Lyrics of Mirza Ghalib Ghazals
Dard Minnat Kash-Aye-Dawa Na Hua,
Mein N Accha Hu Bura N Hua,
Jama Karte Ho Kyu Rakibo Ko,
Ek Tamasha Hua Gila N Hua,
Hum Kaha Kismat Ajmane Jayenge,
Tu Hi Jab Kanjar Aanjma N Hua,
Kitne Shiri H Tere Lab! Ki Rakib,
Gaaliya Khakar Ke Be-Maja N Hua,
H Khabar Garm Unke Aane Ki,
Aaj Hi Ghar Mein Boriya N Hua,
Jaan Di, Di Hui Usi Ki Thi,
Hasr To Yeh H Ki Haq Aada Na Hua,
Kuch To Padhiye Ki Log Kehte H,
Aaj ‘Ghalib’ Ghazal Sara N Hua.
Mirza Ghalib
30+ Best of Jagjit Singh Ghazals
Mere Liye To Dil Tera Shayad Bekarar Nahi Hota,
Aaja K Ab Mujh Se Aur Intizar Nahi Hota,
Subha Ka Wada Tha Ab Sham Bhi Dhalne Lagi,
Phir Daiti Ho Ilzam Ke Tumhe Aitbar Nahi Hota,
Ab Tere Zulfo Ke Saaye Mein Sona Hai Mujhe,
Tum Kehti Thi Bohat Ki Tum Se Inkar Nahi Hota,
Le Jata Kahi Door Tumhe Main Iss Dunyia Se,
Roze Mahshar Mein Agar Ye Jurm Shumar Nahi Hota,
Kon Kahta Hai Ki Mujhe Pyar Nahi Tum Se,
Pyar To Itna Hai Mujhe Ki Shumar Nahi Hota,
Itne Diye Zakham Mujhe Shahid Iss Dunyia Ne,
K Ab Jo Bhi Lage Chot Ye Dil Sogwar Nahi Hota,
Kabhi Zindagi Se Gila Kar Ke Roye,
Kabhi Maut Ki Hum Dua Kar Ke Roye,
Ajeeb Silsila Hai Ishque-E-Mohabbat Ka,
Qaza Kar Ke Bhi Roye Ada Kar Ke Bhi Roye.
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Ghazals Lyrics in Hindi
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota,
Hua Jab Gam Se Yu Behis To Gam Kya Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Janno Par Dhara Hota,
Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya Par Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yu Hota To Kya Hota.
Mirza Ghalib
~~~~~
Kabhi Neki Bhi Uske Jee Mein Agar Aa Jaye H Mujhse,
Jafaye Karke Aoni Yaad Sharma Jaye H Mujhse,
Khuda Jajba-E Dil Ki Magar Aur Khictha Jaye H Mujhse,
Ki Jitna Khictha Hu Aur Khitchta Jaye H Mujhse,
To Bad-Khu Aur Meri Dastane Ishq Tulane,
Ibarat Muktsar Kaasid Bhi Ghabra Jaye H Mujhse,
Udhar Wo Badghumani H Idhar Yeh Natwani H,
N Pucha Jaye Usse, N Bola Jaye Mujhse,
Kabhi Neki Bhi Uske Jee Mein Agar Aa Jaye H Mujhse,
Sambhalne De Mujhe Ye Naummidi Kya Kayamat H,
Ki Daman-Khayl-E Yaar Chuta Jaye H Mujhse,
Wo Dekha Jaye Kab Yeh Julm Dekha Jaye H Mujhse,
Hue H Paon Hi Pehle Nabadre Ishq Mein Jkhami,
N Bhaga Jaye H Mujhpe N Tehra Jaye H Mujhse,
Kayamat H Ki Hove Mudhai Ka Humsafar “Ghalib”,
Wo Kaaifr Jo Khuda Ko Bhi Saupa Jaye H Mujhse.
Mirza Ghalib
17 Best of Faiz Ahmad Faiz Ghazals
Koi Ummid Bahr Nahi Aati,
Koi Surat Najar Nahi Aati,
Maut Ka Ek Din Muhayyan H,
Neend Kyu Raat-Bhar Nahi Aati,
Aage Aati Thi Haal-Dil Pe Hasi,
Ab Kisi Baat Par Nahi Aati,
H Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hu,
Warna Kya Baat Kar Nahi Aati,
Kyu N Chiku Ki Yaad Karte H,
Meri Awwaj Agar Nahi Aati,
Hum Waha H Jaha Se Humko Bhi,
Kuch Humari Khabar Nahi Aati,
Kaba Kis Mooh Se Jaoge “Ghalib”,
Sharm Tumko Magar Nahi Aati.
