Romantic Ghazal Collection
Tere Waade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar ‘Eitabaar Hota
Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota
Ye Kahaan Ki Dostee Hai Ke Bane HaiN Dost Naaseh
Koee Chaarasaaz Hota, Koee Ghamgusaar Hota
Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Gham Buree Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna ? Agar Ek Baar Hota
20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets
Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai
Hamko Unse Wafa Ki Hai Ummeed
Jo Naheen Jaante Wafa Kya Hai
Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
AaKHir Is Dard Kee Dawa Kya Hai
Ham Hain Mushtaaq Aur Woh Bezaar
Ya Ilaahee ! Yeh Maajra Kya Hai ?
Jab Ki Tujh Bin Naheen Koee Maujood
Fir Ye Hangaama, ‘Ei KHuda ! Kya Hai
Jaan Tum Par Nisaar Karta Hoon
Main Naheen Jaanata Duaa Kya Hai
Romantic Ghazal Songs in Hindi
Aadmi Aadmi Ko Kya Dega,
Jo Bhi Dega Vahi Khuda Dega,
Mera Qatil Hee Mera Apna Nikla,
Kya Mere Haq Mein Faisla Dega
Zindagi Ko Kariib Se Dekho,
Iska Chehara Tumhein Rula Dega,
Hamse Pucho Dosti Kaa Sila,
Dushmanon Kaa Bhi Dil Hila Dega,
Ishq Kaa Zahar Pii Liya “FAAKIR”
Ab “KHUDA” Bhii Kya Dawa Dega
35 Famous Ghazals in Urdu for Your Beloved
Aah Ko Chaahiye Ik ‘Umr Asar Hone Tak,
Kaun Jeeta Hai Teree Zulf Ke Sar Hone Tak ?
Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Betaab
Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-E-Jigar Hone Tak ?
Ham Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge, Lekin
Khaak Ho Jaayenge Ham Tumko KHabar Hone Tak
Gham-E-Hastee Ka ‘Asad’ Kis’se Ho Juz Marg Ilaaz
Shamma’a Har Rang Mein Jaltee Hai Sahar Hone Tak
Romantic Ghazals in Hindi Lyrics
Honton Se Chhoo Lo Tum,
Mera Geet Amar Kar Do) – 2,
Ban Jaao Meet Mere,
Meri Preet Amar Kar Do,
Honton Se Chhoo Lo Tum,
Mera Geet Amar Kar Do,
(Na Umr Ki Seema Ho,
Na Janm Ka Ho Bandhan) – 2,
Jab Pyaar Kare Koi
To Dekhe Keval Mann,
(Nayi Reet Chalaakar Tum,
Yeh Reet Amar Kar Do) – 2,
(Aakaash Ka Soonapan,
Mere Tanha Mann Mein) – 2,
Paayal Chhankaati Tum,
Aa Jaao Jeevan Mein,
Saansein Dekar Apni,
Sangeet Amar Kar Do,
Sangeet Amar Kar Do,
Mera Geet Amar Kar Do,
(Jag Ne Chheena Mujhse,
Mujhe Jo Bhi Laga Pyaara) – 2,
Sab Jeeta Kiye Mujhse,
Main Har Dam Hi Haara,
(Tum Haarke Dil Apna,
Meri Jeet Amar Kar Do) – 2,
Honton Se Chhoo Lo Tum,
Mera Geet Amar Kar Do
25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets
Zookeen Zookeen See Najar Bekaraar Hain Ke Naheen,
Dabaa Dabaa Saa Sahee Dil Mein Pyaar Hain Ke Naheen,
Too Apane Dil Kee Jawaan Dhadakanon Ko Gin Ke Bataa,
Meree Tarah Teraa Dil Bekaraar Hain Naheen,
Wo Pal Ke Jis Mein Mohabbat Jawaan Hotee Hain,
Us Ik Pal Kaa Tuze Intajaar Hain Ke Naheen,
Teri Ummeed Pe Thhukaraa Rahaa Hoo Duniyaan Ko,
Tuze Bhee Apane Pe Ye Ayetabaar Hain Ke Naheen,
~~~~~
Bichda H Jo Ek Bar To Milte Nahi Dekha,
Iss Jhkam Ko Humne Kabhi Silte Nahi Dekha,
Ek Baar Jise Chaat Gayi Dhoop Ki Khwaish,
Phir Shak Par Uss Phool Ko Khilte Nahi Dekha,
Yaklakt Gira H Jo Jade Tak Nikal Aayi,
Jis Pedh Ko Aandhi Ne Bhi Hilte Nahi Dekha,
Kaanto Mein Ghire Phool Ko Chum Aayeghi Lekin,
Titli Ke Pairo Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha,
Kis Tarah Meri Rooh Hari Kar Gaya Akhir,
Weh Jehar Jise Mein Khilte Nahi Dekha.
