Sheikh Chilli ki Kahaniya
Sheikh chilli naam ka ek ladka rehta tha, uski maa bahut gareeb thi, shekh chilli ka pita mar chuka tha, uski maa bechaari kisi tarah shekhchilli ka palan poshan karti thi, shekhchilli swabhaaw se natkhat to tha hi, lekin sath hi wo bewakoof bhi tha, uski bewakoofi ke karan uski maa ko bahut se ulaahne lene padte the. Ghar par har roj koi na koi shikayat lekar aaya hi rehta tha. Wo bhi Sheikh chilli ki bewkufiyo se bhari hui. (Akbar Birbal Short Stories)
Ant mein ek din ubhkar sheikhchilli ki maaa ne sheikhchilli ko ghar se nikal diya, sheikhchilli ghar se nikal ke pados ke ek dusre gave mein chala gaya, waha usne ek jhopdi banayi aur usme rehne laga, wo swabhaaw bahut hi khushdil tha isliye gaaw ke log uske jaldi hi uske dost ho gaye, unhone usko badi madad di, aur uska roti–paani ka kharch chalne laga, uski jinda-dil gaaw ke mukhiya ki ladki sultana uss par aashiq ho gayi, or pure gaaw mein ye baat aag ki tarah phail gayi, gaaw ke kuch naujawan bhi shekhchilli ke himaayati the,
unhone ek din dabaav dalkar mukhiya ki ladki sultana se uski shadi kara di, shekh chilli ko shaadi mein daan–dahej mein bahut rupye tatha aneh jewaraat bhi mile.
Short Story of Akbar and Birbal
Shekhchilli apni aaurat tatha shadi me mile huye rupye aur jewaraat lekar apne gaaw wapas laut aaya, gaaw me lautkar shekhchilli apni maa se mila aur bola – maa dekh, maine bhi mukhiya ki ladki se shadi kar li hai.
Shekhchilli ki maa ne dekha ki beta bagal ke gaaw wale mukhiyaa ki ladki se shadi kar laaya hai, uski maa ne ye bhi dekha ki shekhchilli dahej me bahut si dhan-daulat tatha saman ityaadi bhi le aaya hai, to wo man hi man bahut khush ho gayi. (Akbar Birbal Short Stories)
Parantu wo janti thi ki shekh chilli ek bilkul bekar ladka hai, isme paise kamane ka koi bhi hunar nahi hai, uski maa kehne lagi – beta tu mahalanaton aadmi hain, tere kiye kuch bhi hone ka nahi.
Ye sunkar shekhchilli ne kaha – “maa! Maine itna badha kaam kiya hai, kya ye kam hai ?”
uski maa ne kaha – beta, ye billi ke bhhagya se cheeka tut gaya hai, tu agar apne man se jaan boojhkar koi kaam kare aur usme koi tarakki karke char paise kamakar laa sake to main jaanu, taana dete hue :- tu mujhe budhaape me sukh nahi de sakta.
Ye sunkar shekh chilli ne kaha – maa tu aisa mat bol main wakt aane par tere liye bahut kuch kar sakta hu. Par waqt aane de.
Sachi Parathna ki Shakti (Hindi Story)
Ek gaaw ke kinare ek talaab tha jo ki bahut gehra tha. Jeth ke tapti garmi ke mausam me bhi uska pani nahi sukhta tha, talaab me anek parkar ki rang birangi machliya thi. Waha ke log talaab ki machlio ko kabhi nahi marte the, machlio ko khana khilane ke liye wahan ke log aaate ki goliyaan banakar talaab me daala karte the. Talab ke kinaare machliyaan badi shanti se rehte thi. (Akbar Birbal Short Stories)
Ek baar barsaat ke mausam thoda sa bhi me pani nahi barasa. Talaab ka paani sukhne laga, machliyaan vyaakul rehne lagi, talab me itna kam paani reh gaya ki tej garami se neeche tak ka paani garam ho jaata garm paani se machlio ko bada kasht hone laga.
Ek din talaab ke kinaare bargad ke ped par baithe kabutar aur chidiya bhi thande jagah ki aur bhaagne lage, machliyaan kahan jaati? Or bhala kaise jaati? Do dino me sara talaab soona ho gaya.
Talaab me ek machli thi jo udh sakti thi, wo kahin nahi gayi, uske sathio ne kaha bhi par usne apni janam bhoomi ko chodkar jana pasand nahi kiya, ek machli ne us se kaha – “badhi behan tum kyu nahi gayi?”
