Akbar Birbal Short Stories for Kids with Moral

Akbar Birbal Short Stories for Kids with Moral

Bakri Sher ki Pinjre Mein

Ek din badshah ne birbal ko ek bakri dekar kaha- ise itni khurak di jati h, isse dogni khurak di jaye par iska wajan n ghate, kya aisi koi yukti tum bata sakte ho-?

Birbal ne kaha-bandaparwar, btane ki nahi mein to kar dhikane ki baat par amal karta hu, aisa kar, abhi bakri ka wajan tulwa le, saptah ya mahina, jitney din aap chahe iska wajan karwaye- kurak beshan dogani khilaye ya teen guni-bas hona yeh chaiye ki din ko bakri aapki nigrani mein rahe raat ko meri nigrani mein
baat the ho gayi

baadshah ne bakri ko umda se umda khurak dene ka hokum diya. Raat ko bakri birbal ke yaha naukar le ja kar bandh aate.

Ek saptah baad baadshah ne bakri ka wajan karaya, tb pehle jitna aur thoda bahut kam hi paya. Puchne par birbal ne yukti btayi-din bhar khayi-pihi bakri ko raat ko mein sher ke pinjre ke samne baandh deta tha din bhar jo khati thi, raat bhar utna sukti rehti thi- ath; wajan badne ka to sawal hi n hota tha.

Pagdi Bhandne ki Kala (Akbar and Birbal Stories)

Birbal ke pagdi bandhne ki kala ki badshah akbar taarif kiya karte the. Mulla do-pyaza ko yeh baat nagawar gujarti, unhone kahi dino tak ghar mein ghanto-ghanto jakar koshish ki aur weh din bhi aaya. Unki pagdi job hi dekhta taarif karta.

Badshah bhi uss din taarif kiye baigar na rahe.

Read: Biggest Collection of Akbar Birbal Stories

Wah mulla sahib, aapne to aaj pagdi bandne ki kala mein birbal ko maut dedi
galat bilkul galat….. Birbal ne hastshep kiya- pagdi bandhne ki kala mein mulla sahib ki koi khubi nahi, khubi to inki biwi ki h, jisne yeh umda pagdi bandhi h

Matlab… Mulla sahab taw kha gaye- yeh pagdi maine khud bandhi h
agar khud bandhi h to yaha sabke samne bandhkar dhikaye- maan jaunga birbal bole. We jante the ki pagdi sheeshe ke samne khade hokar pagdi ke pench dekhkar bandhi jati h. Darbar mein koi bhi seesha tha nahi. Mulla do pyaza waisi pagdi dobara baandh hi nahi sakte the.

Mulla sahab taw mein bharkar pagdi khol baithe, use dobara bandhne ki koshish ko to pehli jaisi baat door, har din ki tarah bhi n band saki.
Ulti-sidhi pagdi baandh badshah ne dekh chutki li.
Wah mulla sahab aap apna kaam biwi se karwate h aur shreh khud le jate h
mulla do pyaza aise jhepe ki dobara birbal ki pagdi kala se irsha karna bhul gaye.

Pet Bhare ka Mausam

Warsha ka ant tha, mausam suhawana ho raha tha, aise mein badshah akbar apne noo ratno ke sath yumna kinare hawakhori kar rahe the. Hawa ka ek thanda jhoka aaya aur badshah ko titura gaya. Mehal lautkar unhone garm kapde pehne, tan thand ka parbhaw gaya.

Badshah ne apne noo ratno se ek parsan kiya-jada hume shit se kapata h, garmi se hum behal ho jate h warsha bhi kastkari hoti h, kahi aa-ja nahi sakte- aakhir kaun sa mausam accha hota h

noo ratno ne apne apne dang se mausam ki paribahasa dekar badshah ko santust karna chaha, par kar n sake.
Ant mein birbal bole-meri samjh mein pet bhare ka mausam sabse accha hota h
pet bhare ka mausam

badshah bole- apni baat sapast karo

pet bhare ka matlab h, khaya-piya sharir hona, sharir nirogi hona, tabhi kahya-piya sharir hoga- rogi sharir ko har mausam stata h pet bhare ka arth aarthik sampanta hoti h aalampanah. Agar aadmi sampan h to weh jade mein garm kapde dharan karke bach sakta h- garmi mein khas ke pardo ke piche arram kar sakta h. Insaan agar bukhe pet ho to insaan chahe kitna hi accha kyu n ho, use koi bhi mausam nahi suhayega.
Khub, bahut khub badsha ke sath-sath waha upastit sab darbariyo ne birbal ki parshansa ki.