Very Romantic Ghazal in Hindi
Bhuk Bhar Aata Nahi, Aur To Sab Theek H,
Bhoj Ka Ghata Nahi Aur To Sab Theek H,
Men Chehta Chin Lo Besak Jamin Ke Hath Se,
Hath H Chatha Nahi Aur To Sab Theek H,
Khayia Dar Kahyia H Aadmi Ke Bitch,
Ek Bhi Pata Nahi Aur To Sab Theek H,
H Andhere To Ujale Bhi Yaha Par Kam Nahi,
Par Sahi Bata Nahi Aur To Sab Theek H,
Noch Par Dale Sabhi Bejan Chidiya Ho Gayi,
Sir Abhi Kata Nahi Aur To Sab Thik H.
20+ Best of Parvesh Kumar PK Ghazals
Saans Siwa Sab Sathi Chute,
Jane Kab Ye Ristha Tute,
Tum Bin Kanta Banker Katke,
Phulwari Ke Sab Gul-Bute,
Aansu Peena Khel Nahi Tha,
Rang Rang Mein Soo Nastar Tute,
Ummido Ke Batmaro Ne,
Neendo Ke Veerane Lute,
Dil Ki Baate, Baate Sohrat,
Baaki Sab Afsane Jhute.
Romantic Ghazal Poetry in Hindi
Sunte Hain Ke Mil Jaati Hai,
Har Cheez Dua Se,
Ek Roz Tumhain Maang Ke,
Dekhenge Khuda Se,
Duniya Bhi Mili Hai,
Gham-E-Duniya Bhi Mila Hai,
Vo Kyon Nahin Milta,
Jise Maanga Tha Khuda Se,
Sunte Hain Ke Mil Jaati Hai,
Har Cheez Dua Se,
Ek Roz Tumhain Maang Ke,
Dekhenge Khuda Se…,
~~~~~
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise,
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise,
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise,
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise,
Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin,
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon,
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai,
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise,
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai,
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise,
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar,
R Indagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise,
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main,
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise,
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise,
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise,
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise,
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise,
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya,
Dam Liya Tha Na Qayaamat Ne Hanoz,
Fir Tera Waqt-E-Safar Yaad Aaya,
Saadgee Haay Tamanna, Yaanee,
Fir Wo Nai_rang-E-Nazar Yaad Aaya,
Uzr-E-WaamaaNdagee ‘Ei Hasarat-E-Dil,
Naala Karta Tha Jigar Yaad Aaya,
Zindgee YoN Bhee Guzar Hi Jaatee,
KyoN Tera Raahguzar Yaad Aaya ?,
Kya Hee RizwaaN Se LaDaayee Hogee,
Ghar Tera KHuld MeiN Gar Yaad Aaya,
Aah Woh Jurat-E-Fariyaad Kahaan,
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya,
Fir Tere Kooche Ko Jaata Hai KHayaal,
Dil-E-Gumgashta Magar Yaad Aaya,
Koee Weeraanee-See-Weeraanee Hai,
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya,
Mainne Majnoon Pe Ladakpan Mein ‘Asad’,
Sang Uthaaya Tha Ki Sar Yaad Aaya,
Romantic Ghazal for Lover
Aksh Khusbu H Bhikrne Se N Roke Koi,
Aur Bikhar Jaon To N Mujhko Koi Simate Koi,
Kaanp Uthti Hu Mein Ye Soch Kar Tanhayi Mein,
Mere Chehre Par Tera Naam Na Padh Le Koi,
Jis Tarah Khwab Ho Gaye Mere Reja Reja,
Iss Tarah Se Na Kabhi Tut Ke Bikhre Koi,
Mein To Uss Din Se Hirash Hu Ki Jab Hokum Mile,
Khusk Pholo Ko Na Kitabo Mein Rakhe Koi,
Ab To Iss Raah Se Wo Shaks Gujurta Bhi Nahi,
Ab Kis Ummid Se Darwaje Par Janke Koi,
Koi Aahat Koi Aawaj Koi Chaha Nahi,
Dil Ki Galiya Badi Sunsan H Aaye Koi.
