Latest Urdu Poetry In Hindi
Sacchayi Par Safedi Putt Rahi Hai,
Suhaaga Koylon Par Chadh Gaya Hai,
Na Tum Piche Pado Insaaniyat Ke,
Jamana Bahut Aage Badh Gaya Hai.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Aag Mein Hum Kabhi Bhatak Jaayenge,
Darpano Ki Tarah Se Chatak Jaayenge,
Tumko Aawaj Dete Huye Ek Din,
Hum Saleebon Pai Has Kar Latak Jaayenge.
50+ Popular Daagh Dehlvi 2 Line Sher and Shayari in Urdu
Jajbaa E Reham Ubhaar Deta Hai
Hai Ajab Cheej Darde-Ishat Bhi
Yaad Ehade-Wafa Bhi Hai Tera
Yaad Rakhunga Ye Naseehat Bhi.
Kaifi Aajmi
♠♠—♣♣—♥♥
Jar Ke Bande Ab Hosh Mein Aaja,
Bhul Gujre Huye Jamane Ko,
Tujse Majdoor Cheen Sakta Hai,
Is Khanakte Huye Khajaane Ko.
Khumar Barabankvi
Urdu Poetry in Hindi on Love
Hai Aadhi Raat, Ardh Jag Pada Andhere Mein,
Sukh Ki Dunia Soti Ragon Ke Ghere Mein,
Par Dukh Ka Insani Deepak Jal Kar Kehta,
Ab Jyada Der Nahi Hai Naye Sawere Mein.
Girija Kumar Mathur
♠♠—♣♣—♥♥
Bhut Khoya, Aur Khone Do Mujhe,
Aur Bhi Ghumraah Hone Do Mujhe,
Aaj Palkon Ki Chabeeli Chah Mein,
Lag Gayi Hai Aankh, Sone Do Mujhe.
Chiranjeet
60+ Urdu Shayari in Hindi for Girlfriend
Is Daur Mein Ab Khwaahishe-Lajjat Na Kar,
Manjil Ki Taraf Daud Yahan Raat Na Kar,
Khaabon Ki Hansi Dunia Ke Paale Pose,
Ye Wakt Amal Ka Hai Bahut Baat Na Kar.
Kaadir Siddiki
♠♠—♣♣—♥♥
Chandni Raat Hai Aur Tum Door Ho,
Preeti Ka Praat Hai Aur Tum Door Ho,
Kaanpte Hont Ke Anchuye Saaj Mein,
Raaj Ki Baat Hai Aur Tum Dur Ho.
Urdu Poetry in Hindi
Urdu Poetry in Hindi on Life
Teri Aankhon Mein Muskuraahat Hai,
Muskuraahat Mein Jagmagaahat Hai,
Jagmagahat Ki Oat Mein Raksaa,
Mere Khabdeeda Gham Ki Aahat Hai.
♠♠—♣♣—♥♥
Dil Ke Sojo Garaaj Se Aye Dost,
Rooh Mein Shariat Bikharti Hai,
Jitna Insan Dard Sehta Hai,
Jindagi Aur Bhi Nikharti Hai.
Khumaar Barabankavi
Best 25+ Pakistani Qateel Shifai Poetry in Urdu
Humne Bhi Kab Jaamo-Suboo Dekha Tha,
Jo Kuch Nahi Hai, Rubaru Dekha Tha,
Unn Baaton Ko Ab Jo Gaur Kariye Aye Dard,
Kuch Khaab-Sa Tha Ki Wo Kabhoo Dekha Tha.
Khwaaja Meer Dard
♠♠—♣♣—♥♥
Kuch Saleeka Agar Hai Jeene Ka,
Bajme Dunia Hai, Baag Jannat Hai,
Jindagi Ko Tu Amar Kar Le,
Mar Ke Jeena To Ik Kayaamat Hai.
