50+ Best Ghazal Collection

Sad Love Shayari in Hindi

Best Ghazal Collection in Hindi

Sharab chij hi aisi h n chodi jaye,
ye mere yaar ke jaisi h n chodi jaye,

har ek she ko jaha me badalte dekha h,
magar ye waisi ki waisi h n chodi jaye,

issi ke dum se pighalti h ye boghil raate,
magar ye pani ke jaisi h na chodi jaye,

yahi to tute dilo ka ilaaj h “Anjum”,
mein kya kahu tujhe kaisi h n chodi jaye.

Anjum Jaipuri

===—@@—===

Yaha Koi Bhi Sachi Baat – Best Hindi Ghazal

Yaha koi bhi sachi baat ab maani nahi jati,
meri awwaj iss basti mein pehchani nahi jati,

badho aage, karo roshan dishao ko chitao se,
akarath dosto koi bhi kurbaani nahi jati,

mahal h, bhid h, mandir h, masjid h, mashine h,
magar phir bhi sehar se door virani nahi jati,

kahi bottle, kahi sagar, kahi meena, kahi saaki,
ye mehfil aisi bhikri ki h pehchani nahi jati,

ye jhuthe aaswashan aap apne pass hi rakhiye,
dehkati aag par chadar kabhi tani nahi jati,

juban bechi, kala bechi, yaha tak kalpana bechi,
niyat falkar ki ab “Kambri” jani nahi jati.

Ansir kambri

हिंदी शायरी Hindi Shayari ki Mehfil

===—@@—===

Hindi Ghazal for Your Love Crush

Dil Apne Aap Dhadkta Hai,
Dhadkaya Nahi Jata,

Yeh Raaz-E-Mohabbat,
Har Ek Ko Bataya Nahi Jata,

Agar Ehsaas Ho Toh,
Mohabbat Ko Kar Lo Mehsus,

Ye Woh Jazba Hai Jo Lafzon,
Mein Samjhaya Nahi Jata,

Bahut Kam Hain Log Jo,
Dil Mein Utar Jaate Hain,

Har Rah Chalte Ko,
Apna Banaya Nahi Jata.

===—@@—===

Aaj Pata Chala Maut Itni Hasin Hoti Hai – Hindi Ghazal

Zindagi me koi mere pass na baitha,
aaj sab mere pass baithe jaa rahe hai,

koi tohfaa na mila aaj tak or aaj,
phool hi phool diye jaa rahe hai,

taras gaya me kisi ke diye hue kisi ik kapde ke liye,
or aaj sab naye naye kapde udhaye ja rahe hai,

do kadam sath na chalne ko tayar na tha koi,
or aaj kaffila bankar chale jaa rahe hai,

aaj pata chala maut itni hasin hoti hai,
hum to kambhakat yuhi jiye ja rahe the.

===—@@—===

Munawwar Rana Ghazal Lyrics In Hindi

Hum dono mein aankein koi geeli nahi karta,
Gham wo nahi karta hai to main bhi nahi karta,

Mauqa toh kai baar mila hai mujhe lekin,
Main uss se mulaqaat mein jaldi nahi karta,

Wo mujhse bichadne ko bhi taiyaar nahi hai,
Lekin wo buzurgo ko khafa bhi nahi karta,

Khush rehta hai wo apni gareebi mein hamesha.
‘Rana’ kabhi shaahon ki ghulami nahi karta.

===—@@—===

Munawwar Rana Best Ghazal Collection

Kaha tak jheel mein pani rahe aankhe samjhti hai,
kaha tak zakhm ko bharna hai ye marham samjhta hai,

zabaan do chahne walo ko shayad door kar degi,
main bangla kam samjhta hoon, wo urdu kam samjhta hai,

kaha rona hai mujhko deeda-e-purnam samjhta hai,
main mausam ko samjhta hoon mujhe mausam samjhta hai.

Sad Love Shayari in Hindi

===—@@—===

Munawwar Rana Ghazal Shayari Lyrics

Miya mein sher hoon
sheron ki gurrahat nahi jaati
Mein lehja narm bhi kar loon
to jhunjhlahat nahi jaati

Mein ek din be khyali mein
sach bol baitha tha
Mein koshish kar chuka hoon
muh ki karwahat nahi jaati

Jaha mein hoon wahan
aawaz dena jurm tehra hai
Jahan wo hai waha tak
paon ki aahat nahi jaati

Mohabbat ka yeh jazba jab
khudaa ki den hai bhai
Tu mere raaste se kyu
yeh duniyahat nahi jaati

