30+ Best of Bewafa Ghazal In Hindi

30+ Bewafa Sanam Ghazal in Hindi - Best of Bewafa Ghazal

Bewafa Ghazal In Hindi

Aapka Mera, Har Kisi Ka Dukh,
Ek Jaisa H Aadmi Ka Dukh,

Ban Na Jaye Wo Roj Ki Pida,
Aaj Jo H Kabhi Kabhi Ka Dukh,

Saaf Sadke Samjh Nahi Sakti,
Gandhi Basti Ki Uss Gali Ka Dukh,

Peer Apni Pahad Lagti H,
Doop Kya H Jane Chandni Ka Dukh,

Sesh, Phir Bhi, Bahut Andhere H,
Ha Yahi To Roshni Ka Dukh.

25+ Sad Ghazal About Life and Death

Ek Kabotar Chithi Lekar, Pehli Pehli Bar Udha,
Mausam Ek Gulel Liye Tha, Pat Se Niche Aan Gira,

Banjar Dharti Julse Phode, Bikhre Kaante Tej Hawa,
Humne Ghar Bhaite Sara Manjar Dekh Kiya,

Chatano Par Khada Raha To Chap Reh Gayi Paon Ki,
Socho Kitna Bhoj Uthakar Mein Inn Raho Se Gujra,

Sehne Ko Ho Gaya Kitna Sara Dukh Ikhata Mann Mein,
Kehne Ko Ho Gaya Ki Dekho Ab Mein Tumko Bhul Gaya,

Dhire Dhire Bhig Rahi H Saari Eth Pani Mein,
Inko Kya Malum Aage Chalkar Inka Kya Hoga.

Bewafa Sanam Ghazal In Hindi

Jaha Bhi Hum Badhe Aage Wahi Ye Aafate Gujri,
Utha Kar Hath Se Pathar Hamesha Rahaten Gujri,

Aabhao Ke Udhandaste Pakad Paye Nahi Inko,
Humi Ko Marker Kandha Humari Chahte Gujri,

Utaro Chand Ab Suraj Pehankar Sab Chale Aage,
Sulgati Had Nahi Aayi, Titurati Sarhade Gujri,

Chipe H Khwab Aankho Mein Abhi Khargosh Ki Nahi,
Nikalkar Bhaag Jayenge Jara Bhi Aahaten Gujri,

Hajaro Gaon Niklenge Nagar Ka Pet To Kholo,
Parso Tha Looh Humne Wahi Ye Dawate Gujri.

15+ Ghazal Poem About Love in Hindi

Mausmo Ke Rang Saare Dil Ke Ander Reh Gaye,
Khushk Hokar Umdi Aankho Mein Samunder Reh Gaye,

Apne Saye Se Lipatkar Soo Gaya Har Ek Pedh,
Rehgujar Ki Thokre Khane Ko Pathar Reh Gaye,

Aadmi Ne Saja Rakhe H Katlgaah Har Taraf,
Aman Ko Paigam Dene Ko Kabutar Reh Gaye,

Dastak Dene Se Farig Koi Darr Khulta Nahi,
Wo Kabhi Ander Nahi Jo Bahar Reh Gaye,

FARIG BHUKARI

Anjum Jaipuri Sad Ghazal Lyrics

Gam Ki Jo Ghata Aaye To Phir Jhum Ke Barse,
Barse Bhi Kuch Aise Ki Khusi Dekh Ke Tarse,

Marne Ka Nahi Khawf Agar Darr H To Itna,
Nikle N Meri Laash Kahi Aapke Ghar Se,

Manjil Ne To Har Gaam Pe Reh Reh Ke Pukara,
Uljhe Hi Rahe Log Yaha Rahgujar Se,

Payab Me Manjur Nahi Dubna Anjum,
Accha H Gujar Jaye Ye Pani Tere Sir Se.

