Moral Stories for Kids in Hindi with Full of Fun

Moral Stories for Kids in Hindi with Full of Fun

Moral Stories for Kids

Budhimani

Ek raja tha. Weh badha hatyachari tha. Har din weh nirdosh aadmiyo ko kadi saja deta tha aur khazane ka sara paisa apni vilasita mein khtam kar deta tha jab aadha khazana khali ho jata tha tab weh parja ke upar anayeh karta tatha kar lagakar paisa wasul karta tha. Raja ke hatyachar se parja bahut dukhi thi.

Unki samjh mein yeh baat nahi aa rahi thi ki kya kiya jaye? Chaplus log bhi raja ke ghar mein lage rehte the. Tabhi uss gaon ne ek din baithak ki uss baithak mein socha gaya ki raja ko kis tarah nasht kiya jaye. Socthe-socthe ek chalak aadmi ne ek yojna bnayi . Weh bahut garib tha. Usne apne dosto ko btaya ki ho sakta h. Aur bahut assan bhi h. Uske sabhi dosto ne yojna puchi btayi aur raja ke kano tak pahuch gayi. (Moral Stories for Kids)

Yojna yeh thi ki mein sari raat pani mein reh sakta hu par shart h ki agar mein pani mein rahunga to raja ko bhi pani mein ek raat rehna hoga. Raja yeh shart maan gaya. Rajaj ne socha jab yeh garib insaan sari raat pani mein reh sakta h to mein kyu n reh paunga. Uske pass to kapde bhi kam honge.

Ghost Stories in Hindi

Mein usse mota kapda pehankar pani mein jaunga thand ka mahina h. Weh marr jayega mein bach jaunga. Agle din raja ne nadi mein use raat bhar rehne ko kaha. Weh raja apne saniko ko nadi k eek kinare lagaye hue tha. Jisse weh raat mein bahar n nikle. (Moral Stories for Kids)

Weh garib aadmi nadi ke niche tairta hua uss paar nikal gaya. Uss paar uske dost charpayi bistar liye hue khade the. Weh garib insaan raat bhar soya aur subh uthkar nadi mein ghus gaya aur iss paar nikal aaya.

Raja usse dekhkar chakit reh gaya ki yeh nahi mara. Ab mara bhi nadi mein ghusna padega. (Moral Stories for Kids)

Sham hui uss gaon ke logo ne raja se aagreh kiya ki aap pani mein ghuse raja tayyar hokar chal diya. We bahut kapde pehne hue tha. Nadi mein raja ghuse uar gaon ke log nadi ke kinaro par dekhbal ke liye lag gaye ki raja nikal n paye. Kuch der tak to raja ghuse rahe unke pran nikal rahe the. Subh hui din nikla. Raja nahi nikle parja nadi mein ghuskar dekhne lagi to raja ki laash mili. Parja bahut khus hui aur ek yogeh insaan ko raja bana diya.

Naagdev ki Kripa (Funny Stories with Moral)

Garib se badha shatru thata kasht koi aur nahi. Yeh baat raigadh nivasi chandarpal ke bete ramu ko uss samay pata chali jab uske pitka antim samay bilkul nikat aa gaya. Aise avser par chanderpal ko apne bete ramu ki bahut yaad aa rahi thi. Patni ki se kehkar usne apne bete ko apne pass bulwaya. (Moral Stories for Kids)

Chandarpal ne apne bete kop rem se god mein lekar pyar se uski peeth par hath pherte hue kaha- bete! Ab tum badhe ho gaye ho.

