35+ Munawwar Rana Shayari and Poetry

35+ Munawwar Rana Shayari, Poetry, Ghazals and 2 Line Shayari

Munawwar Rana Shayari

Samaaji Bebasi Har Shehar Ko Maqtal Banati Hai,
Kabhi Naksal Banati Hai Kabhi Chambal Banati Hai.

Zara Si Baat Hai Lekin Hawa Ko Kaun Samjhaaye,
Diye Se Meri Maa Mere Liye Kajal Banati Hai.

Khilono Ki Dukaane Kyu Mujhe Aawaaz Deti Hain,
Bata Aye Muflisi Tu Kyu Mujhe Pagal Banati Hai.

Suna Hai Jab Se Tayy Hote Hain Rishte Aasmaano Mein,
Woh Pagli Ungliyon Se Roz-O Shab Baadal Banati Hai.

Hawas Mehlo Mein Reh Kar Bhi Bahut Maayoos Rehti Hai,
Qana-At Ghaas Ko Chhoo Kar Usey Makhmal Banati Hai.

Bahut Dushwaar Hai Pyaare Ghazal Mein Naadirakari,
Zara Si Bhool Achhe Sher Ko Mohmal Banati Hai.

Munawwar Rana

Collection of Munawwar Rana Shayari

Ajab Duniya Hai Na Shayar Yaha Par Sar Uthate Hai,
Jo Shayar Hai Wo Mehfil Mein Dari Chadar Uthate Hai,

Tumhare Shaher Mein Mayyat Ko Sab Kandha Nahi Dete,
Humare Gaon Mein Chappar Bhi Sab Milkar Uthate Hai.

Inhe Firakpasti Mat Shika Dena Ki Ye Bachhe,
Jami Se Chun Kar Titli Ke Toote Par Uthate Hai.

Samundar Ke Safar Me Wapsi Ka Kya Bharosha Hai,
To Aye Saahil Khuda Hafiz Ki Hum Langar Uthate Hai,

Ghazal Hum Tere Aahiq Hai Magar Ek Pet Ke Khatir,
Kalam Kis Par Uthana Tha Kalam Kis Par Uthate Hai,

Bure Chehre Ke Janib Dhekne Ki Had Bhi Hoti Hai,
Sambhalna Aaina Kano Ki Hum Pathhar Uthate Hai.

Munawwar Rana

Best 25+ Pakistani Qateel Shifai Poetry in Urdu

Kabhi Ek Garm Aanso Kaat Deta Hai Chattano Ko,
Kabhi Ek Mom Ke Tukde Se Chhaini Toot Jaati Hai,

Woh Dushman Hi Sahi, Awaaz De Usko Mohabbat Se,
Saleqe Se Bitha Kar Dekh Haddi Baith Jaati Hai,

Siyaasat Nafraton Ka Zakhm Bharne Hi Nahin Deti,
Jahan Bharne Ko Aata Hai Toh Makkhii Baith Jaati Hai.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Nasha Aisa Tha Ki Maikhane Ko Duniya Samjha,
Hosh Aaya Toh Khyaal Aaya Ki Ghar Jana Hai.
Mere Jazbe Ki Badi Kadar Hai Logo’n Mein Magar,
Mere Jazbe Ko Mere Saath Hi Mar Jana Hai.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Poetry on Love

Gham Se Fursat Hi Kaha Hai Ke Tujhe Yaad Karu,
Itni Laashen Hai To Kandha Nahi Badla Jaata.

Aisa Lagta Hai Ke Wo Bhool Gaya Hai Humko,
Ab Kabhi Khidki Ka Parda Nahi Badla Jaata.

Hum Fakiron Ko Fakiri Ka Nasha Rehta Hai,
Warna Kya Shaher Mein Shajra Nahi Badla Jata.

Munawwar Rana

♥♥

Muhajir Hai Magar Ham Ek Duniya Chod Aaye Hai,
Tumhare Paas Jitna Hai Ham Utna Chod Aaye Hai.

Munawwar Rana

♥♥

Main Insaan Hoon Behak Jana Meri Fitrat Mein Shaamil Hai,
Hawa Bhi Usko Chu Kar Der Tak Nashe Mein Rehti Hai,
Bulandi Der Tak Kis Shakhs Ke Hisse Mein Rehti Hai,
Bahot Unchi Imaarat Har Ghadi Khatre Mein Rehti Hai.

Munawwar Rana

Top 30+ 2 Line Faiz Ahmad Faiz Poetry

Apni Aakhon Ke Samundar Mein Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hu, Mujhe Doob Ke Mar Jaane De,
Zakham Kitne Teri Chahat Se Mile Hain Mujh Ko,
Sochta Hu Kahu Tujh Se, Magar Jaane De.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Numaish Par Badan Ki Yu Koi Taiyyar Kyu Hota,
Agar Sab Ghar Ke Hojate To Ye Bazaar Kyu Hota.