Chirag Tale Andhera (Akbar Birbal Stories)

Suryaast ka samay tha birbal ke sath akbar badshah mehal ki chat par cahal-kadmi karte prakartik darshe dekh rahe the. Achanak hi ek aue se chilahat ka sawar sunkar badshah ka dhyan bata. Unhone dekha – mehal k eek sire par yaatri ka maal asbaab lootkar kuch chor bhage ja rahe the. Aur bechara yatri dahade maar-maar kar roo raha tha.

Badshah ne tatkal shipahiyo ko choro ke piche dodaya aur lute yaatri ko apne paas bulaya.

9+ Short Stories with Moral Values

Badshah ko iss baat par badha aaschrey hua ki unke samne aur unke mehal ke niche iss tarah ki lut unke samne hui. Unhe laga yeh badintjami ka natija h. Birbal se bole- jab yaha, meri aankho ke samne aisa hua to pure mulk mein n jane kya-kya hota hoga- iska arth desh mein nagrik suraksa dekh-rekh acchi nahi

badshah ko iss mamle mein kafi utejit dekh, birbal ne narmi se utar diya-jahapanah, aapne chirag tale andhere wali kahawat to suni hogi. Iss andere ko hum ab door nahi kar sakte. Khair aap chinta na kare, mulk mein har jagah chirag ki roshni ka ujala h

ooh birbal ke chupe arth ko sunkar badshah santust hue. Unhone lute yaatri ko uski wastwik muleh ke saman se kahi jyada wastar, aabhushan dekar use vida kiya.

Hatheli Par Baal kyu Nahi ?

Ek din akbar badshah ne birbal se pucha-meri hatheli par baal kyu nahi?
Birbal bole-aalampanah aap inhi hatho se garibo ko rojana itna daan karte h ki unki ragad se baal nahi jam pate
badshah haajir jawabi par khus hue phir bhi birbal ki budhi parakh ke liye agla parsan kiya-tumhari hatheli par baal kyu nahi hai?

Aapki aur se daan, bhet, uphar, purskar lete-lete unki ragad se meri hatheli par bhi baal nahi aate
iska utar to bahut sapast h- birbal ne kaha,- jab aap mujhko weh aneh jano ko dan karte h to we- bechare irsha ke maare apne hath malte rehte h, isi karan unki hatheli par baal nahi aate.

Ishwar Faisle mein Shak (Children’s Short Stories)

Ek baar badshah ke dimag mein yeh vichar aaya ki ishwar, jo sabka pita hai, uske naye(insaf) mein kuch kami h. Agar aisa nahi h to weh kisi ko jyada, kisi ko adhik, kisi ko kam aur kisi ko ekdum nirdhan kyu bnaye hue h. Kisi pita ki agar 4 aulad hai, to weh sabko saman drishti se dekhne ka pryash karta h, sabke khan-phan ki brabari ki dekh-rekh karta h, fir ishwar aisa kyu nahi karta. Apne iss vichar ko akbar ne birbal ke sammukh khada kiya- aur bole agar mere parsano ka uchit utar n diya to mein samjhunga ishwar ke insaf mein kuch kami h

Aisa sochna uchit nahi h parjapalak birbal bol- ishwar ke baad iss prthavi par raja parja ka pita mana jata h mein aapse hi puchta hu kya aap samast parja ke khan-phan rehan-sehan ki ek saman dekh-rekh kar rahe h- koi deewan aapke yaha senapati h to koi deewan, koi sainik darpal to koi ashadaran naukar, unka vetan bhi alag-alag h kya aap unn sab ka ek saman vetan kar sakte h

7 Short Story of Akbar and Birbal

kadapi nahi birbal ne badshah ko hi ulte unke parshan jaal mein uljha diya tha
akbar ne kaha- jiska jo padh h uski yogta ke anusar diya gaya h, padh ke anusar hi use vetan diya jata h
bas, insaan ki apni yogytanusar ishwar unke khan-phan ki dekh-rekh karta h, ishwar to ek saman maa ke garb se balak ko janam deta h, ek saman hawa, surya aur chandrma ki roshni apne bando ko deta h, ek saman mausam-jada garmi, barsaat apne bando ko deta h jin chijo ka pura-pura adhikar ishwar ne apne hatho mein le rakha h weh sab ko saman deta h, jin chijo ka adhikar usne apne numaindo arthat aap jaise logo ke hatho mein saupa rakha h usme pakspat hota h to, isme ishwar ka dosh nahi h unn numaindo ka h jo raj-kaj chalate h badshah buri tarah jhep uthe. Or birbal ke utar se puri tarah santust ho gaye. Aur birbal ko khusi-khusi bahut sara inaam diya.

Surya Chandrma se Door

Ek din badshah akbar ke mann mein yeh baat aayi ki sansar mein koi to aisi chij hogi jo surya aur chandrma ki pahuch se door hogi, artharth jis par surya aur chandrma ka parkash na pahuch pata ho, kafi dimmag lgane par bhi jab unki saamjh mein n aaya to unhone iss baat ko darbariyo ke samne rakha.