15 Best of Dushyant Kumar Ghazals
Hath Sukhe Khet Banjar Aur Ye Jalta Makan,
Dekhna H Chup Rahega Aur Kab Tak Ye Aasma,
Khok Dharti Ki Hari Hogi Waha Par Dosto,
Aadmi Hal Me Juda Hoga Jaha Looh Luhan,
Baadh Phir Aayeghi, Basti Doob Jayeghi Teri.
Mook Banker Kab Talak Dekhega Khatre Ka Nishan,
Ek Din Unki Atari Tak Pahuchna H Isse,
Ye Lipat Jo Ho Chuki H Waqt Se Pehle Jaban,
Bhediye Kal Aaye The, Aayenge Kal Phir Bediye,
Fasal Ka Waqt Hoga Taankar Rakhna Kayam,
Dekhna H Kab Pighalta H Pathar Ka Sehar,
Mudato Tak Aaine Dete Rahenge Imthian,
Mehbub Khija Ghazal Lyrics
Hum Aap Kayamat Se Gujar Kyu Nahi Jate,
Jine Ki Shikayat H To Marr Kyu Nahi Jate,
Katrate H Bhalkhate H Ghabrate H Kyu Log,
Sardi H To Pani Mein Utar Kyu Nahi Jate,
Aankho Mein Chamak H To Najar Kyu Nahi Aata,
Palko Pe Guhar H To Bikhar Kyu Nahi Jate,
Teri Hi Tarah Tere H Ab Ye Hijar Ke Din Bhi,
Aate Najar Aate H Magar Kyu Nahi Aate,
Ab Yaad Kabhi Aaye To Aaine Se Pucho,
Mehbub ‘Khija’ Sham Ko Ghar Kyu Nahi Aate
Mehbub Khija
10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals
Lagta H Kuch Dino Se Mujhe Marr Gaya Hu Mein,
Apne Wajud Se To Nahi Darr Gaya Hu Mein,
Aata Raha Jaha Mein Aam Shaks Ki Tarah,
Jab Bhi Gaya Hu, Ho Ke Payember Gaya Hu Mein,
Aankho Mein Reh Gayi N Roshni N Tiragi,
Eshas Ki Serhad Ko Paar Kar Gaya Hu Mein,
Jin Rasto Pe Jake Lautna Muhal Tha,
Unn Rasto Pe Dosto Aksar Gaya Hu Mein,
Rehna To Akela Tha, Magar Joshe Janu Mein,
“Sindur” Maang Mein Kisi Ki Bhar Gaya Hu Mein.
Ramswarup Sindur
Romantic Ghazals Mix Collection
Yaha Hum Janam Lene Ke Liye Tayar Baithe H,
Chikitsayalo Ke Darwaje Pe Pehredar Baithe H,
Kabhi To Daam Kam Honge, Milega Dudh Peene Ko,
Iss Ummid Mein Bache Sare Bajar Baithe H,
Mahine Bhar Ki Tankha Pure Ghar Mein Nacthi-Firti,
Usi Uthkheliya Suji H Hum Bejar Baithe H,
Kaha Le Jayeghi Mehngayi Mein Kismat Khuda Jane,
Sadak Par Aa Gaye Hum, Ghar Mein Pehredar Baithe H,
Samjh Mein Kuch Nahi Aata Mnaye Eid Ya Holi,
Sabhi Latkaye Mooh Ghar Mein Mere Toyhar Baithe H,
N Afsar H, N Chaprasi H, N Bijli H N Babu H,
Jo Baithe H We Daftar Mein Samjh Itwar Baithe H.
15+ Best of Munawwar Rana Ghazals
Bhid Mein Tanhayio Ka Jikar H,
Tutthi Sehnayio Ka Jikar H,
Ashk Ki Tehrir Mein Padh Lijiye,
Dard Ki Gehraiyo Ka Jikar H,
Pet Ki Iss Chardeewari Mein Kaid,
Bhook Ki Angdaiyo Ka Jikar H,
Jindagi Ke Aaine Mein Kuch Nahi,
Anchui Parchaiyo Ka Jikar H,
Aadmi Ko Kuch N Kehiye Dosto,
Aadmi Ruswayio Ka Jikar H.