Munawwar Rana

♥♥

Ghar Ka Bojh Uthane Wale Bachpan Ke Taqdeer Na Puch,
Bachcha Ghar Se Kaam Pe Nikla Aur Khilona Toot Gaya,
Samjhauton Ki Bheed-Bhaad Mein Sabse Rishta Toot Gaya,
Itne Ghutne Teke Humne Aakhir Ghutna Toot Gaya.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Famous Shayari

Raaz Ki Baat Likhi Aur Khat Khula Rehne Diya,
Jaane Kyu Ruswaaiyon Ka Silsila Rehne Diya,

Umar Bhar Mere Saath Reh Kar Wo Na Samjha Dil Ki Baat,
Do Dilon Ke Darmiyan Ek Faasla Rehne Diya,

Apni Fitrat Woh Badal Paaya Na Iske Bawjood,
Khatam Ki Ranjish Magar Gila Rehne Diya,

Main Samajhta Tha Khushi Degi Mujhe Fareb,
Isliye Maine Ghamo Se Waasta Rehne Diya.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Munaasib Hai Ki Pehle Tum Bhi Aadamkhor Ban Jaao,
Kahi Sansad Mein Khaane Koi Chawal-Daal Jaata Hai.

Munawwar Rana

♥♥

Mazhabi Mazdoor Sab Baithe Hain Inhe Kaam Do,
Isi Shahar Mein Ek Puraani Si Imaarat Aur Hai.

Munawwar Rana

Top 50+ 2 Line Meer Poetry In urdu

Dariya Ko Zom Tha Ki Main Dhaare Pe Aa Gaya,
Lekin Main Bach-Bacha Ke Kinare Pe Aa Gaya.

Mujh Ko Bulaane Walon Ne Umre Nikaal Di,
Lekin Main Tere Ek Ishaare Pe Aa Gaya.

Uss Ka Tamaam Husn Humari Nazar Mein Hai,
Kashmir Saara Ek Shikare Pe Aa Gaya.

Saanso Ki Dor Toot Bhi Jaaye Toh Gham Nahi,
Shukr-E Khuda Main Aakhri Paare Pe Aa Gaya.

Munawwar Rana

♥♥

Masarraton Ke Khazane To Kam Nikalte Hai,
Kisi Bhi Seene Ko Kholo To Gham Nikalte Hai.

Munawwar Rana Shayari

Romantic Shayari on Love in Hindi

Tumhare Shehar Mein Mayyat Ko Sab Kandha Nahi Dete,
Hamare Gaon Mein Chappar Bhi Sab Milkar Uthaate Hai.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Shayari

Munawwar Rana Shayari

Gile Shikwe Zaroor Hai Agar Sachi Mohabbat Hai,
Jaha Paani Bahut Gehra Ho, Thodi Kaayi Rahti Hai,
Meri Sohbat Mein Bhejo Taaki Iska Dar Nikal Jaaye,
Bahut Sehmi Hui Darbaar Mein Sachaai Rehti Hai.

Munawwar Rana

♥♥

Suna Hai Jab Se Teh Hote Hai Rishte Aasmano Mein,
Wo Pagli Ungalion Se Rozo-Shab Badal Banati Hai.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Duniya Teri Raunaq Se, Main Ab Ub Raha Hoon,
Tu Chand Mujhe Kehti Thi Main Doob Raha Hoon,

Ab Koi Shanaasa Bhi Dikhaayee Nahin Deta,
Barson Main Issi Shehar Ka Mehboob Raha Hoon,

Ruswaaye Mere Naam Se Mansoob Rahi Hai,
Main Khud Kaha Ruswaayee Se Mansoob Raha Hoon,

Shohrat Mujhe Milti Hai Toh Chupchaap Khadi Reh,
Ruswaayee Main Tujhse Bhi Mansoob Raha Hoon.

Munawwar Rana

Collection of Famous 20+ Meer Taqi Meer Poetry

Ajab Duniya Hai Titli Ke Paron Ko Noch Deti Hai,
Ajab Titli Hai Paron Ke Nuchne Par Bhi Roya Nahi Karti.

Munawwar Rana

♥♥

Khilaono Ki Dukano Se Ye Hokar Aap Kyon Guzre,
Ye Baccho’n Ki Tamanna Hai Ye Samjhauta Nahi Karti.