Anjum Jaipuri

~~~~~

Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
Meree Wehshat, Teree Shohrat Hee Sahee

Ham Bhee Dushman To Naheen Hain Apne
Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hee Sahee

Ham Koee Tarq-E-Wafa Karte Hain
Na Sahee Ishq, Museebat Hee Sahee

30+ Heart Touching Ghazal Lyrics Collection

Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota

Koee Mere Dil Se Pooche Tere Teer-E-Neemkash Ko
Ye Khalish Kahaan Se Hotee Jo Jigar Ke Paar Hota

Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-E-Gham Buree Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna ? Agar Ek Baar Hota

~~~~~

Baazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage
Hota Hai Shab-O-Roz Tamaasha Mere Aage

Hota Hai Nihaan Gard Mein Sehara Mere Hote
Ghisata Hai Jabeen Khaak Pe Dariya Mere Aage

Mat Pooch Ke Kya Haal Hai Mera Tere Peeche ?
Too Dekh Ke Kya Rang Tera Mere Aage

Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
Ka’aba Mere Peeche Hai Kaleesa Mere Aage

Go Haath Ko Jumbish Naheen Aanhon Mein To Dam Hai
Rehne Do Abhee Saaghar-O-Meena Mere Aage

Bewafa Ghazal Poetry SmS

Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan ?
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahaan ?

Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Woh Raanaai-E-Khayaal Kahaan ?

Eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahaan ?

Fikr-E-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
Main Kahaan Aur Ye Wabaal Kahaan ?

~~~~~~

Kise Ko De Ke Dil Koee Nawaa-Sanj-E-Fughaan Kyon Ho ?
Na Ho Jab Dil Hee Seene Mein To Fir Munh Mein Zubaan Kyon Ho ?

Wafa Kaisee ? Kahaan Ka Ishq ? Jab Sar Phodna Thehra
To Fir ‘Ei Sang_dil Tera Hee Sang-E-Aastaan Kyon Ho ?

Yahee Hai Aazmaana To Sataana Kis Ko Kehte Hain ?
Adoo Ke Ho Liye Jab Tum To Mera Imtihaan Kyon Ho ?

Qafas Mein Mujh Se Roodaad-E-Chaman Kehte Na Dar Hamdam
Giree Hai Jis Pe Kal Bijlee Woh Mera Aashiyaan Kyon Ho ?

20 Best Ghazals All Time in Hindi

Phir Mujhe Deeda-E-Tar Yaad Aaya,
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya,

Dam Liya Tha Na Qayaamat Ne Hanoz,
Fir Tera Waqt-E-Safar Yaad Aaya,

Saadgee Haay Tamanna, Yaanee,
Fir Wo Nai_rang-E-Nazar Yaad Aaya,

Uzr-E-WaamaaNdagee ‘Ei Hasarat-E-Dil,
Naala Karta Tha Jigar Yaad Aaya,

Zindgee YoN Bhee Guzar Hi Jaatee,
KyoN Tera Raahguzar Yaad Aaya ?,

Kya Hee RizwaaN Se LaDaayee Hogee,
Ghar Tera KHuld MeiN Gar Yaad Aaya,

Aah Woh Jurat-E-Fariyaad Kahaan,
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya,

Fir Tere Kooche Ko Jaata Hai KHayaal,
Dil-E-Gumgashta Magar Yaad Aaya,

Koee Weeraanee-See-Weeraanee Hai,
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya,

Mainne Majnoon Pe Ladakpan Mein Asad,
Sang Uthaaya Tha Ki Sar Yaad Aaya

~~~~~

Humari Umar Ke Do-Char Din Bhada Dega,
Koi To Jurm Ho Wo Jiski Ye Saja Dega,

Kabhi Wo Hath Pe, Kapdo Pe Aur Lifafo Par,
Likhega Naam Mera Aur Kabhi Mita Dega,

Jo Naam Likhe H Humne Abhi Darkhato Par,
Jwan Ho Ke Tu Shayad Tu Inhe Mita Dega,

H Badlo Mein Fasa Aaftab Uska Mijaj,
Kabhi Wo Yaad Karega Kabhi Bhula Dega,

Yu Rasmorah Badhao N Use Tum “Sagar”
Ki Jism Aag Ka Uska, Tumhe Jala Dega.

