Heart Touching Ghazal Collection
Dard Badhkar Dil Ka Hadd Se Paar Ho Gaya
Sitamgar Jeena Ab To Mera Dushwar Ho Gaya.
Rehti Hai Shikayat Mujhe Ab Khud Se Itni
Kyun Maine Kabhi Kisi Se Pyar Kiya.
Gam-A-Alam Me Duba Rehta Hoon Is Kadar
Dard Ka Ek Silsila Ab Dil Me Reh Gaya.
Main To Bekhabar Sa Rehta Hoon Apne Halat Se
Log Kehte Hain “Parvesh” Ab Meykhwar Ho Gaya
Parvesh Kumar PK
Latest 40+ Romantic Ghazal in Hindi
Sacha Pyar Usko Kabhi Naseeb Na Ho
Mere Jaisa Duniya Me Koi Gareeb Na Ho.
Tadpati Rahe Wo Umar Bhar Akeli
Kabhi Bhi Uske Koi Kareeb Na Ho.
Thokar Lage Use Har Ek Kadam Par
Manjil Ke Jab Bhi Kareeb Wo Ho.
Yaad Aaye Usko Harpal Meri
Main Mil Jau Aisa Uska Naseeb Na Ho.
Reh Sake Wo Apni Basti Me Salamat
Aisa Bhi Uska Koi Rakeeb Na Ho.
Meyyat Me Uski Koi Bhi Na Jaye
Khuda Kare Usko Kandha Koi Naseeb Na Ho.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Ghazal Lyrics
Meri Chat Se Jab Jugnu Hokar Gujarte Hain
Mere Dil Me Tab Teri Yaad Ke Dard Ubharte Hain.
Shab-A-Wasal Ko Bhula Nahi Hu Main Ab Tak
Unhe Yaad Karke Ab Hijar Ke Din Gujarte Hain.
Har Mehfil Me Jinke Waadon Ke Charche The
Ab Wo Bazm Me Apne Waadon Se Mukarte Hain.
Wo Kehte Hain Nahi Koi Rishta Tumse Hamara
Main Dil Ko Behla Raha Hoon Ki Wo Majak Karte Hain.
Bahut Dekh Liya Tune Chaand Ko “Parvesh”
Raat Kat Jayegi Chal Taaron Ko Ginte Hain.
Parvesh Kumar PK
20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets
Fakeeron Ki Aankhon Me Bhi Khwab Hote Hain
Par Pure Badi Muddaton Ke Baad Hote Hain.
Hote Hain Sitam Bhi Aksar Muflison Par
Haunsle Ho Buland Wo Kab Barbad Hote Hain.
Kab Tak Karoge Tum Koshish Mujhe Harane Ki
Akele Daudne Wale Bolo Kab Pichhe Rehte Hain.
Aaya Tha Ek Baaz Tod Gaya Kuchh Ghonsle
Magar Chidiyon Ke Ghra To Ab Bhi Aabad Rehte Hain.
Tum Rehte Ho Preshan Bas Ek Hi Karan Hai
Tum Nashad Rehte Ho Hum Shad Rehte Hain.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Love Ghazal
Gaon Ho Shehar Ho Kaise Jee Rahe Hain Log,
Hawa Ke Naam Par Zehrili Hawa Pee Rahe Hain Log.
Shudhta Sirf Markon Me Bandh Ke Reh Gayti
Ab Pani Wala Dudh Sab Pee Rahe Hain Log.
Kal Basti Me Aaya Tha Ke Jadugar
Aaj Bhagwan Ko Usime Khoj Rahe Hain Log.
Meera, Kabira Kya Isi Dharti Pe Rehte The
Fir Ab Is Dharti Ke Kaise Ho Gaye Hain Log.
Ab Ja Raha Hai “Parvesh” Bhi Apne Ghar Ko
Yahan To Sadiyon Se Sab So Rahe Hain Log
Parvesh Kumar PK
25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets
Meri Basti Ke Logo Tumhe Kya Ho Gaya Hai
Ho Gayi Subah Fir Bhi Har Koi So Raha Hai.
Chhodo Apni Neend Nakal Kar Dekho Bahar
Dar Par Tumhare Koi Besahara Ro Raha Hai.