Most Romantic Ghazal Ever
Dekh Dariye Ki Tugyani Mein H,
Tu Bhi Mere Sath Ab Pani Mein H,
Noor Ye Uss Aakhiri Bose Ka H,
Chand Sa Kya Teri Poshani Mein H.
Mudhayi Suraj Ka Sara Sehar H,
Raat Ye Kiski Nighabani Mein H,
Saare Manjar Ek Se Lagne Lage,
Kon Shamil Meri Harani Mein H.
15+ Best of Bashir Badr Ghazals
Kal Tak Phed Jaha Ugte The Aaj Waha Wirani H,
Ret Jaha Tak Udthi Thi, Aaj Wahi Par Pani H,
Mein Pardeshi Sehar Mein Bhi Apne Logo Tak Pahuch Gaya,
Maile Kapdo Ki Khushbu Kitni Jani Pehchani H,
Jade Ki Kali Raato Mein Jab Mein Usko Chuta Hu,
Aise Ghuk Jati H Jaise Deh Nah H Pani Mein,
Dhoop Se Ye Begane Raste, Ghandi Awara Basti,
Apni Sari Umar Issi Basti Mein Hi Kho Jati H.
Romantic Ghazal in Hindi
Aana Dekha Jana Dekha,
Ek Musafir Khana Dekha,
Daur Par Aaye Bajo Ko,
Chidiye Ke Ghar Khana Dekha,
Har Jhugi Mein Mile Shipayi,
Duty Karta Thana Dekha,
Sihashan Par Jame Thago Ko,
Dhwaj Ka Seesh Jhukana Dekha,
Sant Bchete Bhog Khtaye,
Mat Hota Maykhana Dekha,
Pankh Katne Ko Panchi Ka,
Pinjre Pinjre Jana Dekha,
Parjhatantar Ke Iss Jangal Me,
Kaawij Ek Gharana Dekha,
Ghuro Par Bhuko Ke Mooh Se,
Log Chinte Dana Dekha,
Jab Jab Mare Konch Kisi Ne,
Balmiki Ka Gaana Dekha.
30+ Best of Jagjit Singh Ghazals
Pahuche Jo Ahwbab Mera Hath Btane,
Chaat Dalne Aaye H Ki Deewar Girane,
Agar Di H Tumhe Akal Ki Daulat Bhi Khuda Ne,
Mithi Mein Milao Na Mohbbat Ke Khajane,
Aaye Ho To Masum Khatao Pe Na Barso,
Bijli To Girao Na Ghatao Ke Bahane,
Jugnu Ki Kiran Raat Ki Taader Chaman Mein,
Pholo Ko Sunati Rahi Chand Ki Fsane,
Waado Ne Tere Bhool Ke Puchi N Meri Baat,
Yaado Ko Meri Bhul Ke Choda N Dua Ne,
Mein Maut Ki Baho Mein Bhi Ye Soch Ke Chup Hu,
Royenge Bahut Mujko Mere Yaar Purane.
Romantic Ghazal for Girlfriend
Aaj Unki Mej Pe Guldan H,
Ye Chaman Jinke Liye Guldan H,
Besabab H Ispat Ki Anwehsna,
Sahibo Ye Mulq Hindustan H,
Rajdhani Ek Khafe H Jaha,
Pyaliyo Mein Har Ghadi Tufan H,
Blade Jiski Ungaliyo Ke Tale,
Bas Wahi Iss Sehar Mein Shriman H,
Ye Dhuli Chadar Jaha Jakar Rakhe,
Har Kadam Pe Koyle Ki Khan H,
Abhi “Ambhar” Ko Sunane Do Ghazal,
Abhi Unke Kanth Mein Imman H.
10+ Best of Rahat Indori Ghazals
Mere Samjh Ki Haalat Sahi Sahi Mat Puch,
Kaha Kaha Se Gaya Tut Aadmi Mat Puch,
Sukun Dhundti Aankho Mein Beshumar Swal,
Hasin Aarjhu Aankhir Kaha Gayi Mat Puch,
Har Ek Shaks H Shamil Jaha Notanki Mein,
Waha H Kamdi Jyada Yaha Aasdi Mat Puch,
Khudi Ke Naam Par Khudgarjiyo Ki Ban Aayi,
Mahan Desh Ne Kar Li Kya Khudkhusi Mat Puch.