Munawwar Rana

♥♥

Ek Kamre Mein Basar Karta Hai Sara Kunba,
Saari Duniya Dil-E-Betaab Mein Aa Jaati Hai,

Raat Bhar Jaagte Rehne Ka Sila Hai Shayad,
Teri Tasveer Se Mehtaab Mein Aa Jaati Hai,

Jab Bhi Kashti Meri Sailab Mein Aa Jaati Hai,
Maa Dua Karti Hui Khwaab Mein Aa Jaati Hai.

Munawwar Rana Shayari

Munawwar Rana Best Poetry

Siyaasi Guftagu Mat Kijiye, Acha Nahi Lagta,
Rafoo Par Phir Rafoo Mat Kijiye, Acha Nahi Lagta,
Bahaya Kijiye Do Chaar Aansoo Bhi Mohabbat Mein,
Ibaadat Bewazu Mat Kijiye, Acha Nahin Lagta.

Munawwar Rana

♥♥

Kisi Bhi Mod Par Tumse Wafadaari Nahi Hogi,
Hamein Maaloom Hai Tumko Yeh Bimaari Nahi Hogi.

Munawwar Rana

♥♥

Main Phoot Ke Rone Laga Jab Maut Ke Dar Se,
Neki Ne Kaha Nama E Aamaal Mein Ham Hai.

Munawwar Rana

85+ Top 2 Line Mirza Ghalib Poetry in Urdu

Be-Sabab Ishq Mein Marna Mujhe Manzoor Nahi,
Shama To Chaah Rahi Hai Ki Patanga Ho Jaaun,
Chaaragar Teri Mahaarat Pe Yaqeen Hai Lekin,
Kya Zaroori Hai Ki Har Baar Main Achha Ho Jaaun.

2 Line Munawwar Rana Shayari

Munawwar Rana Shayari

Na Dhundho Tum Yaha Langda Ke Chalta Aadmi Koi,
Jaha Khudaariyaan Hoti Hai Baisaakhi Nahi Chalti.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Aur Kitni Thokare’n Khaayeegi Tu Aye Zindagi,
Khudkushi Karne Ko Maikhaane Talak Toh Aa Gaye.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Hindi Shayari

Siyaasi Aadmi Ki Shakal To Pyari Nikalti Hai,
Magar Jab Guftago Karta Hai Chingari Nikalti Hai,
Labo’n Par Muskurahat, Dil Mein Bezari Nikalti Hai,
Bade Logo’n Mein Hi Aksar Ye Beemari Nikalti Hai.

Munawwar Rana

♥♥

Farishte Aake Unke Jism Par Khushbu Lagaate Hai,
Wo Bachche Rail Ke Dibbe Mein Jo Jhaadu Lagaate Hai.

Munawwar Rana

♥♥

Hamari Zindagi Ka Is Tarah Har Saal Katta Hai,
Kabhi Gaadi Palatti Hai, Kabhi Tirpal Katta Hai,
Dikhaate Hai Padosi Mulq Aankhein, Toh Dikhaane Do,
Kabhi Bachho’n Ke Bosey Se Bhi Maa Ka Gaal Katta Hai.

Munawwar Rana Shayari

Famous 30+ 2 Line Bashir Badr Shayari

Naye Kamron Mein Ab Cheezen Purani Kon Rakhta Hai,
Parindo Ke Liye Shaharon Mein Paani Kon Rakhta Hai.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Yeh Manzar Bhi Dekhe Humne Iss Duniya Ke Mele Mein,
Toota-Phoota Naach Raha Hai, Achha Khaasa Toot Gaya.

Munawwar Rana

♥♥

Hamare Kuch Gunaahon Ki Saza Bhi Saath Chalti Hai,
Hum Ab Tanha Nahin Chalte, Dawa Bhi Saath Chalti Hai.

Munawwar Rana

Munawwar Rana Ki Shayari Hindi

Raasta Apna Badal Dete Hai Udte-Udte,
Chod Kar Apna Kabeela Kahi Mud Jaate Hai,
Ab To Hone Lage Bachhe Bhi Parindo Ki Tarah,
Sath Rehte Hai, Bade Hote Hain, Ud Jaate Hai.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Lagta Hai Ke Dehleez Pe Aa Pahuchi Qayamat,
Ek Bhai Ko Ek Bhai Se Darr Lagne Laga Hai,

Waise To Koi Cheej Nahi Badli Hai Lekin,
Tum Jab Se Gaye Ho Mujhe Darr Lagne Laga Hai.

Munawwar Rana Shayari

♥♥

Pani Ka Jaal Bunta Hai Dariya To Fir Bune,
Tairaak Janta Hai Hatheli Se Katna,
Rehta Hai Din Me Raat Ke Hone Ka Intezaar,
Fir Raat Ko Dawaao Ki Goli Se Kaatna.

Munawwar Rana Shayari