Urdu Shayari In Hindi
Taayir Ko Chehakne Ki Sajaa Dete Ho,
Sholon Ko Dehakne Ki Sajaa Dete Ho,
Afkaar Pe Taajir Bithaane Walo,
Foolon Ko Mehakne Ki Sajaa Dete Ho.
Akhtar Payaami
~~~~~
Eid Aayi Hai Aish-O-Nasha Ka Saman Kar,
Ik Saaki-E-Ghuljaar Ki Mehmaan Kar
Kurbaani Hai Waajib , Aaj Akhtar Tu Bhi
Taubaa Ko Khud Ke Naam Par Kurbaan Kar
Akhtar Sheerani
~~~~~
Jannat Ka Samaa Dikhla Dia Hai Mujko.
Konen Ka Gham Bhulaa Diya Hai Mujhko
Kuch Hosh Nahi Ki Hu Me Kis Aalam Mein
Saaki Ne Ye Kya Pilaa Diya Hai Mujko
Akhtar Sheerani
~~~~~
Oh Badghumaa Tu Jitna Bhi Chahe Gurej Kar,
Banda Tere Milaap Ka Umeedwar Hai,
Tu Chupke Bhi Jaayega Kis Taraf,
Kehte Hain Jisko Jist Teri Rehgujar Hai.
Abdul Hamid “Adam”
~~~~~
Manjil Ki Aur Jab Paanw Modti Hai Jindagi
Samay Ki Shila Par Chaap Chodti Hai Jindagi
Lakh Minnatein Karti Hai Kayamat Jab Aakar
Kharaam –Kharaam Sas Todti Hai Jindagi
Hoshiyaar Singh Chauhan
55 Whatsapp Status in Urdu by Famous Poets
Roshni Par Andhero Ke Pehre Huye
Jakham Jitne Silee Utne Gehre Huye
Peer Ki Bansuri Kya Sunenge Bhalaa
Log Shehnaaiyaan Sun Ke Behre Huye.
Shrawan Raahi
~~~~~
Acche Ho, Khoob Ho Jungle Ke Gulaab
Apni Khushboo Se Ho Mangal Ke Gulaab
Baat Ban Jaaye To Upwan Me Aao
Aur Bhi Hai Wahan Dangal Ke Gulaab
Trilochan
~~~~~
Kis Kadar Kamnajar Hai Insan Bhi
Maut Ki Muskilo Se Darta Hai
Warna Sach To Yahin Hai Ae “Maasum”
Aadmi Jindagi Se Marta Hai
Masum Sherghatvi
~~~~~
Dwaar–Dwaar Lali Ke Charche , Aaya Naya Sawera Hai
Mehalon Me Alok Magar Kutio Me Tam Ka Dera Hai
Do Shabd Mein Is Vikas Ka Sar Kahe Deta Hu Min
Gaawon Me Roshni Nahi To Sara Desh Andhera Hai.
Anand Mishra
~~~~~
Manas Me Lalit Bhaawna Luk Luk Jaaye
Abhivyakti Ke Kshan Kaamna Ruk Ruk Jaaye
Chautaaye Huye Aam Ki Daali Par Jyun
Faagun Ki Taral Chandni Jhuk Jhuk Jaaye
Shambhu Nath Shesh
Urdu Shayari on Love
Kya Pata Hai Ki Pulak Ka Abhaaw Kab Se Hai
Kaun Jaane Ki Kasak Ka Kubhaaw Kab Se Hai
Fool-Kaanto Mein Koi Aaj Ki Nahi Anban
Jab Se Daali Hai, Inme Man-Mutaaw Tab Se Hai
Shishupal Singh Shishu
~~~~~
Dason Disha Mein Hai Sannata
Ye Kisne Itna Dukh Banta
Humne Sat Wyaapar Kiya Tha
Hath Laga Ghaata Hi Ghaata.
Saraswati Kumar Deepak
~~~~~
Chand Kaliyaan Nishaat Ki Chunkar
Muddaton Mehawe-Yaas Rehta Hu
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi
Tujse Milkar Udaas Rehta Hoon
Sahir Ludhiyaanvi
~~~~~
Mayparasti Meri Ibaadat Hai
Main Kabhi Bewajoo Nahi Peeta
Main Sharaabi To Hu Magar Bhai
Muflison Ka Lahoo Nahi Peeta.
