Dard Bhari Ghazal Collection
Rom-Rom Karze Main Duba, Bikhmange Hone Wale Hain
Lekin Apne Raja Khate, Hum Change Hone Wale Hain
Inki Rag-Rag Main Hai Garmi, Kapde Tak Bhi Bhoj Lage
Mausam Bhut Garam Hain Yaro, Ye Nange Hone Wale Hai
Inki Pyas Bhut Tikhe Hain, Sirf Khoon Se Bhujate Hai
Aakasho Ko Pyas Lagi Hain, Phir Dange Hone Wale Hain
Unknown
~~~~~
Kar Sako To Karo Ab Bhi Pyar Ki Baate
Dubte Mastul Ki Manjhdar Ki Baate
Dukh Virah Se Khin Jayada De Rahi
Jar,Zameen,Bhukh,Rojgar Ki Baate
Muh Kasela Kar Rahi Hai Roz Hi
Ghar-Baar Ki Bazar Ki, Akhabar Ki Baate
Musami Rukh Dekh Karke Chaman Main
Phul Bhi Karne Lage Hai Khar Ki Baate
Desh Aage Bad Raha Hai, Aadmi Phiche
Humko Nahi Aati Samajh Sarkar Ki Baate
Unknown
30+ Best of Meer Ghazals and Shayari
Sach Kitabo Ka Likha Akshar Nahi Hota
Asman Har Shaqs Ke Sar Par Nahi Hota
Dwar Pe Jinke Nahi Ho Dard Ka Satiya
Geet Ki Taqdir Me Wo Ghar Nahi Hota
Ye Siyasat Ki Tvayaf Ka Dupata Hain
Ye Kisi Ke Aansoo Se Tar Nahi Hota
~~~~~
Hum Leke Rang-O-Nur Ka Ik Karwa Chale
Kaliya Chali Sabufe Chale Gulista Chale
Chalti Hai Teri Yaad Gume Dil Ke Sath-Sath
Katil Ke Sath Jese Koi Meherba Chale
Humne Gulal Mal Diya Rukhsar Shyam Par
Ye Dastan Chale N Chale Par Nishan Chale
Manzil Humari Khud Hi Bhatayegi Subh No
Puche N Humse Bade Saba Hum Khan Chale
Hum Dore Inklab Samjhate Hain Usko Som
Khake-Zamee Ke Sath Agar Kahkasa Chale
Dard Bhari Ghazal Hindi Me
Ki Agle Hi Kadam Pe Khaeya Hai
Bhut Abhisapt Ye Ucheya Hai
Yahan Se Hai Shuru Seema Shar Ki
Yahan Se Humsafar Tanhaiya Hai
Kise Jakar Naman De Mandir Me
Humari Hi Wahan Parchiya Hai
Humari Har Bivai Ik Shaki
Badan Ki Jhuriya Chopaiya Hai
Kisi Bhi Din Zahar Pina Padega
Zuban Pe Aapki Sachaiya Hai
~~~~~
Andhakaro Se Liye Anudan Hai Yaro
Jo Hamare Door Ka Dinman Hai Yaro
Baghnake Har Mangla Muskan Hai Piche
Bhader Purush Ki Yahi Pahachan Hai Yaro
Kal Talak Jo Saksh Tha Parcham Bagavat Ka
Aaj Ik Darbar Me Darban Hai Yaro
Ye Dulli Chadar Khan Jakar Rakhe Aakhir
Har Kadam Pe Koyle Ki Khan Hai Yaro
Jeb Main Kuch Ho N Ho Badhaal ‘Anber’ Ki
Kanth Me Uske Abhi Imaan Hai Yaro
15 Best of Dushyant Kumar Ghazals
Us Alhad Ko Grahlukhsami Ki Gatividiya Sikhlana Hai
Ab Usko Pallu Sar Rakh Sandya-Deep Jalana Hai
Sabki Aankho Me Sapne The, Sabki Aankhe Gili Hai
Do Lafzo Mein Is Basti Ka Itna Hi Afsana Hai
Wo Aksar Karta Rahta Charchaye Adarso Ki
Wo sahayar Danismando Ki Nazar Me Diwana Hai
Chahe Jitni Kash Kar Bando, Moothi Khul Hi Jati Hai
Mausam Kaisa Bhi Ho Uska, Parivartit Ho Jana Jana Hai
Jisme Tute Fremo Wali Kuch Dundali Tasveere Hain