Akbar Birbal Stories in Hindi

ha pitaji! Badha to mein ho gaya hu par aapse to chota hi hu aur mujhe chota bane rehne mein hi aanand aata h kyunki badha banker aadmi bahut kuch kho deta h aur chota banker paa leta h.
Shabash mere beta! Shabash| mujhe tumse yahi aasha thi ki ek din tum jarur mera naam roshan karoge
pitaji! Yeh sab to aapki hi den h warna mein to ek naadan sa balak hu! Mein kya janu.
Beta jaisa ki tum dekh hi rahe ho ki ab mera iss sansar se jane ka samay aa gaya h.
Beta jaisa ki tum dekh hi rahe ho ki ab mera iss sansar se jane ka samay aa gaya h
pitaji! Aap jo bhi karoge accha hi karoge kyunki aap to jante hi ho ki aapne mujhe jo gyan diya h uss gyan ki shakti se mein jeevan bhar vijay prapt karunga. Uss samay se mein iss ghar ko naya roop dena chahta hu.

Yadi aisi hi baat hi to suno! Iss naag panchami par tum naag devta ki pooja karna. Humare ghar ke piche jo peepal ka pedh h uss peepal ki jadh mein dudh dalna| phir sache mann se shivji ka dhyan karke naag devta ki upasana karte hue kehna-hey naag devta! Mere pitaj ne mere liye aapke pass jo dhan rakha h aap uss dhan ko mujhe wapas kar do. Mein iss dhan se garibo ki madad karna chahta hu. Mein nahi chahta ki koi meri tarah dukhi rahe. Sabke liye sukh, sabki aashao ki purti karna, yahi mera dharam h bolo beta! Kya tum yeh sab karoge?

Ha pitaji! Mein aapki aagya ka palan jarur karunga. Uss dhan ka upyog mein kisi bhi bure kaam ke liye karunga.

Bete! Mujhe tumse yahi aasha thi. Ab mein aaram se maut ki gaud mein soo sakunga. Yeh kehte hue budhe pita ne apne pran tyag diye. (Moral Stories for Kids)

Pita ki martu ramu ke liye bahut dukhdayak thi. Pita ke baad ramu par hi sare ghar ka bhoj aa gaya tha. Ghar mein itni punji bhi nahi thi ki jiske sahare weh koi kaam karke ghar ka kharch chala sakta. Sankat ki iss ghadi mein use apne pita ki yaad aane lagi.

Garibi dhan ka abhav koi sahara nahi bechare ramu kya kare?
Ek raat usne socha iss jindagi se to maut hi acchi h marr jana hi uchit rahega. Jeene ke liye to dhan chaiye, marne ke liye to nadi ka pani hi bahut h. (Moral Stories for Kids)

Heart Touching Sad Love Stories

Ramu jaise hi kinare pahuch kar dubne ki tayari karne laga to door akash se aawaj aayi-tehro beta!
Tum dhan ke karan marr rahe ho or wahi dhan maine tumhare liye naagdevta ke pass rakha h kal naag panchami h ramu ne apne mart pita ki aawaj suni to usne marne ka vichar tyag diya aur weh nadi se wapas aa gaya.
Dusre din naag panchami ka toyyhar tha. Ramu ne subh uthkar snan kiya aur peepal ke pedh ke niche jakar naagdevta ki pooja ki. Sehsa pedh ke pass ki dharti futi aur ek kala naag waha se nikla ramu ne naag ko prnam kiya aur dudh se bhara hua katora naagdevta ko arpan kiya. Uss samay ramu ne dekha ki naag devta ki punch se kuch chamkati hui ghije gir rahi h, jaise aag ke shole nikalte h. (Moral Stories for Kids)

Ramu naagdevta ki pooja kar raha tha. Naagdevta bahut det tak nachte rahe phir chale gaye. Unke jane ke baad jab ramu ne unn chamkati hui chijo ko dekha to weh kushi se chilla padha-sona ! Sona ! Hey bhagwan, aapne itna sara sona mere liye naagdevta dwara bhej diya
jao bete! Iss dhan se garibo ke dukh door karna. Paap se bachkar rehna. Dhan par kabhi bhi ghamand mat karna.