Tod Dalo Apne-Apne Ghamand Ki Janjiren
Har Insan Khud Hi Apna Naseeb Kho Raha Hai.
Pyar Se Jeene Me Bhala Tumko Takleef Kya Hai
Kyun Nafrat Ki Aag Me Har Koi Jal Raha Hai.
Kab Tak Ugate Rahoge Tum Naksali Podhe
Nadiyan Jam Gayi Ab Parvat Pighal Raha Hai.
Jo Hosh Me Aa Jao To Sochan Tum
Kyu “Parvesh” Is Basti Se Aaj Ja Raha Hai.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Sad Ghazal Lyrics
Kuch-A-Yaar Me Bar-Bar Jana Nahi Achha
Is Daur Ke Buto Se Dil Ka Lagana Nahi Achha.
Himmat Krke Dala Gar Sar Tumen Ukhal Me
To Musal Ki Chot Se Ab Ghabrana Nahi Achha.
Jis Dagar Se Lautkar Aana Na Ho Mumkin
Us Dagar Par Kadam Badhana Nahi Achha.
Rakhni Hai Gar Apni Bhi Hasti Salamat “Parvesh”
To Ishq Me Kisi Ke Khud Ko Bhulana Nahi Achha.
Parvesh Kumar PK
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Kat-Te Kat-Te Hi Kat-Ti Hai Tujhse Bichhad Ke Ratein,
Neend Aayegi Jis Din Karunga Tumse Khwab Me Baatein.
Zindagi Mujhe Meri Yu Bojh Nahi Lagti
Gar Tum Judayi Ki Jayaj Koi Wajah Batate.
Teri Bewafai Ke Kisse Ab Sunne Me Aate Hain
Pehle Pata Chal Jata To Hum Dil Na Lagate.
Meykhano Me Ab Hamari Raat Gujarti Hai
Dinbhar Behosh Rehte Hain Hum Hosh Me Nahi Aate.
Hushn-A-Ishq Neelam Karne Me Maja Kya Hai “Parvesh”
Puchhunga Unse Gar Naseeb Hui Kabhi Mulakatein
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Ghazal Lines
Gareebi Se Badh Kar Koi Majburi Nahi Hai
Ab Meri Maujudgi Yahan Jaruri Nahi Hai,
Halal Hua Hoon Main Bewafai Ke Khanzar Se,
Ab Maut Se Meri Jyada Duri Nahi Hai.
Naasur Ban Gaye Hai Zakhm Mere Ab,
Mujhe Marne Ki Koshish Uski Adhuri Nahi Hai,
Mera Bhi Kusur Hai Maine Pyar Kiya Use,
Mat Dena Saza Usko Wo Katil Puri Nahi Hai,
Maine Socha Tha Sanwar Jayegi Zindagi Pyar Se Meri,
Par Jeene Ke Liye Pyar Karna Jaruri Nahi Hai
Parvesh Kumar PK
15 Best of Dushyant Kumar Ghazals
Hathon Ka Ye Kalapan Mehnat Ka Ye Rang Hai,
Kaisa Hai Ye Pagalpan Pet Ki Bukh Se Jung Hai,
Khoon Nikla Hai Ab, Aur Pasina Beh Chuka,
Phir Bhi Pet Bukha Hai Aur Hath Tang Hai.
Julm Sehte, Chupchap Rehte Kuchh Na Kehte,
Khuda Inke Sang Hai Ya Ye Khuda Ke Sang Hai
Parvesh Kumar PK
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Hua Ishq Mere Nakaam To Kya Hua,
Hua Kissa Mera Tamaam To Kya Hua.
Pyar Ki Galiyan To Aaj Bhi Paak Hain
Hua Main Hi Badnaam To Kya Hua.
Meykhane Me To Main Bhi Gaya Tha
Naseeb Me Nahi Tha Jaam, To Kya Hua.
Roj Nikalti Hai Majnuon Ki Maiyyat
Hua Main Hi Sar-E-Aam To Kya Hua.
Dushman To Unke Bahut Hain “Parvesh”
Bas Likha Mera Hai Naam To Kya Hua.
