Poems In Urdu Language
Kabhi ban sawar ke jo gaye to bahare-husn dhika gaye,
mere dil ko daag laga gaye, ye naya shigua khila gaye,
koi kya kisi ko lubhaye dil, koi kya kisi se lagaye dil,
wo jo bechate the dawa-e-dil, wo dukan apni badha gaye,
mere pass aate the, dum-b-dum , we juda n hote the ekdum,
y dhikaya chark ne kya sitam ki mujhi se aankh chura gaye,
bandhe kyu n aansuo ki jhadi, ye hasarte unke gale-padi,
we jo kakule thi badi-badi, wo unki ke pench mein aa gaye,
yahi shok tha hume dum-b-dum, ki bahar dekhenge ab ke hum,
jyu hi chute kaid-kafas se hum, to suna khija ke din aa gaye,
Bahadurshah ‘jafar’
Best Urdu Ghazals
kathayi prat hai jaha mein,
sawali raat hai jaha mein,
dhoop ke pawn dagmagate hai,
sirf barsat hai jaha mein,
har mehakdar phool qaidi hai,
mukat ispat hai jaha me hu,
kiich hai behisab koi h,
par n jaljaat hai jaha me hu,
log khulte hue jijkate hai,
pyar agyat hai jaha me hu,
darpano se najar churate sab,
jhuth har baat hai jaha me hu,
silwati honth tak nahi aata,
geet abhijaat hai jaha me hu.
Hindu Muslim Urdu Ghazals
Jale deep, phool mehke, chaman iss tarah saja do,
me gagan utar lunga, jara tum jo muskura do,
aye hawao ke jhokoro, kaha aag le ke nikle,
mera gaon bach sake to meri jhopdi jala dena,
aye gagan ko chune walo, n bhujao jhugnuo ko,
koi chandni ughakar, inhe ab n tum saja do,
ye chatthan nafrato ki, jo padi hai raste mein,
ise ekta ke hatho kisi jheel mein duba do,
aye samay ke chand-taaro, n swaro mera jeevan,
meri jindagi yahi hai, mera desh jagmaga do,
mujhe baad mein bnana, koi hindi ya muslim,
mujhe pehle ek insaan bade pyar se bana do.
Poems In Urdu Language
Esliye taarik ne humko kabhi chah nahi,
hum akele hai humare pass kabhi choraha nahi,
chokato ke paar chamde ka bhara bazar hai,
aur kano mein humare itar ka faha nahi,
taqt chehro ka, kabhi paltega to baat aur hai,
abtalak to humne apni rooh ko byaha nahi,
aaj choli hai kahi par, aur daman hai kahi,
aur iss samband ko kisse nirwah nahi,
dosto, tumne bahut chaha magar hum kya kare,
zindagi bakayada hoti kabhi swah nahi.
SmS Poetry In Urdu Ghazals
Mujhe sehal ho gayi manjile, wo hawa ke rukh bhi badal gaye,
tira hath hath mein aa gaya, ki chirag rah mein jal gaye,
wo ljaye mere swal par, ki utha sake n laja ke sar,
udhi julfe chehre pe iss tarah ki sabho ke raz machal gaye,
wahi baat jo n wo keh sake, mire sher-ao-nagme mein aa gaye,
wahi lab n me jinhe chu saka kdhe-sharab mein dhal gaye,
mujhe chasme-mast pata bhi hai, ki shaba garmi-a-bajm hai,
tujhe chasme-mast khabar bhi hai, ki sab aabghine pighal gaye,
unhe kab ke raas bhi aa chuke tiri bajme-naaj ke hades,
ab uthe ki teri najar phire, jog ire the gir ke sambhal gaye,
mere kaam aa gayi aakhirash, yahi kaavise yahi gardishe,
badhi iss kadar meri manjil ki kadam ke khar nikal gaye.
Poems In Urdu Language
Ghata ko julf likhna shak ko angadiyan likhna,
har ek mausam ko uske husan ki parchaiye likhna,
hum ek baar jee bharkar pila de saakiya aur phir,
humare naam saare sehar ki ruswaiya likhna,
chaman mein uska aa jana baharo ki nishani hai,
agar aanchal udhe uss shok ka parchaiyan likhna.