Who mujh se be takaluf
ho ke milta hai magar “Rana”
Naa jane kyon mere cehre se
ghabraahat nahin jaati

Munawwar Rana

===—@@—===

Hindi Ghazal Lyrics By Daag Dehalwi

Khatir se ya lihaj se mein maan to gaya,
juthi kasam pe aapka imaan to gaya,

dil leke mufat kehte h kuch kaam ka nahi,
ulti shikayat hui aehsaan bhi gaya,

darta hu dekar dile be-aarzoo ko mein,
sunsaan ghar ye kyu n ho mehmaan to gaya,

kya aayi rahat aayi jo kunje-majar mein,
wo walwala wo shok wo armaan to gaya,

dekha h jo bootkade mein jo aye shek kuch n puch,
imaan ki to ye h ki imaan to gaya,

afsaye-raaz-e ishq mein goo h jillate,
lekin use jata to diya jaan to gaya,

goo nama –war se kush n hua par hazar shukar,
mujhko wo mere naam se pehchan to gaya,

bajm-e udu mein surat-e parwan mera dil,
wo rasak se laja tere kurban to gaya,

hosh-oh hawash weh tab-oh tamba ‘daag’ ja chuke,
ab hum bhi jane wale h saman to gaya,

khatir se ya lihaj se mein maan to gaya,
juthi kasam se aapka imaan to gaya.

‘daag dehalwi’

===—@@—===

Best Ghazal Collection In Hindi

Apni hasti nazar aayi thi abhi,
saans se semh bujhayi thi abhi,

Kon ho sakta hai aane wala,
ek awwaz-si aayi thi kabhi,

Ek surat thi dil-hi-dil mein,
ek surat se mil aayi thi abhi,

Sath apne wo khuda tha koi,
sath apne jo khudai thi abhi,

Sab ki aankho mein nazar aane lage,
dil mein surat jo chupayi thi abhi,

Baat kehte hi jara kho-se gaye,
baat musqil se bnayi thi abhi,

Fir wafadar nazar aane laga,
bewafa jisse ladayi thi abhi.

Karar nuri

===—@@—===

Dard Bhari Pakistani Ghazal In Urdu

Kab talak pyaar ke sehra mein julsate jaaye,
ab ye badal jo uthe hai to baraste jaaye,

Kon btlaye tumhe kaise wo mausam hai ki jo,
mujhse hi door rahe mujhme hi baste jaaye,

Ham-se aajadmijajo pe ye uftaad hai kya,
chahte jaaye use, khud ko taraste jaaye,

Haaye kya log ye aabad hue hai mujhme,
pyaar ke lafj likhe, lehje se daste jaaye,

Aaina dekhu to ek chehre ke be-rang nukush,
ek nadeeda –si janjeer mein kaste jaaye,

Juj mohabbat kise aaya hai mehyasar ummid,
aisa lamha ki jidhar sadiyo ke raste jaaye.

Ummid Faazli

===—@@—===

Collection of Hindi Ghazal Shayari

Basirato ka hunar jab sad ape rakh dena,
samahato ko bhi aawaje-pa pe rakh dena,

Main jung jeet gaya hu ki jung haar gaya,
ye faisla bhi mere aashna pe rakh dena,

Jab uske samne ijhare-mudha karna,
yaki ki roshni daste-dua pe rakh dena,

Kabhi hayat ki khawaish mein dar-b-dar firna,
mataye-ja kabhi jarbe-ana pe rakh dena,

Ajeeb mashgala-e-ishw ka shikar hu main,
diye jalana tere nakshe-pa pe rakh dena,

Jo habse-ja se kabhi zindagi dehakne lage,
sulagte honto ko khake-shifa pe rakh dena,

Main uske hijar mein jab jal ke rakh ho jau,
mujhe samet ke dosho –hawa pe rakh dena.

Imtiyaaj Sagar

===—@@—===

Hindi Ghazal Lyrics, Ghazal In Hindi

Agarche lamho ke aage dam todti sadi hai,
magar ye lamha bhi deedni hai ki raftni hai.

Main puctha fir raha hu chijo ka bhaw kya hai,
ki aaj fir meri jaat nilam ho rahi hai,

Hawa se mausam ke pate toote ki khawab tute,
hawa se khawab mein fir bhi rango ki roshni hai,

Zamana barish mein chatrya tanta hai lekin,
ye ek haveli jo dhoop mein bhi tapak rahi hai,

Samundaro mein hawa ki giraho ko kon khole,
ki naav kaagaj ki behte-behte thehar gayi hai,

Main jisse milkar hawa ke paikar mein dhal gayi hu,
wo jab pukare to ye lage koi ajnabi hai,

Gharo mein chidiyo ke ghosle haii aur unke andar,
main sun raha hu ki apni awaaz gunti hai.

