15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover

15+ Top Hindi Ghazal Lyrics for Your Lover - Ghazal in Hindi

Top Hindi Ghazal Lyrics Collection

Jehar Mile Ya Amrit Dhara Sara Sagar Pee Lenge,
Jeevan Par Kya Nukatchini Haste Gaate Jee Lenge,

Hai Yahi Gardishe Zamane Ki Khusiya,
Hai Yahi Fasane Phir Mila Dil Ko Jhkam Taaza.

Khabar Mere Marne Ki Sunte Hi Dekho,
We Hatho Mein Mehandi Rachane Lage Hai,

Safar Aakhiri Hai Koi Unse Keh De,
Zanaja Mera Sab Uthane Lage Hai,

Sjaye Bhulakar Gujre Dino Ki,
Kiya Maaf Mujhko Mere Dushmano Ne,

Magar Wo N Aaye Mayyat Pe Meri,
Lo Hum Duniye Se Jane Lage Hai,

Sitam Jeete Ji Usne Mujh Par Dhaya,
Magar Baad Marne Ke Fir Ye Sitam Hai,

Lehad Mein Bhi Mujhko Kaha Chain Yaaro,
Yah Ape Faristhe Stane Lage Hai.

Adawat Ke Sab Risthenaate,
Mohabbat Wafa Ke Hue Khak Dekho,

Mere Humsafar The Acche Dino Mein,
Wahi Mujhse Daman Bachane Lage Hai,

Hui Muddat Tamam Ye Afsana Ho Gaya,
Dekho Sehar Apan Bhi Bhi Veerana Ho Gaya,

Le Jaa Raha Hai Kaide Ansiar Ko Todkar,
Aazad Har Fikar Se Deewana Ho Gaya,

Udhar Surkh Jod Ahai Unke Badal Par,
Ishar Tan Ko Dhanaka Hai Maine Kafan Se,

Idhar Laash Par Meri Matam Hai “Isharat”.
Usher Banke Dulhan Wo Jane Laga Ha.

Isharat

Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi

Soctha Hu Ki Tujhe Dil Mein Jis Soch Mein Hu,
Pehle Use Soch Ka Mafhum (Mudda) Samjh Lu To Kahu,

Mein Tere Sehar Mein Anjan Hu Parddeshi Hu,
Tere Alfaaj Ka Mafhum Samjh Lu To Kahu,

Tu Rehne Wali Mahlo Ki, Mein Ek Tasveer Gurbat(Garibi) Ki,
Teri Najro Mein Kya Hogi, Kadar Meri Mohabbat Ki,

Samband Tod Du Saare, Mera Dil Mujhko De Do Tum,
Mohabbat Apni Duniya Mein Hai Mandi Tijarat (Vehphar) Ki,

Mere Maaji Meri Jillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Meri Ummido Ka Haasil Meri ‘Kaavis’ Ka Sila,

Ek Benam Wasiyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Mein Tere Sehar Se Bhi Tod Apna Har Ristha,

Ki Maine Dekh Li Jaalim Hade Teri Sharafate Ki,
Teri Najro Mein Kya Hogi Kadar Meri Mohabbat Ki,

Yaha Phulo Se Milti Hai Khusbhu Bewafai Ki,
Khadi Dekhi Hai Raaho Mein Deeware Maine Nafrat Ki,

Tu Rehne Wali Mahlo Ki, Mein Ek Tasveer Gurbat(Garibi) Ki,
Teri Najro Mein Kya Hogi, Kadar Meri Mohabbat Ki,

Jeene Ka Raaz Maine Mohabbat Mein Paa Liya,
Jiska Bhi Gam Hua Use Apna Bana Liya,

Tum Gam Ka Ek Raaz Bhi Halka N Kar Sake,
Maine Kushi Ki Aad Mein Har Gam Chupa Liya,

Mein Registano Mein Leke Aa Gayi Hu Zindagi Apni,
Suni Hai Dukh Bhari Jab Se Kahani Maine ‘Ishrat’ Ki.