Ghazal Lyrics on Bewafa Ladki

Sehra Sehra Jangal Jangal Sara Kasba Doob Gaya,
Kohre Ke Sailab Mein Yaaro, Chapa Chapa Dhub Gaya,

Aakhir Kaise Bhed Khulega Kisne Qatal Kiya Usko,
Bina Safedi Kiye Chato Par Kaise Chanda Doob Gaya,

Raat Ki Mauje Der Talak Ab Mere Dil Mein Tadpenghi,
Kandho Par Daftar Latka Kar Din Bechara Doob Gaya,

Doob Gayi Saari Minaret, Doob Gaye Saare Mandir Masjid,
Ab Ke Aisa Pani Aaya Accha Accha Doob Gaya,

Ek Baichani Har Chehre Par Bhurka Aaudh Ke Chalti Thi,
Jane Kaisi Barish Aayi Pardha Pardha Doob Gaya.

~~~~~

Kalpana Ke Ashaw Dodate Rahe,
Samne Ke Satye Jhutlate Rahe,

Har Mashiya Dekh Kar Hasta Raha,
Log Phir Bhi Jhkam Dhiklate Rahe,

Jo N De Paye Hume Koi Khusi,
Hum Unhi Ka Dard Apnate Rahe,

Wo Bhikari The Sabhi Paidaishi,
Jinke Aage Hath Phailate Rahe,

Apne Hatho Kabar Unki Khod Kar,
Roj Apne Khwab Dafnate Rahe,

Raatrani Ki Tarah Hum Umarbhar,
Jag Ke Andhiyaro Ko Mehkate Rahe,

Jiske Panno Mein Kahi Bhi Hum Nahi,
Hum Wahi Ithihas Dohrate Rahe.

20+ Hindi Ghazal Collection by Popular Poets

Kanch-Nirmit Gharo Ke Kya Kehne,
Bhurbhure Patharo Ke Kya Kehne,

Jhuk Gaye Tanne Ke Mauke Par,
Unche Unche Saro Ke Kya Kehne,

Jinke Hontho Par Sirf Afwayen,
Aise Humlawaro Ke Kya Kehne,

Rehjani Mein Kamal Hasil H,
Rehnuma Rehbharo Ke Kya Kehne,

Aadmi Hu Ghulam Sikko Ka,
Girthi Uthti Daro Ke Kya Kehne,

Bechkar Mulq Muskurate H,
Kom Ke Maskharo Ke Kya Kehne.

~~~~~

Be-maut Maar Dega Wo Shaks Jindagi Ko,
Raktha H Jo Chupakar Apni Har eK Khusi Ko,

Kagaz Ki Kasthiyo Ko Retile Tatt Pe Rakh Kar,
Behla Rahe H Bache Sukhi Hui Nadi Ko,

Baitha H Hath Jodo Aankho Mein Ek Aanshu,
Dekha Nahi H Maine Puja Mein Yu Kisi Ko,

Mera Makan Shayd H Jaljalo Ka Daftar,
Deeware Mutmahin H Har Waqt Khudkhushi Ko.

Best of Bewafa Ghazal

Kahi To Sirfire Badal Baras Gaye Honge,
Ek Ek Boond Ka Sehra Taras Gaye Honge,

Andheri Raato Mein Wo Aankh Ban Ke Jagta H,
Use Bhi Roshni Ke Khwab Das Gaye Honge,

Hawa Ke Thamte Hi Ghar Ghar Pukar Aaya Hu,
Kaha Na Jane Par Humnfas Gaye Honge,

The Gard-Gard Dariche, Kiwad Jalo Ke,
Kaha Ye Kisne Wo Ghar Fir Se Bas Gaye Honge.