Unknown
Romantic Urdu Poetry SmS
Shuak Se Husne-Jawan Ka Lutf Lo,
Nargisi Aankhon Se May Jamkar Piyo,
Baad Kya Hai Maut Ka Sannata Hai,
Jindagi Me Khoob Jee Bhar Ke Jio.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Khelne Jab Se Lage Hain Hath Me Kuch Maskharon Ke,
Aadmi Se Hamare Dwaar Par Aakar Na Dega Koi Dastak,
Chaukhaton Se Kiwadon Tak Badhein Itne Fasle Hain.
♠♠—♣♣—♥♥
Mehki Hui Guftaar Mein Foolon Ka Tabassum,
Behki Hui Raftaar Mein Jhonkon Ki Rawani,
Mumkin Hai Khijaaon Ka Tasabbur Hi Badal De,
Ai Jaane-Bahara Teri Ghulposh Jawaani.
Qateel Shifai
55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love
Kabhi-Kabhi Tere Hoton Ki Muskuraahat Se,
Mujhe Bahar Ki Aahat Sunaayi Deti Hai,
Teri Nigaah Ki Ye Behijaab Sargoshi,
Mujhe Fuhar Si Padti Dikhaayi Deti Hai.
Qateel Shifai
♠♠—♣♣—♥♥
Ye Dunia Nahi Dil Lagane Ke Kaabil,
Wo Khudaa Hai Yahan Jo Hai Madhosho-Gaafil,
Bujhaa Aatishe–Gham Ko Cheento Se May Ke,
Sulagte Hi Uthein To Kya Is Se Haasil.
Urdu Poetry in Hindi
Urdu Poetry in Hindi on Facebook
Iss Gujarti Hui Dunia Ka Ye Ghamkhaana Kya,
Ranjo–Afgaar Mein Yon Club Ko Bharmaana Kya,
Gar Wafadaari Ki Dunia Me Koi Khoo Hoti,
Auron Ki Chod, Uska Tere Paas Aana Kya.
♠♠—♣♣—♥♥
Ye Jaam Hai Haan Rooh Ko Inaam Tera,
Ban Jaayega Har Bigdaa Huaa Kaam Tera,
Toofaane–Hawadis Me Are Paaye Panaah,
Kam Nooh Ki Kashti Se Nahi Jaam Tera.
Top 50+ 2 Line Meer Poetry In urdu
Kab Tak Ghamo-Afgaar Mein Ja Khoyegaa,
Kab Tak Dile-Afsurdaa Ko Yun Royega,
Masti Me Har Ek Gham Ko Duboo Kar Khush Reh,
Kya Kal Ki Khabar Tujko Kahan Hoyenge.
Masum Sherghatvi
♠♠—♣♣—♥♥
Wo Ab Utha Har Soo Halka-Halka,
Ab Der Na Kar Uthaa Bottle Ka,
Konen Ko Ghulrang Banana Hai Mujhe,
Haan Saaki-E-Maikhaana Ghulaabi Chalka.
Urdu Poetry for Love
Me Aag Ko Choo Leta Hu Chandan Ki Tarah,
Har Bojh Utha Leta Hu Kangan Ki Tarah,
Ye Yaar Ki Madira Ka Nasha Hai, Jisme,
Kaanta Bhi Lage Fool Ke Chumban Ki Tarah.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Aakash Dhara Se Ek Raat Bola Ye,
“Teri Chati Par Bahut Bojh Rehta Hai”
Dharti Bola,” Tu Ro Deta Pal–Bhar Mein
Samarthyawan Hi Sab Dukh–Sukh Sehta Hai.
Udayshankar Bhatt
105+ Latest 2 Line Bewafa Poetry in Urdu and Hindi
Hui Sehar To Pukaara Yepeere Maykhaana,
Are Wo Mast Kahan Hai Sada Ka Deewana,
Bulaana Usko Ki Jaldi Se Uska Jaam Bharein,
Muwaada Maut Na Bhar Daalein Uska Paimaana.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Deti Hai Ajal Kisko Amaa Ai Saaki,
Bhar Jaam Mera Jaldi Se, Haan Aye Saaki,
Dunia Ke Bakhedon Ke Liye Rona Kya,
Mashoor Darojaa Hai Jahan Aye Saaki.