Har Dil Ki Bethak Ke Niche Ik Aandha Tehkhana Hai
‘Amber’ Ji Padni Hai Gajale, Tumko Is Kolahal Mei
Angaro Pa Rajnigandha Ki Kaliya Bikhrana Hai
Dard Bhari Ghazal Lyrics in Hindi
Zakham Hai Aur Dard Ka Ahsas Hai
Gum Ka Har Muhara Humare Paas Hai
Wo Humara Dost Hai Kuch Bhi Kahe
Humko Uski Baat Par Vishwas Hai
Usko Apni Jeet Par Bhi Ranj Hai
Ye Humari Haar Ka Uphash Hai
Umar Bhar Bhujati Nahi Hai Dosto
Ye N Jane Kis Tarah Ki Pyas Hai
Radhika Madhuban Mai Jakar Kya Kare
‘Shyam’ Hai To Har Jagah Madhumas Hai
15+ Best of Munawwar Rana Ghazals
Mein Akela Tha To Gum Ko Bula Liya Maine
Wo Bhi Gardish Mein Tha Sathi Bana Liya Maine
Bebashi Mujhse Kisi Ki Nahi Dekhi Jaati
Mera Dushman Tha Wo Phir Bhi Bacha Liya Maine
Jab Bhi Mahsus Hui Mujhko Ujallo Ki Kami
Roshni Ke Liye Dil Ko Jala Liya Meine
Mujhko Malum Tha Ik Din Bahar Aayegi
Isliye Dil Main Khiza Ko Basa Liya Maine
Jo Ik Bund Dikhai Padhi Thi, Sahara Main
Ushi Ko Dariya Samajhkar Utha Liya Maine
Dosti Aur Dushmani Ki Koi Baat N Thi
Farz Ke Samne Sar Ko Jhuki Liya Maine
Best Dard Bhari Ghazal
Jalte Registan Puchte Sawan Keisa Hota Hai
Footpati Bache Kya Jane Aangan Kaisa Hota Hai
Adhi Umar Kitab Dhokar,Rojgar Mei Khokar Kuch
Kal Kuch Budhe Puch Rahe The Yovan Kaisa Hota Hai
Bin Bedi Ke Hi Band Jana O Bindh Jana Phulo Se
Tum Bhi Samajh Gaye Ho Sayad Bandhan Kaisa Hota Hai
Kable,Tv Ka Hai Palna Aur M.T.V Ka Jhula
Ye Bache Kya Yaad Karenge Bachoan Kaisa Hota Hai
Kyo Tum Darpan Bech Rahe Ho Hum Aandho Ki Basti Mai
Humko Ab Kya Lene-Dena Darpan Kaisa Hota Hai
Hindi Dard Bhari Ghazal Shayari
Humne Suraj Ko Bhi Din Mai Sotey Dekha Hai
O Ponam Ke Chand Ko Nayan Bhigote Dekha Hai
Sishak Rahi Hai Hashi , Rokkar Aansoo Ab Apne
Ankh Bachakar Muskano Ko Rote Dekha Hai
Jinki Kismat Mai Bas Raatein Hi Ratein Hoti
Unko Naye-Naye Sapne Sanjote Dekha Hai
Saitano Ki Jholi Mei Hi Kyo Khushiya Sari
Dudhmuho Ko Jhuthe Bartan Dhote Dekha Hai
Loktantar Ke Grah Kuch Aise Baithe Hai Yaro
Anhoni Ko Hamne Aksar Hote Dekha Hai
15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals
Mujhse Milte Rahi Roz Tanhaya
Aaj Shorat Bani Meri Ruswaiya
Mujhko Pagal Banati Rahegi Sada
Jis Ghadi Bhi Bajegi Ye Shanaiya
Hum To Bine Hui Ja Rahe Hai Dosto
Kitni Lambi Hui Parchaiya
Besbb Shor Me Dubta Aadmi
Ab Kahan Hai Muhbat Ki Gharaiya
Ye Suna Hai Ki Ve Chand Tak Ja Chuke
Hum To Late Rahe Roz Angdaiya
Dard Bhari Ghazal
Naav Kagaj Ki Kabhi Humne Banai Thi Bhut
Aasho Ke Sagar Me Phir Duboi Thi Bhut
Vah Nahi Samjhe Agar Isme Hamari Kya Khata
Yu To Gajale Pyar Ki Unko Sunai Thi Bhut
Tum Bhi Dushman Ho Muhbat Ke Jamane Ki Tarah