Na Aayi Kuch Khabar, Satrange Deep Ki,
Hawa Ke Sath Waha Bulhawas Gaye Honge.

~~~~~~

Hosh Ki Baat Badhi Baat H Deewano Mein,
Kon Jinda H Aaj Sahi Maino Mein,

Khud Ko Pehchane Khoyi Hui Pehchano Mein,
Hum Bhi Bhar Laye H Housle Muskano Mein.

Jindagi Aan H Armaan H Imaan Bhi H,
Dard Kis Sham Se Shamil H Pareshano Mein,

Gark We Ho Gaye Nafrat Ke Gali-Khucho Mein,
Fark Karte Rahe Jo Umar-Bhar Insaano Mein,

Aaj Hare Hue Sainik H To Kal Jitenge,
Phir Tehlate Hue Mil Jaynenge Maidano Mein.

25+ Dard Bhari Ghazal by Famous Poets

Jab Puch Liya Unse Kis Baat Ka Darr H,
Kehne Lage Aise Hi Swalat Ka Darr H,

Har Chij Mein Bhigde Hue Anupat Ka Darr H,
Pholad Ki Aaulad Mein Jajbaat Ka Darr H,

Ye Rasta Bewasta, Weh Wasta Berasta,
Rishto Mein Yaha Khuda Se Mulaqat Ka Darr H,

Ha, Nyay Ka Wishpan To Karna Hi Padega,
Anthes Ke Hajraat Ko Sukraat Ka Dher H.

~~~~~

Kisi Ki Nabj Par Iss Tarah Ungaliya Rakh De,
Ki Tere Samne Wo Dil Ki Dastan Rakh De,

Mein Jhakm Jhakm Badan Ko Chipau Kis Kis Se,
Khuda Ke Waste Tu Hath Se Kaman Rakh De,

Tu Ek Baar Dharne De Mujhe Jami Pe Kadam,
Phir Iske Baad Tu Mere Sir Pe Aasma Rakh De,

Jo Dekhna H Meri Rooh Ke Twanayi,
To Mere Jism Ko Sholo Ke Darmiyan Rakh De,

Utha Sake N Koi Bhi Jamir Ka Bhoj,
Mere Hi Kande Pe Ye Bare-Do-Jahan Rakh De,

Khuda Ki Den Ki Kya Baat H, Jo Wo Chahe,
Dhane-Sang Mein Bhi Phool Ki Juban Rakhe De.

Bewafa Ghazal Lyrics Collection

Gam Ka Parwat, Tam Ka Jharna,
Kitna Mushqil Yaha Tehrna,

Gayab Masti, Itni Pasti,
Khud Se Hi Ghabrana Darna,

Jhuth Nibhao, Sach Ko Talo,
Ho Jayeghi Fasi Warna,

Marna Bhi Mehsus Na Hota,
Kuch Yu Dhime Dhime Marna,

Log Tumhe Murkh Samjhenge,
Insano Si Baat Na Karna,

Ek Nasha H Ye Tanhayi,
Jisne Shika Nahi Utarna.

~~~~~

Jinda Rehne Ki Ye Tofik Uthaye Rakhna,
Dard Ki Aanch Ko Mutthi Mein Dabaye Rakhna,

Ye Bhi Hota H Kisi Ghar Tapasya Jaisa,
Tej Aandhi Mein Chirago Ko Jalaye Rakhna,

Kitna Masum H Ye Masum Parindo Ke Liye,
Khud Ko Chalak Shikari Se Bachaye Rakhna,

Mombati Ko Bujhayeghi Agar Uth Aayi,
Tum Hawa Ko Jara Baato Mein Lagaye Rakhna,

Gairmumkin To Nahi Phir Bhi Bahut Mushqil H,
Kagzi Phool Pe Titli Ko Bithaye Rakhna,

Koi Aahat, Koi Dastak, Kisi Chidiya Ki Chehak
Ghar Ki Sunshan Haweli Mein Sajaye Rakhna.

30+ Best of Meer Ghazals and Shayari

Jajbaat Ki Lehar Mein Agar Beh Nahi Sake,
Kya Baat H Ki Baat Kabhi Keh Nahi Sake,

Hum Waqt Ki Talash Mein Rahe Ki Kuch Kahe,
Tum Ho Jo Kabhi Ek Jangah Reh Nahi Sake,

Bhari Dbaw Jindagi Ke Liye Magar,
Halki Inayto Ka Jwab Seh Nahi Sake,

Apna Nasib Jaaniye Ki Itfaaq Ho,
Kuch To Rahi H Baat H Jo Deh Nahi Sake,

Malum H Ki Humko Suna Hi Nahi Gaya,
Lekin Kahe Begar Bhi To Reh Nahi Sakte.