Parvesh Kumar PK
Sad Ghazal Heart Touching Lyrics
Aa Gayi Sardi Ab Lagta Nahi Mann,
Sunsan Hai Mere Dil Ki Sarhad,
Suna Pada Hai Mera Aangan.
Bas Mere Ghar Me Hai Andhera
Baki Pura Shehar Hai Roshan.
Nikla Hu Mohabbta Ki Talash Me,
Kabhi H Gam-A-Rat Kabhi H Gam-A-Din.
Padi Hai Shabnami Aus Ki Boonde
Sili Hawaon Se Hoti Hai Chubhan.
Pukara Hai Wafao Ko Bina Ruke,
Nikalte Hai Aansu Dukhta Hai Mann.
Such Gaya Hai Ashko Ka Samander,
Kaise Bujhaun Aandar Ki Agan.
Khak Ho Gaya Ek Aur Parwana,
Ujad Gaya Aaj Ek Aur Chaman.
Parvesh Kumar PK
10+ Best of Mehdi Hassan Ghazals
Meri Mohabbat Hui Beasar Hai
Teri Baahein Gairon Ka Meyasar Hai.
Maut Ki Chahat Rehti Hai Sada
Ye Hum Aa Gaye Kis Nagar Hai.
Pehle Sheeshe Ka Aashiyana Banwaya
Ab Khud Hi Marte Wo Pathar Hai.
Aankho Me To Sirf Chingari Hai
Aag Ka Gola Mere Bheetar Hai.
Andhero Me Tha To Khush Tha Main
Ek Jugnu Ne Mujhe Mari Takkar Hai.
Khuda Bula Le Mujhe Ab Upar Tu
Marne Me Mere Bachi Kya Kasar Hai.
Parvesh Kumar PK
15+ Best of Bashir Badr Ghazals
Baichen Hoon Tere Pyar Me Main Jis Tarah,
Tadpe Tub Hi Mere Pyar Me Us Tarah.
Din To Gujar Gaya Teri Yaado Me
Gam-A-Shab Gujarunga Ab Kis Tarah.
Sharab Na Pine Ke Wade Pe Kayam Hu Ab Bhi
Hijr Ke Gam Mitaunga Ab Kis Tarah.
Chhodkar Gayi Mujhe Majhdhar Me Akela
Tanha Ye Zindagi Ab Bitaunga Kis Tarah.
Sath Jeene-Marne Ka Waada Kar Gaya “Parvesh”
Bina Uske Maut Gale Lagaunga Kis Tarah.
Parvesh Kumar PK
Sad Heart Touching Poetry Ghazal
Kyun Dil Ke Mamlon Me Takaja Karta Hai,
Ye Waqt Hai Jo Sabke Ghav Bharta Hai.
Kaun Hai Jo Roshni Me Tera Sath Dega
Kyun Andhero Ke Mitne Ki Dua Karta Hai.
Kho Gaya Hai Basti Me Ashiyana Mere, Magar
Is Kalyug Me Kaun Apne Ghar Mehman Rakhta Hai.
Main Maut Ke Muh Se Nikal Aaya Salamat
Meri Tarah Kaun Hatheli Pe Jaan Rakhta Hai.
Bade Dino Baad Aaya Tha Apni Basti Me
Mera Ghar To Ujda Hua Shamshan Lagta Hai.
Meykade Ki Aor Chal Pada “Parvesh”
Ab To Bas Yahi Raasta Asaan Lagta Hai.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Ghazal Lyrics
Din Me Bheed Me Maine Dil Ko Behlaya Hai,
Raaton Me Khilwat Me Isne Bahut Mujhe Rulaya Hai.
Dil Ki Galiyan Karke Gayi Wo Barbad
Wo Utna Hi Aaya Yaad Jitna Use Bhulaya Hai.
Gidgida-Gidgida Kar Hamne Gawa Di Kadr Apni
Usne Mudkar Bhi Nahi Dekha Kitna Use Bulaya Hai.
Main Baitha Tha Udas Hawa Le Aayi Uski Khusboo
Ye Bedard Hawa Ka Jhonka Kis Aor Se Aaya Hai.
Chhod Aao Ab “Parvesh” Ko Meykhane Me
Aawaz Aa Rahi Hai Lagta Hai Saki Ne Bulaya Hai.