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Ghazals in Urdu
Hazaaron Khwahishain ‘Eisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle,
Bohot Nikle Mere Armaan Lekin Fir Bhee Kam Nikle,
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aayain Hain Lekin,
Bohot Be_aabru Hokar Tere Kooche Se Ham Nikle,
Mohabbat Mein Naheen Hai Farq Jeene Aur Marne Kaa,
Usee Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kaafir Pe Dam Nikle,
Khuda Ke Waaste Parda Na Kaabe Se Uthaa Zaalim,
Kaheen ‘Eisa Na Ho Yaan Bhee Wohee Kaafir Sanam Nikle,
Kahaan Maikhaane Ka Darwaaza “Ghalib” Aur Kahaan Waaiz,
Par Itana Jaante Hain Kal Wo Jaata Tha Ke Ham Nikle.
Mirza Ghalib
10+ Best of Rahat Indori Ghazals
Dard Minnat Kashe-Dawaa Na Huaa
Main Na Acha Huaa, Buraa Na Huaa
Jamaa Karate Ho Kyon Raqibo Ko
Ek Tamasha Hua Gila Na Hua
Ham Kaha Qismat Aazamaane Jaaye
Tu Hi Jab Khanjar Aazamaa Na Hua
Kitne Shirin Hain Tere Lab Ke Raqib
Gaaliya Khaake Bemazaa Na Hua
Hai Khabar Garm Unake Aane Kii
Aaj Hi Ghar Me Boriyaa Na Hua
Kyaa Wo Namruud Ki Khudaai Thi
Bandagii Me Meraa Bhalaa Na Hua
Jaan Di, Di Hui Usi Ki Thi
Haq To Yu Hai Ke Haq Adaa Na Hua
Zakhm Gar Dab Gayaa Lahuu Na Thamaa
Kaam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua
Rahazani Hai Ki Dil-Sitaanee Hai
Leke Dil, Dil-Sitaa Rawa Na Huaa
Kuch To Parhiye Ki Log Kahate Hai
Aaj “Ghalib” Gazal-Saraa Na Huaa
Zakhm Gar Dab Gayaa Lahuu Na Thamaa
Kaam Gar Ruk Gaya Rawa Na Hua
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Ghazals
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein
Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan Mein Kharaab Mein
Jab Haaye Hizr Ko Bhi Rakhoo Gar Hisaab Mein
Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Thaa Daur-E-Jaam
Saaqi NeiN Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab MeiN
Taaqir Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar
Aane Ka ‘Ehed Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein
“Ghalib” Chuti Sharaab Par Ab Bhi Kabhi Kabhi
Peeta Hoon Roj-E-Abro Shab-E-Maahtaab Mein
Mirza Ghalib
17 Best Jagjit Singh Ghazal Collection
Dil Hee To Hai Na Sang-O-KHisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
Royenge Ham Hazaar Baar, Koee Hamein Sataaye Kyon ?
Dair Naheen, Haram Naheen, Dar Naheen, Aastaan Naheen
Baithe Hain Rehguzar Pe Ham, GHair Hamein Uthaaye Kyon ?
HaaN Wo Naheen Khuda_parast, Jaao Wo Be_wafa Sahee
Jisko Ho Deen-O-Dil ‘Azeez, Uskee Galee MeiN Jaaye KyoN ?
“GHALIB” -E-Khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain ?
Roiye Zaar-Zaar Kya, Keejiye Haay-Haay Kyon ?