Harbhagwan Shaad
~~~~~
Aur Bhi Ho Jaayein Sindhu Agaadh Kya Hai
Janta Hu Me Nadi Ki Saadh Kya Hai
Ho Gaya Watawaran Aisa Rangeela
Man Huaa Chanchal Agar, Apraadh Kya Hai
Madhur Shastri
60 Urdu Status for Whatsapp and Facebook
Miliye Us Shaksh Se Jo Aadam Howe
Naaj Usko Kamaal Par Kam Howe
Ho Ghame-Sukhan To Gird Aawe Khalak
Khaamosh Rahe To Ik Aalam Howe
Meer Taaki Meer
~~~~~
Gori Ne Aanchal Se Hawaayein Di Hain
Bajte Huye Paudhon Ne Sadaayein Di Hain
Madhosh Jawaani Ko Mukhaatib Paakar
Pakke Huye Kheton Ne Duaayein Di Hain
Mushir Jhinjhanwi
~~~~~
Ek Kaali Dor Me Ambar Ghiraa
Bandhano Me Jeern Hai Sari Dharaa
Pankhuri Ne To Bahut Bandha Magar
Gandh Ne Maana Na Koi Daayra
Rama Singh
~~~~~
Me Pehli Mulakaat Ke Pal Bhul Gaya Hu
Kab Kis Se Hui Kese Pehle Pehal Bhul Gaya Hu
Ab Tak To Mujhe Yaad Tha Har Sher Jubaani
Dekha Jo Tumhe Poori Ghajal Bhul Gaya Hu
~~~~~
Aarzu E Sharaab Le Aayi
Husn Ki Aabotaab Le Aayi
Kaun Apni Khushi Se Aaya Hai
Mujko Kismat Janab Le Aayi
Nairang Sarhadi
Urdu Shayari with Pictures
Na Raja Bacha Hai, Na Rani Bachegi
Na Meri Na Teri Jawani Bachegi
Bacha Hi Nahi Kuch Yahan Maut Se, Par
Agar Bach Gayi To Kahani Bachegi
Purushotam Prateek
~~~~~
Na Aaj Lutf Kar Itna Ki Kal Ghujar Na Sake
Wo Raat Joki Tere Gesuon Ki Raat Nahi
Ye Aarju Bhi Badi Cheej Hai , Magar Humdum
Visaal-E-Yaar Fakat Aarzu Ki Baat Nahi
Faiz Ahmad Faiz
~~~~~
Kabhi Kabhi Me Sunta Hu , Chand Gagan Me Aata Hai
Aur Karodon Taaron Par Kuch Yun Hi Raub Jamata Hai
Barbas Hansna Hi Padta Hai , Jab Me Ye Bhi Sunta Hu
Manaw Ki Galio Me Jaate Bechara Ghabraata Hai
Baal Kavi Bairaagi
~~~~~
Chahe Yug Yug Se Hai Jiwan Sath Gujaara
Fir Bhi Kese Ho Sakta Hai Milan Hamara
Seemit Hai Astitwa Bindu Tak Kewal Mera
Aur Vritt Ka Sa Hai Ye Vistaar Tumhaara
Bhupender Kumar Snehi
~~~~~
Tere Saya Koi Pairaay-E-Ijhaar Nahi
Sirf Vajdaan Mein Ik Rang–Sa Bhar Sakti Hai
Maine Socha Hai To Mehsoos Kiya Hai Itna
Tu Nigaahon Se Fakat Dil Me Utar Sakti Hai
55+ Top Shayari in Urdu by Famous Poets
Jo Chah Ikhaari Thi Wo Dohri Nikli
Suljhi Hui Jo Baat Thi Uljhi Nikli
Seepi Todi To Us Se Moti Nikla
Moti Toda To Usme Seepi Nikli.
~~~~~
Ek Kiran Ghor Tam Mitaati Hai
Ik Khushi Lakh Gham Mitaati Hai
Mene Dekha Hai Doston Aksar
Ik Najar Sau Kasam Mitaati Hai.
~~~~~
Sambhal-Sambhal Ke Bahut Paanw Dhar Raha Hu Main
Pahaadi Dhaal Se Jaise Utar Raha Hu Main
Kadam-Kadam Pe Toktra Hai Mujhe Dil Aise
Gunaah Koi Bada Jese Kar Raha Hu Main.
Dushyant Kumar
~~~~~
Har Kali Maste-Ruwaab Ho Jaati
Patti Patti Ghulaab Ho Jaati
Toone Daali Na Mayfishaa Najar
Warna Shabnam Sharaab Ho Jaati
Naresh Kumar Shaad
~~~~~
Rakkha Hai Kisi Ki Aas Rehne Hi Mein Kya,
Rakha Hai Kisi Ke Pass Rehne Hi Mein Kya,
Aadat-Si Padh Gayi Hai Shayad Warna,
Rakha Hai ‘Firaq’ Udas Rehne Hi Mein Kya.