Birbal Stories with Moral for Kids
badhi machli ne kaha :- mujhe apni janam bhoomi bahut pyaari hai, maine isi talab me janam liya hai, isi me pal kar badi hui hu, dukh me sukh me tum logo ne mera sath diya hai. Bhala tum logo’n ko kaise chod sakti hu, ye mujhe accha nahi lagta!” (Akbar Birbal Short Stories)
badhi behan hum choti or na udhne wali machliyaan to majboor hai, hum to aapki tarah aur kabutar or chidiya ki tarah udh kar bhi nahi jaa skte. Par tum to kahin jaakar apne praan bachakar jeewan paa sakti ho.
Badhi machli ne kaha me tum logon ka sath chod kar kahi nahi jaaungi. Sab din barabar nahi rehte, dukh ke din aate hain lekin kuch din baad sukh ka naya sawera bhi hota hai. Hume bhagwan par vishwas karna chahiye, wo bada dayalu hai sab par kripa karta hai dukhi ki prathna me hamesha bal hota hai.
Shaam ko sabhi machliyaan ek jagah badhi machli ke sath jama hui. Sabne milkar bahut der tak ishwar se prathna ki, sabke mann me ye asha thi ki ishwar unki sacchi prathna awashya sunega.
Jis samay badhi machli aur choti machlio me baatein ho rahi thi gaaw ka ek ladka raamu ye sab sun raha tha. Raamu ne gaaw me jakar, gaaw walo ko ye sari baatein bataayi – ki chote chote jeew–jantuo ko bhi apni maati se kitna pyar hota hai. Aaj hum apne swarth ke liye unki parwaah nahi karte. (Akbar Birbal Short Stories)
Aao aaj warsha ke liye hum bhi ishwar se prathna karein. Gaaw walo ne sacche mann se prathna ki aur usi din aakash me kaale badal gir aaye. Joro ki warsha hui aur talaab fir se paani se bhar gaya.
Ek Pedh Do Malik (Birbal Stories)
Akbar badshah ke pass ek anoka jhagda aaya. Dono ke bich aam ke pedh ko lekar vivad tha. Ek aadmi ka naam tha raam aur dusre ka basant. Dono padosi the aur unke ghar ke samne padhi khali jameen par aam ka pedh tha aam ke pedh par usi saal aam lage the. Ram kehta tha pedh mera hai aur basant ka dawa tha ke pedh uska hai. Sabse badhi dikkat yeh thi do mahine pehle pedh ki rakhwali ke liye ek naukar rakha gaya tha naukar ka kehna tha ki pedh ke phalo ki rakhwali ke liye use dono ne hi naukar rakha hai unhe vetan dono hi maliko se milta hai, ath: use bhi nahi pata ki pedh ka asli maalik kaun hai?
Badshah ne samjh ke bahar ke mamle ko dekthe hue mamla birbal ko saup diya.
Akbar Birbal Classic Short Stories
Birbal ne aagya ka palan karte hue dono maliko ki baat suni lekin koi bhi apni baat se n badla. Rakha hua naukar bhi dono ko hi malik manta tha tha. Unke ghar kea as paas walo ko bulaya gaya tha koi bhi yeh n keh saka ki pedh kiska hai. Weh dono hi pedh ko pani dete uski chaw mein baithte par haqdar aadhe-aadhe banna uchit n tha.
Birbal ne dono pedh maliko ko waha se jaane ki aagya dekar agle din phir aane ko kaha aur pedh ke naukar ko apne yaha rokkar birbal bole ki weh chokidari khud kara lenge. (Akbar Birbal Short Stories)
Raat ke lagbhag 9 baje ke kareeb apne do naukaro ko pedh ki rakhwali ke liye bhete hue unhe kuch baat birbal ne samjhayi . Unke piche rakhwale ne chokidar ko pehle raam ke ghar bhejkar birbal ne kehlwaya –
Akbar Birbal Short Stories
“aam ke pedh ke niche kuch chor najar aaye hai raato raat saare phal tod le jana chahte the- chalkar unhe dekho “raam uss waqt ghar par nahi thi patni thi, usne sandesh suna aur boli unko aane do bhej dungi.
Aur rakhwale ne issi andaaz ko dobara basant ke ghar jakar kaha– aur usi tarah basant bhi ghar par n tha. Birbal ne dono rakhwalo ke ghar ke piche apne aadmiyo ko andhere mein chupkar sab kuch dekhne ko kaha. Ram ghar aaya to uski patni ne choro ki baat btayi to. (Akbar Birbal Short Stories)
Ram bola : khana lagao, biagar khana pina khaye choro se muqabala kon karega. Jo hoga subh dekha jayega or konsa pedh mera hai. Kyu apni jaan khatre mein dalne jau- chor aam churane aaye h to hatiyar bhi laye honge.