Sad Ghazal In Urdu
nayi duniya mujssam dilkasi-malum hoti hai,
magar iss husan mein dil ki kami malum hoti hai,
hizabo mein nasime-jindagi malum hoti hai,
kisi daman ki halki tharthari malum hoti hai,
mohabbat ek musalsal badjani malum hoti hai,
ki unse har mulaqat akhiri malum hoti hai,
miri raato ki khunki hai teri ghesu-e-purkam mein,
ye badti chaw bhi kitni ghani malum hoti hai,
ye dil ki tasnagi hai ya najar ki pyas hai saaki,
har ek bottle jo kholi hai bari malum hoti hai,
diya khamosh hai lekin kisi ka dil to jalta hai,
chale aao jaha tak roshni malum hoti hai,
jidhar dekho ‘nushur’ ek aalme-digar najar aaya,
musibat mein ye duniya ajnabi malum hoti hai.
Best Ghazal In Hindi
Aap jinke karib hote hai,
wo badhe khusnasib hote hai,
jab tabiyat kisi pe aati hai,
maut ke din karib hote hai,
mujhse milna, phir aapka milna,
aap kisko nasib hote hai,
julm sehkar jo uff nahi karte,
unke dil bhi ajib hote hai,
ishq mein aur kuch nahi milta,
saikdo gam nasib hote hai,
‘Nuh’ ki kadar koi kya jane,
kahi aise abid hote hai.
Poems In Urdu Language
Yaadon ka besh dhar kar gam pass aa gaye hai,
aankho mein yo humare ithiaas aa gaye hai,
har jam mein bara hai apni hi khoon humne,
pyasi nigah lekar upwas aa gaye hai,
dube rahe hai hum to apne hi aansuo mein,
lekin ubar ubar kar kuch khass aa gaye hai,
Jhuje hai muskilo se kya kya nahi kiya hai,
phir bhi lute-pite se vishwas aa gaye hai,
ashqo ki shakal lekar aansu ki waadiyo mein,
jane kaha-kaha se upwas aa gaye hai,
taabiz ho gaye hai paon mein band ke ghungaro,
ye mehfilo mein khud hi sayaas aa gaye hai,
ye zindagi nahi, par ummid kab meri hai,
darmyan hazar inke sanyas aa gaye hai.
Urdu Ghazals
Jhuthi hi tassali ho kuch dil to behal jaye,
dhundli hi sahi lekin ek to sama to jal jaye,
uss mauj ki takkar se sahil bhi larjata hai,
kuch roz jo tufan ke aagosh mein pal jaye,
majburi-e-saaki bhi, aye tashna-labo samjho,
wayiz ka ye mansha hai mehkwar mein chal jaye,
aye jalab-e-janana phir aisi jhalak dhikla,
hasrat bhi rahe baaki aarman bhi nikal jaye,
iss waste cheda h parwano ka afsana,
shayad tere kano tak paigame-amal jaye,
mehkane-e-hasti mein mekash wahi mekash hai,
sambhale to behak jaye, behke to smbhal jaye,
humne to ‘fana’ itna mepume-ghazal samjha,
khud jindagi-e-shayar ahehar mein dhal jaye.
Poems In Urdu Language
Humne tanhai mein zanjeer se baate ki hai,
apni soyi hui taqdeer se baate ki hai.
tere deedar kya khaak tamanna hogi,
zjindagi bhar teri tasveer se baate ki hai,
maut ke darr se me khamosh rahu lanat hai,
jab ki jallad ki shmshir se baate ki hai,
kais ki laila ya farhad ki shiri keh lo,
hum nahi ranja heer se baate ki hai,
‘rang’ ka rang zamane ne bahut dekha hai,
kya kabhi aapne ‘balbir’ se baate ki hai.
Urdu Ghazal Poetry
Lagta nahi hai jee mera ujade dayar mein,
kisko bani hai aalme-napayedar mein,
bulbul ko pasba se n sayyad se gila,
kismat mein kaid thi likhi fasle-bahar mein,
keh do inn hasrato se kahi aura ja base,
itni jagah kaha h dile-dagdar mein,
ek shake-gul pe baith ke bulbul hai shadma,
kaante bicha diye h dile-lalajar mein,
umre-daraj maang ke laye the char din,
do aarzo mein kat gaye do intjaar mein,
kitna hai badnaseeb ‘jafar’, dafan ke liye,
do jamin bhi n mili kuwe-yaar mein.
Poems In Urdu Language
Dil ko thame hue yu bekarar baithe hai,
aisa lagta hai koi dave haar baithe hai,
inse keh do kisi aur ka jakar chede,
humko ghere hue jo gamgusar baithe hai,
ek bhi chand tumhe apne sath la na saka,
hum to har raat ki julfe sawar baithe hai,
tum n gujroge idhar se ye sahi hai lekin,
tumne karne ko kaha intezaar baithe hai,
ye jaruri to nahi hai ke koi raaz hi ho,
aaj mausam hai jara khusgwar baithe hai,
ektak dekhe se aankho mein jo aaya pani,
soch lena n kahi ashqbar baithe hai,
maut har roj takaja jo kare wajib hai,
hum bhi khaye hue kab ka udhar baithe hai,
hum to ‘Rahi’ hai ghadi bhar mein gujar jayenge,
Aap bhi kin ka kiye aitbaar baithe hai.