Romantic Ghazal for Boyfriend
Sehme H Gulo-Bulbul, Gulshan Udas H,
Sach Man Lijiye Ki Aangan Udas H,
Kab Kaun Si Hawa Mein Jehar Ho Ghula Mila,
Peepal Ke Tale Soch Raha Mann Udas H,
Kuch Log Har Sadak Par Kaanch Phekne Lage,
Koyal Ki Sans Ruk Gayi, Khanjan Udas H,
Kuch Log Har Sadak Par Kaanch Phekne Lage,
Chalo Bhara Hua Ek Charan Udas H,
Har Aur Dhamako Ka Kauf Chaya Iss Tarah,
Bholi Bahu Ke Hath Ka Kangan Udas H,
Apne Hi Ghar Mein Aag Lagakar Kaha Chala Ruk,
Dekh Jara Madre Watan Udas H.
Mukesh Songs Lyrics Collection
Sone Walo Chalo Mausam Badalkar Soye,
Aise Mahol Ke Angar Par Chal Kar Soye,
Kal Ye Basti Thi Magar Aaj H Murdo Ke Sehar,
Yeh Jo Dumtod Ghutan Isse Nikalkar Soye,
Aag Takrate Hue Sapno Se Uth Sakti H,
Pass Walo Se Kaho Aaj Kahi Smbhal Kar Soye,
Aise Sannate Mein Bhi Neend Jinhe Aati Ho,
Unse Kehdo Ki Jara Door Tehalkar Soye,
Kon Jane Mera Humdard Subha Ho Ki Na Ho,
Aaj Ki Raat To Kuchder Machal Kar Soye,
Aag Ko Khojta Shyad Kal Aa Nikle,
Uski Khatir Hi Sahi Aag Ughalkar Soye.
Romantic Hindi Ghazal Lyrics
Tumne Ha Jism To Aapas Mein Baithe Dekhe H,
Kahi Darkhato Ke Kahi Hath Kate Dekhe H,
Wo Jo Aaye The Mohbbat Ke Payember Banker,
Maine Unke Bhi Girebaan Pate Dekhe H,
Wo Jo Duniya Ko Badalne Ki Kasam Khate H,
Maine Deewar Se Wo Log Sate Dekhe H,
Tan Pe Kapda Bhi Nahi Pet Mein Roti Bhi Nahi,
Phir Bhi Maidan Mein Kuch Log Date Dekhe H,
Jinko Lutne Ke Siwa Koi Aur Shok Nahi,
Aise Insaan Bhi Kuch Humne Lute Dekhe H.
17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Kya-Se-Kya Ho Gayi Bawri Jindagi,
Jindagi Aaj H Adhmari Jindagi,
Har Kali Phool Banker Bhikarti Gayi,
Sesh H Ab To Kanto Bhari Jindagi,
Khilkhilayi Kabhi Sagron Ki Tarah,
Aur Kabhi Nirjharo-Si Bhari Jindagi,
Aajkal Inn Hawaho Mein Kya Mil Gaya,
Jo Ki Har Saans Se H Dar Jindagi,
Jalchari, Thalchari, Nabhchari Thi Kabhi,
Ab To Haalat Ki Anchuri Jindagi,
Chu Ke Dekha To Aisa Laga Dosto,
Kuch Achuthi Si H Shayari Jindagi.
Romantic Ghazal Lyrics SmS
Har Makan Khali H, Yeh Ajib Basti H
Umar Yaha Mehangi H Maut Yaha Sasti H,
Bhun-Bhun Darwaje Kha Gaye Khiwado Ko,
Chile Chile Chalo Si Chate Sabhi Risthi H,
Behak Behak Sannata Ghumta Sharabi-Sa,
Dari-Dari Ladki Se Har Gali Sehmati H,
Sandal Ke Jangal Mein Saanp H Sanpere H,
Nagin-Si Chayae Kadmo Ko Dasti H,
Bhichi Hui Satrangi Chal-Si Hukumat H,
Paidal-Si Janta Hi Pithi H, Pisathi H
25+ Old Hindi Song Lyrics in Hindi
Subha Aujhal Ho Gayi H Chandni,
Aaus Jhilmil Ho Gayi H Jindagi,
Raat Bhar Sapne Sajyae The Magar,
Sath Apne Dho Gayi H Chandni,
Sehar Ki Sadke Sabhi Veeran H,
Siskiya Le Gayi H Chandni.