Phul Par Se Titliya Tumne Udai Thi Bhut
Wah Bhi Tadpega Bhut Ik Roz Pani Ke Liye
Machliya Is Jhil Ki Isne Satae Thi Bhut
Kya Pata, Us Baat Par Kyo Chalte-Chalte Ruk Gayi
Un Kalamkaro Ne Yu Kalme Chlai Thi Bhut
30+ Best of Jagjit Singh Ghazals
Rikshe Par Dolat Walo Ko Dhota Aya Ramlakhan
Phir Bhi Jitna Chaha Utna Juta N Paya Ramlakhan
Lala Ke Pavo Par Rakh Di Pagdi Apni Ijat Ki
Kawari Beti Byah N Paya, Roya-Gaya Ramlakhan
Mela Gamcha, Meli Dhoti, Kichad Mai Dubi Aankhe
Nayi Sabhayata Mei Samaj Ko Tanik N Bhaya Ramlakahan
Kabhi Bheed Se Thapad Paya, Kabhi Daroga Se Chate
Samajh N Paya, Jag Ki Maya, Aisi Kaya Ramlakhan
Tod Gayi Seema Vipdaye, Ab Jeene Ki Chaha Nahi
Ogha-Shokha Bacha Le Gya, Vish Bhi Khaya Ramlakhan
Virh-Milan Ka Rona-Gana Tab Se Gajale Bhul Gaye
Shayar Ki Suni Aakho Par Jab Se Chaya Ramlakhan
Hindi Dard Bhari Ghazal Shayari
Galat Samay Mei Sahi Byani
Sab Mani Nikle Bemani
Jisne Boya Usne Kata
Hui Miya Yah Baat Purani
Kisko Zimedari Sope
Har Surat Jani Phachani
Kon Bnaye Bigadi Bate
Sikh Gaye Sab Baat Purani
Kuch Hi Mulya Amulya Bache Hai
Kon Kare Unki Nigrani
Aan-Man Par Jo Nyochvar
Sakhsh Kha Aise Lasani
Jina Hi Dushwar Hua Hai
Marne Mai Kitni Aasani
Vidwano Ke Chake Chute
Gyan Bghar Rahe Agani
10+ Best of Rahat Indori Ghazals
Jinki Muthi Me Pal Nahi Hota,
Unke Hise Me Kal Nahi Hote,
Apne Gum Ko N Bate Ki Soch,
Log Itne Saral Nahi Hote
Kuae Jo Bhi Khudaye Auro Ko,
Unke Arma Safal Nahi Hote
Kua Jo Bhi Khata Hai Jhuth Kahata Hai
Khandharo Mei Mahal Nahi Hote
Sach Ko Jo Maar Sake Duniya Mein
“Saaj” Tekhe Garal Nahi Hote
Dard Bhari Ghazal in Urdu
Vah Andhere Se Lipatkar Raat Bhar Rota Raha
Beraham Suraj N Jane Kis Jagah Sota Raha
Yah N Samajh Sath Uska Chod Dengi Ek Din
Vah Subah Se Shyam Tak Parcheya Dhota Raha
Ye Bhujhe-Tare Bgavat Kar Nahi Sakte Kabhi Kabhi
Saty Hai, Hoga Vahi, Jo Aaj Tab Hota Raha
Ek Ulka-Si Hardey Mei Rah Gayi Hai Roshni
Bas Ushi Ki Lahar Mei Khud-B-Khud Khota Raha
Aiena Bhi Kha N Paye Rok Le Aansoo ‘Milan’
Vah Abhaga Motiyo Ko Dhul Me Bota Raha
17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Kasbe Sadhi Ab Shar Ho Gaye Hai
Aadhmi Yhan Sab Magar Ho Gaye Hai
Hanshi Bandni Ho Gayi Hai Kahi Par
Nayan Aansuo Ke Nagar Ho Gaye Hai
Kho Roshni Se Ki Matam Manaye
Andhere Yahan Ke Sadar Ho Gaye
Geeto Ki Basti Khan Par Bsaye
Kai Geet Yahan Dar-Badar Ho Gaye
Peeda Tumhari Parstho Pe Likhkar
Khud Hum Kitabo Ke Kamar Ho Gaye Hai
Pidhi Se Kaha Do Vispayiao Ki
Sukraat Markar Amar Ho Gaye Hei
Basant Deshmukh
Dard Bhari Ghazals Poetry
Gali-Gali Mein Alakh Jagata Mei Bhi Kaisa Pagal Hu,