Isharat

Sad Hindi Ghazal Lyrics

Mujhe Rote Hue Dekha, Kiya Wada Phir Aane Ka,
Ki Ek Behte Hue Pani Pe, Buniyade Maka Rakh Di,

Chaman Ke Rang Bu Ne, Iske Dar Pe Mujhko Chod Diya,
Keemay Ki Joke Gulabo Ki, Makani Pr Juwa Rakhdi,

Kabb Mera Nasheman Ahele Chaman, Gulshan Ko Gawara Karte Hai,
Suniye Apni Aawazo Mein Tumhi Ko Pukara Karte Hai,

Uthe To Lakho Gul Hai Hijab Si Aankhe,
Uthe To Aag Laga De Sharab Si Aankhe,

Ye Mukhtar Meri Barbadiyo Ka Kissa Hai,
Tabah Kar Gayi Khana Kharabi Si Aankhe,

Pucho N Unke Rukhsaro Se, Rang Ye Husn Ka Poparkhe Kon,
Puchenge Ye Shabnam Ke Katre, Phulo Ko Nikhara Karte Hai,

Khul Rahi Hai Sare Raah Botlem Aur Chaye Hai Rehmat Ke Baadal,
Ye Kisi Rind (Sharabi) Ka Zanaza, Shek Ja Tu Bhi Kanda Laga Le,

Mera Mehboob Itna Hasi Hai, Naaj Hai Mujhko Uss Par Yaki Hai,
Chand Takn Nikle Falak Se, Wo Agar Rukh Se Parda Hata De,

Jaahid Ek Baat Suna Rab Ko Din Raat Pukara Karte Hai,
Jo Rind Hai Wo Ek Katre Mein Jannat Ka Najara Karte Hai.

Apne Dil Ko Agar Dukhana Hai Aur Baharo Mein Ghar Jalana Hai,
“Akthar” Pyar Bewafa Se Karo, Agar Mohabbat Ko Aajmana Hai,

35 Famous Ghazals in Urdu for Your Beloved

Jab Bhi Mila To Mil Ke Weh Dil Hi Dukh Gaya,
Bichda To Yaad Ban Ke Rago Mein Sama Gaya,

Jab Bhi Mila To Mil Ke Weh Dil Hi Dukh Gaya,
Kitna Kareeb Thaw Eh Sabhi Duriyo Ke Sath,

Dekar Haseen Khawab Wo Mujhko Bhula Gaya,
Bichda To Yaad Ban Ke Rago Mein Sama Gaya,

Rusbayio Ka Khauf Tah Ya Ehtiyat Tha,
Pani Pe Likhe Naam Ko Pani Hila Gaya,

Uspe Yakeen Karke Mohabbat Hui Tabah,
Haasil Bhi Unko Pyar Ki Suli Chada Gaya,

“Akthar” Sa Khud Fareb N Hoga N Hai Kahi,
Hatho Se Apni Hasti Ko Khud Hi Mita Gaya.

Romantic Hindi Ghazal Lyrics

Main Chahta Bhi Yahin Tha, Wo Bewafa Nikle,
Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle ,

Kitaabe Maaji Ke Panne Ulat Ke Dekh Jara,
Na Jaane Kaun Sa Panna Ulat Ke Dekh Jara,

Jo Dekhne Me Bahut Hi Karib Lagta Hai,
Usi Ke Bare Mein Socho To Faasla Nikle.

Shola Hu Bhadakne Ki Gujaarish Nahi Karta,
Sach Muh Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta,

Girti Hui Deewar Ka Humdard Hu Lekin,
Chadte Hue Suraj Ki Parastish Nahi Karta,

Mathe Ke Paseene Ki Mehak Aaye Na Jis Se,
Wo Khoon Mere Jism Mein Garadash Nahi Karta,

Humdardiye Ehbaab Se Darta Hu Mujaffar,
Me Jakham To Rakhta Hu Guzaarish Nahi Karta.