Sad Poetry in Hindi and Urdu
Nauraaj Hai Foolon Ki Tarah Jaam Sambhaal,
Haasile Mayoshahid Hai To Kuch-Wakt Nikaal,
Kuch Aish To Kar Le Ki Nahi Kal Ki Khabar,
Kya Hai Ghame–Fardaa Ise Bhatti Me Daal.
♠♠—♣♣—♥♥
Parde Me Kali Muskuraati Aayi,
Aagosh Mein Ghul Ke Lehlahoo Aayi,
Angdaaiyaan Leti Hui Jaagi Har Shaakh,
Albeli Bahar Gungunaati Aayi.
“Asar” Mirza Jafar Ali Khan
55 Whatsapp Status in Urdu by Famous Poets
Kya Huaa Inko Ki Bhaage Ja Rahe Hain,
Ghar, Dagar, Giriwar Chaalenge Ja Rahe Hain,
Kaun-Sa Rasroop Dharti Par Nahi Hai,
Kheej Mein Jiski Abhaage Ja Rahe Hain.
Anand Mishra
♠♠—♣♣—♥♥
Wahin, Haan–Haan Wahin Manjil Hai Meri,
Chamakta Hai Jahan Nanha Sitaara,
Pareshan Hu, Thaka Hu, Maut E Maut,
Khudaara Badhke De Mujko Sahara.
Aarif Sehansaaravi
Urdu Shayari in Hindi on Beauty
Tum Ghrinaa, Avishwas Ser Mar Jaaoge,
Vish Peene Ke Abhyaas Semar Jaaoge,
O Boond Ko Sagar Se Ladane Walo,
Ghut-Ghut Ke Swayam Pyaas Se Mar Jaaoge.
Udaybhanu “Hans”
Best Romantic Shayari in Hindi
Panchi Ye Samajhte Hain Chaman Badlaa Hai,
Haste Hain Sitaare Ki Gagan Badlaa Hai,
Shamshaan Ki Khaamsohi Magar Kehti Hai,
Hai Laash Wahin, Sirf Kafan Badla Hai.
Urdu Poetry in Hindi
Ik Nayi Najam Keh Raha Hu Main,
Apne Jajbaat Ki Hasin Tasveer,
Kis Mohobbat Se Tak Rahi Mujhe,
Door Rakhi Hui Teri Tasveer.
♠♠—♣♣—♥♥
Chand Lamho Ko Tere Aane Me,
Tapishe–Dil Ne Kya Tere Aane Se,
Dhoop Me Garam Kohsaari Ki,
Abra Ka Jaise Daudta Saaya.
115 Best 2 Line Urdu Sad Poetry About Love
Isse Pehle Ki Subah Foote Aye Dost,
Bijli Ki Tarah Wo Hum Pe Toote Aye Dost,
Yun Udte Huye Wakt Pe Kaboo Paa Lein,
Ik Lamhaa Bhi Hatho Se Na Choo Te Ai Dost.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Har Shai Ka Andaaz Badalne Wala,
Har Khaar Hai Gulshan Se Nikalne Wala,
Mashreek Ki Taraf Dekh-Dekh Ki Taareeki Mein,
Ik Noorka Chashma Hai Ubalne Wala.
60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook
Hairat Hai Ghame-Jahan Tujhe Raas Nahi,
Shayar Hai, Ye Itna Bhi Tujhe Paas Nahi,
Bulbul Ki Fugaa Tujhe Paas Nahi,
Aadam Ki Fusaa Ka Tujhe Ehsaas Nahi.
Jagganath Ajjad
♠♠—♣♣—♥♥
Jindagi Kaat Di Humne Kisi Khuddar Ke Sath,
Lafaj Inkaar Bhi Chalta Raha Ikraar Ke Sath,
Hum Kabhi Unki Khataaon Pe Khafa Ho Na Sake,
Gussa Aaya Bhi To Aaya Hai Bade Pyaar Ke Sath.