Urdu Shayari in Hindi
Kaagazi Naaw Tairaane Ki Kya Jarurat Thi,
Aag Me Fool Khilaane Ki Jarurat Kya Thi,
Jiske Ban-Ne Me Hi Majmar-2 Ho Bigadne Ke Chalan,
Aisi Dunia Ko Banane Ki Jarurat Kya Thi.
Akhtar Ansari
~~~~~
Waakif Bhi Hain Aap, Jindagi Hai Girdaab,
Aansu Ki Tarah Gareeb Peete Hain, Sharab,
Jo Wakt Hai, Darassal Taras Khane Ka,
Uss Waqt Bhi Aitraaz Karte Hain Janab.
Josh Malihabadi
~~~~~
Jakhmi Dil Ko Kaise Dikhaaye, Ye Kaho,
Khoon Ke Aansu Kise Rulaayein, Ye Kaho,
Jag Pe Beete, So Hum Pe Beeti “Sagar”,
Apni Beeti Kise Sunayein, Ye Kaho.
Sagar Nijaami
~~~~~
Ro-Roke Kha Usse Mulaqat Ki Raat,
Ro-Roke Kati Hijar Ki Rate Hai Haat,
Ab Jikre-Shabe-Wasal Hai Ahbab Se Aur,
Rona Wahi Jar Jar Yeh Hai Kya Baat.
Meer
~~~~~
Zamane Mein Koi Unn-Sa Dilbhar Nahi Hai,
Hai Kon Yaha Jisko Unse Pyar Nahi Hai,
Unki Saadgi Pe Kon N Mar Jayega,
Qatal Karte Hai Magar Hath Mein Talwar Nahi Hai.
55+ Urdu Poetry SmS About Life and Love
Mere Dil Chura Le Gayi Aapki Ada,
Mujhko Deewana Kar Gayi Aapki Ada,
Mere Mehboob Ab Mera Aakhiri Salam Lo,
Mujhko Kaja De Gayi Bas Aapki Ada.
~~~~~
Jhumi Taarik Raat Mere Dil Mein,
Badmast Hui Hayat Mere Dil Mein,
Saaki Ne Subu Deke Uthaya Jo Rabab,
Gum Ho Gayi Kayanat Mere Dil Mein.
~~~~~
Bago Pe Wo Cha Gayi Jawani Saaqi,
Sanki Wo Hawa-Aye-Jindgani Saaqi,
Ha Jald Undhel Jald Behti Hui Aag,
Aaya Wo Barasta Hua Pani Saaqi.
~~~~~
Gaafil Duniya Ko Tune Faani Samjha,
Kya Tune Bhi Raaje-Jindgani Samjha,
Hasti Ki Haqiqat Koi Usse Puche,
Pal-Pal Ko Jo Umare-Jaavidani Samjha.
~~~~~
Bhukh Ke Jo Kareeb Hota Hai,
Darasal Wo Gareeb Hota Hai,
Kaam Dhokha Raha Yahan Jiska,
Naam Uska Naseeb Hota Hai.
Purushotam “Prateek”
Urdu Shayari on Friendship
Mayus Dil Mein Bhi Sulagta Hua Armaan Hota Hai,
Jise Ghar Nahi Milta Use Aasman Milta Hai,
Kon Kehta Hai Ki Deewano Ko Sukun Nahi Milta,
Apni Tanha Raatomein Unhe Bahut Araam Milta Hai.
~~~~~
Memare-Sanam-Khan-Aye-Milli Hota,
Badiya-Si Kisi Post Pe Dili Hota,
Mansube Bnane Mein Gujar Jati Umar,
Aye Kash Ki Mein Bhi Shek-Chili Hota.
~~~~~
Har Najar Sadhu Nahi Hai, Har Bashar Gandhi Nahi Hai,
Wastra Har Resham Nahi Hai, Har Bashar Gandhi Nahi Hai,
Neeti Ki Lakeer Kasauti Mat Kaso Insan Ko,
Aadmi Hai Aadmi Sona Nahi Chandi Nahi Hai
Gopaldas “Neeraj”
~~~~~
Insaan Ke Liye Ye Umare-Faani Hai Maut,
Insaan Ke Liye Ye Jindagani Hai Maut,
Darte Hain Jawani Mein Abas Marne Se,
Sau Maut Ki Ek Ye Jawani Hai Maut.
Aasi Uldaani
~~~~~
Isse To Dil-Oh-Dimag Honge Ab Tar,
Hath Aayega Kya Bahut Kitabe Padh Kar,
Aankhe Roshan Ho Aur Dil Nurani,
Daal Ek Najar Sahif-Aye-Fitrat Par.