Pakhandi Siyar (Kids Story in Hindi)

Baat hazaro saal purani h. Uss samay janwaro ki punch arthath dum nahi hoti thi. Janwaro ki yeh dasha dekhkar jungal ke raja ne sabhi janwaro ko punch batne ki yojna bnayi. Din teh kiya aur saare jungal mein munadi karwa di. Bas phir kya tha, har janwar punch lene ke liye raja ke darbar ki taraf bhaga. Raja ne har janwar ko punch de di. Jungal k eek kone mein teen dost rehte the. Bhalu, khargosh aur siyar. Ye tino milkar punch lene ke liye raja ke darbar ke liye chal padhe. Raste mein chalak siyar ko shaitani suji. Usne bhalu aur khargosh se kaha-hume bahut door chalna h, esliye raste mein kuch kha-pee lena chaiye. Pass mein ek rasbhare phalo ka bagicha h. Tum dono waha jakar apni bhook mitao. Tab tak mein jungal mein koi shikar kar leta hu. (Moral Stories for Kids)

Bhalu aur khargosh siyar ki baato mein aa gaye aur bagiche mein pahcuh gaye. Waha ke rasdar fal khane mein dono sab kuch bhool gaye. Idhar raja siyar ke pass pahucha aur ek sundar lambi punch usne raja se apne liye maang li. Raha ne jab use manchai puch de di. Phalo se phet bharne ke baad jab bhalu khargosh ko punch ki yaad aayi to dono raja ke darbar ki taraf bhage. Jab we raja ke pass pahuche to waha kewal ek punch bachi thi. Baki punch dusre janwar le gaye the. Dono badhe nirash hue. Raja ne dono ki din dasha dekhi aur vichar kiya. (Moral Stories for Kids)
Uske baad bachi hui punch ke do tukde kiye. Ek tukda bhalu ko diya aur dusra tukda khargosh ko.

Moral Stories In Hindi

Dusre din jab siyar ne bhalu aur khargosh ko dekha to unn par hasne laga ki unki punch to meri punch se bhi choti h. Bhalu aur khargosh sara majra samjh gaye ki ye sab siyar ka kiya karaya h. Hume dusri baato mein uljhakar bewkuff bnaya h. Bhalu aur khargosh gusse se siyar par tut pade. Siyar ne bhanp liya ki ab bhalu aur khargosh use nahi chodenge. Weh jaan lekar hi rahenge. Weh fauran jungal ki aur bhag gaya.

Kuch dino tak use jungal mein kuch khane ko n mila. Use badhi bukh lagi thi. Aakhir mein weh basti mein kuch khane ki khoj mein aaya. Anderi raat thi, sab log soo rahe the. Ghar ke darwaje band the. Siyar gali-gali bhatkata phira. Use ek dhobi ka ghar mila, jisme gadhe bandhe the, ek nand mein kapda bhige hue tha. Aur ek nand mein kuch aur tha. (Moral Stories for Kids)

Siyar ko gand si aayi. Usne socha shayad kuch phet meinn dalne ko mil jaye. Nand unchi thi. Weh kuda aur nand mein gir pada. Jade ke din, raat ka waqt thande pani mein girne se durdasha ho gayi. Weh thar-thar kaanpta sidhe jungal ki aur bhaga. Aur use apni galti ka prashchit hua. Or weh aage se galti kabhi na karne ki maafi bhalu aur khargosh se maang li.

Do Paise ka Tajmehal (Very Short Stories)

Ek the miya shekchilli.

Unka pura naam to malum nahi kya tha lekin log unhe shekchili ke naam se pukarte the. Isi naam se unhone sare sansar mein khyati prapt ki. Aur ek yug beet jane ke baad bhi log unko bhul nahi sake, shekchili amar rahenge, unke karname hi aise the.

