Akbar Birbal Short Stories in Hindi
Kaano Suni Ankho Dekha Jhuth
Akbar bahut badhe badshah the. Jab itne badhe badshah the to unki baat bhi bahut badi hi hogi. Jahir h.
Ek baar ki baat thi. Akbar ke bistar ko bichane wale ne ratri mein thik dang se bistar bichaya, uske baad usne bistar par itar chidka aur ohir mehakne wale sunder pushp daal diye.
Naukar ne jab bistar bichakar tayar kiya to uske mann mein aaya ki kuch pal maharaj ke bistar par letkar to dekhe ki aise narm–narm bistar par kaisi neend aati h? Kaisa aanand milta h aise bistar par sone mein ?
Tab……
Uss naukar ne ek bar charo aur dekha aur phir jab koi najar nahi aaya to wo bistar par let gaya. Uss bechare ne apne jeevan mein aisa bistar kaha dekha tha. Phir aise bistar par sone ka to matlab hi nahi tha.
Wo jaise hi uss bistar par leta to use neend aa gayi. Narm–narm bistar par woe k aur karwat lekar soo gaya.
Kaafi raat gaye akbar ki patni yaani rani aayi. Usne andere mein kuch dekha nahi. Weh bhi aayi aur ek aur ko karwat lekar soo gayi.
Kuch der baad uss kamre mein akbar aaye. Unhone bistar par maharani aur ek naukar ko sote hue dekha.
We laut gaye. Uss puri raat akbar soo na sake. Chinta mein idhar udhar ghumte rahe. Subh ko jab kachari(court) mein baithe to unhone uss naukar ko bulwa liya.
Subh naukar ki jab aankh khuli thi to usne uss samay samjh liya tha ki ab uski khair nahi h. Use maut ke ghat utar diya.
Naukar ka aisa sochna sawbhawik bhi tha.
Jab weh darbar mein aaya to weh buri tarah kaanp raha tha. Usne aate hi rote hue sawar mein kaha maharaj ki jai ho. Mein janta hu maharaj mujhse bahut badha apradh hua h. Maharaj asal mein hua ye ki kal na jane mere mann mein kaha se ye khayal aa gaya ki aapke bistar lagate ke baad uss par let kar dekhu, mein bistar par leta hi tha ki lette hi neend aa gayi. Mujhe aisi neend aayi ki mein subh hi utha.
Thik usi waqt birbal bhi darbar mein aa pahuche. Weh baat ko pehli hi baar mein samjh gaye. Weh bich mein hi bol pada badshah salamat. Iss bechare ka koi dosh nahi h, kabhi kabhi aankho dekhi baat bhi jhuti hoti h.
Akbar birbal ke aasheh ko samjh gaya. Unhone naukar ko hidayat dekar chod diya. Ki wo aage aisa na kare. Or naukar birbal ko duaye deta waha se chala gaya.
Baingan ka Nahi Aapka Naukar Hu (Birbal Stories)
Baingan ke saag ki ek dafa badshah taarif kar rahe the. Birbal bhi badshah ki ha mein ha milate jate the. Yahi nahi usme apni taraf se bhi 2–4 sabd jod dete.
Sehsa ek din badshah ke jee mein aaya ki dekhe birbal apni baato ko kaha tak nibhate h. Yeh soch birbal ke sammuhk badshah ne baigan ki ninda ki.
Sanyogwash uss din bhi birbal ne badshah ki baat ka samrthan kiya. Thata usme durgun(side effect) aadi bhi batlaye aur kaha yeh wadi padarth h. Badshah ko yeh sun bahut taajub hua aur bole tumhari baat ka yakin nahi, kabhi taarif karte ho to kabhi ninda. Jab main eek din baingan ki taarif ki to to tumne bhi taarif ki aur aaj ninda bhi aisa kyu?
Birbal ne namartpurwak jawab diya ki mein to baingan ka nahi balki aapka naukar hu, badshah iss jawab se khus hue.
Kitne Mard hai Duniya Mein (Hindi Stories of Birbal)
Ek din badshah apne muhlage khoje se baat kar rahe the. Parshangwash unhone birbal ki parshansha ki jisse khoja chid gayal kyunki weh musalman tha or apne aap ko budhimani thata prdhan ke padh par niyukti ka dawa karta tha. Kintu birbal ke rehte yeh sambhaw na tha. Isi se mauka pakar khoja badshah se birbal ki aksar ninda karta tha. Badshah ke mukh se aaj birbal ki taarif sunkar weh bahut aprsahn hua. Aavesh mein aakar anap–sanap bak gaya aur yaha kaha ki aapne birbal ko faltu mein rakha h.
Badshah bole– birbal ki tarah vyehwar–kushal humare yaha kaun h? Uske jaisa utar kaun deta h khoja bola– aap to use faltu hi itna samman de rahe h. Yadi yeh sach h ki birbal sav parshano ka bahut accha utar dete h. To mere parshan ka we yadi thik–thik utar denge to mujhko bhi vishwas hoga. Badshah ne kaha–parshan keh sunao? Khoje ne parshan jo kahe we hiss parkar the.
1. Aakash mein kitne tare h.
2. Parthvi ka bich kaha h.
3. Duniya mein aurat marad ki ginti alag alag btao.
Badshah ne jab khoje ke parshan sune to bahut khus hue. Kyunki wo aksar iss tarah sebirbalki budhi ki pariksha lete the. Badshah ne turant hi naukar se birbal ko bula lane ki aagya di. Sabha bhawan mein upastit hote hi birbal se badshah ne khoje ke teen parshan ko bata kaha ki yadi tum inn 3 parshano ka utar uchit n de sake to tumhe padchut(demotion) kar diye jaoge.