Idhar-Udhar Khud Ko Bhatakta Mei Bhi Kaisa Pagal Hu
Jinki Nas-Nas Mei Makkari, Deshdroh Hei Bhara Hua
Unko Aaina Dikhlata Mei Bhi Kitna Pagal Hu
Bhrast Vyasta Ke Jo Sangi-Sathi Chamche Bane Hua
Unko Natik Baat Batana, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu
Hai Mujhko Jawani Aaj Npunshak Ho Baithe
Vyarth Ushi Mei Josh Jagata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu
Gunge Bharo Ki Mahafil Mei , Kranti Bhari En Gajlo Ko
Bar-Bar Gata Dhurata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu
Dundh Raha Hu, Un Logo Ko Jinke Sine Zakhmi Ho
Ghar-Ghar Pe Aawaz Lagata, Mei Bhi Kaisa Pagal Hu
Sachai Kahata Firta Hu, Kavita Ke En Mancho Se
“Saaj” Kranti Ke Bigul Bajata, Mei Bhi Kitna Pagal Hu
Gyanender Saaj
15+ Best of Pankaj Udhas Ghazals
Samajh Hi Jaayega Andar Ka Haal Kesa Hai,
Agar Wo Dekhne Wali Nigaah Rakhta Hai,
Bikharna Hoga Buraade Ke Dher Ko Ek Din,
Ye Kesi Umeed Par Tu Lamhe Ginta Rehta Hai,
Samajh Raha Tha Bahut Bewakuf Wo Mujhko,
Main Jisko Acchi Tarah Janta Hoon Wo Kya Hai,
Ye Khaar Khaar Badan Sang Sang Paihraan,
Ye Aadmi Koi Jungle Giraa Ke Aaya Hai,
Mujhe Bhi Ghutna Hai Bainasstur Ke Andar,
Use Bhi Kaanch Ke Show Case Hi Me Rehna Hai,
Le Aaj Khud Ko Main Tere Hawaale Karta Hoon,
Ye Dekhna Hai Ki Tu Kya Sulook Karta Hai.
Dard Bhari Ghazal in Hindi
Jo Kaamyaab Huye Inkalaab Le Aaye,
Hum Apne Khoon Mein Bheege Ghulaab Le Aaye,
Wo Ikteyaare–Shabe-Taar Tha Ki Hijare–Sehar,
Bujhaake Apne Sabhi Aaftaab Le Aaye,
Hum Accha Wakt Nahi Laa Sake Nayi Naslo,
Magar Tumhaare Liye Khaab Le Aaye,
Sab Aaftaab Hamare Jameen-Bose Huye,
Charaag Jinke Na The Mehtaab Le Aaye,
Faroge–Mihar Ho To Bhi Hadaf Humi Thehrein,
Uthe Ho Abra Humi Par Ajaab Le Aaye,
Tujhe Bhi Aaj Watan–Dosti Ka Daawa Hai,
Agar Koi Tire Maaji Ka Baab Le Aaye,
Sehar Nahi Hai Ye Akbar Ye Subahe-Kaajib Hai,
Sehar Wo Hogi Jo Yaume-Hisaab Le Aaye
Akbar Hameedi
15+ Best of Bashir Badr Ghazals
Sochon Ki Talab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Khwahish Sare-Lab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Rota Hu Ki Jee Chahta Hai Ashk Bahaaun,
Rone Ka Sabab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Ye Dard Ki Khushbu, Ye Khaamoshi Ke Dhanush Rang,
Dunia Me Ye Sab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Shamo Ki Udaasi Ka Muaamma Mere Najdeek,
Tab Kya Tha Aur Ab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Har Lamhaa Ghujar Jata Hai Aangan Me Sulagte,
Tanhaayi-E-Shab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum,
Sanson Ka Kalam Chalta Hai Sochon Ke Warak Par,
Ye Shero-Adab Kya Hai Mujhe Kuch Nahi Maalum.