Musafato mein musafato ka wujud bikhra,
safar ki raaho mein dhool raaho ki at gayi hai,

Hawa ke inn betab khemo mein rehne walo,
tumhari basti samundar se ghiri hui hai,

Jaha ke manjar badal chuke hai badal rahe hai,
magar darkato ke bich ‘akthar’wahi alag hai.

Akthar hoshiyarpuri

===—@@—===

Best Hindi Ghazal Lyrics In Hindi Font

Ab nahi unse yaari rakh
apni ladai jari rak

ek palde me rakh mahangai
aur duje bekari rakh

mandir ke dar pe bhikhmange
bhitar nishthur pujari rakh

mahahto se kaam karna
hai to ek tutari rakh

shonk paal neta baneka ka
char lafut darbari rakh

kavi mancho par bane vidushak
unke naam madari rakh

bhid- bhad mei kho mat jana
apni alag chinhari rakh

kalam ke dushman ji n paye
apni kalam dudhari rakh

basant deshmukh

===—@@—===

Heart Touching Ghazal In Hindi Language

Jiski talash ki wahi aksar nahi milla
ta-umar mujhko meel ka pathar nahi milla

Dariya ki tarah chalta raha main bhi umar bhar
lekin mujhe to koi smunder nahi milla

Katil hi badnasib tha ya mein tha khushnasib
moke pe usko aaj tak khanzar na milla

Humne zamane bhar ke sabhi dard le liye
phi bhi wo aaj tak kabhi hashkar nahi milla

Wo raste pe yu hi bhatakta hi rahega
jish karwa me koi bhi rabhar nahi milla

Mein dushro ki baat nahi janta magar
mujhko to koi aapse bahatar nahi milla

shyam sundar davivedi

===—@@—===

Best Ghazal Collection In Hindi

Main rahu ya na rahu, mera pata reh jayega,
shak par yadi ek bhi patta hara reh jayega,

Apne geeto ko siyasat ki jaba se door rakh,
pankhuro ke waks mein kanta gadh jayega,

Main bhi dariya hum agar sagar meri manjil nahi,
main bhi sagar ho gaya to mera ka reh jayega,

Bo raha hu bij kuch dsawendano key aha,
kusbhuo ka ek anoka silsila reh jayega.

Kal bikhar jaunga main bhi har su shabnam ki tarah,
kirane chun lengi mujhe, jag khojta reh jayega.

Rajgopal Singh          

===—@@—===

Long Ghazal On Life

Aap hai jis bhool mein usse nikalkar dekhna,
jo haqiqat hai jara usko sambhalkar dekhna,

Jitne bhi pathar yaha wo aayenge teri taraf,
jo yaki aata n ho to sach ugalkar dekhna,

Dusro ki musqilo mein kaam aana chaiye,
dusro ki aag mein bhi aap jalkar dekhna,

Jo bhi chahoge wo haasil kar sakoge aap bhi,
waqt ke anusar yaaro aap dhalkar dekhna,

Ho safar koi magar, aasan wo hota nahi,
dhoop ya baarish mein thodi door chalkar dekhna,

Aag nafrat ki ham eek din jala degi, ‘tushar’,
aap nafrat ko mohabbat mein badalkar dekhna.

Nityanand ‘tushar’

===—@@—===

Hindi Best Ghazal Collection

Dekho chirage-sham jale raat ho gayi,
phir maikade mein noor ki barsaat ho gayi,

Gesu khule kisi ke to kushbu bikhar gayi,
sagar chale to raat ki kismat sawar gayi,

irr dard ki talafi-aa-aafat ho gayi,
phir maikade mein noor ki barsaat ho gayi,

Benam si khalish hai najar badhawas hai,
koi sabab nahi hai agar dil udas,

hai kitni ajij surte halat ho gayi,
phir maikade mein noor ki barsaat ho gayi,

===—@@—===

Ghazal In Hindi Lyrics

Meri rango se nichodi meri sakat kaisi,
dawa ne ki hai badan se munafaqat kaisi,

Ajij gar tha tahullak to kisliye toda,
jab iktilaaf kiya to mufahamat kaisi,

Badan ke husne-talab se gurej kaisa hai,
khud apne-aapse hai ye mubarajat kaisi,

Har ek shaqs pe uska mujhe ghuman hua,
har ek shaqs se uski mushabehat kaisi,

Wo ek hujum mein sabse alag dikhayi diya,
fir uski aur kisi se munasawat kaisi,

Tere wujud pe aakar safar tamama hua,
talaash ki hai musafat ne ye jihat kaisi,

Ye aasma kisi mausam mein dhal banta nahi,
mere khuda mujhe bakshi hai tune chat kaisi.