~~~~~

Samjh Hi Jayega Ander Ka Haal Kaisa H,
Agar Wo Dekhne Wali Nigah Raktha H,

Bikhrna Hoga Burade Ke Dher Ko Ek Din,
Ye Kis Ummed Par Tu Lamhe Ginta Rehta H,

Samjh Raha Tha Wo Bahut Bewkuf Mujhko,
Mein Jisko Achhi Tarah Janta Hu Wo Kya H,

Ye Khar-Khar Badan Sang Sang Parehan,
Ye Aadmi Koi Jangal Gira Ke Aaya H,

Mujhe Bhi Gutna H Benastur Ke Ander,
Use Bhi Kanch Ke Show Case Mein Hi Rehna H,

Le Aaj Khud Ko Mein Tere Hawale Karta Hu,
Ye Dekhna H Kit U Kya Saluki Karta H.

Benastur= Do Line Ke Bich.

Bewafa Ghazal Lyrics In Urdu

Gujar Gaya Jo Jmana Use Bhula Hi Do,
Jo Naksh Ban Nahi Sakta Use Mita Hi Do,

Khulehga Turk-Taulaak Ke Baad Wabe-Wafa,
Yeh Ek Aakhiri Parda Bhi Ab Utha Hi Do,

Ruki Ruki Si Hawa H Thaka Thaka H Chand,
Wafa Ke Dast Mein Hairan Khade H Rahi Do,

Gujar Raha H Jo Lamha Use Amar Kar Le,
Mein Apne Khoon Se Liktha Hu Tum Ghawai Do,

Kisi Tarah Se Tagaful Ka Wabe Wafa To Khule,
Nahi Mein Pyar Ke Qabil Tu Kuch Saja Hi Do,

Mein Sansar Ko Tujhse Mukti De Dunga,
Meri Girfat Mein Ek Din Tabhai Do,

~~~~~

Ishq Kaisa Ki Bharosa Bhi Nahi Tha Shayad,
Use Mera Koi Ristha Bhi Nahi Tha Shayad,

Khalkte Sehar Mein Jis Haar Ke Charche H Bahut,
Mein Wo Baji Kabhi Khela Bhi Nahi Tha Shayd,

Jist Karne Ke Sab Aadab Use Ajbar The,
Mujhko Karne Ka Salika Bhi Nahi Tha Shayad,

Khak Udate Hue Bajaro Mein Dekha Sabne,
Mein Kabhi Ghar Se Nikalta Bhi Nahi Tha Shayad,

Unki Aankho Mein Basarat Thin Aye Khwabo Ki,
Mein Use Dekh Ke Chowka Bhi Nahi Tha Shayad,

Ek Badal Ki Mere Naam Se Samrpit Hua,
Mere Sahare Mein To Barsa Bhi Nahi Tha Shayad.

15 Best of Dushyant Kumar Ghazals

Aaj Pani Ki Dukane H Waha,
Tha Jaha Sabke Liye Thand Kuwa,

Jane Bejano Mein Padh Jaye Waha,
Yatna Sima Se Badh Jaye Jaha,

Raah Durgam Kon Si Ab Reh Gayi,
H Pahado Par Bhi Kadmo Ke Nishan,

Aankh Kha Jaye Agar Dhoka Kahi,
Kalmia Mein Roshni Ka Ho Guman,

Aag Nafrat Ki Agar Jalti Rahi,
Aasma Ko Daap Lega Ye Duwa,

Daal Lije Aap Bhi Kano Mein Tel,
Hum To See Sakte Nahi Apni Juban.