Yeh kehkar khana khakar raam palang par soo gaya,aur dusri taraf usi tarah jab basant ghar gaya to uski patni ne bhi btaya k ichor aaye h to weh jhat se lathi ki aur bhaga aur bahar ki taraf chal padha. Patni ne piche se toka khana to khate jaiye . Basant : khana to wapis aakar bhi khaya ja sakta hai magar agar aam chura liye gaye to dobara nahi aayenge. Unki hifajat karna jaruri hai. Ye daari jankari naukaro ne birbal ko di.
Agel roj jab raam, basant faisla sunane birbal ke pass pahuce to, birbal ke samen baat saaf thi ki pedh kiska hai ya kiska nahi hai. Phir bhi unhone kaha – “mein kaafi sochne ke baad iss vichar par pahcuha hu ki weh pedh tum dono ke jhagde ki jhad use pedh ko kaat diya jaye ” kyu raam tumhara kya khaya hai- birbal ne pucha.
Akbar Birbal Story in Hindi with a Moral
“aap malik hai jo thik samjhe kare” yahi baat ko jab basant se pucha top usne gusse ke andaaz mein kaha “issi saal to iss par aam lage hai, unhe kacche n tudwaye- hare bhare pedh ko katwane se mujhe kya milega. Raam ko hi de do pedh samne rahega to mann ko shanti to milegi. (Akbar Birbal Short Stories)
Bas faisla ho gaya basant pedh tumhara hai. Yeh sab ache se samjhkar raam birbal se maafi mangne laga. Aur birbal ne raam ko juth bolne ke aarop mein 100 rs/- ka jhurmana dene ko kha . Badshah ne sacche nyay dekha to kush hue aur birbal ka samman kiya.
Char Guno Se Yukt Aadmi (Story of Birbal)
Ek din akbar badshah birbal se bole – “aisa aadmi lao jo peer, bawarchi, bhisti aur khar inn charo guno se yukt ho.
Birbal ko jald hi yukti sujh gayi. We ek garib majdrui karne wale pandit ko badshah ke sammukh khaka karke birbal ne kaha- “jahapanah, iss pandit mein aapke btaye jaane wale ghar gun hai. (Akbar Birbal Short Stories)
Badshah bole –”khulkar samjhao”
Tab birbal ne utar diya– “aalampnah, pandit janm se pujeh mane jate hai, iss naate yeh ‘peer’ hai. Pandit ke hath ka bhojan sab log bina bhed-bhaw ke kha lete hai, ath: yeh bawarchi hua. Pandit ke hath ka pani peen ke kisi ko aitraaj nahi hota, ath: yeh bhisti aur iska pasha bojha dhon hai ath: yeh gadhe ka kaam karne se yeh gadha hua.
Birbal ka jawab sunkar badsha aur darbari bhi kush hue tahat uss pandit ko asarfiya dekar vida kiya.
Chup se Badha Budhimaan Nahi (Akbar Birbal Stories)
Ek din akbar badshah ne birbal se kaha –”birbal koi aisa aadmi dhundkar lao jo budhimano ka budhiman ho.”
“jaisa hokum jahapanah ! Bahut jaldi aisa aadmi aapke samne haajir kar dunga, par iske liye samay aur dhan ki jarurat padegi.”
“500 swarn mudraye le lo. Ek saptha ka samay diya jata hai”
Birbal samay aur dhan pakar apne ghar jakar arram karne lage. Dhan ko unhone garibo ki madad mein laga diya. Saatwe din birbal ne idhar-udhar ghumkar bhed-bakriya charate gawale ko pakda. Nehla-dulakar, acche kapde pehnaye aur 100 swarn mudraye dekar use rajdarbar ki aur chale. Use raste mein achi tarah sikha-padha siya ki waha jakar kya karna hai rajdarbar mein gawale ko pesh kar birbal ne badshah se kaha – “aapke aadeshnusar, budhimano ka budhima aadmi mein le aaya hu.” (Akbar Birbal Short Stories)
Badshah ne gawale se pucha – “tum kaha rehte ho? Tumhare pita tumhe kis naam se pukarte hai, tum kon-si visesh baat jante ho?”
badshah ne usse parsan-par-parsan kiye, parantu weh to birbal dawara sikha-padhakar laya gaya tha, ath: usne ‘ek chup hajar bala’ talne wali kahawat birbal ne sikha rakhi thi. Esilye usne koi utar n diya.
Badshah ne sikayat ki-“yeh tum kisko pakad laye birbal yeh gunga-behra to nahi? Mere kisi parsan ka utar isne nahi diya.”
tab birbal ne haste hue kaha- “yeh iski budhiman hone ka jawab hai jahapanah! Bujurgo se isne sun rakha hai ki raja aur apne se adhik budhiman ke samne chupi sadhe mein hi blayai hai, so yeh uss suni hui gyan ki baato par amar kar raha hai.” (Akbar Birbal Short Stories)
badshah birbal ki haajir jawabi sunkar muskuraye-gawale ko inaam dekar vida kiya.