiyane Ko,
N Jane Kaise Kabhar Ho Gayi Zamane Ko,
Kabhi Kaha N Kisi Se Tere Fasane Ko,
Daba Ke Chal Diye Sab Kabar Mein Dua N Salam,
Jara Si Der Mein Kya Ho Gaya Zamane Ko,
‘Kamar’ Jara Bhi Nahi Tujhko Khof-E-Ruswayi,
Ki Chandni Mein Chale Ho Unko Manane Ko,
Kabhi Kaha N Kisi Se Tere Fasane Ko,
N Jane Kaise Kabhar Ho Gayi Zamane Ko.
‘Kamar’ Jalalabadi
Rajender Tiwari Ghazal Lyrics
Kisi Ki Ho Na Saki Badnasib Duniya Hai,
N Khawab Hai N Hakiqat, Ajib Duniya Hai
Nayi Sadi Ki Hakiqat Ka Falsafa Ye Hai
Koi Masih Nahi Hai Salib Duniya Hai
Wo Ja Rahe Hai Sitaro Pe Isliye Rahne
Tabah Hone Ke Bilkul Karib Duniya Hai
Bhut Karib Sr Dekha To Humne Ye Jana
Amir Kitni Hai Kitni Karib Duniya Hai
Tumhi Batao Ki Aakhir Raqib Kisko Kahe
Tumhi Raqib Nahi Ho Raqib Duniya Hai
Rajender Tiwari