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Ghazal and Shayari
Aa, Ki Meri Jaan Ko Qaraar Nahi Hai
Taaqat-E-Bedaad-E-Intazaar Nahi Hai,
Dete Hain Jannat Hayaat-E-Dahar Ke Badle
Nashsha Ba_andaaza-E-Khumaar Nahi Hai,
Giriya Nikaale Hai Teree Bazm Se Mujh Ko,
Haay ! Ki Roone Pe Ikhtiyaar Naheen Hai,
Hamse ‘Abas Hai Gumaan-E-Ranjish-E-KHaatir,
Khaak Mein Ushshaaq Kee Ghubaar Naheen Hai,
Dil Se Uthaa Lutf-E-Jalva Haay Ma’anee,
Ghair-E-Gul Aainaa-E-Bahaar Naheen Hai,
Qatl Ka Mere Kiya Hai ‘Ahad To Baare,
Waae ! Akhar ‘Ahad Ustuwaar NaheeN Hai,
Toone Qasam Mai_kashee Kee Khaaee Hai ‘Ghalib’,
Tere Qasam Ka Kuch ‘Eitbaar Naheen Hai !,
Mirza Ghalib
Mukesh Songs Lyrics Collection
Ghair Lein Mehfil Mein Bose Jaam Ke,
Ham Rahain Yoon Tishna_lab PaiGHaam Ke,
Khastagee Ka Tumse Kya Shikwa Ki Ye,
Hathkande Hain Charkh-E-Neelee_faam Ke,
Khat Likhenge Garche Matlab Kuchch Na Ho,
Ham To Aashiq Hain Tumhaare Naam Ke,
Raat Pee Zamzam Pe Mai Aur Subh_dam,
Dhoye Dhab’be Jaam-E-‘Eharaam Ke,
Dil Ko Aankhon Ne Fasaaya Kya Magar,
Ye Bhee Halqe Hain Tumhaare Daam Ke,
Shaah Ke HaiN GHusl-E-Sehat Ko Khabar,
Dekhiye Kab Din Firein Hammaam Ke,
Ishq Ne ‘Ghalib’ Nikamma Kar Diya,
Warna Ham Bhee Aadmee The; Kaam Ke,
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Famous Ghazals
Sehar Mein Ek Ajnabi Pehchan Ghar Ghar Dekhkar,
Sochtha Hu Soctha Rehta Hu Aksar Dekhkar,
Kuch Shairf Insaan Najre Pher Aage Badh Gaye,
Jism Ke Uss Aadmi Ke Maili Chada Dekhkar,
Mej Par Rakhe Hue Guldan Se Jee Bhar Gaya,
Unke Hatho Mein Nukile Pathar Aaj Dekhkar,
Waqt Ne Kitna Badal Dala H Ghalib Ka Khyal.
Dast Yaad Aaya H Mujhko Apna Ye Ghar Dekhkar,
Log Apne Apne Pairo Par Najar Rakhne Lage,
Ek Langde Shaks Ko Bhaiskiyo Par Dekhkar,
Wo Tijarat Ki Siyasat Mein Abhi Mashgul H,
Kyu Bhala Unn Par Asar Ho Aise Manjar Dekhkar.
Mirza Ghalib
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota
Duboya Mujhko Hone Ne, Na Hota Maib To Kya Hota ?,
Huaa Jab Gham Se Yoon Behis To Gham Kya Sar Ke Katne Ka
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zaanoon Par Dhara Hota
Huee Muddat Ke “GHALIB” Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ek Baat Pe Kehana, Ke Yoon Hota To Kya Hota ?
Mirza Ghalib
~~~~~
Sab Kahan-Kuch Lala-O-Gul Mein Numaayan Ho Gayee
Khaak Mein Kya Suraten Hongi Ke Pinhan Ho Gayee
Ranz Se Khu-Garz Hua Insaan To Mit Jaata Hai Ranz
Mushkilyen Mujh Par Padi Itnee Ke Aasaan Ho Gayee
Yun Hi Gar Rota Raha “Ghalib” To E-Ehle Jahaan
Dekhna In Bastiyon Ko Tum Ke WeeraaN Ho Gayee
Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Hit Ghazals
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaathi Hai Mooh Par Raunaq,
Wo Samajhte H Ke Beemaar Ka Haal Accha Hai,
Dekhiye Paate H Pushaaq Buton Se Kya Faiz,
Ik Barhaman Ne Kaha Hai Ke Ye Saal Accha Hai,
Humko Maaloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin,
Dil Ko Khush Rakhne Ko “GHALIB” Ye Khayaal Accha Hai
Mirza Ghalib
~~~~~
Koe Din Gar Zindagaanee Aur H,
Apne Jee Mein Hamne Thaanee Aur H,
Baarha Dekhee Hain Unkee Ranjishain,
Par Kuch Ab Ke Sar Giraanee Aur Hai,
Deke Khat Munh Dekhta Hai Naamabar,
Kuch To Paighaam-E-Zabaanee Aur Hai,
Ho ChukeeN “GHALIB” Balaayen Sab Tamaam,
Ek Marg-E-Naagahaanee Aur Hai
Mirza Ghalib
Mohammad Rafi Songs Lyrics Collection
Zulmat_kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai,
Ik Shamma’a Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai,
Daagh-E-Firaaq-E-Sohabat-E-Shab Kee Jalee Hooee,
Ik Shamma’a Reh Gaee Hai So Wo Bhee Khamosh Hai,
Aate Hain Ghalib Se Ye Mazaameen Khyaal Mein,
“GHALIB“, Sareer-E-Khaama Nawa-E-Sarosh Hai
Mirza Ghalib