Parvesh Kumar PK
15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals
Tumse Judi Har Baat Yaad Aayegi,
Apni Ye Dusri Mulakat Yaad Aayegi.
Labon Se Naa Ho Payi Koi Bhi Baat,
Magar Fir Bhi Ye Baat Yaad Aayegi.
Gujra Tha Har Lamha Tumhare Deedar Me,
Kitni Thi Haseen Ye Raat Yaad Aayegi.
Kadmo Ka Faasla Bhi Meelon Sa Tha,
Aise Bhi Hoti Hai Mulakat Yaad Aayegi.
Dono Ke Diilon Ka Haal Alag Alag Tha,
Alag-Alag Sawalon Wali Ye Baat Yaad Aayegi.
Kitni Thi Bandishein Aur Majburi Dilon Ki,
Majburiyon Wali Aisi Ye Raat Yaad Aayegi.
Khuli Julphon Me Ek Chaand Sa Chehra,
Us Raat Chand Se Hui Mulakat Yaad Aaayegi.
Tmse Judi Har Baat Yaad Aayegi,
Apni Ye Dusri Mulakat Aayegi.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Romantic Ghazal
Hansta Khelta Bachpan Tha, Jhumta Gaata Yauvan Tha,
Kabhi Wo Mera Darpan Thi Kabhi Main Uska Darpan Tha.
Chahat Kabhi Hamari Koi Adhuri Hi Nahi Rahi,
Wo Mujhko Arpan Thi Main Usko Arpan Tha.
Jism Kya Hamari Ruh Take K Dusre Ko Samarpit Thi,
Iuske Pass Mera Dil Tha Mera Pass Uska Man Tha.
Har Sukh Dukh Ki Ghadi Hamne Kuchh Yun Bitayi Thi,
Wo Mera Har Mausam Tha Hamara Har Mausam Sawan Tha.
Pyar Ki Hade Jo Janti Hai Duniya Hamne Sab Tod Dali Thi,
Lekin Hamare Dil Bhi Mandir The Hamara Pyar Bhi Pawan Tha.
Ab Wo Rut Aayegi To Waqt Ko Rok Ke Raakh Lunga,
Bin Uske Jo Maine Jee Kar Dekha Hai Wo Vyarth Jeewan Tha.
Parvesh Kumar PK
15+ Best of Mirza Ghalib Ghazals
Bahut Bar Ki Hai Koshish Lekin Hardam Haara Hoon,
Aoron Ki Duwaon Ke Liye Tutne Wala Tara Hoon.
Khud Ki Khushi To Khudkushi Jaisi Hai,
Aoron Ke Kaam Aau Tab Tak Hi Pyara Hoon.
Is Haal Me Mujhe Khush Dekhkar Hairan Hai Log
Main Apni Barbadi Pe Hansta Hu Insan Nyara Hoon.
Wo Hai Aasman Me Muskurate Akele Chand Sa
Un Tak Naa Pahunch Saka Main Wo Sitara Hoon.
Wo Mehfil Me Muskuraye Afsana Ban Gaya
Mere Rone Pe Koi Naa Aaya Kismet Ka Maara Hoon.
Marta Hai Thokar Is Aisho-Aaram Ko “Parvesh”
Duniya Walon Fir Na Kehna Ki Main Aawara Hoon.
Parvesh Kumar PK
10+ Best of Rahat Indori Ghazals
Pyar Karta Hoon Tumse Magar Tumhe Apna Nahi Sakta
Haye Rasme Duniya Ki Tumhe Apna Bana Nahi Sakta.
Meri Chhoti Si Khata Pe Wo Khafa Ho Gayi
Muh Se Nikli Baat Ko Main Wapas La Nahi Sakta.
Meri Sari Basti Me Hai Khaufnak Andhere
Roshni Ke Liye Main Apna Ghar Jala Nahi Sakta.
Hain Kandho Par Mere Bojh Kayi Saare
Ab Kandho Se Neeche Bhi Unko Utar Nahi Sakta.
Dilo Me Nashtar Sa Chubho Gayi Ek Baat
Us Baat Ko Bhi Dil Se Nikal Nahi Sakta.