Imdad aakash

===—@@—===

Heart Touching Ghazal Lyrics In Hindi

De use kaid ya rihayi de,
be-khata hai to kyo safai de

Mujhko jina hai is jamane mai
ya khuda usko behayai de

Mera mahboob to hai neem-hakim
marj kuch aur kuch dawai de

Wo bhi awaj de udhar se mujhe
kash pathar ko kuch sunai de

Tere aamal bhi hai jimedar
sirf kishmat ki mat duhai de

Meri gajalo ko itna roshan kar
door tak rasta dikhayi de

Koshise kamyab kar mola
mere lafjo ko rahnumai de.

Rajender tiwari

===—@@—===

Sad Love Ghazal Lyrics In Hindi

आज मन में ना जाने क्यूँ एक ख़्याल आया है,
तू मेरी है के नहीं बस यही सवाल आया है।

खुशनुमा जिंदगी अब सब पुरानी बातें हो गई,
अब तो इश्क़ भी उठा कर बवाल लाया है।

कब से राहों में बैठी है सोहनी इस इंतजार में,
कोई कहदे कि उठ तेरा महिवाल आया है।

प्रवेश कुमार “पीके”

===—@@—===

Collection of Hindi Long Ghazal

Is tabassum ko gamo me luta mat dena,
Koi ansu ka moti ankho se gira mat dena,

khwaab mein aaye hai dost thoda waqt nikaal kar,
guftagu zaari hai neend se jaga mat dena,

Shehzada koi aayega hai ummeed usko bhi,
Jamane ki haqeeqt use bata mat dena,

Ghonsle gir chuke inke tarakki ki andhi mein,
Jo bethe ho panchhi munder par udaa mat dena,

Is bazm mein SHAKIR tamashaabeen bahut hai,
haal-e-dil apna khud ko bhi suna mat dena.

shakir khan

===—@@—===

Chitra Singh Ghazal In Hindi

gham badhe aate hain
kaatil ki nigaahon ki tarah

tum chupaa lo mujhe ai dost
gunaahon ki tarah

apni najro me gunahgaar
na ho hum kyun kar

dil hi dusman hai
mukhalif ke gunaaho ki tarah

har taraf jist ki raahon me
kadi dhup hai dost

bas teri yaadein hain saaye hain
panaahon ki tarah

iljaam uthaaye kafir
unki khaatir kabhi

wo bhi pesh aate hain
insaf ke shahon ki tarah

shayar :-gumnaam
Singer : Chitra Singh

===—@@—===

Rahat Indori Ghazal in Hindi

किसी आहू के लिये दूर तलक मत जाना
शाहज़ादे कहीं जंगल में भटक मत जाना

इम्तहां लेंगे यहाँ सब्र का दुनिया वाले
मेरी आँखों ! कहीं ऐसे में चलक मत जाना

जिंदा रहना है तो सड़कों पे निकलना होगा
घर के बोसीदा किवाड़ों से चिपक मत जाना

कैंचियां ढ़ूंढ़ती फिरती हैं बदन खुश्बू का
खारे सेहरा कहीं भूले से महक मत जाना

ऐ चरागों तुम्हें जलना है सहर होने तक
कहीं मुँहजोर हवाओं से चमक मत जाना

Rahat Indori

===—@@—===

Rahat indori Mushaira Shayari on Poetry

Charagon ko uchhala jaa raha hai,
hawa par raub dala jaa raha hai.

Na haar apni na apni jeet hogi,
magar sikka uchhaala ja raha hai.

Wo dekho maikade ke raaste mein,
koi alaah wala jaa raha hai.

The pehle hi kaayi saanp aasteen mein,
ab ek bichchhu bhi pala ja raha hai.

Mere jhoote gilaason ki chhakaa kar,
behakton ko sambhaala ja raha hai.

Humin buniyaad ka patthar hain lekin,
humein ghar se nikaala ja raha hai.

Janaze par mere likh dena yaaro,
mohabbat karne wala jaa raha hai.