Kishan Saroj
Urdu Shayari in Hindi 140 Character
Bhatakte Paawon Ko Raahon Ki Jarurat Hogi,
Tasabburaat Ko Baahon Ki Jarurat Hogi,
Tere Maasum Khayaalon Ki Kasam Tujko Bhi,
Umar Ke Sath Gunaahon Ki Jarurat Hogi.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Sach Kahoon Kya Ye Jindagaani Hai,
Ramta Jogi Hai, Behta Paani Hai,
Fir Jo Tum Ho, Ki Me Hu, Koi Ho,
Ek Bhooli Hui Kahani Hai.
Keshaw Pathak
♠♠—♣♣—♥♥
Kaash Hota Main Ek Katraaye Ashk,
Aur Teri Aankh Se Chalak Jaata,
Banke Fir Ek Gauhare–Saiyyal,
Tere Rukhsaar Par Dhalak Jaata.
Krishna Mohan
Urdu Poetry About Love
Dekho Dekho Hayaate-Faani Dekho,
Dariya Me Habaab Ki Rawani Dekho,
O Naam Pe Jindagi Ke Marne Wale,
Sar Se Gujar Raha Hai Paani Dekho.
♠♠—♣♣—♥♥
Kisi Ki Bhi Mehnat Ko Aak Kar,
Sab Jaan Paate Koi Kis Kaabil,
Kaabiliyat Ka Ehsaan Karwane Par,
Jindagi Mein Sab Kuch Hota Haasil.
Kanta Sharma
120 Sad Heart Touching Poetry in Urdu
Kya Haal Mera Poochta Hai Mujse Humnashin,
Jitni Umar Meri Badhi, Utni Ghat Gayi,
Kaayam Dume-Aakhir Beharhaal Shukra Hai,
Acchi Kati, Buri Kati Jese Bhi Kat Gayi.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Roop Ki Chandni Me Nahata Raha,
Wo Timir Me Kahin Jagmagata Raha,
Pyaar Ki Unglio Se Jara Choo Liya,
Der Tak Aayina Gungunata Raha.
♠♠—♣♣—♥♥
Aapne Shish Par Haath Jab Dhar Diya,
Yun Laga Bhoomi Ko Ek Ambar Diya,
Yugon Yugon Se Yahan Me Bujha Deep Tha,
Aapne Fir Mujhe Aarti Kar Diya.
55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets
Bulbulon Ki Tarah Choot Jaate Hain Hum,
Teer Ki Hi Tarah Choot Jaate Hain Hum,
Patharon Ko To Thokar Lagate Rahe,
Fool Ki Thes Se Choot Jaate Hain Hum.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Jameen Ne Choom Liya Aasmaan Ne Thaam Liya,
Mere Larajte Labon Ne Jo Tera Naam Liya,
Is Hakikat Ko Na Afsana Bana Aye Humdum,
Khudaa Ke Naam Se Pehle Tumhara Naam Liya.
Urdu Romantic Poetry in Hindi
Din Ka Maalik Hai Mil Ka Nahi ,
Kyun Kar Soorya Ki Vandana
Sayran Se Mili Hai Hume
Bhor Hone Ki Shubvh Soochna.
♠♠—♣♣—♥♥
Sajawat Ko Jara-Si Saadgi Do,
Kahin Dukan Manaw Ho Na Jaaye,
Na Man Ki Khaat Par Makhmal Bichaao,
Kahin Insan Bheetar So Na Jaaye.
Collection of 65+ 2 Line Poetry in Urdu by Famous Poets
Ek Aisa Bhi Aata Hai Chandni Raat Mein,
Mera Dimaag Mera Dil Kahin Nahi Hota
Tera Khayaal Bhi Esa Nikhar Ke Aata Hai
Tera Visal Bhi Itna Hasin Nahi Hota.
Qateel Shifai
♠♠—♣♣—♥♥
Har Chij Hai Aajad Bahut Accha Hai,
Hardum Nayi Ijaad Bahut Accha Hai
Ikhlaas Ke Andaaz, Haya Ke Tewar
Ho Jaane De Barbaad, Bahut Accha Hai.