20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals

Najar Mila Ke Chale Gaye H,
Magar Tassuwar Mein Aa Rahe H,

Meri Nighao Pe Cha Gaye H,
Magar Umango Pe Cha Raha H,

Kitni Damkati H Unki Bindiya,
Kabhi Chamkata H Unka Juda,

Koi Lillah Bata De,
We Aa Rahe H Ki Jaa Rahe H,

Haya Nighaye Pukar Rahi H,
Sharm Daman Udha Rahi H,

Jo Mast Angdayi Aa Rahi H,
Dhanuk Bani Tharthara Rahi H,

Wo Apna Badan Chura Rahe H,
Najar Se Masti Tapka Rahi H,

Piye Hue Ko Pila Rahe H,
Najar Mila Ke Chale Gaye H,

Magar Tasuwar Mein Aa Rahe H.

Aagyat

Hindi Love Ghazal Lyrics

Ghar Bhi Suna Hai Meri Deed (Darshan) Ke Aangan Ki Tarah,
Laut Ke Waqt N Aaya Mere Bachpan Ki Tarah,

Par Teri Julf Mere Behte Hue Ashqo Mein Aksar,
Kisi Sailab Se Behti Hui Naagin Ki Tarah,

Karke Ghayal Mujhe Uska Bhi Bura Haal Hua,
Uski Julfe Bhi N Suljhi Meri Uljhan Ki Tarah,

Mujhko Gurbat Ne Dasa, Usko Daulat Ki Hawas,
Bik Gaya To Bhi Beharhal, Mere Fan Ki Tarah,

Kar N Sake Hum Pyar Ka Sauda Keemat Hi Kuch Aisi Thi,
Jiti Baazi Haar Gaye Hum Kismat Hii Kuch Aisi Thi,

Ek Jhalak Hi Dekhi To Hum Pyar Ke Dokha Kha Baithe,
Are Unki Bholi Bhali Surat Hi Kuch Aisi Thi,

Humne Apni Aankh Mein Aksar Khoon Ke Aashu Dekhe Hai,
Bakshi Hai Jo Pyar Mein Humko, Niyamat Hi Kuch Aisi Thi,

Dekhe Here Moti Humse Pyar Ka Nata Tod Gaye,
Sona Chandi Jaise She Mein Taqat Hi Kuch Aisi Thi,

‘Saadik’ N Kar Shikwa Inse Jhkam Diye Gar Baato Mein,
Ishq Nashe Ki Sun Lo Tum Bhi, Aaadat Hi Kuch Aisi Thi.

Saadik

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Jeet Ke ‘Shaaid’ Ka Dil, Sapna Suhana Dikha Diya,
Apni Chahat Ke Jalwo Se Deewana Bana Diya,

Jab Ki Usne Baat Apna Bnane Ki “Akthar”,
Tumne Khud Se Juda Karke Usko Chahat Ka Begana Bana Diya,

Tere Pyar Mein Humne Saari Duniya Ko Thukraya Hai,
Tune Jaalim Phir Bhi Humko Khoon Ke Ashq Rulaya Hai,

Yaad Aaye Jab Teri Baate, Katti Hai Aankho Mein Rate,
Tere Pyar Mein Humne Sangdil Dil Ka Chain Gawaya Hai,

Tune Jaalim Fir Bhi Humko Khoon Ke Ashq Rulaya Hai,
Bhul Gaye Tum Sangdil Mujhko, Hum N Jaalim Bhule Tujhko,

Har Shab Apne Dil Mein Tere Yaad Ka Deep Jalaya Hai,
Tune Jaalim Phir Bhi Humko Khoon Ke Ashq Rulaya Hai,

Maine Tujhko Pyar Sikhaya, Tujhko Mujh Par Reham Na Aaya,
Tune Chod Ke Tanha Mujhko Gair Ka Desh Basaya Hai,