Ghazal Lyrics In Hindi
San ki chaya mann ke upar hi mandraya karti hai,
koi peer sugandhit mann ka dhiraj hi khaya karti hai,
darr ki chadi hui baho se darr to mujhko lagta hai,
lekin hasi kahi se hontho par aa jaya karti hai,
ajab kiran hai pyar ki jisse ujlaa to kuch nahi hua,
har tarlayi hai anatstal ki magar tpaya karti hai,
titli-phool nyay se koi ghatna ghatkar khtam hui,
murkh kalam usi par baithi ghazal jmaya karti hai.
Hindi Ghazal SmS
Kisi se meri manjil ka pata paya nahi jata,
jaha mein hu waha faristho ka saya paya nahi jata,
mohabbat ki nahi jati mohbbat ho hi jati hai,
ye shola khud badak jata hai, bhadkaya nahi jata,
fakiri mein bhi mujhko mangne me sharm aati hai,
sdali hoke mujhse hath phalya nahi jata,
chaman tumse ibadat hai, bahare tumse jinda hai,
tumhare samne pholo se murjhaya nahi jata,
harik dage-tamnna ko kaleje se lagata hu,
ki ghar aayi hui daulat ko thukraya nahi jata,
mohabbat ke liye kuch khass dil makhsus hote hai,
ye wo nagma h jo har saaz par gaya nahi jata,
mohabbat asal mein ‘Makmur’ wo raze-haqiqat hai,
samjh mein aa gaya phir bhi samjhaya nahi jata.
Poems In Urdu Language
sehar aur sham se kuch to nikharta ja raha hu me,
ki jeeta ja raha hu aur marta ja raha hu me,
gule-rangi ye kehta h ki khilna husan khona h,
magar ghucha samjhata h nikharta ja raha h,
jwani ja rahi h aur me mehwe-tmasha hu,
udd jati h manjil aur teharta ha raha hu me,
bahut uncha udha lekin ab iss mauje-takhul se,
kisi duniya-e-rangi mein utarta ja raha hu me,
‘Nushur’ aakhir kaha tak fikre-duniya dil dhukayegi,
game-hasti ko joke-sher karta ja raha hu me
Sad Ghazal In Hindi
Yaar ke sab kareeb rehte hai,
door humse nasib rehte hai,
nahi hota kisi se mera ilaaj,
yaha itne tabib rehte hai,
fauje-hasrat mein mere nala-ao-aah,
bas, yahi do nakib rehte hai,
daste-gurbat mein rehte h jo log,
wo humi se garib rehte hai,
hum kisi gul ke ishq mein nala,
ravise-andlib rehte hai,
mere aur unke mamle baham,
kya kahu, kya ajib rehte hai,
ho wo to tanha kuch kahu me ‘jafar’,
sath unke rakib rehte hai.
Poems In Urdu Language
Jane kis waqt sham ho jaye,
Ye kahani tamam ho jaye,
hum fakiro ka kya thikana hai,
jane kis ghar kayam ho jaye,
koi ajad kis tarah se rahe,
jab ke dana hi dam ho jaye,
pyar ki baat kar sako n agar,
dostana klaam ho jaye,
daawte-wasal do n tum chahe,
door se hi salam ho jaye,
kuch kare maut par nahi mumkin,
jindgani gulam ho jaye,
majhabe-ishq hi nirala hai,
job hi chahe emam ho jaye,
gar irado mein jor ho ‘Rahi’,
farsh chaye to bam ho jaye.
Hindi Ghazal SmS
zamane ishq me deewana ho gaya hu me,
ye kiske hath se daman chuda raha hu me,
tumhi wo ho jise kehti h nakhuda duniya,
bacha sako to bacha lo ki dubta hu me,
ye mere ishq ki majburiya mjaj-allah,
tumhara raaz tumhi se chupa raha hu me,
iss ek hizab pe soo behizabiya sadke,
jaha se chahta hu, tumko dekhta hu me,
btane wale wahi par btate h manjil,
hazar bar jaha se gujar chuka hu me,
kabhi ye jeem, kit u mujse chip nahi sakta,
kabhi ye weham ki khud bhi chupa hua hu me,
mujhe sune n koi masat-bada-e-isharat,
‘Mazaz’ tute hue dil ki ek sada hu me.