Dard Bhari Ghazal by Famous Poet
Baraf Pighli To Nadiya Ufan Jayegi
Vadiya Khil Ke Dulhan-Si Ban Jayegi
Titliya Jo Chaman Se Bhut Hai Khafa
Koshish Kijiye Wo Bhi Man Jayegi
Fair Li Sagaro Ne Hi Nazare Agar
Sari Duniya Yu Kiski Saran Jayegi
Bewafai Ke Kante Jo Dil Mei Lage
Zindibhar N Unki Chuban Jayegi
Mushkurakar Gale Jo Laga Lo Hame
Baat Bigadi Sabhi Aaj Ban Jayegi
Mar Na Sake, Zinda Bhi Reh Na Sake,
Haal-A-Dil Hum Apna Kisi Se Keh Na Sake.
Bazmo Me Muskurate Hue Din Bita Diye
Magar Raato Me Hijar Ke Gam Seh Na Sake.
Tu Hoti Gar Pass To Neend Bhi Aa Jati Hume
Tere Bina Magar Hum Kabhi So Na Sake.
Apne Dard Ko Daba Kar Rakh Liya Seene Me
Tujhe Khush Dekha To Apne Gam Pe Ro Na Sake.
Ek Ummid Hai Ab Bhi Tere Laut Aane Ki
Bas Isi Intjar Me Hum Maut Ke Bhi Ho Na Sake.
Heart Touching Dard Ki Ghazal
Jo Teri Yaad Aa Gayi To Main Deewana Sa Ho Gaya,
Apno Mein Reh Kar Bhi Begaana Sa Ho Gaya.
Jab Se Tere Khayalon Mein Khone Laga,
Apne Hi Shehar Mein Anjana Sa Ho Gaya.
Tere Chehre Ka Deedar Kar Ke Main ‘Farha’
Tere Husn Ki Shama Ka Parwana Sa Ho Gaya.
Jis Par Naaz Tha Mujhe Khuda Se Zyada,
Wo Mera Pyar Aaj Afsana Sa Ho Gaya.
Teri Yaadon Ko Is Tarah Qaid Kiya Khud Mein,
Dil, Dil Nahi Raha Ek Tehkhana Sa Ho Gaya.
Jis Aashiyane Ko Sajaya Tha Humne Mehlon Ki Tarah,
Tum Bin Wahi Mera Ghar Aaj Meykhana Sa Ho Gaya.
Mohammad Rafi Songs Lyrics Collection
Tune Yeh Phul Jo Zulfon Mein Saja Rakhaa Hai
Ek Diya Hai Jo Andheron Mein Jala Rakhaa Hai
Jeet Le Jaye Koi Mujh Ko Nasibon Wala
Zindgi Ne Mujhe Dao Pe Laga Rakhaa Hai
Jane Kab Aaya Koi Dil Mein Jhakne Wala
Isiliye Maine Girebaan Khula Rakhaa Hai
Imtihan Aur Mere Zabat Ka Tum Kya Loge
Maine Dhadkhan Ko Bhi Seene Me Chhupa Rakhaa Hai
Hindi Ghazal and Shayari
Kaise Kahe Ke Apna Banaa Lo Mujhe
Bahon Me Apni Tum Sama Lo Mujhe
Bin Tumhare Ek Pal Bhi Ab Kat-Ta Nahi
Tum Aa Kar Mujhi Se Churaa Lo Mujhe
Meri Sabse Gehri Khwaahish Ho Puri
Tum Agar Pass Apne Bulaa Lo Mujhe
Ye Kaunsa Nasha Hai Jo Behka Raha H
Tumhara Hoon Main To Sambhalo Mujhe
Najane Fir Kaise Guzregi Ye Zindagaani
Agar Apne Dil Se Kabhi Tum Nikaalo Mujhe