‘Saadik’ Pyar Ki Baaji Hari, Ho Gayi Dushman Duniya Saari,
Iss Duniya Mein Jot Ha Apna, Wo Bhi Aaj Paraya Hai,

Saadik

Urdu Hindi Ghazal Lyrics

Mera Dil Deta H Sada, Aa Ja Aa,
Phaile Rahe H Gam Ke Saye, Ek Mujhko Chain N Aaye,

Aa Ja Aye Bedardi, Kyu Tarsaye Kyu Tadpaye,
Bairi N Itna Mujhko Sata,

Sune-Sune Khwab H Mere, Tadap Raha Hu Sham-Savere,
Dard Diya H Tune, Loot Liya H Tune, Kya Meri Khata,

Padh Gaye Phike Raag Kushi Ke, Jal Gaya Sina Aansu Pike,
Gam Ko Chupaya Dil Ko Jagaya Maine, Phir Bhi Tu Khafa,

Pass Bhi Rehkar Door H Kitne,
Gam H Itne Saas H Jitney,

Pyar Pukare Aa Ja, Dil Ke Sahare Aa Ja,
Aa Bhi Aa, Mera Dil Deta H Sada, Aa Ja Aa.

Agyaat

30+ Best of Jagjit Singh Ghazals

Jo Mere Dil Me Hai, Logon Se Chupaaun Kis Tarah,
Kaanch Ke Is Shehar Ki, ‘Khaalid’ Bachaaun Kis Tarah,

Apna Paikar Bhi Mujhe Jinda Najar Aane Laga,
Kashmakash Me Hu Rihaayi Khud Se Paaun Kis Tarah,

Me Kisi Ke Adal Ki Tooti Hui Janjir Hu,
Mujh Pe Jo Beeti Hai, Dunia Ko Bataaun Kis Tarah,

Dekhkar Akse-Mukabil, Jism Pathar Ho Gaya,
Chodkar Ab Aaina–Khaane Ko Jaau Kis Tarah,

Jagte Lamho Ki Janjiro Me Hu Jakda Hua,
Khaab Ki Deewar Ke Saye Mein Aaun Kis Tarah,

Ratjagon Ke Shehar Me Jakar Use Kya Ho Gaya,
Wo To Kehta Tha Ki Me Tujhko Bhulaau Kis Tarah.

Khaalid Sheeraji

Hindi Ghazal Lyrics

Koi Sitaara Koi Chand Dhundte Rehna,
Fook Se Door Khalaaon Me Ghoorte Rehna,

Andhere Kookte Firte Hain Andhi Galio Me,
Wo So Gaya Hai Sada Deke “Jagte Rehna”

Ye Khudkalami Kahi Tumko Tumse Cheen Na Le,
Khaamosh Rehna Kuch Aise Ki Bolte Rehna,

Ghaneri Shab Ke Safar Ka Charaag Bujh Jaaye,
Tum Pni Chaap Ke Moti Talaashte Rehna.

Mehmood Aasir

15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals

Meri Wafaayein Padi Hui Hai Tere Raste-Raste Mein,
Tujko Hi Ye Maal Milega Aur Fir Wo Bhi Saste Me,

Yun Hi Bas Wo Mujko Chod Ke Sabse Milta Rehta Hai,
Baccha Bhi To Ghalat Kitaabein Rakh Leta Hai Baste Me,

Uska Thanda Naam Liya Hai Aur Bhi Jaan Jalaane Ko,
Hath Me Sooraj Thaam Liya Hai Humne Aaj Jhulaste Me,

Uss Se Bichad Kar Main Bhi Kitni Aasudaa Si Rehti Hoon,
Wo Bhi Kitna Khush Lagta Hai Rote Aur Tarasne Me,

Dil Muhje Or Tamannaon Ke Narange Me Yun Raha “Sehar”,
Jaise Ik Jee-Chod Sipaahi Lade Bahaddur Daste Me.