Bewafa Dard Bhari Ghazal
Tere haatho ki mehandi mein jaalim, khoon shamil h mere jigare ka,
tune pehna hai shadi ka joda dard dekar mujhe umar bhar ka,
tune sangdil mere dil ko toda, maine tere liye sabko choda,
tune kis mod par lakar choda, mein idhar ka raha n udhar ka,
mein to ginta hu raato ke taare rote hai aansu bechare,
maut se bhi zyada hai sadma bewafa mujhko tere hi dar ka,
tune mujhko khilona bnaya tod dala jaha dil mein aaya,
tune jaalim liya kitna musqil imtehaan roj mere sabar ka,
iss tarah dil ka seesha n todo, apne ‘saadik’ ko tanha n chodo,
raah mein chodkar jane wale tu to sathi tha lambe safar ka.
Urdu Ghazal SmS In Hindi
Dokha n dena tujhpe aitbaar bahut hai,
ye dil teri chahat ka talabgaar bahut hai,
teri surat na dekhu to dikhayi kuch nahi deta,
hum kya kare ki tujhe hume pyar bahut hai,
tujhe jab khat mein liktha hu meri tehreer roti hai,
Tujhe jab yaad karta hu, meri taqdeer roti hai,
tere iss hijar ne jaalim kiya hai haal ye mera,
meri ab dekh ke surat mere tasveer roti hai,
meri gurbat (garibi), mohabbat mein meri dushman bani yaaro,
meri ye bebasi mera kaleja chir roti hai,
mujhe ashqo se hai chahat, unhe mujhse mohabbat hai,
mere seene se lagkar ye meri jaagir roti hai,
zamane mein nahi ‘saadik’ koi humne sukhi dekha,
kisi ka ranjha rota hai, kisi ki heer roti hai.
Hindi Ghazal By Attaullah Khan
Iss dil se teri yaad bhulayi nahi jati,
ye pyar ki daulat hai roj lutayi nahi jati,
kis dil se kehte ho ‘kureshi’ tumhe dil se bhula du,
har roj to yeh duniya basayi nahi jati,
daage gam dil se kisi tarah mitaya n gaya,
maine chaha bhi magar tumko bhulaya n gaya,
dekhe jo khawab tere pyar mein weh ban n sake,
dil ke najdik rehkar dil ki sada sun n sake,
hale dil mera unse aaj sunaya n gaya.
maine chaha bhi magar tumko bhulaya n gaya,
teri yaado ke kabhi jab ye jhkam bharne lage,
iss bahane hum tumhe yaad sanam karne alge,
apna kehkar bhi hume apna bnaya n gaya,
maine chaha bhi magar tumko bhulaya n gaya,
daage gam dil se kitne hi sehte rahe hum to,
sitam ulfat mein kitne nadan the hum,
teri iss chahat mein tere bin kahi aur dil ko lagaya n gaya,
maine chaha bhi magar tumko bhulaya n gaya,
janta hu kit ere dil se abhi badle nahi,
aankhe badly hai teri dil to magar badle nahi,
raaje dil tumse ‘kureshi’ ye chupaya n gaya,
maine chaha bhi magar tumko bhulaya n gaya,
Ahmed Faraz Ghazals In Urdu
Karu n yaad agar kis tarah bhulao use,
ghazal bahana karu aur gungunao kaise,
wo khar-khar h shak-e gulab ki maanind,
mein jakhm-jkham hu phir bhi gale lagau kaise,
ye log tajkare karte h apne logo se,
mein kaise baat karu aur kaha se lau use,
jo humsafar sar-e manjil bichud raha h ’faraz’,
ajab nahi ki agar yaad bhi aau use.
Ahmed faraz
Poems In Urdu Language
Khaylo-oh khwab hui h mohabbat kaisi,
lahu mein naach rahi h weh wehsate kaisi,
weh sab ko chand hi accha n din ka mehar accha,
ye hum pe beet rahi h qayamat kaisi,
wo samay tha to khuda bhi tha meharba kya kya,
lahu mein naach rahi ye wehsate kaisi,
bichud gaya to hui h adawate kaisi,
ajib jinka tabssum, gajab h jiski nigaah,
kinchi hui h pas-e ja ye surat kaisi,
bichud gaya to hui h adawate kaisi,
hawa ke rukh pe rakhe hue chirag h hum,
jo bujh gaye to hawa se shikayate kaisi,
jo bekhabar koi gujra to ye sada di h,
mein sang-e raah hu mujh pe ye inhaayte kaisi.