Mujhko Kya Sambhalogi Tum Khud Sambhal Jao
Meri Dubti Kashti Ko Koi Paar Laga Nahi Sakta.
Apne Haal Par Khush Hai “Parvesh” Use Rehne Do
Aag Ke Gheron Me Har Koi Ghar Bna Nahi Sakta.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Short Ghazal
Zindagi Di Kisi Ne Naam Kisi Ke Kardi,
Hamne Apni Zindagi Khud Barbad Karli,
Mohabbat Ko Kaam Samjhne Walo,
Maujon Me Apni Tumne,
Kitni Zindagi Gumnam Kardi.
Khelna Hai To Khud Se Klhelo,
Apne Khel Me Meri Zindagi Khel Kardi.
Meri Dubi Hui Kashti Ko Kinara Na Mila,
Ye Mere Naam Tune Konsi Basti Kardi.
Murda Hoon Zinda Hote Hue Bhi Main,
Marker Bhi Hoon Zinda, Zindagi Kamaal Kardi.
Badbadate Hue Tamam Umar Gujri,
Do Lafj Na Bol Saka Subah Se Sham Kardi.
Zindagi Di Kisi Ne Naam Kisi Ke Kardi,
Hamne Apni Zindagi Khud Barbad Karli.
Parvesh Kumar PK
17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Ajeeb Shakhs Tha Jo Humse Pyar Karta Hai,
Warna Aise Bhi Koi Kisi Ka Intjaar Karta Hai.
Dekhkar Jise Hum Ab Ferte Hain Nigahe,
Wo Hamare Ishq Me Jeeta Hai Na Marta Hai.
Bewafa Nahi Hain Hum Bhi Halat Ke Maare Hain,
Dil Me Hamare Bhi Ab Dard Sa Rehta Hai.
Wo Udhar Beechen Hai Khatir Haamare Hi,
Idhar Hamara Dil Preshan Preshan Rehta Hai.
Tadpana Naseeb Hai Hamara Aise Hi Rehne Do,
Milne Ke Liye Shayad Marna Padta Hai.
Parvesh Kumar PK
Very Sad Heart Touching Ghazal
Mujhe Dasht-A-Tanhayi Mili Teri Judayi Se,
Mujhe Mile Ashko Ke Sagar Teri Judayi Se.
Ishq Ki Ibadat Krke Takraya Chattano Se,
Ab To Lagta Hai Dar Khuda Teri Khudayi Se.
Kyun Hai Bekrar Itna Maut Ke Liye “Parvesh”
Jaan Jaoge Kiya Kabhi Ishq Gar Harjayi Se.
Parvesh Kumar PK
~~~~~
Koi Gila Nahi Tujhse Tere Deewane Ko Aaj,
Karegi Mujhe Yaad Duniya Se Chale Jane Ke Baad.
Tapte Raigistaan Me Tadpa Bahut Ek Musafir,
Magar Pani Ki Kadr Hi Na Thi Pyas Bujh Jane Ke Baad.
Aayi Mujhe Teri Bahut Yaad Magar Do Hi Waqt,
Wasal Se Pehle Dusri Teri Judayi Ke Baad.
Hai Dastur Jamane Ka, Mohabbat Sachi Lagti Hai,
Shama Ko Parwane Ke Jal Jane Ke Baad.
Khwahishe Puri Ho Jaye To Shauk Se Marna “Parvesh”
Warna Aatma Ko Bhatkna Padta Hai Mar Jane Ke Baad.
Parvesh Kumar PK
Popular 15 Online Songs Lyrics in Hindi
Main Raha Na Main Tum Rahe Naa Tum,
Kyu Hue Alag Gar Bewafa Nahi Hum.
Hai Reet Wahi, Hai Har Mausam Bhi Wahi,
Kyun Rahe Na Wo Log, Na Rahe Wo Mausam.
Main Ho Raha Barbad Ye Takdir Meri Hai,
Tu Mujhe Na Sochna Tujhe Meri Kasam.
Laila Majnu, Heer-Ranjha Naseeb Ki Baate Hain,
Tujhe Mili Doli Mujhe Mila Jaam.