Yeh unn dino ki kahani h jab shekchili sahib jawan the. Nayi-2 umar thi, jwani ki umang mein the. Mast hathi ki tarah sari basti mein ghumna hi unka uddesh tha kaamkaj se to unki jaan nikalti thi. Ek din unki maa ne kaha bete tumhe apne pairo par khada hona chaiye. (Moral Stories for Kids)

Shekchili ne yeh sunkar utar diya tumne bhi thik kahi h apne pairo par nahi to kya maa ke pairo par khada hu. Par mujhe naukri to karni hi chayie. Kal se kaam par jaunga nischint rahiye.

Itna sunkar maa khush ho gayi aur boli khuda tumhe safal kare. Dusre din shekchili bazar ki taraf chala ki mehnat majduri karenge, jab we bazar mein pahuhce to unh eek seth mila, kaha kyu sahabzade! Yaha koi majdoor milegha? Shekchili ne thode thapak se utar diya- ‘kyu nahi’das haazir h boliye kya hokum h? Seth ne kaha mera ghee ka matka ghar pahuchana h chaloge?

Do paise milenge.

Shekchili ne yeh sunkar kaha- do paise to bahut kama h or bohani ka waqt h esliye tayar hu. Yeh kehkar unhone matka sir par utha liya aur seth ke sath sath chalne lage. Ab we marg par chale jaa rahe the aur unka dimmag kuch aur hi soch raha tha. Aaj unhe do paise milne wale the, aaj unhone socha jab unhe do paise milenge to we usko kharch nahi karenge balki unn do paiso ka anda kharidkar ghar le jayenge, aur unko ghar ke aangan ke bich wale neem ke pedh par bane hue chil ke ghosle mein rakh denge, kuch din baad usme se ek baccha niklega uss bache ko paalposh kar badha karenge jab weh murgi badhi-badhi hogi to ande degi aur phir ande jama karke sab bache niklenge. (Moral Stories for Kids)

Jab we nikle hue bache bhi jawan ho jayenge, tab unn sab bacho ke ande jama karke unme se baccha niklenge aur iss parkar uske panch hazar murgiya ho jayengi, unse ek badha farm khulega aur ande door desho me supply hone lagega, phir unhone socha. Iss farm se jo rakam aayeghi usse kuch gaye(cow) bhais(buffalo) kharid lunga aur iss parkar ek dairy farm khul jayega.

Moral Stories in Hindi for Students

Ab unke pass itna dhan ho jayega ki badhe setho mein unki ginti hone lagegi. Sab log unko apna damad bnana chayenge phir kisi badhe raja ya nawab ki ladki se shadi karunga. Unhone socha shadi se pehle shandar makan bhi banwana h. Makan se kya hoga ? Mehal banwana padega. Aakhir badhe bahde raja maharaja ghar mein aaya-jaya karenge. Risthedari ka mamla tehra phir unhone sochna aaramb kar diya ki mehal kaisa hona chaiye. Unke dimmag mein aaya ki bilkul aagre ke mehal ki tarah hona chaiye. Ye pure ka pura sangmarmar se banega. Sara pathar videsh se mangwaya jayega. Karigar bhi videshi honge, mehal banwane ke baad kisi ke hath nahi katwaunga kya faida kisi ka hath lekar. Mehal ban jayega tab door se log kewal unka mehal dekhne aaya karenge. (Moral Stories for Kids)

Achanak shekchili ka pair fisal gaya aur we dhadak se jamin par gir pade. Aur wo ghee ka matka fut jane ke karan sara ghee beh gaya. Seth ne jyun hi mudkar dekha matha pith liya aur bole bewkuf dekhkar nahi chal sakta, mera itna nuksan kar diya. Shekchili ne jalkar utar diya-jara si ghee par aankh laal-pili kar rahe ho. Mujhe dekho sari daulat-naukar-chakar biwi-bache, mehal sab tabah ho gaya haye mein kya karunga. Yeh kehkar shekchili bhilak bhilak kar rone lage aur seth unhe pagal ki upadhi dekhar chale gaye. Pata nahi shekchili ji kitne dino tak apni iss hani par aansu bahate rahe.