Shehnaaj Parveen Sehar

Emotional Ghazal Lyrics Hindi

Dono Ke Darmiyaan Ye Ajab Faisla Raha,
Wo Mere Pas Rehke Bhi Mujse Juda Raha,

Uski Judayi Mere Dil Pee Se Ja Lagi,
Me Apne Apse Kayi Barson Khafa Raha,
Wo Mere Pas Hoke …..

Mene Yun Hi Mazak Me Usko Kaha Tha Chand,
Aaina Baar Baar Koi Dekhta Raha,
Wo Mere Pas Hoke…….

Yaaron Zara Bataao Ki “Raahi” Ko Kya Hua,
Apni Gali Me Apna Pata Puchta Raha,
Wo Mere Pas Hoke …….

Saiyad Raahi

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Daste-Wehsat Ka Safar Lagta Hai,
Ishq Bhi Kare-Hunar Lagta Hai,

Shak Mausam Ke Sitam Jhelti Hai,
Fir Kahi Ja Ke Samar Lagta Hai,

Ham Ki Jis Raah Pe Chal Nikle Hai,
Ye To Sadiyo Ka Safar Lagta Hai,

Ek Ajab Shaqs Basa Hai Mujhme,
Aaina Dekhu To Dar Lagta Hai,

Aadmi Khud Se Bichad Jaaye Agar,
Ajnabi Apna Hi Ghar Lagta Hai,

Ishq Ki Aag Mein Jalkar Dekho,
Shab Ka Aalam Bhi Sehar Lagta Hai,

Waqt Kya Aan Pada Hai ‘Sagar’
Apne Saaye Se Bhi Dar Lagta Hai.

Imtiyaaj Sagar

Famous Hindi Ghazal Lyrics

Aaye, Koi Inqalab Aaye,
Dil Par N Magar Hijab Aaye,

Sifi Ki Kafas Ko Todte Hi,
Moti Mein Bala Ki Aab Aaye,

Insa Ki Kitabe-Zindagi Mein,
Kyu Karb Ke Itne Baab Aaye,

Jab Mera Sawal Hai Jami Se,
Aflaak Se Kyu Jawab Aaye,

Jarhat Ka Jikar Ho Raha Hai,
Kyu Bich Mein Aaftab Aaye,

Karno Pe Muhit Ilm Tera,
Lamho Ka Mujhe Hisaab Aaye,

Sailabe-Khud-Aagahi Jab Umda,
Kuhsaar Bhi Jere-Aab Aaye,

Jinda Se To Main Nimat Chukka Hu,
Ab Aur Koi Jawab Aaye,

Har Roj Naya Janam Liya Hai,
Mujh Par To Kahi-Kahi Shabab Aaye,

Jo Shak Tane Ki Nafi Kar De,
Uss Shak Pe Kya Gulab Aaye.

Ahmed Nadim Kasmi

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Jitney Likhe The Geet, Wo Ashqo Mein Dhal Gaye,
Sara Jaha Badal Gaya, Tum Kya Badal Gaye,

Ruswayi Ka Dariya To Bahut Tej Tha, Lekin,
Tum Bhi Sambhal Gaye Waha, Hum Bhi Sambhal Gaye,

Chal To Diye Ho Sath Mere Rahe-Ishq Mein,
Kya Hoga Agar Paav Tumhare Fisal Gaye,

Mein Kaise Dushmano Se Juda Unko Maan Lu,
Apna Bana Ke Mujhko Mere Dost Chal Gaye,

Chehre Utar Gaye Sabhi Apno Ke Jane Kyu,
Hum Unki Bajm Mein Jo Sunane Ghazal Gaye,

Jab Tum The Mere Sath, To Sahara Bhi Tha ‘Gulshan’,
Tanha Hu To Shabnam Pe Mere Paav Jal Gaye.

Onkaar Gulshan