Birbal ne unn parshano ko janne ki iccha parkat ki. Badshah ne tino parshano ko karmash bata diya. Parsan sun birbal bole ki inka utar 5 ghante mein aapko milega. Itne mein birbal ne naukar se kehkar ek adhik balo wala bhed mangwaya. Jab bhed mil gaya to use le badshah ke sammukh la bole. Ki khoja sahib ke partham parshan ke utar mein yeh kehna h, ki iss bhede ke badan par jitney baal h. Utne hi aakash mein tare h. Esliye khoja mahaseh inn balo ki ginti kar leve. To pata chal javega ki aakash mein kitne tare h.
Dusre parshan ke utar me birbal ne napne ka bahana kar kuch paon se idhar udhar ghumakar nishan bnaye aur parthvi mein ek sthan par ek lohe ki keel gaad di. Aur bole ki yahi parthvi ka bich h. Yadi khoja mahaseh ko vishwas n hove to map leve.
Tesre parshan ke utar mein birbal ne badshah ko sambodit karte hue kaha ki jahapanah. Duniya mein aurat marad ki ginti nischit karne mein badhi kathinayi h. Kyunki inn khojo ne bilkul sankha bigad rakhi h. Ye n to aurato ki sherni mein aate h n mardo ki sherni mein. Ath; ye sab marwa de jaye to mein bilkul nischit tadad bata sakunga. Sabhi darbari tatha badshah muskurane lage or khoja shatbadh sa ho gaya. Jab badshah ne khoje se kaha dekhi birbal ki chaturta. Khoja yeh sunkar sharminda ho gaya. Phir usne kabhi bhi birbal ki ninda nahi ki.
Niche Ka Rasta Dhikao (Birbal Stories for Kids)
Ek din raja ne vichar kiya ki birbal apni daasiyo ki adhik parshansa karte h. Esliye uski pariksha avesh hi leni chaiye. Yeh vichar kar akbar jhat birbal ke makan par gaye aur chat par jaa chade. Unko dekhkar ek dasi daudi aayi to use dekhkar badshah muskuraye kaha–tumhara upar ka makan to khoob saja h kintu niche ka rasta to dhikao kaisa h?.
Dasi boli–shok se, aap usi raste se aaye to bhi aapko khbar n hui
Badshah ye sunkar chup chap waha se chal diye.
Ab Aasman Mein Raha Karunga
Ek din akbar badshah kisi baat par birbal se naraj ho gaye aur hokum diya ki tum teen dino ke bitar mere rajya se bahar nikal jao. Agar teen din baad yaha najar aaye to tumhe martu dand diya jayega.
Birbal ne socha ki badshah ka rajya to pure bharatwarsh mein h, mein teen din mein kaise rajya se bahar ja sakta hu. Ath: weh kahi jungal mein jakar chip gaya. Parantu teen din baad badshah ne uss jungal ka bhi jaha par birbal chipe the pata laga liya aur we saweh waha pahuche.
Birbal ne socha ab to mein kahi bachkar jane se raha ath: we ek bahut unche pedh par ja chade aur sabse unchi dali par jakar baith gaye.
Badshah ne birbal se kaha–birbal tumne humare hokum ka palan kyu nahi kiya? Kyu nahi hokum ki baat na manne mein tumhe martu dand diya jayega.?
Birbal bole– hujur, mein to aapke hokum ka ashrash palan kar raha hu. Phir saja kis baat ki?
Abkar– phir aaj chota din h tumne mera rajya kyu nahi choda ?
Birbal bola– hujur iss sari parthvi par to aapke hi rajya h phir mein jata bhi to kaha jata. Ath: ab vichar kar liya ki kyu nahi aakash mein jaha chand sitare rehte h waha chala jaun. Teen din hote hi maine aapka rajya arthat iss parthvi ko chod diya h. Aur aakash mein jaa raha hu.
Badshah aakash mein ja rahe ho to phir yaha kyu?
Pedh par kyu baithe ho?
Birbal – hujur, aaj bas itna hi chalkar yahi baith gaya hu, yeh meri pehli manjil h ab to kal aage ka vichar kiya jayega. Yeh sunkar badshah ko hasi aa gayi aur unka sara gussa kafur ho gaya.
27 Mein se 9 Gaye Kitne bache (Akbar Birbal Stories)
Darbar laga hua tha. Badshah aur sab darbari the. Badshah ke dimag mein ek sawal khalbali machaye hue tha. Usne ek ek karke sab darbariyo se puchna shuru kiya– 27 mein se 9 gaye to kitna baaki bacha?
Sabka ek hi utar tha–18.
Magar kisi ke utar se badshah ko santhusti n hui. Aakhirkar jab birbal aaye to unse bhi yahi parsan pucha gaya.
Birbal ne utar diya-kuch nahi bacha birbal ke iss utar se sab darbari chakit reh gaye. Sab yahi chahte the ki ye parsan birbal se kiya jaye.
Badshah ne kaha–hum tumhara matlab nahi samjhe birbal birbal tabhi samjhate hue bola–jahapanah saal bhar mein 27 nakshtar hote h. Nakshatro se jagat ka koi upkar nahi esliye we kuch nahi h. Kyunki inhi 9 nakshatro se bearish hoti h or hume anaj prapt hota h. Sansar ke liye yahi nakshatar phaldayak aur labdayak h.
Badshah birbal ke utar se bahut khush hue.