Aapne Kya Kya Nahi Wade Kiye,
Bij Shak Ka Bho Gayi H Chandni,
Bhid Mein Bhi Hum Akele Hi Rahe,
Shor Ghul Mein Kho Gayi H Chandni.
~~~~~
Har Taraf Unka Bolbala H,
Kaid Jinke Yaha Ujala H,
Dhoop Ki Bewajah Shikayat Par,
Pedh Hi Jadh Se Kaant Dala H,
Unke Itne Gunaah Wajib H,
Jitney Manke Ki Unki Mala H,
Chand Firakparsat Logo Ne,
Mulk Ka Mulk Fook Dala H,
Keh Rahi H Ye Sard Khamosi,
Koi Bhukamp Aane Wala H.
Romantic Ghazal Messages
Yahi Nahi Ki Weh Betabo-Bekarar Gaya,
Meri Ragho Mein Ek Jehar Sa Utar Gaya,
Bujho Hue Daro-Deewar Dekhne Walo,
Use Bhi Dekho Ye Umar Gujar Gaya,
Wafa Ke Baad Mein Uski To Kuch Kami Na Hui,
Mein Aap Apni Khusi Se Ye Bhaji Haar Gaya,
Hawaye-Sard Ka Jhoka Bhi Kitna Jalim Tha,
Khaylo Khwab Ke Sab Perhan Utar Gaya.
10+ Amazing Bollywood Song Lyrics
Dekhiye Patto Ki Hariyali Churata Kon H,
Tehniyo Ko Iss Tarah Nangi Banata Kaun H,
Sochkarr Iss Baat Ko Har Aadmi Hairan H,
Khidkiyo Par Ye Udasi Chod Jata Kaun H,
Jab Ummido Ke Naye Daste Khade Ho Samne,
Bhid Se Chupchap Sabdo Ko Uthata Kaun H,
Aye Hawayen Phucthi Phirti Sabhi Se Ye Aajkal,
Titliyo Ke Naam Par Khusbu Churata Kaun H,
Geet Ke Najuk Parindo Ke Paro Mein Iss Tarah,
Roj Aakar Ek Pathar Bandh Jata Kaun H.
Devender Maanji Ghazal In Hindi
Talak Baton Ko Chodkar Dekho,
Tute Ristho Ko Jodkar Dekho,
Aag Lag Jayeghi Baharo Mein,
Sard Aano Ko Chodkar Dekho,
Kitni Nafrat Tapak Ke Girti H
Apna Daman Nichod Kar Dekho,
Aaj Kuch Khalbhali Si Macthi H,
Rukh Hawao Ka Modkar Dekho,
Lautna H Agar Tumhe “Maanji”
Devender Maanji
~~~~~
Sar Jab Kat Kar Gir Hi Gaya To Jhkami Dhad Se Jhuja Mein,
Raat Bhada Ghamshan Ka Ran Tha Tej Hawa Aur Tanha Mein,
Mujhko Dushman Foj Ke Daste Rond Ke Roj Gujurte H,
Dono Taraf H Dast Hawa Ka, Ek Akela Rasta Mein,
Sar Ke Ander Shor Bahut Tha, Chup The Gali Ke Kute Sab,
Chowk Ke Jis Duma Ankh Khuli H, Dil Ki Surat Dhadka Mein,
Tumne Jab Jab Sicha Mujko Dard Ke Khare Pani Se,
Nakhun Nakhun Utra Khud Mein, Resha Resha Phaila Mein,
Jisko Khbar Thi Mera Sab Kuch Mere Badan Ke Niche H,
Bahar Bahar Pathar Barse Ander Ander Tuta Mein.
Khuli Aankho Mein Sapna Jhakta H,
Wo Soya H Kuch Kuch Jagta H,
Teri Chahat Ke Bine Jangalo Mein,
Mera Tan Mor Ban Ke Nactha H,
Mujhe Har Kafiyat Mein Kyu N Samjhe,
Wo Mere Sab Hwale Janta H,
Mein Uski Pahuch Mein Magar Wo,
Mujhe Meri Raja Se Mangta H,
Kisi Ke Dhyan Mein Duba Hua Dil,
Bahane Se Mujhe Bhi Talta H.