Meykhane Me Aa Gaye Hum, Ae Saki,
Wo Mey Pila Wafaho Jiska Naam.
Parvesh Kumar PK
Heart Touching Urdu Ghazal SmS
Hume Apne Pyar Par Bahut Guman Tha,
Jise Humne Pyar Kiya Ajab Insan Tha.
Aaya Daur Jab Benawayi Ka Hum Par,
Jo Humnafas Thaw O Bhi Juda-Juda Tha.
Ajanbee Ho Gaya Jo Ashna Tha Kabhi,
Ae Khuda Meri Takdeer Me Ye Kya Likha Tha.
Kabar Bhi Na Sukhi Thi Ab Talak Meri,
Usne Apna Ashiyana Fulo Se Saja Rakha Tha.
Wo Aayi Thi Kabar Par Meri Apni Mang Bharkar,
Magar Sindur Par Naam Kisi Aur Ka Likha Tha.
Parvesh Kumar PK
25+ Old Hindi Song Lyrics in Hindi
Hanse De Mujhe Hanse De,
Rone Ko Raat Kafi Hai,
Tadap Raha Hu Pyar Me Jiske,
Usko Ehsas Dilana Baki Hai.
Dhokha Diya Hai Har Shakhs Ne,
Meykhana Hai Sath Ya Fir Saki Hai.
Bhulna Chahta Hu Main Uski Yaadein,
Jo Meri Tanhai Ki Sathi Hain.
Sab Dawa Aur Duwa Bekar Hai Mujhpar,
Jeene Ke Liye Uska Ehsas Kafi Hai,
Ab Dekhna Hai Usko Aabad Hote Hue,
Jo Kehta Hai Marna Mera Baki Hai.
Parvesh Kumar PK
~~~~~
Sathi Rutha Dil Bhi Hamara Tut Gaya,
Sath Tha Jo Sadiyon Se Wo Bhi Chhut Gaya.
Khatm Hui Inteha Ab Ishq Ki,
Dil Jo Tha Pyar Ka Sagar Sukh Gaya.
Sukh Dukh Kismet Ke Sangi Sathi,
Humse To Khuda Bhi Hamara Ruth Gaya.
Pakde Hue The Daman Khushiyon Ka Kab Se,
Aaya Haw Aka Jhonka Daman Chhut Gaya.
Hui Hai Khata Manzil Bhi Khafa Hai,
Kismet-Kismet Kehte The Sath Uska Chhut Gaya.
Is Daurahi Zindagi Ko Ab Kaise Jiu Main,
Naa Kehna Ae Zindagi Kyun Tu Hamse Ruth Gaya.
Parvesh Kumar PK
Most Heart Touching Ghazal
Dil Mere Tuta Aur Chaknachur Ho Gaya,
Is Kadar Use Khud Pe Gurur Ho Gaya,
Kahin Shma Jal Gayi Kahin Jal Gaya Parwaana,
Har Koi Yaha Par Magrur Ho Gaya,
Jab Dekha Khuda Ne Nahi Insaniyat Yaha Par,
Wo Apni Bnayi Duniya Se Hi Dur Ho Gaya.
Parvesh Kumar PK
~~~~~
Waise To Ladke Bahut Kam Rote Hain,
Magar Ye Bhi Rote Hai Jab Gam Hote Hain,
Raat Me Bearish Dekhna Ho Aana Mere Dar Pe,
Yahan Sari Raat Aankho Me Aansu Hote Hain.
Khuli Aankho Se Bhi Dekhta Hu Sapne Uske,
Isliye Raaton Me Bhi Hum Kam Sote Hain.
Aayegi Har Subah Manjil Ki Khusboo Lekar,
Neend Nahi Aati Ab Sirf Intjaar Hote Hain.
Mil Jaye Use Zamane Bhar Ki Khushiyan,
Bas Ab To Har Waqt Yahi Dua Karte Hain.
Jabse Khayi Hai Kasam Usne Tufaano Se Ladne Ki,
Tab Se Har Tufaano Ne Ham Diya Jalate Hain.
Jab Diye Ki Lau Ladti Hai Hawaon Se,
Kabhi Wo Meri Hoti Hai Kabhi Hum Unke Hote Hain.
Parvesh Kumar PK