Akbar Birbal Stories in Hindi
Pyaaz ke Gun (Story of Birbal and Akbar)
Ek din badshah akbar ko apne darbario mein se ek mulla do-pyaza se majak karne ki sujhi.
Unhone pucha- “mantri ji, btaye aapko mulla do pyaza kyu kaha jata hai – kya aap bachpan mein do pyaaz kha jaya karte the.”
sabhi darbari iss baat pe jor jor se hasne lage- mulla do pyaza bagal jhakne lage. Unhone socha ki badshah ke parsan ka yadi santoshjanak utar n diya gaya to aur bhi majak udhaya jayega. Aaj tak iss aur usne kabhi dhayn hi nahi diya tha ki kab uska naam do-pyaza padh gaya. Wo to bachpan se hi iss naam ko sunte chale jaa rahe the. Jab unhe kuch n sujha to nirih mann se birbal ki aur jhaka. Akbar Birbal Stories in Hindi
Birbal baat ko sambhalte hue phat se bole– “jahapanah. . . Maa-baap apne bacho ka naam kis arth mein rakh dete hau iska gyan bacho ko nahi hua karta. Albatta uss khandan ke badhe budho ko hua karta hai jaise ki mujeh hai.”
“aapko ..” badshah ke sath aneh darbari bhi muskuraye.
“jee badshah. Inke maa-baap ne mujse paramarsh karke yeh naam rakha tha” aur iss baat ko to sab jante hi hai ki pyaz mein wo gun hota hai jiske sugand se kide-makore door bgahte hai.
Bas inke maa-baap ne socha-inka naam do pyaza rakh diya jaye. Taaki ye jaha bhi jaye-jaha bhi rahe waha se kitanu ko bhaga de. Iss parkar sabka bhala karne ke bhaw se inka naam do-pyaza rakha gay– iss naam ke partap se yeh iss lok mein logo ka kalyaan karke parlok sudhar rahe hai.” Akbar Birbal Stories in Hindi
birbal ke yeh baat sunkar sabhi darbariyo sahit wah-wah keh uthe. Aur mulla-do-pyaza jo birbal se nafrat karte the birbal ke parti udhar ho gaye. Aur aage jakar mulla do pyaza or birbal acche dost bhi bane.
Akbar Birbal Short Stories in Hindi – 6 मनोरंजक कहानियां
Baadshah ka Tota (Short Birbal Stories)
Ek baar ek aadmi ek khubsurat bolne wale tote ko lekar darbar mein upastit hua tote ki khubiya aur bolne ki kala par mohit hokar tota lane wale ko inaam dekar tota ko rakh liya aur use vida kiya.
Fursat ke shano mein badshah tote ko padate the, tota sikhne mein mahir thaw o sab kuch jaldi hi sikh jata. Badshah uski iss partiba ko dekhakr use insaano se zyada pyar dene lage. Akbar Birbal Stories in Hindi
Lekin inn sab se begam bahut chidi hui thi kyunki tote ke aane ke baad badshah ke pass begam ke liiye waqt hi nahi hota tha. Iss wajah se begam ne khana-peena tyag kar anshan pe baith gayi aur unhone apne anshan rakhne ki wajah mein tote ko ghar se bahar nikalne ko kaha.
Badshah ne socha agar sach mein begam ko kuch ho gaya to pure darbar mein log mujpar hasenge ki tote ko maine begam se zyada tabazu di. Ye sochkar unhone apne naukar ko tota saup diya aur kaha gaya ise acchi tarah rakha jaye khaya pilaya jaye jo iske marne ki khabar mere paas pehle layega use martudand milega.
Ab tota mehal se bahar naukar ki dekh rekh mein rehta badshah bahar tehlane ke bahane se jaate or kuch der usse khel aate.
Ek din achanak hi billi ne pinjre ko khula dekhkar tote ko maar diya.
Jis naukar ko ye tota saupa gaya tha wo apni jaan gawane ke darr se we birba se madad mangne gaye or sab kuch birbal ko keh sunaya. Akbar Birbal Stories in Hindi
Birbal ne unhe chup karte hue hue ghar jane ko kaha or khud darbar ki aur chal diye.
Darbar mein badshah se baato hi baato mein birbal ne kaha” hujur ka tota mahayodha aur ran kausal mein adwitiyeh prtibhawan nikla.
75+ Romantic Shayari on Love in Hindi
“kya keh rahe ho birbal” badshah ne chokkar kaha – use yudh mein kausal dikhane ka mauka kab mila”
birbal :”ek jangli billi ke sath..”
badshah: saaf saaf btao birbal kya weh jungle billi ke hathi maara gaya.