Rahat Indori

===—@@—===

Ghazal of Rahat Indori In Hindi

har ek chehre ko zakhmo ka aaina na kaho,
ye zindagi hai to rehmat ise saza na kaho,

na jaane kaun si majaburiyo ka kaidi ho,
wo sath chod gaya hai to bewafa na kaho,

tamam shaher ne nezon pe kyu uchala mujhe,
ye ittefaaq tha tum is ko haadasa na kaho,

ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar,
vo mera dost tha kal tak use bura na kaho,

hamare aeb hame ungaliyon pe ginwao,
hamari peeth ke piche hame bura na kaho,

main vaqiyaat ki zanjeer ka nahi qayal,
mujhe bhi apne gunaho ka silsila na kaho,

ye shaher wo hai jaha rakshas bhi hai “Rahat”
har ek tarashe hue but ko devta na kaho.

Rahat Indori

===—@@—===

Rahat Indori Best Ghazal Collection

सुला चुकी थी ये दुनिया थपक थपक के मुझे
जगा दिया तेरी पाज़ेब ने खनक के मुझे

कोई बताये के मैं इसका क्या इलाज करूँ
परेशां करता है ये दिल धड़क धड़क के मुझे

ताल्लुकात में कैसे दरार पड़ती है
दिखा दिया किसी कमज़र्फ ने छलक के मुझे

हमें खुद अपने सितारे तलाशने होंगे
ये एक जुगनू ने समझा दिया चमक के मुझे

बहुत सी नज़रें हमारी तरफ हैं महफ़िल में
इशारा कर दिया उसने ज़रा सरक के मुझे

मैं देर रात गए जब भी घर पहुँचता हूँ
वो देखती है बहुत छान के फटक के मुझे

-राहत इन्दौरी

===—@@—===

Rahat indori Poetry In Hindi

कितनी पी कैसे कटी रात मुझे होश नहीं,
रात के साथ गई बात मुझे होश नहीं,

मुझको ये भी नहीं मालूम कि जाना है कहाँ,
थाम ले कोई मेरा हाथ मुझे होश नहीं,

आँसुओं और शराबों में गुजारी है हयात,
मैं ने कब देखी थी बरसात मुझे होश नहीं,

जाने क्या टूटा है पैमाना कि दिल है मेरा,
बिखरे-बिखरे हैं खयालात मुझे होश नहीं.

Rahat Indori

===—@@—===

Sad Broken Heart Best Ghazal Collection

Iss jindagi ki doud me ham itne aage nikal gaye
Is namurad si res me ham khud ko hi haar gaye

Jab pichhe dekha hamne mudkar
Kuch khoye huve pal hame bula rahe the
Kuch lamhe purane hame pukar rahe the

Nahi jante ki kya paaya hamne abtak
Par is safar me hamne khoya bahut kuch hai

Kash yesa ho ki phir se wo pal , wo ghadiya mil jaye
Jab maa ke haatho se khana khaya jata tha

Duniya ki saari khushiya hamari mutthi me thi
Aur hamari chah bahut kam thi

N jaane kab ruega ye safar
Kon si hogi wo dagar
Wakt ke saath chalna hai hame
Aur kya kya piche chhodna hai hame.

Avinash

===—@@—===

Dard Ghazal In Hindi For Girlfriend

तेरी नफरत ने ये क्या सिला दिया मुझे,
ज़हर गम-ए-जुदाई का पिला दिया मुझे।

बहुत रोया बहुत तड़पा तुम्हें पाने को,
तुमने एक कतरा भी प्यार नहीं दिया मुझे।

मैं इतना टूटा के बिखर गया राहों में,
मगर तुमने बाँहों में नहीं आने दिया मुझे।

मुझे दोष ना देना ना कहना कल मुझे कुछ,
गर किसी और ने बाँहों में सुला लिया मुझे।

माना तू नहीं बेवफा पर तुम्हें प्यार भी नहीं है,
जिसे प्यार था उसने सीने से लगा लिया मुझे।

एक तुम हो के मेरे छूने से भी घिन आती है,
एक वो है उसने काजल की तरह सजा लिया मुझे।

फिर प्यार हो रहा है थोड़ा खुश कुछ उदास हूँ मैं,
दर्द ये है कि कितना जल्दी उसने भुला दिया मुझे ।

प्रवेश कुमार “पीके”

===—@@—===

Best Ghazal Collection

fir hath me sharab hai, sach bolta hu me
ye chij lajawab hai , sach bolta hu me
fir hath me…

gin kar piyun me jam to , hota nahi nasha
mera alag hisaab hai , sach bolta hu me
fir hath me….

saaki yakin na aaye to , garden jhukaa ke dekh
shishe me mehtaab hai , sach bolta hu me
fir hath me …

haatho me ek jam hai , hoton pe ik ghazal
baaki khayalo-khaab hai , sach bolta hu me
fir hath me…

naksh layalpuri