Darbariyo ne alag alag mat , alag alag vichar rakhe. Koi ek bhi sahi utar n de saka. Jisse badshah ko santusti hoti. Ant mein unhone birbal ki aur asha bhari dristhi se dekha. Birbal ne apni jagah se uthkar kaha- meri samjh mein to andhera hi surya aur chandarma ke parkash se door h- uss tak hi surya aur chandarma ka parkash nahi pahuch pata.

Sabse Badha Murkh Kaun? (Kids Story in Hindi)

Badshah ne birbal ko hokum diya ki desh ke sab murkho ki suchi banakar layi jaye. Sanyog se jis din ye ajib hokum badshah ne sunaya. Usi din arab desh ka ek vehpari kuch arbi ghodo ke sath badshah se milne aaya. Badshah ko ghode pasand aaye thata usne waise hi 200 ghode aur lane ka sauda kar liya. Khush hokar badshah ne ek hajar swarn mudraye use peshagi de di. Vehpari chala gaya.

Kuch dinp baad birbal murkho ki suchi lekar aaye.
Badshah ne sabse upar apna naam likha dekhkar pucha– yeh kya hai? Sabse badha murkh mein kaise hua?

Birbal ne btaya– uss din hujur ne ghode ke vehpari ko hazar swarn mudraye peshagi de di thi. Uska naam pata tak n jana tha. Na hi usse parichit karane wala koi tha. Na hi koi jamanat lene wala. Ye murkh wala kaam hi to tha– aapko maankar chalna chaiye ki weh arab hazar swarn mudraye lekar champat ho gaya, ab lautkar nahi aane wala.
Badshah ko apni galati ka eshas ho gaya tha bawjud iske unhone tark rakha– maaan lo weh 100 ghode lekar aata h to tab mein aapka naam katkar uska naam likh dunga birbal ne tadak se kaha

Fal Kiska Accha (Short Moral Stories)

Badshah akbar darbar mein padhar rahe the. Sabhasad bhi upastit the. Iss waqt badshah ke dhayan mein panch parsan aaye jinko unhone apne sabhasado se pucha. Birbal uss waqt maujud n the. Pancho parsan iss parkar h.

1. Phool kiska accha?
2. Dudh kiska accha?
3. Mithas kiski acchi?
4. Patha kiska accha?
5. Raja kaun sa accha?

Badshah ke inn parsha ko sunkar sabhi sabhasad mein matbhed utpan ho gaya, kisi ne gulab ka to kisi ne kamal ka iss tarah khubsurat phulo ke naam ginakar accha batlaya. Iss tarah dudh ka bhi hua. Kisi ne gai ka to kisi ne bhais aadi ka sresth batlaya. Aur mithas se kisi ne ganee ko kisi ne aneh misthano ko batlaya. Pathe bhi kisi ne kela ka to kisi ne neem ka gunkari batlaya. Raja kaun sa accha? Kisi ek chaplus sabhasad ne kaha ki badshah akbar acche ? Bas phir kya tha, sabhi sabhasado ne samarthan kiya.

Badshah ko inn logo ki swamibhakti par parshanta hui kintu apne parshano ka yathochit utar n de pane se unhe santosh nahi hua tha. We birbal ke intjaar mein the, kyunki jante the ki mere parshano ka yatharth utar de sakne mein birbal hi samreth ho sakega. Badshah yeh vichar kar hi rahe the ki birbal aa pahucha. Aur badshah ke bagal mein apne sthan par adab se aa baitha. Badshah to chahte hi the unhone birbal ko sambodit karte hue we pancho parsan puche birbal ne karmash: jo utar diye we iss parkar the. Partham badshah ko sambhodit kar birbal bole ki jahapanah!

Akbar Birbal Stories in Hindi

1. Phool kapas ka accha hota h. Kyunki usi se kapde ke phool bante h.
2. Dudh mata ka accha hota h. Usi se sharir banta h. Bachpan mein palan hota h.
3. Mithas wani jiha ka accha hota h.

Aisi wani boliye, mann ka aapa khoye,
aauro ko sheetal kare, aaphu sheetal hoye,
bathai hath paaiye bathai hath paon?

4. Patha paan ka accha hota h. Jisko shatru ko dene se bhi mitarwat vehwar hota h.
5. Rajao mein indar sabse sresth h, kyunki unki aagya se hi megh pani barasta h. Jisse sansar mein karshi karye hota h. Aur duniya ko dhan-dhaeh aadi milta h, jisse tamam praniyo ka palan-poshan hota h.
Badshah tatha aneh darbari bhi birbal ke jawab ko sunkar bahut parshan hue.