Birbal bole : badshah mein to yeh kehta hu usne samadhi le li hai- usne aaj subah se n kuch khaya hai n usne apne pankh hilaye hai n hi hila dhula hai. N hi aankhe hi kholta hai.
Badhshah: chilane ke andaaz mein to saaf saaf ku nahi kehte ki wo jangli bille ka shikar ho gaya h or mar gaya hai.
“yeh to aap hi keh sakte hai aalampanah – yadi koi aisa keh de to use apne prano se hath dhona padega.”
badshah ne birbal ki bhudimata par kush hokar apni murkta par pachtawa kiya ki unhone ek tote ke liye insaan ki jaan ki khair n hone ki baat keh dali thi. Akbar Birbal Stories in Hindi
Biggest Collection of Akbar Birbal Stories
Insaaf ki Reeti (Akbar Birbal Stories)
Ek baar birbal se kuch galti ho gayi – darbariyo se badshah ke kaan bhare. Akbar badshah ne darbar lagakar birbal se kaha – “ab jab ki yeh baat saabit ho chuki hai ki tumse galti hui hai to iss baat ko bhi tum samjhate hoge birbal ki tum saja ke haqdar ho gaye ho.
“birbal : bilkul badshah, mein saja ka haqdar ho gaya hu, magar mein aapko yaad dila dilana chahta hu, jo ek baar shikar ke awesar par apne mujse kiya tha.”
waada yaad dilaye birbal ji
“badshah aapne mujhse waada kiya tha yadi mujse koi bhul ho jaye to dand dene ka adhikar mein apni iccha ke logo ko sopunga. Akbar Birbal Stories in Hindi
Badshah halke se muskuraye or bole, bolo birbal tum dand dene ka adhikar kise saupte ho.
“kinhi bhi panch gaon ke chodariyo ko ye baat saup dijiye. We jo saja denge mujhe manjur hogi.”
birbal ki baat sunkar sabhi darbari kushi se pagal hue jaa rahe the or aas-pass ke gaon ke chodriyo ke naam sujhaye jaa rahe the. Agle din paanch gaon ke chodri haajir hue. Birbal se chid khane wale darbario ko puri aash thi ki iss baar birbal khud ke bichaye jaal mein puri tarah fas jayenge. Unhone socha badshah to ek reham ki apeel dete hi saja maaf kar sakte the. Magar gaon ke chodri nahi weh wasool ke pakke bhi hote hai or birbal se chid bhi karte hai. Or weh kisi ko bhi maaf nahi karte.
Chodriyo se socha –darbariyo ke kaheansuar iss awesar ko khona nahi chaiye- ath: birbal ko aisi saja deni chaiye ki birbal zindagi bhar yaad rakhe. Aur zindagi mein kabhi phir se ye galti na kare. Akbar Birbal Stories in Hindi
Chodriyo ne kaha ki birbal ka aparadh bahut badha ise 150/- jhurmana dena chaiye. Dusre ne itni badhi saja weh bhi jhurmane ki manjur n ki. Weh birbal ke bacho ke bare mein soch raha tah kahi unn par iska koi farq na pade. Kahi wo bhuke na mar jaye. Or usne jhurmana ghatakar 100/- kar diya. 3 chodri aur dayalu nikla or usne ise ghatkar 60 /- kar diya. Chote ne socha mein yuhi baitha rahunga to mera maan kam hoga. Or usne iss jhurmane ko ghatkar 40 /- kar dia. Lekin abhi paanchve chodri ki baari thi use apna waha baitha nirarthak laga ki mein insaaf hi nahi karunga to baithne ka kya faida or usne ghatakar 20/- kar diya. Or kaha ki agar birbal ye rakam kisto mein ada karna chahe to kar sakte hai. Akbar Birbal Stories in Hindi
Badshah unke jate hi jor se hase. Or darbari apni haar ko jhel kar badhe dukhi the. Or birbal se kaha wah birbal ji aap yaha bhi apni akal laga gaye. Jhurmane ki saja bhi ho gayi, nyay bhi ho gaya or tum par koi asar bhi nahi.
Bhala 20 /- jhurmana bhi koi jhurmana hua wo bhi tum jaise aadmi ke liye or isme bhi sakti n dikhane ki baat kahi gayi hai. Baaki mein badshah hone ke naate tumara yeh jhurmana bhi maaf karta hu.
5 Short Akbar Birbal Moral Stories for Adults
Mausam Kaun Sa Accha ? (Akbar Birbal Hindi Kahani)
Saal beetne ko hi tha ki taalab aur nadiya ke kinare lagi hui kaans safed ho chuki thi. Aisa lag raha tha jaise barsat ka mausam beetne ko hi hai.