Ghalib Ghazals In Urdu
Jaha tera nakshe-kadam dekehte h,
kharama-kharama karam dekhte h,
tere sab kamat se ek kadde-aadam,
kayamat ke fitne ka kam dekthe h,
tamasha kar aye mehwe-aaina-dari,
tujhe kis tamnna se huke dekthe h,
surag-e tak-e nala daag dil se,
ki shad ro ko nakshe-kadam dekhte h,
khayl-oh khwab hui h, mohabbate kaise,
kharama-kharam karam dekhte h,
banakar fakiri ka hum bhesh ‘ghalib’,
tamasha-e-ahele-karam dekhete h.
Ghalib
Hindi Ghazal Songs
Hume koi gam nahi tha, gam-e aashiqi se pehle,
n thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle,
ye h meri badnasibi tera kya kasur isme,
tere gam ne maar dala, mujhe jindagi se pehle,
mera pyar jal raha h, aye chand aaj chup ja,
kabhi pyar kare hum bhi , teri chandni se pehle,
n thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle,
Hume koi gam nahi tha, gam-e aashiqi se pehle,
ye ajib imthian h ki tumhi ko bhulna h,
mile kab the iss tarah hum, tumhe bedili se pehle,,
n thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle,
Hume koi gam nahi tha, gam-e aashiqi se pehle,
Best Urdu Ghazals
Husan ko benaqab dekha hai,
jyuo khuli aankh khwab dekha hai,
kaisa hairangi ka aalam hai,
farsh par mehtab dekha hai,
aap pehlu badal ke angadaye,
ya koi inqalab dekha hai ?,
aap dhike to ye laga jaise,
aarzzo ka shabab dekha hai,
chasme-nargish mein laaj ke dore,
ya ki jame-sharab dekha hai ?,
naaj kis baat par tujhe h gul,
humne tera jwab dekha hai,
aashiya ko kafas samjhate hai,
hum-sa khanakrab dekha hai ?,
sath kaanto ke jo nahi ‘Rahi’,
aaj aisa gulab dekha hai.
Poems In Urdu Language
jnunne shok ab bhi kam nahi,
magar wo aaj bhi barham nahi,
bahut mushqil h duniya ka swarna,
teri julfo ka phecokam nahi hai,
bahut kuch aur bhi hi iss jaha mein,
ye duniya mehaj gam hi gam nahi hai,
tkazw kyu karu peham n saaki,
kise ya fike-beshokash nahi hai,
udhar maskuk hai meri sadakat,
idhar bhi badghumani kam nahi hai,
meri barbadiyo ka humnashino,
tumhe kya khud mujhe bhi gam nahi hai,
abhi bajme-tarab se kya uthu mein,
abhi to aankh bhi purnam nahi hai,
‘Mazaz’ ek badakash to h yakinan,
jo hum sunte the wo aalam nahi hai.
Bewafa Ghazal In Urdu
Maujo ne bhi diya hai sahara kabhi kabhi,
tufan mein bhi mila hai sahara kabhi kabhi,
dil khud se beniyaj raha teri yaad mein,
aisa bhi waqt humne guzara kabhi kabhi,
apni nigah-lutf se dekhe koi mujhe,
ye bhi hua n dil ko gwara kabhi kabhi,
aainadar-e-jisat khushi hi nahi nadim,
gam ne bhi jindagi ko sanwara kabhi kabhi,
dil mein sulag uthi h game-bekasi ki yaad,
badka h aarzoo ka sharara kabhi kabhi,
ek bewafa ki yaad ne aye ‘Nakas’ Jehan par,
dhundla-sa ek naksh ubhara kabhi kabhi.
Poems In Urdu Language
Gam nahi jo tan se nikal dil gaya,
mil gaye tum mujhko sab kuch mil gaya,
dage-gam roje-ajal hi mil gaya,
tan mein ja aane se pehle hi dil gaya,
aye nigahe-yas tera ho bura,
ghar talak rota hua kaatil gaya,
tan mein ja aane se pehle hi dil gaya,
marhale the kue-ulfat mein kiye,
baithe-baithe saikado manjil gaya,
tan mein ja aane se pehle dil gaya,
aayi jab sehra mein kushchasmo ki yaad,
samne nargis ka taqta khil gaya,
tan mein ja aane se pehle hi dil gaya,
waye kismat gaafil aaya mein ‘amir’,
ymar bhar gaafil raha gaafil raha,
tan mein ja aane se pehle hi dil gaya,