~~~~~

Unhone Jo Kanwes Par Muskurate Hue Rang Daal Rakhe H,
Tum Kya Jano Humne Uske Liye Kitne Rang Pal Rakhe H,

Hum Tumko Kya Batlate Apni Aaukat Hasiyat Aye Dost,
Hum Jante H Tumne Paon Chadar Se Bahar Nikal Rakhe H,

Niw Aah Bhi Nahi Karti Munder Thapedo Se Tut Jati H,
Tumne Bhi Apne Jhole Mein Kya Kya Kamal Rakhe H,

Gwale Ko Pani Mila Beichne Se Kitna Hua Faida,
Tumne Hisab Mein Bhi Kaise Beimaan Swal Rakhe H,

Bikhalte Bache Shayad Behalkar Soo Hi Jaye,
Humne Thodi Der Se Pathile Mein Pathar Ubal Rakhe H.

Duniya ye Bewafa hai Ghazal

Kadam Kadam Pe Andhera H Kya Kiya Jaye,
Najar Se Dur Sawera H Kya Kiya Jaye,

Jaha Pe There H Uss Gaon Ka Yeh Aalam H,
Harek Shaks Lutera H Kya Kiya Jaye,

Jinhe Madad Ki Jarurat H Aajkal Yaaro,
Unhi Par Julm Ka Ghera H Kya Kiya Jaye,

Harek Chere Pe Chera Chada Hua H Yaha,
Ab Uljhano Mein Chitera H Kya Kiya Jaye,

Jidhar Bhi Jaon Siyasat Ne Uss Taraf Gulshan,
Hawa Mein Jehar Bikhera H Kya Kiya Jaye.

~~~~~

Aane Wale Hadso Ke Kauf Se Sehme Hue,
Log Firte H Jaise Khwab Ho Tute Hue,

Subah Dekha To N Tha Kuch Pass Uljhan Ke Siwa,
Raat Hum Baithe Rahe Kisi Soch Mein Dube Hue,

Apne Dukh Mein Dubkar Busat Mili Kaise Hume,
H Jami Se Aasma Tak Hum Hi Hum Phaile Hue,

Aaj Aaine Mein Khud Ko Dekhkar Yaad Aa Gaya,
Ek Muddat Ho Gayi Jis Shaks Ko Dekhe Hue,

Jism Ki Deewar Gir Jaye To Kuch Eshaas Ho,
Apne Ander Hum Pade H Kis Kadar Simte Hue.

15+ Best of Munawwar Rana Ghazals

Mujhe Hayat Ke Sanche Mein Dalne Wale,
Kaha Gaye Wo Samunder Khangalne Wale,

Ludak Raha Hu Dlano Se Pyar Ki Mein To,
Na Aaye Raah Mein Mujko Sambhalne Wale,

Ki Aastin Mein The Hum Saanp Palne Wale,
Hawa Me Fek N Mujko Samjh Ke Khel Koi,

Tujhi Ko Aake Lagunga Uchalne Wale,
Jara Sa Kaam H Mein Fir Bhi Namukamal Hu,

Yaha Mile H Sabhi Mujko Talne Wale,
Kuwa Hawas Ka Gehra Tha Kuch Iss Kadar “Akthar”

Ki Khud Hi Gir Gaye Mujko Nikalne Wale,

~~~~~~

Pyar Ka Sagar Sada Utra Mila,
Har Taraf Watawaran Bhikra Mila,

Jab Bhi Hatho Ne Kamal Ko Chu Liya,
Har Ghazal Ko Dard Ka Sahara Mila,

Jab Bhi Ki Maine Hasne Ki Koshish,
Aankh Se Aansu Ka Ek Qatra Mila,

Usme Pholo-Si Najakat Thi, Magar,
Use Humko Shul Ka Katra Mila,

Pehle Kanto Ka Nagar, Fir Baad Mein,
Door Tak Phaila Hua Sahara Mila,

Unse Cheitan Kya Kare Ummid Ab,
Jinse Tujhko Pyar Mein Nakhra Mila,

Cheitan Anand