Mand-mand hawa ke jhoke chal rahe the. Aise khubsurat najaro ko dekhne ke liye badshah apne navratno ke sath yumna nadi ke kinare mausam ka maja lete hue tehal rahe the. Akbar Birbal Stories in Hindi
Ki ek dam se thandi hawa ka tej jhoka aakar gujar jata tha. Jis wajah se badshah aur uske navratan thand ke maare kaanpne lag jate the. Aur aise mausam mein badshah waha zyada dair nahi rukte or wapas aa jate hai. Aur navratan aur badshah sab kapde badal lete hai. Aur sabhi navratan or badshah darbar mein haajir ho jate hai.
Ab akbar badshah apne darbar mein haajir sabhi navratno se sawal karte hai “ki har mausam char mahina ka hota hai lekin inn sabse kon-sa mausam accha hota hai.”
iss sawal par sabhi ki apni-apni raai thi koi kisi mausam ko accha batata to koi kisi ko lekin badshah akbar unke jawab se santusth na hue or unhone aakhir mein birbal se iss sawal ka jawab pucha.
Birbal : meri najar mein sabhi mausam acche hai jo kudrat ne hume bakse hai. Agar unme hamara pet bhara ho to mausam ke acche bure ka asar to garibo par padta hai ameer to khas ki thatiyo mein aur sardiyo mein angiti se apne gharo ko garm aur thanda rakthe hai. Akbar Birbal Stories in Hindi
Birbal ki iss baat ko sunkar sabhi mehal mein wah-wah ke naare lagate hai or badshah birbal ke iss jawab se khus ho jate hai.
Akbar Birbal Funny Story in Hindi
Badshah ne badla Huliya (Birbal Rare Stories)
Ek baar badshah ne birbal ko darane ke liye apna behad khatrnak roop banaya aur sunsan jagah mein birbal ke samne achanak hi aa gaye.
Birbal ne unki khatrnak poshak aur unka huliya dekhkar jisme kahi sir aur sirf 2 hath dekhkar pehle to kush hokar unhe baithaya, phir kuch iss tarah mooh latka kar baith gaye jaise gehri soch mein dube hue ho.
Jab badshah akbar ne birbal ko iss tarah baithe dekha to unhe behad hairani hui aur unhne dil mein socha ki birbal ko to darna chaiye par wo darne ki bjaye hairan ho raha tha. Ab harkar badshah ne unse unke kush hone aur baad mein hairan hone ki wajah puchi. Akbar Birbal Stories in Hindi
Isi par birbal ne naram lehje mein jawab diya, “aapko dekhkar mein behad kush hua lekin aapko behrupiye ke roop mein dekhkar hairani hui ki aapko aakhir kiske dar se yah huliya bnane ki jarurat padh gayi.”
badshah birbal ka jawab sunkar behad sharminda hue or iss raaz ko raaz hi bnaye rakhne ke liye kaha.
Birbal ki Aagyakarita (Moral Story of Birbal)
Ek baar kisi galti par birbal ke irudh irshalu darbariyo ne akbar badshah ko hokum dete hue kaha ki yaha se fauran nikla jao, aur ab mere rajya kid hart par kadam mat rakhna, warna jaan se hath dhona padega.
Birbal ne akbar badshah ke kaheanusar aagya maan li aur namratpurwak abhiwadan karke chale gaye.
Kuch din baad hi akbar badshah dekhete kya hai ki ek bailgadhi par baithe hue birbal chale jaa rahe hai. Badshah ne gaadi rukwayi aur gusse se aag-babula hote hue birbal se kaha- “tumne meri aagya na maan kar bahut badhi galti ki hai shayad tum jante nahi ho ki iski saza kya hai”. Akbar Birbal Stories in Hindi
Akbar Birbal Classic Short Stories
Birbal ne aadarpurwak kaha– “badshah, mein aapki aagya na maanne ka saahas hi nahi kar sakta, mein to aapki aagya ka palan kar raha hu – mein to aapka hokum maankar ussi din aapke raazya se parsthan kar gaya tha. Arab desh mein jakar waha ki zameen ka baalu iss gadhi par bichakar laya hu. Ab iss gaadi par rehta hu. Sota-uthta, khata-peeta sab issi par karta hu. Aapke raazya ki dharti ko maine chua bhi nahi hai.
Birbal ke kehne par akbar ne dekha ki sach mein gaadhi par baalu bicha hua tha- unhone birbal ki aagyakarita par mugdh hokar use gale laga liya aur use maaf kar diya aur agle din se samman purwak darbar mein aane ko kaha.