65+ Romantic Urdu Poetry in Hindi
Bulbul Ko Chaman Ki Jindagi Raas Aayi,
Foolon Ko Gareeb Ulwatani Raas Aayi,
Faani Ko Na Jindagi Me Raas Aaya Kuch,
Aayi Bhi To Ek Maut Hi Raas Aayi.
Fani Badayuni
~~~~~
Tere Har Dard Ko Iss Dil Mein Basa Liya Maine,
Gamo Ki Bhid Mein Bhi Khul Ke Muskura Liya Maine,
Iss Tanha Jindagi Mein Kabhi Aaya N Koi,
Lekin Apni Tanhai Mein Khud Ko Paa Liya Maine.
~~~~~
Usne Milan Ki Aarju Paiham,
Karwatein Le Rahi Hain Seene Me,
Aamad-E-Ied Ki Haseen Umeed,
Jaise Ramjaan Ke Mahine Me.
Prakashnath Parwej
~~~~~
Aaj Sama Hai Gugunane Ka, Gam Ke Geet Sunate Jao,
Hosh Baaki N Rahe Apna, Aise Pilate Jao,
Gir Ke Uthna Uthke Girana, Jindagi Apni Rahi,
Apne Hontho Se Sanam, Kuch Geeto To Gaate Jao.
~~~~~
Anjame-Tarab Ka Jikar Karte Kyu Ho,
Paimane-Aye-Dil Ko Gam Se Bharte Kyu Ho,
Ta Chand Ye Nukushe-Mahale-Hasti,
Ek Roj Maroge Roj Marte Kyu Ho.
Urdu Poetry for Love
Uinka Na Kabhi Koi Nishana Chuka,
Shaitaan Hai Un Ke Se Nanga-Bhukha,
In Murda Riyasaton Ke Wali Hai, Wo Fal,
Jisne Rakha Jaban Par, Usne Thuka.
Josh Malihabadi
~~~~~
Bina Saaj Har Raag Adhoora Sa Lagta Hai,
Mehandi Bina Suhaag Adhoora Sa Na Aaye,
Milne Par Yadi Aankhon Mein Aansu Na Aaye,
Mujhko Wo Anurag Adhura Sa Lagta Hai.
Veer Saxsena
~~~~~
Bigdi Hui Akal Se Himakat Behtar,
Dokhe Ki Mohabbat Se Adawat Behtar,
Shatain-Oh-Abujheal Ki Ajmat Ki Kasam,
So Baar Gulami Se Bagawat Behtar.
~~~~~
Darna Ho To Ek Badi Se Darna,
Karna Ho To Kuch Kaam Acche Karna,
Jeena Ho To Kuch Bhalayi Karke Jeena,
Marna Ho To Nek Kaam Karke Marna.
Banwarilal “Sheela”
~~~~~
Jab Bajme-Jaha Se Saahibe-Hal Gaye,
Sunte Hue Dholak Ka Sam-Oh-Tal Gaye,
Tha Wajde-Ajal Ke Liye Nagma Darker,
Humrah Janaze Ke Bhi Kawaal Gaye.
60+ Urdu Shayari in Hindi for Girlfriend
Nitt Naye Jakham Dil Ke Seeta Hu,
Jeena Muskil Hai Fir Bhi Jeeta Hu,
Kha Na Jaaye Mujhe Ghame-Hasti,
Aitihaayan Sharaab Peeta Hu.
Prakashnath Parwej
~~~~~
Faisla Kuch Bhi Nahi, Phir Bhi Bada Hai,
Kyunki Hum Tum Paas Par Parda Pada Hai,
Chahta To Hu Sabhi Bandhan Mitaane,
Kintu Mujh Par Saas Ka Pehra Kada Hai.
Bharat Bhushan
~~~~~
Jehad Se Intanaab Jor Pe Hai,
Jikare-Jaamo-Sharaab Jor Par Hai,
Kya Na Hoga Majaaj Ab Yun Bhi,
Abhi Mera Shabbab Jor Par Hai.
Majaaj Lakhnavi
~~~~~
Ulfat Ki Kasak Tej Hui Jaati Hai,
Kaante Ki Khatak Tej Hui Jati Hai,
Aye Baade-Bahara Jara Ahista Chal,
A Sholey Ki Lapak Tej Hui Jaati Hai.
Jaar Allami
~~~~~
Khiramane – Dil Jala Raha Hu Main,
Nafase–Hasti Mita Raha Hu Main,
Tu Na Maghmoom Ho Magar Ai Dost,
Teri Hi Simat Aa Raha Hu Main.