3 Short Fiction Stories for Adults
Aankho Ke Dast Mein Yu Basar Ki Gayi H Raat,
Kaante Si Jaise Dil Mein Chubo Di Gayi H Raat,
Baithe The Jis Darkhat Ke Saye Mein Unn Dino,
Uske Khyalo Ka Bhi Looh Pee Gayi H Raat,
Awaaj Di To Chup Yu Ujhalo Ne Sadh Li,
Jaise Jhubane Si Ko Bhi Si Gayi H Raat,
Pucho Jara Sulghate Hue Jard Chand Se,
Kitne Hasin Chehro Ka Khoon Pee Gayi H Raat,
Kitni Bhari Padhi H Unhe Kya Khabar “Sekew”
Khwabo Ki Chij De Kar Kharidi Gayi H Raat.
Romantic Urdu Ghazal Messages
Kagaz Ke Gharondo Mein Ek Umar Bitani H,
Iss Par Ye Hidayat H Ye Baat Chupani H,
Pehchan Gaye Mano Par Honth Siye Rakhiye,
Inko Hi Masiya Ki Har Rasm Nibani H,
Pathar Ke Buto Se Yu Fariyad Nahi Karni,
Awtaar Hue Honge Ye Baat Purani H,
Ab Khwaf N Bijli Ka Tufan Ka Nahi Darr H,
Iss Daur Mein Insaan Se Bas Jaan Bachani H,
Jeena H To Iss Yug Ke Andaj Bhi Kuch Shiko,
Halaat Ke Hatho Se Har Saans Churani H.
3 Ghost Stories in Hindi Language
Bebasi Kabhi Apni Yu Bhi Jata Deti Hu Mein,
Aur Bhi Ghar Ko Karine Se Saja Deti Hu Mein,
Jab Deewaro Ka Badan Har Lams Par Jhardne Lage,
Dar, Daricho Par Naye Parde Laga Deti Hu Mein,
Har Subh Puchte H Gul Sabhi Masle Hue,
Roz Bistar Ajnabi Ka Kyu Saja Deti Hu Mein,
Nachti Kathputliyo Ka Raaz Jab Se Khul Gaya,
Makdiye Ke Jaal Par Chaku Chala Deti Hu Mein,
Dekhkar Pariyo Ke Kisse Bachiyo Ke Khwab Mein,
Chutkiya Bhar Kar Unhe Aksar Jaga Deti Hu Mein.
Collection of Ghazal in Hindi
Hath Mein Le To Li Mashale H,
Paon Makhmal Ne Chil Dale H,
Roshni Door Tak Nahi Dhikti,
Aise Kaise Naye Ujhale H,
Chirna Tha Jinhe Andhero Ko,
Unn Ne Dhero Mein Naag Pale H,
Sar Par Dhote H Boj Baton Ka,
Hum To Samjhe The Baat Bale H,
Dard Inko Kahi Nahi Dhikta,
Ye To Phool Ki Jaat Wale H,
Kal Ke Sankalap The Pahado Se,
Aaj Kaskar Kawach Sambhale H.
Moral Stories for Children About Life
Haqiqat Siskiya Bharti Rahe Andhi Dararo Mein,
Magar Uljhe Raho Tum Dosto Salma Sitaro Mein,
N Koi Phool, N Koi Phool, Patte Bhi Sabhi Pile,
Badhi Tanhayin Humar Ki Agli Kataro Mein,
Bahut Din Ho Gaye, Pehle Yaha Ek Roshni Sit Hi,
Andhero Ke Siwa Ab Aur Kya H Ghar-Duwaro Mein,
Ujala Naam H Jiska, Umar Challis Se Kam H,
Dhikai De Raha H Wo Abhi Tak Ishtiyaro Mein,
Bhujayega Kya Mujhe Baagh Ka Jalata Hua Mayuam,
Ki Jinki Suchna H Such Jate H Baharo Mein.
~~~~~
Rank Hoga N Koi Aur N Raja Hoga,
Ek Din Waqt Ka Ye Aam Takaja Hoga,
Yu Hi Rehne De Mere Jhkam Yu Hi Rehne De,
Tere Merham Se To Ye Or Bhi Taja Hoga,
Bhuke Nango Ko Nachakar Gaya H Pardeshi,
Uske Hatho Mein Yakin Koi Aaya Hoga,
Barso Pehle Jo Rwana Hui Thi Saj Dhajkar,
Ab To Doli Ki Jangah Ek Janaza Hoga,
Fir Ubhar Aayi Suraj Ke Tawa Par Lali,
Phir Andero Ne Use Khoon Se Manja Hoga,