Urdu Poetry About Friends
Kahin Rahoon Main Par Man Tera Tere Paas Raha Karta Hai,
Mukti Samay Doori Ki Parimiti Se, Cheer Tripti Laha Karta Hai,
Jab Milta Hu Tab Mera Man Tujse Door Chala Jaata Hai,
Nashwar Milan Anashwar Jiwan-Trishna Vikal Saha Karta Hai.
Anchal Rameshwar Shukla
♠♠—♣♣—♥♥
Daudta Hu Khayal Ke Piche,
Jaise Deewana Ho Gaya Hu Main,
Haay Baraftagi Mein Yon Ab Tak,
Tumko Apna Samajh Raha Hu Main.
Ajhar Rijvi
27 Popular Sad Urdu Ghazals by Famous Poets
Insan Giraftaare-Musibat Hai Abhi,
Gaflat Ki Na Poocho Wahin Gaflat Hai Abhi,
Dekhi Nahi Jo Sir Se Kayaamat Gujri,
Ik Aur Kayamat Ki Jarurat Hai Abhi.
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Jitni Tehjeeb Hai Tarakki Par,
Aabru-E-Hayat Khoti Hai,
Masjidon, Mandiron Ki Weerani,
Roohe-Aadam Ko Aaj Roti Hai.
3 Short Fiction Stories for Adults
Mohabbat Khud-Ba-Khud Ek Roj Dil Ka Saaj Ban Jaati,
Agar Dil Ki Har Ik Dhadkan Teri Aawaj Ban Jaati,
Sada Pee Ke Papeeha Kaash Is Andaaj Me Deta,
Ki Mujh Tak Aate-Aate Wo Teri Aawaj Ban Jaati.
Ekta Shabnam
♠♠—♣♣—♥♥
Mujko Teri Lagan, Tujhe Dunia Ki Tishnagi,
Ye Meri Aag Hi Hai , Wo Tera Shaoor Hai
Me Jis Kadar Kareeb Hu O Mehjabin Tere
Tu Apne Kurbejaat Se Utna Hi Door Hai
Abdul Hamid Adam
https://www.youtube.com/watch?v=Ff8K-mdso-8
Urdu Shayari in Hindi 140 Words
Chand Maujein Hain Wo Bhi Paani Ki
Paar Kashti Ko Kya Lagayegi
Nakhudaa Par Bhi Naaj Bejaa Hai
Himaatein Teri Kaam Aayegi
♠♠—♣♣—♥♥
Raaton Ko Uthke Rote Hain Taaron Ki Chaw Mein
Yun Seh Rahe Hain Gham Ki Kisi Ko Khabar Nahi
Dunia Me Rehke Ye Huaa Ehsaas
Jist Kuch Bhi Siwaay Farj Nahi
Urdu Poetry in Hindi
♠♠—♣♣—♥♥
Jab Bhi Kisi Ka Ehade-Wafaa Yaad Aa Gaya
Wo Darde Dil Uthaa Ki Khudaa Yaad Aa Gaya
Me Aur Unse Tarke-Taaluk Khudaa Khudaa
Ehsaase–Bekhudi Me Ye Kya Yaad Aa Gaya
Urdu Poetry and Shayari
Din Mein Patni Ke Taane Sune
Raat Machar Ke Taane Sunoo
Ek Hi Kaan Se Kis Tarah
Gaaliyaan Aur Gaane Sunoon
Omprakash Aditya
♠♠—♣♣—♥♥
Neend Meri So Gayi Jaakar Kisi Ki Baahon Mein,
Raat Sab Ki Sab Kisi Ke Kuntalon Mein Bas Gayi,
Ruk Gayi Sehasa Pawan Ki Sas Kis Aakash Mein,
Fir Kisi Ki Yaad Aakar Stabdhta Ko Kas Gayi.
Anchal Rameshwar Shukla